Daniel 4 · 37 verses

दानिय्येल 4 Daniel 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 4.

1

नबूकदनेस्सर राजा की ओर से देश-देश और जाति जाति के लोगों, और भिन्न-भिन्न भाषा बोलने वाले जितने सारी पृथ्वी पर रहते हैं, उन सभों को यह वचन मिला, तुम्हारा कुशल क्षेम बढ़े!

Nabookadnessar raja ki or se desh-desh aur jati jati ke logon, aur bhinn-bhinn bhasha bolne vale jitne sari prithvi par rahte hain, un sabhon ko yah vachan mila, tumhara kushal kshem badhe!

2

मुझे यह अच्छा लगा, कि परमप्रधान परमेश्वर ने मुझे जो जो चिन्ह और चमत्कार दिखाए हैं, उन को प्रगट करूं।

Mujhe yah achchha laga, ki parmapradhaan Parmeshwar ne mujhe jo jo chinh aur chamatkaar dikhaye hain, un ko pragat karun.

3

उसके दिखाए हुए चिन्ह क्या ही बड़े, और उसके चमत्कारों में क्या ही बड़ी शक्ति प्रगट होती है! उसका राज्य तो सदा का और उसकी प्रभुता पीढ़ी से पीढ़ी तक बनी रहती है॥

Uske dikhaye hue chinh kya hi bade, aur uske chamatkaron mein kya hi badi shakti pragat hoti hai! Uska rajya to sada ka aur uski prabhuta peedhi se peedhi tak bani rahti hai.

4

मैं नबूकदनेस्सर अपने भवन में चैन से और प्रफुल्लित रहता था।

Main nabookadnessar apne bhavan mein chain se aur praphullit rahta tha.

5

मैं ने ऐसा स्वप्न देखा जिसके कारण मैं डर गया; और पलंग पर पड़े पड़े जो विचार मेरे मन में आए और जो बातें मैं ने देखीं, उनके कारण मैं घबरा गया था।

Main ne aisa swapn dekha jiske karan main dar gaya; aur palang par pade pade jo vichaar mere man mein aaye aur jo batein main ne dekhi, unke karan main ghabra gaya tha.

6

तब मैं ने आज्ञा दी कि बाबुल के सब पण्डित मेरे स्वप्न का फल मुझे बताने के लिये मेरे साम्हने हाजिर किए जाएं।

Tab main ne aagya di ki babul ke sab pandit mere swapn ka phal mujhe batane ke liye mere samhane hajir kiye jayen.

7

तब ज्योतिषी, तन्त्री, कसदी और होनहार बताने वाले भीतर आए, और मैं ने उन को अपना स्वप्न बताया, परन्तु वे उसका फल न बता सके।

Tab jyotishi, tantri, kasdi aur honhaar batane vale bheetar aaye, aur main ne un ko apna swapn bataya, parantu ve uska phal na bata sake.

8

निदान दानिय्येल मेरे सम्मुख आया, जिसका नाम मेरे देवता के नाम के कारण बेलतशस्सर रखा गया था, और जिस में पवित्र ईश्वरों की आत्मा रहती है; और मैं ने उसको अपना स्वप्न यह कह कर बता दिया,

Nidaan daniyyel mere sammukh aaya, jiska naam mere devta ke naam ke karan belatshassar rakha gaya tha, aur jis mein pavitra ishwaron ki aatma rahti hai; aur main ne usko apna swapn yah kah kar bata diya,

9

कि, हे बेलेतश्स्सर तू तो सब ज्योतिषियों का प्रधान है, मैं जानता हूं कि तुझ में पवित्र ईश्वरों की आत्मा रहती है, और तू किसी भेद के कारण नहीं घबराता; इसलिये जो स्वपन मैं ने देखा है उसे फल समेत मुझे बता कर समझा दे।

Ki, he beletashssar tu to sab jyotishiyon ka pradhaan hai, main janta hoon ki tujh mein pavitra ishwaron ki aatma rahti hai, aur tu kisi bhed ke karan nahi ghabrata; isliye jo swapan main ne dekha hai use phal samet mujhe bata kar samjha de.

