Daniel 7 · 28 verses

दानिय्येल 7 Daniel 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 7.

1

बाबुल के राजा बेलशस्सर के पहिले वर्ष में, दानिय्येल ने पलंग पर स्वप्न देखा। तब उसने वह स्वप्न लिखा, और बातों का सारांश भी वर्णन किया।

Babul ke raja belshassar ke pahile varsh mein, daniyyel ne palang par swapn dekha. Tab usne vah swapn likha, aur baton ka saraansh bhi varnan kiya.

2

दानिय्येल ने यह कहा, मैं ने रात को यह स्वप्न देखा कि महासागर पर चौमुखी आंधी चलने लगी।

Daniyyel ne yah kaha, main ne raat ko yah swapn dekha ki mahasagar par chaumukhi aandhi chalne lagi.

3

तब समुद्र में से चार बड़े बड़े जन्तु, जो एक दूसरे से भिन्न थे, निकल आए।

Tab samudra mein se chaar bade bade jantu, jo ek doosre se bhinn the, nikal aaye.

4

पहिला जन्तु सिंह के समान था और उसके पंख उकाब के से थे। और मेरे देखते देखते उसके पंखों के पर नोचे गए और वह भूमि पर से उठा कर, मनुष्य की नाईं पांवों के बल खड़ा किया गया; और उसको मनुष्य का हृदय दिया गया।

Pahila jantu sinh ke samaan tha aur uske pankh ukaab ke se the. Aur mere dekhte dekhte uske pankhon ke par noche gaye aur vah bhoomi par se utha kar, manushya ki nai panvon ke bal khada kiya gaya; aur usko manushya ka hriday diya gaya.

5

फिर मैं ने एक और जन्तु देखा जो रीछ के समान था, और एक पांजर के बल उठा हुआ था, और उसके मुंह में दांतों के बीच तीन पसुली थीं; और लोग उस से कह रहे थे, उठ कर बहुत मांस खा।

Phir main ne ek aur jantu dekha jo reechh ke samaan tha, aur ek panjar ke bal utha huaa tha, aur uske munh mein danton ke beech teen pasuli thi; aur log us se kah rahe the, uth kar bahut maans kha.

6

इसके बाद मैं ने दृष्टि की और देखा कि चीते के समान एक और जन्तु है जिसकी पीठ पर पक्षी के से चार पंख हैं; और उस जन्तु के चार सिर थे; और उसको अधिकार दिया गया।

Iske baad main ne drishti ki aur dekha ki cheete ke samaan ek aur jantu hai jiski peeth par pakshi ke se chaar pankh hain; aur us jantu ke chaar sir the; aur usko adhikaar diya gaya.

7

फिर इसके बाद मैं ने स्वप्न में दृष्टि की और देखा, कि एक चौथा जन्तु है जो भयंकर और डरावना और बहुत सामर्थी है; और उसके बड़े बड़े लोहे के दांत हैं; वह सब कुछ खा डालता है और चूर चूर करता है, और जो बच जाता है, उसे पैरों से रौंदता है। और वह सब पहिले जन्तुओं से भिन्न है; और उसके दस सींग हैं।

Phir iske baad main ne swapn mein drishti ki aur dekha, ki ek chautha jantu hai jo bhayankar aur daravna aur bahut samarthi hai; aur uske bade bade lohe ke daant hain; vah sab kuchh kha dalta hai aur choor choor karta hai, aur jo bach jata hai, use pairon se raundta hai. Aur vah sab pahile jantuon se bhinn hai; aur uske das seeng hain.

8

मैं उन सींगों को ध्यान से देख रहा था तो क्या देखा कि उनके बीच एक और छोटा सा सींग निकला, और उसके बल से उन पहिले सींगों में से तीन उखाड़े गए; फिर मैं ने देखा कि इस सींग में मनुष्य की सी आंखें, और बड़ा बोल बोलने वाला मुंह भी है।

Main un seengon ko dhyaan se dekh raha tha to kya dekha ki unke beech ek aur chhota sa seeng nikla, aur uske bal se un pahile seengon mein se teen ukhade gaye; phir main ne dekha ki is seeng mein manushya ki si aankhein, aur bada bol bolne vala munh bhi hai.

