Daniel 5 · 31 verses

दानिय्येल 5 Daniel 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 5.

1

बेलशस्सर नाम राजा ने अपने हजार प्रधानों के लिये बड़ी जेवनार की, और उन हजार लोगों के साम्हने दाखमधु पिया॥

Belshassar naam raja ne apne hajaar pradhanon ke liye badi jevnaar ki, aur un hajaar logon ke samhane dakhamdhu piya.

2

दाखमधु पीते पीते बेलशस्सर ने आज्ञा दी, कि सोने-चान्दी के जो पात्र मेरे पिता नबूकदनेस्सर ने यरूशलेम के मन्दिर में से निकाले थे, उन्हें ले आओ कि राजा अपने प्रधानों, और रानियों और रखेलियों समेत उन में से पीए।

Dakhamdhu peete peete belshassar ne aagya di, ki sone-chandi ke jo patra mere pita nabookadnessar ne Yerushalem ke mandir mein se nikale the, unhein le aao ki raja apne pradhanon, aur raniyon aur rakheliyon samet un mein se peeye.

3

तब जो सोने के पात्र यरूशलेम में परमेश्वर के भवन के मन्दिर में से निकाले गए थे, वे लाए गए; और राजा अपने प्रधानों, और रानियों, और रखेलियों समेत उन में से पीने लगा॥

Tab jo sone ke patra Yerushalem mein Parmeshwar ke bhavan ke mandir mein se nikale gaye the, ve laye gaye; aur raja apne pradhanon, aur raniyon, aur rakheliyon samet un mein se peene laga.

4

वे दाखमधु पी पीकर सोने, चान्दी, पीतल, लोहे, काठ और पत्थर के देवताओं की स्तुति कर ही रहे थे,

Ve dakhamdhu pi peekar sone, chandi, peetal, lohe, kaath aur patthar ke devtaon ki stuti kar hi rahe the,

5

कि उसी घड़ी मनुष्य के हाथ की सी कई उंगलियां निकल कर दीवट के साम्हने राजमन्दिर की भीत के चूने पर कुछ लिखने लगीं; और हाथ का जो भाग लिख रहा था वह राजा को दिखाई पड़ा।

Ki usi ghadi manushya ke haath ki si kai ungliyan nikal kar deevat ke samhane rajmandir ki bheet ke choone par kuchh likhne lagi; aur haath ka jo bhaag likh raha tha vah raja ko dikhai pada.

6

उसे देख कर राजा भयभीत हो गया, और वह अपने सोच में घबरा गया, और उसकी कटि के जोड़ ढीले हो गए, और कांपते कांपते उसके घुटने एक दूसरे से लगने लगे।

Use dekh kar raja bhaybheet ho gaya, aur vah apne soch mein ghabra gaya, aur uski kati ke jod dheele ho gaye, aur kampte kampte uske ghutne ek doosre se lagne lage.

7

तब राजा ने ऊंचे शब्द से पुकार कर तन्त्रियों, कसदियों और और होनहार बताने वालों को हाजिर करवाने की आज्ञा दी। जब बाबुल के पण्डित पास आए, तब राजा उन से कहने लगा, जो कोई वह लिखा हुआ पढ़ कर उसका अर्थ मुझे समझाए उसे बैंजनी रंग का वस्त्र और उसके गले में सोने की कण्ठमाला पहिनाई जाएगी; और मेरे राज्य में तीसरा वही प्रभुता करेगा।

Tab raja ne oonche shabd se pukaar kar tantriyon, kasdiyon aur aur honhaar batane valon ko hajir karvane ki aagya di. Jab babul ke pandit paas aaye, tab raja un se kahne laga, jo koi vah likha huaa padh kar uska arth mujhe samjhaye use bainjni rang ka vastra aur uske gale mein sone ki kanthamala pahinai jayegi; aur mere rajya mein teesra vahi prabhuta karega.