10

जो दर्शन मैं ने पलंग पर पाया वह यह है: मैं ने देखा, कि पृथ्वी के बीचों-बीच एक वृक्ष लगा है; उसकी ऊंचाई बहुत बड़ी है।

Jo darshan main ne palang par paya vah yah hai: main ne dekha, ki prithvi ke beechon-beech ek vriksh laga hai; uski oonchai bahut badi hai.

11

वह वृक्ष बड़ा हो कर दृढ़ हो गया, और उसकी ऊंचाई स्वर्ग तक पहुंची, और वह सारी पृथ्वी की छोर तक देख पड़ता था।

Vah vriksh bada ho kar dridh ho gaya, aur uski oonchai swarg tak pahunchi, aur vah sari prithvi ki chhor tak dekh padta tha.

12

उसके पत्ते सुन्दर, और उस में बहुत फल थे, यहां तक कि उस में सभों के लिये भोजन था। उसके नीचे मैदान के सब पशुओं को छाया मिलती थी, और उसकी डालियों में आकाश की सब चिड़ियां बसेरा करती थीं, और सब प्राणी उस से आहार पाते थे॥

Uske patte sundar, aur us mein bahut phal the, yahan tak ki us mein sabhon ke liye bhojan tha. Uske neeche maidaan ke sab pashuon ko chhaya milti thi, aur uski daliyon mein aakaash ki sab chidiyan basera karti thi, aur sab prani us se aahaar pate the.

13

मैं ने पलंग पर दर्शन पाते समय क्या देखा, कि एक पवित्र पहरूआ स्वर्ग से उतर आया।

Main ne palang par darshan pate samay kya dekha, ki ek pavitra pahrooaa swarg se utar aaya.

14

उसने ऊंचे शब्द से पुकार कर यह कहा, वृक्ष को काट डालो, उसकी डालियों को छांट दो, उसके पत्ते झाड़ दो और उसके फल छितरा डालो; पशु उसके नीचे से हट जाएं, और चिड़ियें उसकी डालियों पर से उड़ जाएं।

Usne oonche shabd se pukaar kar yah kaha, vriksh ko kaat dalo, uski daliyon ko chhaant do, uske patte jhaad do aur uske phal chhitra dalo; pashu uske neeche se hat jayen, aur chidiyein uski daliyon par se ud jayen.

15

तौभी उसके ठूंठ को जड़ समेत भूमि में छोड़ो, और उसको लोहे और पीतल के बन्धन से बान्ध कर मैदान की हरी घास के बीच रहने दो। वह आकाश की ओस से भीगा करे और भूमि की घास खाने में मैदान के पशुओं के संग भागी हो।

Taubhi uske thoonth ko jad samet bhoomi mein chhodo, aur usko lohe aur peetal ke bandhan se baandh kar maidaan ki hari ghaas ke beech rahne do. Vah aakaash ki os se bheega kare aur bhoomi ki ghaas khane mein maidaan ke pashuon ke sang bhagi ho.

16

उसका मन बदले और मनुष्य का न रहे, परन्तु पशु का सा बन जाए; और उस पर सात काल बीतें।

Uska man badle aur manushya ka na rahe, parantu pashu ka sa ban jaye; aur us par saat kaal beetein.

17

यह आज्ञा पहरूओं के निर्णय से, और यह बात पवित्र लोगों के वचन से निकली, कि जो जीवित हैं वे जान लें कि परमप्रधान परमेश्वर मनुष्यों के राज्य में प्रभुता करता है, और उसको जिसे चाहे उसे दे देता है, और वह छोटे से छोटे मनुष्य को भी उस पर नियुक्त कर देता है।

Yah aagya pahrooon ke nirnay se, aur yah baat pavitra logon ke vachan se nikli, ki jo jeevit hain ve jaan lein ki parmapradhaan Parmeshwar manushyon ke rajya mein prabhuta karta hai, aur usko jise chahe use de deta hai, aur vah chhote se chhote manushya ko bhi us par niyukt kar deta hai.