9

मैं ने देखते देखते अन्त में क्या देखा, कि सिंहासन रखे गए, और कोई अति प्राचीन विराजमान हुआ; उसका वस्त्र हिम सा उजला, और सिर के बाल निर्मल ऊन सरीखे थे; उसका सिंहासन अग्निमय और उसके पहिये धधकती हुई आग के से देख पड़ते थे।

Main ne dekhte dekhte ant mein kya dekha, ki sinhasan rakhe gaye, aur koi ati pracheen virajmaan huaa; uska vastra him sa ujla, aur sir ke baal nirmal oon sareekhe the; uska sinhasan agnimay aur uske pahiye dhadhakti hui aag ke se dekh padte the.

10

उस प्राचीन के सम्मुख से आग की धारा निकल कर बह रही थी; फिर हजारों हजार लोग उसकी सेवा टहल कर रहे थे, और लाखों लाख लोग उसके साम्हने हाजिर थे; फिर न्यायी बैठ गए, और पुस्तकें खोली गईं।

Us pracheen ke sammukh se aag ki dhara nikal kar bah rahi thi; phir hajaron hajaar log uski seva tahal kar rahe the, aur lakhon laakh log uske samhane hajir the; phir nyayi baith gaye, aur pustakein kholi gai.

11

उस समय उस सींग का बड़ा बोल सुन कर मैं देखता रहा, और देखते देखते अन्त में देखा कि वह जन्तु घात किया गया, और उसका शरीर धधकती हुई आग में भस्म किया गया।

Us samay us seeng ka bada bol sun kar main dekhta raha, aur dekhte dekhte ant mein dekha ki vah jantu ghaat kiya gaya, aur uska shareer dhadhakti hui aag mein bhasm kiya gaya.

12

और रहे हुए जन्तुओं का अधिकार ले लिया गया, परन्तु उनका प्राण कुछ समय के लिये बचाया गया।

Aur rahe hue jantuon ka adhikaar le liya gaya, parantu unka praan kuchh samay ke liye bachaya gaya.

13

मैं ने रात में स्वप्न में देखा, और देखो, मनुष्य के सन्तान सा कोई आकाश के बादलों समेत आ रहा था, और वह उस अति प्राचीन के पास पहुंचा, और उसको वे उसके समीप लाए।

Main ne raat mein swapn mein dekha, aur dekho, manushya ke santaan sa koi aakaash ke badlon samet aa raha tha, aur vah us ati pracheen ke paas pahuncha, aur usko ve uske sameep laye.

14

तब उसको ऐसी प्रभुता, महिमा और राज्य दिया गया, कि देश-देश और जाति-जाति के लोग और भिन्न-भिन्न भाषा बोलने वाले सब उसके आधीन हों; उसकी प्रभुता सदा तक अटल, और उसका राज्य अविनाशी ठहरा॥

Tab usko aisi prabhuta, mahima aur rajya diya gaya, ki desh-desh aur jati-jati ke log aur bhinn-bhinn bhasha bolne vale sab uske aadheen hon; uski prabhuta sada tak atal, aur uska rajya avinashi thahra.

15

और मुझ दानिय्येल का मन विकल हो गया, और जो कुछ मैं ने देखा था उसके कारण मैं घबरा गया।

Aur mujh daniyyel ka man vikal ho gaya, aur jo kuchh main ne dekha tha uske karan main ghabra gaya.

16

तब जो लोग पास खड़े थे, उन में से एक के पास जा कर मैं ने उन सारी बातों का भेद पूछा, उस न यह कह कर मुझे उन बातों का अर्थ बताया,

Tab jo log paas khade the, un mein se ek ke paas ja kar main ne un sari baton ka bhed poochha, us na yah kah kar mujhe un baton ka arth bataya,

17

उन चार बड़े बड़े जन्तुओं का अर्थ चार राज्य हैं, जो पृथ्वी पर उदय होंगे।

Un chaar bade bade jantuon ka arth chaar rajya hain, jo prithvi par uday honge.

18

परन्तु परमप्रधान के पवित्र लोग राज्य को पाएंगे और युगानुयुग उसके अधिकारी बन रहेंगे॥

Parantu parmapradhaan ke pavitra log rajya ko payenge aur yuganuyug uske adhikari ban rahenge.

19

तब मेरे मन में यह इच्छा हुई की उस चौथे जन्तु का भेद भी जान लूं जो और तीनों से भिन्न और अति भयंकर था और जिसके दांत लोहे के और नख पीतल के थे; वह सब कुछ खा डालता, और चूर चूर करता, और बचे हुए को पैरों से रौंद डालता था।

Tab mere man mein yah ichchha hui ki us chauthe jantu ka bhed bhi jaan lun jo aur teenon se bhinn aur ati bhayankar tha aur jiske daant lohe ke aur nakh peetal ke the; vah sab kuchh kha dalta, aur choor choor karta, aur bache hue ko pairon se raund dalta tha.