8

तब राजा के सब पण्डित लोग भीतर आए, परन्तु उस लिखे हुए को न पढ़ सके और न राजा को उसका अर्थ समझा सके।

Tab raja ke sab pandit log bheetar aaye, parantu us likhe hue ko na padh sake aur na raja ko uska arth samjha sake.

9

इस पर बेलशस्सर राजा निपट घबरा गया और भयातुर हो गया; और उसके प्रधान भी बहुत व्याकुल हुए॥

Is par belshassar raja nipat ghabra gaya aur bhayatur ho gaya; aur uske pradhaan bhi bahut vyakul hue.

10

राजा और प्रधानों के वचनों को सुन कर, रानी जेवनार के घर में आई और कहने लगी, हे राजा, तू युगयुग जीवित रहे, अपने मन में न घबरा और न उदास हो।

Raja aur pradhanon ke vachnon ko sun kar, rani jevnaar ke ghar mein aai aur kahne lagi, he raja, tu yugyug jeevit rahe, apne man mein na ghabra aur na udaas ho.

11

तेरे राज्य में दानिय्येल एक पुरूष है जिसका नाम तेरे पिता ने बेलतशस्सर रखा था, उस में पवित्र ईश्वरों की आत्मा रहती है, और उस राजा के दिनों में उस में प्रकाश, प्रवीणता और ईश्वरों के तुल्य बुद्धि पाई गई। और हे राजा, तेरा पिता जो राजा था, उसने उसको सब ज्योतिषियों, तन्त्रियों, कसदियों और और होनहार बताने वालों का प्रधान ठहराया था,

Tere rajya mein daniyyel ek puroosh hai jiska naam tere pita ne belatshassar rakha tha, us mein pavitra ishwaron ki aatma rahti hai, aur us raja ke dinon mein us mein prakaash, praveenta aur ishwaron ke tulya buddhi pai gai. Aur he raja, tera pita jo raja tha, usne usko sab jyotishiyon, tantriyon, kasdiyon aur aur honhaar batane valon ka pradhaan thahraya tha,

12

क्योंकि उस में उत्तम आत्मा, ज्ञान और प्रवीणता, और स्वप्नों का फल बताने और पहेलियां खोलने, और सन्देह दूर करने की शक्ति पाई गई। इसलिये अब दानिय्येल बुलाया जाए, और वह इसका अर्थ बताएगा॥

Kyonki us mein uttam aatma, gyaan aur praveenta, aur swapnon ka phal batane aur paheliyan kholne, aur sandeh door karne ki shakti pai gai. Isliye ab daniyyel bulaya jaye, aur vah iska arth batayega.

13

तब दानिय्येल राजा के साम्हने भीतर बुलाया गया। राजा दानिय्येल से पूछने लगा, क्या तू वही दानिय्येल है जो मेरे पिता नबूकदनेस्सर राजा के यहूदा देश से लाए हुए यहूदी बंधुओं में से है?

Tab daniyyel raja ke samhane bheetar bulaya gaya. Raja daniyyel se poochhne laga, kya tu vahi daniyyel hai jo mere pita nabookadnessar raja ke Yahuda desh se laye hue Yahudi bandhuon mein se hai?

14

मैं ने तेरे विषय में सुना है कि ईश्वर की आत्मा तुझ में रहती है; और प्रकाश, प्रवीणता और उत्तम बुद्धि तुझ में पाई जाती है।

Main ne tere vishay mein suna hai ki ishwar ki aatma tujh mein rahti hai; aur prakaash, praveenta aur uttam buddhi tujh mein pai jati hai.

15

देख, अभी पण्डित और तन्त्री लोग मेरे साम्हने इसलिये लाए गए थे कि यह लिखा हुआ पढ़ें और उसका अर्थ मुझे बताएं, परन्तु वे उस बात का अर्थ न समझा सके।

Dekh, abhi pandit aur tantri log mere samhane isliye laye gaye the ki yah likha huaa padhein aur uska arth mujhe batayen, parantu ve us baat ka arth na samjha sake.