18

मुझ नबूकदनेस्सर राजा ने यही स्वपन देखा। सो हे बेलतशस्सर, तू इसका फल बता, क्योंकि मेरे राज्य में और कोई पण्डित इसका फल मुझे समझा नहीं सकता, परन्तु तुझ में तो पवित्र ईश्वरों की आत्मा रहती है, इस कारण तू उसे समझा सकता है॥

Mujh nabookadnessar raja ne yahi swapan dekha. So he belatshassar, tu iska phal bata, kyonki mere rajya mein aur koi pandit iska phal mujhe samjha nahi sakta, parantu tujh mein to pavitra ishwaron ki aatma rahti hai, is karan tu use samjha sakta hai.

19

तब दानिय्येल जिसका नाम बेलतशस्सर भी था, घड़ी भर घबराता रहा, और सोचते सोचते व्याकुल हो गया। तब राजा कहने लगा, हे बेलतशस्सर इस स्वप्न से, वा इसके फल से तू व्याकुल मत हो। बेलतशस्सर ने कहा, हे मेरे प्रभु, यह स्वप्न तेरे बैरियों पर, और इसका अर्थ तेरे द्रोहियों पर फले!

Tab daniyyel jiska naam belatshassar bhi tha, ghadi bhar ghabrata raha, aur sochte sochte vyakul ho gaya. Tab raja kahne laga, he belatshassar is swapn se, va iske phal se tu vyakul mat ho. Belatshassar ne kaha, he mere Prabhu, yah swapn tere bairiyon par, aur iska arth tere drohiyon par phale!

20

जिस वृक्ष हो तू ने देखा, जो बड़ा और दृढ़ हो गया, और जिसकी ऊंचाई स्वर्ग तक पहुंची और जो पृथ्वी के सिरे तक दिखाई देता था;

Jis vriksh ho tu ne dekha, jo bada aur dridh ho gaya, aur jiski oonchai swarg tak pahunchi aur jo prithvi ke sire tak dikhai deta tha;

21

जिसके पत्ते सुन्दर और फल बहुत थे, और जिस में सभों के लिये भोजन था; जिसके नीचे मैदान के सब पशु रहते थे, और जिसकी डालियों में आकाश की चिड़ियां बसेरा करती थीं,

Jiske patte sundar aur phal bahut the, aur jis mein sabhon ke liye bhojan tha; jiske neeche maidaan ke sab pashu rahte the, aur jiski daliyon mein aakaash ki chidiyan basera karti thi,

22

हे राजा, वह तू ही है। तू महान और सामर्थी हो गया, तेरी महिमा बढ़ी और स्वर्ग तक पहुंच गई, और तेरी प्रभुता पृथ्वी की छोर तक फैली है।

He raja, vah tu hi hai. Tu mahaan aur samarthi ho gaya, teri mahima badhi aur swarg tak pahunch gai, aur teri prabhuta prithvi ki chhor tak phaili hai.

23

और हे राजा, तू ने जो एक पवित्र पहरूए को स्वर्ग से उतरते और यह कहते देखा कि वृक्ष को काट डालो और उसका नाश करो, तौभी उसके ठूंठ को जड़ समेत भूमि में छोड़ो, और उसको लोहे और पीतल के बन्धन से बान्ध कर मैदान की हरी घास के बीच में रहने दो; वह आकाश की ओस से भीगा करे, और उसको मैदान के पशुओं के संग ही भाग मिले; और जब तक सात युग उस पर बीत न चुकें, तब तक उसकी ऐसी ही दशा रहे।

Aur he raja, tu ne jo ek pavitra pahrooye ko swarg se utarte aur yah kahte dekha ki vriksh ko kaat dalo aur uska naash karo, taubhi uske thoonth ko jad samet bhoomi mein chhodo, aur usko lohe aur peetal ke bandhan se baandh kar maidaan ki hari ghaas ke beech mein rahne do; vah aakaash ki os se bheega kare, aur usko maidaan ke pashuon ke sang hi bhaag mile; aur jab tak saat yug us par beet na chukein, tab tak uski aisi hi dasha rahe.