20

फिर उसके सिर में के दस सींगों का भेद, और जिस नये सींग के निकलने से तीन सींग गिर गए, अर्थात जिस सींग की आंखें और बड़ा बोल बोलने वाला मुंह और सब और सींगों से अधिक भयंकर था, उसका भी भेद जानने की मुझे इच्छा हुई।

Phir uske sir mein ke das seengon ka bhed, aur jis naye seeng ke nikalne se teen seeng gir gaye, arthaat jis seeng ki aankhein aur bada bol bolne vala munh aur sab aur seengon se adhik bhayankar tha, uska bhi bhed janne ki mujhe ichchha hui.

21

और मैं ने देखा था कि वह सींग पवित्र लोगों के संग लड़ाई कर के उन पर उस समय तक प्रबल भी हो गया,

Aur main ne dekha tha ki vah seeng pavitra logon ke sang ladai kar ke un par us samay tak prabal bhi ho gaya,

22

जब तब वह अति प्राचीन न आया, और परमप्रधान के पवित्र लोग न्यायी न ठहरे, और उन पवित्र लोगों के राज्याधिकारी होने का समय न आ पहुंचा॥

Jab tab vah ati pracheen na aaya, aur parmapradhaan ke pavitra log nyayi na thahre, aur un pavitra logon ke rajyadhikari hone ka samay na aa pahuncha.

23

उसने कहा, उस चौथे जन्तु का अर्थ, एक चौथा राज्य है, जो पृथ्वी पर हो कर और सब राज्यों से भिन्न होगा, और सारी पृथ्वी को नाश करेगा, और दांवकर चूर-चूर करेगा।

Usne kaha, us chauthe jantu ka arth, ek chautha rajya hai, jo prithvi par ho kar aur sab rajyon se bhinn hoga, aur sari prithvi ko naash karega, aur danvkar choor-choor karega.

24

और उन दस सींगों का अर्थ यह है, कि उस राज्य में से दास राजा उठेंगे, और उनके बाद उन पहिलों से भिन्न एक और राजा उठेगा, जो तीन राजाओं को गिरा देगा।

Aur un das seengon ka arth yah hai, ki us rajya mein se daas raja uthenge, aur unke baad un pahilon se bhinn ek aur raja uthega, jo teen rajaon ko gira dega.

25

और वह परमप्रधान के विरुद्ध बातें कहेगा, और परमप्रधान के पवित्र लोगों को पीस डालेगा, और समयों और व्यवस्था के बदल देने की आशा करेगा, वरन साढ़े तीन काल तक वे सब उसके वश में कर दिए जाएंगे।

Aur vah parmapradhaan ke viruddh batein kahega, aur parmapradhaan ke pavitra logon ko pees dalega, aur samyon aur vyavastha ke badal dene ki aasha karega, varan sadhe teen kaal tak ve sab uske vash mein kar diye jayenge.

26

परन्तु, तब न्यायी बैठेंगे, और उसकी प्रभुता छीन कर मिटाई और नाश की जाएगी; यहां तक कि उसका अन्त ही हो जाएगा।

Parantu, tab nyayi baithenge, aur uski prabhuta chheen kar mitai aur naash ki jayegi; yahan tak ki uska ant hi ho jayega.

27

तब राज्य और प्रभुता और धरती पर के राज्य की महिमा, परमप्रधान ही की प्रजा अर्थात उसके पवित्र लोगों को दी जाएगी, उसका राज्य सदा का राज्य है, और सब प्रभुता करने वाले उसके आधीन होंगे और उसकी आज्ञा मानेंगे।

Tab rajya aur prabhuta aur dharti par ke rajya ki mahima, parmapradhaan hi ki praja arthaat uske pavitra logon ko di jayegi, uska rajya sada ka rajya hai, aur sab prabhuta karne vale uske aadheen honge aur uski aagya manenge.

28

इस बात का वर्णन मैं अब कर चुका, परन्तु मुझ दानिय्येल के मन में बड़ी घबराहट बनी रही, और मैं भयभीत हो गया; और इस बात को मैं अपने मन में रखे रहा॥

Is baat ka varnan main ab kar chuka, parantu mujh daniyyel ke man mein badi ghabrahat bani rahi, aur main bhaybheet ho gaya; aur is baat ko main apne man mein rakhe raha.