16

परन्तु मैं ने तेरे विषय में सुना है कि दानिय्येल भेद खोल सकता और सन्देह दूर कर सकता है। इसलिये अब यदि तू उस लिखे हुए को पढ़ सके और उसका अर्थ भी मुझे समझा सके, तो तुझे बैंजनी रंग का वस्त्र, और तेरे गले में सोने की कण्ठमाला पहिनाई जाएगी, और राज्य में तीसरा तू ही प्रभुता करेगा॥

Parantu main ne tere vishay mein suna hai ki daniyyel bhed khol sakta aur sandeh door kar sakta hai. Isliye ab yadi tu us likhe hue ko padh sake aur uska arth bhi mujhe samjha sake, to tujhe bainjni rang ka vastra, aur tere gale mein sone ki kanthamala pahinai jayegi, aur rajya mein teesra tu hi prabhuta karega.

17

दानिय्येल ने राजा से कहा, अपने दान अपने ही पास रख; और जो बदला तू देना चाहता है, वह दूसरे को दे; वह लिखी हुई बात मैं राजा को पढ़ सुनाऊंगा, और उसका अर्थ भी तुझे समझाऊंगा।

Daniyyel ne raja se kaha, apne daan apne hi paas rakh; aur jo badla tu dena chahta hai, vah doosre ko de; vah likhi hui baat main raja ko padh sunaoonga, aur uska arth bhi tujhe samjhaoonga.

18

हे राजा, परमप्रधान परमेश्वर ने तेरे पिता नबूकदनेस्सर को राज्य, बड़ाई, प्रतिष्ठा और प्रताप दिया था;

He raja, parmapradhaan Parmeshwar ne tere pita nabookadnessar ko rajya, badai, pratishtha aur prataap diya tha;

19

और उस बड़ाई के कारण जो उसने उसको दी थी, देश-देश और जाति जाति के सब लोग, और भिन्न-भिन्न भाषा बोलने वाले उसके साम्हने कांपते और थरथराते थे, जिसे वह चाहता उसे वह घात करता था, और जिस को वह चाहता उसे वह जीवित रखता था जिसे वह चाहता उसे वह ऊंचा पद देता था, और जिस को वह चाहता उसे वह गिरा देता था।

Aur us badai ke karan jo usne usko di thi, desh-desh aur jati jati ke sab log, aur bhinn-bhinn bhasha bolne vale uske samhane kampte aur tharathrate the, jise vah chahta use vah ghaat karta tha, aur jis ko vah chahta use vah jeevit rakhta tha jise vah chahta use vah ooncha pad deta tha, aur jis ko vah chahta use vah gira deta tha.

20

परन्तु जब उसका मन फूल उठा, और उसकी आत्मा कठोर हो गई, यहां तक कि वह अभिमान करने लगा, तब वह अपने राजसिंहासन पर से उतारा गया, और उसकी प्रतिष्ठा भंग की गई;

Parantu jab uska man phool utha, aur uski aatma kathor ho gai, yahan tak ki vah abhimaan karne laga, tab vah apne rajsinhasan par se utara gaya, aur uski pratishtha bhang ki gai;

21

वह मनुष्यों में से निकाला गया, और उसका मन पशुओं का सा, और उसका निवास जंगली गदहों के बीच हो गया; वह बैलों की नाईं घास चरता, और उसका शरीर आकाश की ओस से भीगा करता था, जब तक कि उसने जान न लिया कि परमप्रधान परमेश्वर मनुष्यों के राज्य में प्रभुता करता है और जिसे चाहता उसी को उस पर अधिकारी ठहराता है।

Vah manushyon mein se nikala gaya, aur uska man pashuon ka sa, aur uska nivaas jangli gadhon ke beech ho gaya; vah bailon ki nai ghaas charta, aur uska shareer aakaash ki os se bheega karta tha, jab tak ki usne jaan na liya ki parmapradhaan Parmeshwar manushyon ke rajya mein prabhuta karta hai aur jise chahta usi ko us par adhikari thahrata hai.