24

हे राजा, इसका फल जो परमप्रधान ने ठाना है कि राजा पर घटे, वह यह है,

He raja, iska phal jo parmapradhaan ne thana hai ki raja par ghate, vah yah hai,

25

कि तू मनुष्यों के बीच से निकाला जाएगा, और मैदान के पशुओं के संग रहेगा; तू बैलों की नाईं घास चरेगा और आकाश की ओस से भीगा करेगा; और सात युग तुझ पर बीतेंगे, जब तक कि तू न जान ले कि मनुष्यों के राज्य में परमप्रधान ही प्रभुता करता है, और जिसे चाहे वह उसे दे देता है।

Ki tu manushyon ke beech se nikala jayega, aur maidaan ke pashuon ke sang rahega; tu bailon ki nai ghaas charega aur aakaash ki os se bheega karega; aur saat yug tujh par beetenge, jab tak ki tu na jaan le ki manushyon ke rajya mein parmapradhaan hi prabhuta karta hai, aur jise chahe vah use de deta hai.

26

और उस वृक्ष के ठूंठ को जड़ समेत छोड़ने की आज्ञा जो हुई है, इसका अर्थ यह है कि तेरा राज्य तेरे लिये बना रहेगा; और जब तू जान लेगा कि जगत का प्रभु स्वर्ग ही में है, तब तू फिर से राज्य करने पाएगा।

Aur us vriksh ke thoonth ko jad samet chhodne ki aagya jo hui hai, iska arth yah hai ki tera rajya tere liye bana rahega; aur jab tu jaan lega ki jagat ka Prabhu swarg hi mein hai, tab tu phir se rajya karne payega.

27

इस कारण, हे राजा, मेरी यह सम्मति स्वीकार कर, कि यदि तू पाप छोड़ कर धर्म करने लगे, और अधर्म छोड़ कर दीन-हीनों पर दया करने लगे, तो सम्भव है कि ऐसा करने से तेरा चैन बना रहे॥

Is karan, he raja, meri yah sammati sweekaar kar, ki yadi tu paap chhod kar dharm karne lage, aur adharm chhod kar deen-heenon par daya karne lage, to sambhav hai ki aisa karne se tera chain bana rahe.

28

यह सब कुछ नबूकदनेस्सर राजा पर घट गया।

Yah sab kuchh nabookadnessar raja par ghat gaya.

29

बारह महीने बीतने पर जब वह बाबुल के राजभवन की छत पर टहल रहा था, तब वह कहने लगा,

Barah maheene beetne par jab vah babul ke rajabhvan ki chhat par tahal raha tha, tab vah kahne laga,

30

क्या यह बड़ा बाबुल नहीं है, जिसे मैं ही ने अपने बल और सामर्थ से राजनिवास होने को और अपने प्रताप की बड़ाई के लिये बसाया है?

Kya yah bada babul nahi hai, jise main hi ne apne bal aur samarth se rajnivaas hone ko aur apne prataap ki badai ke liye basaya hai?

31

यह वचन राजा के मुंह से निकलने भी न पाया था कि आकाशवाणी हुई, हे राजा नबूकदनेस्सर तेरे विषय में यह आज्ञा निकलती है कि राज्य तेरे हाथ से निकल गया,

Yah vachan raja ke munh se nikalne bhi na paya tha ki aakashvani hui, he raja nabookadnessar tere vishay mein yah aagya nikalti hai ki rajya tere haath se nikal gaya,

32

और तू मनुष्यों के बीच में से निकाला जाएगा, और मैदान के पशुओं के संग रहेगा; और बैलों की नाईं घास चरेगा और सात काल तुझ पर बीतेंगे, जब तक कि तू न जान ले कि परमप्रधान, मनुष्यों के राज्य में प्रभुता करता है और जिसे चाहे वह उसे दे देता है।

Aur tu manushyon ke beech mein se nikala jayega, aur maidaan ke pashuon ke sang rahega; aur bailon ki nai ghaas charega aur saat kaal tujh par beetenge, jab tak ki tu na jaan le ki parmapradhaan, manushyon ke rajya mein prabhuta karta hai aur jise chahe vah use de deta hai.