22

तौभी, हे बेलशस्सर, तू जो उसका पुत्र है, और यह सब कुछ जानता था, तौभी तेरा मन नम्र न हुआ।

Taubhi, he belshassar, tu jo uska putra hai, aur yah sab kuchh janta tha, taubhi tera man namra na huaa.

23

वरन तू ने स्वर्ग के प्रभु के विरुद्ध सिर उठा कर उसके भवन के पात्र मंगवा कर अपने साम्हने धरवा लिए, और अपने प्रधानों और रानियों और रखेलियों समेत तू ने उन में दाखमधु पिया; और चान्दी-सोने, पीतल, लोहे, काठ और पत्थर के देवता, जो न देखते न सुनते, न कुछ जानते हैं, उनकी तो स्तुति की, परन्तु परमेश्वर, जिसके हाथ में तेरा प्राण है, और जिसके वश में तेरा सब चलना फिरना है, उसका सन्मान तू ने नहीं किया॥

Varan tu ne swarg ke Prabhu ke viruddh sir utha kar uske bhavan ke patra mangva kar apne samhane dharva liye, aur apne pradhanon aur raniyon aur rakheliyon samet tu ne un mein dakhamdhu piya; aur chandi-sone, peetal, lohe, kaath aur patthar ke devta, jo na dekhte na sunte, na kuchh jante hain, unki to stuti ki, parantu Parmeshwar, jiske haath mein tera praan hai, aur jiske vash mein tera sab chalna phirna hai, uska sanmaan tu ne nahi kiya.

24

तब ही यह हाथ का एक भाग उसी की ओर से प्रगट किया गया है और वे शब्द लिखे गए हैं।

Tab hi yah haath ka ek bhaag usi ki or se pragat kiya gaya hai aur ve shabd likhe gaye hain.

25

और जो शब्द लिखे गए वे ये हैं, मने, मने, तकेल, और ऊपर्सीन।

Aur jo shabd likhe gaye ve ye hain, mane, mane, takel, aur ooparseen.

26

इस वाक्य का अर्थ यह है, मने, अर्थात परमेश्वर ने तेरे राज्य के दिन गिनकर उसका अन्त कर दिया है।

Is vakya ka arth yah hai, mane, arthaat Parmeshwar ne tere rajya ke din ginkar uska ant kar diya hai.

27

तकेल, तू मानो तराजू में तौला गया और हलका पाया गया।

Takel, tu mano taraju mein taula gaya aur halka paya gaya.

28

परेस, अर्थात तेरा राज्य बांट कर मादियों और फारसियों दिया गया है॥

Pares, arthaat tera rajya baant kar madiyon aur pharsiyon diya gaya hai.

29

तब बेलशस्सर ने आज्ञा दी, और दानिय्येल को बैंजनी रंग का वस्त्र और उसके गले में सोने की कण्ठमाला पहिनाई गई; और ढिंढोरिये ने उसके विषय में पुकारा, कि राज्य में तीसरा दानिय्येल ही प्रभुता करेगा॥

Tab belshassar ne aagya di, aur daniyyel ko bainjni rang ka vastra aur uske gale mein sone ki kanthamala pahinai gai; aur dhindhoriye ne uske vishay mein pukara, ki rajya mein teesra daniyyel hi prabhuta karega.

30

उसी रात कसदियों का राजा बेलशस्सर मार डाला गया।

Usi raat kasdiyon ka raja belshassar maar dala gaya.

31

और दारा मादी जो कोई बासठ वर्ष का था राजगद्दी पर विराजमान हुआ॥

Aur dara madi jo koi basath varsh ka tha rajgaddi par virajmaan huaa.