33

उसी घड़ी यह वचन नबूकदनेस्सर के विषय में पूरा हुआ। वह मनुष्यों में से निकाला गया, और बैलों की नाईं घास चरने लगा, और उसकी देह आकाश की ओस से भीगती थी, यहां तक कि उसके बाल उकाब पक्षियों के परों से और उसके नाखून चिड़ियों के चंगुलों के समान बढ़ गए॥

Usi ghadi yah vachan nabookadnessar ke vishay mein poora huaa. Vah manushyon mein se nikala gaya, aur bailon ki nai ghaas charne laga, aur uski deh aakaash ki os se bheegti thi, yahan tak ki uske baal ukaab pakshiyon ke paron se aur uske nakhoon chidiyon ke changulon ke samaan badh gaye.

34

उन दिनों के बीतने पर, मुझ नबूकदनेस्सर ने अपनी आंखें स्वर्ग की ओर उठाईं, और मेरी बुद्धि फिर ज्यों की त्यों हो गई; तब मैं ने परमप्रधान को धन्य कहा, और जो सदा जीवित है उसकी स्तुति और महिमा यह कह कर करने लगा: उसकी प्रभुता सदा की है और उसका राज्य पीढ़ी से पीढ़ी तब बना रहने वाला है।

Un dinon ke beetne par, mujh nabookadnessar ne apni aankhein swarg ki or uthai, aur meri buddhi phir jyon ki tyon ho gai; tab main ne parmapradhaan ko dhanya kaha, aur jo sada jeevit hai uski stuti aur mahima yah kah kar karne laga: uski prabhuta sada ki hai aur uska rajya peedhi se peedhi tab bana rahne vala hai.

35

पृथ्वी के सब रहने वाले उसके साम्हने तुच्छ गिने जाते हैं, और वह स्वर्ग की सेना और पृथ्वी के रहने वालों के बीच अपनी इच्छा के अनुसार काम करता है; और कोई उसको रोक कर उस से नहीं कह सकता है, तू ने यह क्या किया है?

Prithvi ke sab rahne vale uske samhane tuchchh gine jate hain, aur vah swarg ki sena aur prithvi ke rahne valon ke beech apni ichchha ke anusaar kaam karta hai; aur koi usko rok kar us se nahi kah sakta hai, tu ne yah kya kiya hai?

36

उसी समय, मेरी बुद्धि फिर ज्यों की त्यों हो गई; और मेरे राज्य की महिमा के लिये मेरा प्रताप और मुकुट मुझ पर फिर आ गया। और मेरे मन्त्री और प्रधान लोग मुझ से भेंट करने के लिये आने लगे, और मैं राज्य में स्थिर हो गया; और मेरी और अधिक प्रशंसा होने लगी।

Usi samay, meri buddhi phir jyon ki tyon ho gai; aur mere rajya ki mahima ke liye mera prataap aur mukut mujh par phir aa gaya. Aur mere mantri aur pradhaan log mujh se bhent karne ke liye aane lage, aur main rajya mein sthir ho gaya; aur meri aur adhik prashansa hone lagi.

37

अब मैं नबूकदनेस्सर स्वर्ग के राजा को सराहता हूं, और उसकी स्तुति और महिमा करता हूं क्योंकि उसके सब काम सच्चे, और उसके सब व्यवहार न्याय के हैं; और जो लोग घमण्ड से चलते हैं, उन्हें वह नीचा कर सकता है॥

Ab main nabookadnessar swarg ke raja ko sarahta hoon, aur uski stuti aur mahima karta hoon kyonki uske sab kaam sachche, aur uske sab vyavhaar nyaay ke hain; aur jo log ghamand se chalte hain, unhein vah neecha kar sakta hai.