Daniel 3 · 30 verses

दानिय्येल 3 Daniel 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 3.

1

नबूकदनेस्सर राजा ने सोने की एक मूरत बनवाई, जिनकी ऊंचाई साठ हाथ, और चौड़ाई छ: हाथ की थी। और उसने उसको बाबुल के प्रान्त के दूरा नाम मैदान में खड़ा कराया।

Nabookadnessar raja ne sone ki ek moorat banvai, jinki oonchai saath haath, aur chaudai chha: haath ki thi. Aur usne usko babul ke praant ke doora naam maidaan mein khada karaya.

2

तब नबूकदनेस्सर राजा ने अधिपतियों, हाकिमों, गवर्नरों, जजों, खजांनचियों, न्यायियों, शास्त्रियों, आदि प्रान्त-प्रान्त के सब अधिकारियों को बुलवा भेजा कि वे उस मूरत की प्रतिष्ठा में आएं जो उसने खड़ी कराई थी।

Tab nabookadnessar raja ne adhiptiyon, hakimon, gavarnaron, jajon, khajannchiyon, nyayiyon, shastriyon, aadi praant-praant ke sab adhikariyon ko bulva bheja ki ve us moorat ki pratishtha mein aayen jo usne khadi karai thi.

3

तब अधिपति, हाकिम, गर्वनर, जज, खजांनची, न्यायी, शास्त्री आदि प्रान्त-प्रान्त के सब अधिकारी नबूकदनेस्सर राजा की खड़ी कराई हुई मूरत की प्रतिष्ठा के लिये इकट्ठे हुए, और उस मूरत के साम्हने खड़े हुए।

Tab adhipti, hakim, garvanar, jaj, khajannchi, nyayi, shastri aadi praant-praant ke sab adhikari nabookadnessar raja ki khadi karai hui moorat ki pratishtha ke liye ikatthe hue, aur us moorat ke samhane khade hue.

4

तब ढिंढोरिये ने ऊंचे शब्द से पुकार कर कहा, हे देश-देश और जाति-जाति के लोगों, और भिन्न भिन्न भाषा बोलने वालो, तुम को यह आज्ञा सुनाई जाती है कि,

Tab dhindhoriye ne oonche shabd se pukaar kar kaha, he desh-desh aur jati-jati ke logon, aur bhinn bhinn bhasha bolne valo, tum ko yah aagya sunai jati hai ki,

5

जिस समय तुम नरसिंगे, बांसुली, वीणा, सारंगी, सितार, शहनाई आदि सब प्रकार के बाजों का शब्द सुनो, तुम उसी समय गिर कर नबूकदनेस्सर राजा की खड़ी कराई हुए सोने की मूरत को दण्डवत करो।

Jis samay tum narsinge, bansuli, veena, sarangi, sitaar, shahnai aadi sab prakaar ke bajon ka shabd suno, tum usi samay gir kar nabookadnessar raja ki khadi karai hue sone ki moorat ko dandavat karo.

6

और जो कोई गिरकर दण्डवत न करेगा वह उसी घड़ी धधकते हुए भट्ठे के बीच में डाल दिया जाएगा।

Aur jo koi girkar dandavat na karega vah usi ghadi dhadhakte hue bhatthe ke beech mein daal diya jayega.

7

इस कारण उस समय ज्योंही सब जाति के लोगों को नरसिंगे, बांसुली, वीणा, सारंगी, सितार शहनाई आदि सब प्रकार के बाजों का शब्द सुन पड़ा, त्योंही देश-देश और जाति-जाति के लोगों और भिन्न-भिन्न भाषा बोलने वालों ने गिर कर उस सोने की मूरत को जो नबूकदनेस्सर राजा ने खड़ी कराई थी, दण्डवत की॥

Is karan us samay jyonhi sab jati ke logon ko narsinge, bansuli, veena, sarangi, sitaar shahnai aadi sab prakaar ke bajon ka shabd sun pada, tyonhi desh-desh aur jati-jati ke logon aur bhinn-bhinn bhasha bolne valon ne gir kar us sone ki moorat ko jo nabookadnessar raja ne khadi karai thi, dandavat ki.

8

उसी समय कई एक कसदी पुरूष राजा के पास गए, और कपट से यहूदियों की चुगली खाई।

Usi samay kai ek kasdi puroosh raja ke paas gaye, aur kapat se Yahudiyon ki chugli khai.

9

वे नबूकदनेस्सर राजा से कहने लगे, हे राजा, तू चिरंजीव रहे।

Ve nabookadnessar raja se kahne lage, he raja, tu chiranjeev rahe.

10

हे राजा, तू ने तो यह आज्ञा दी है कि जो मनुष्य नरसिंगे, बांसुली, वीणा, सारंगी, सितार, शहनाई आदि सब प्रकार के बाजों का शब्द सुने, वह गिर कर उस सोने की मूरत को दण्डवत करे;

He raja, tu ne to yah aagya di hai ki jo manushya narsinge, bansuli, veena, sarangi, sitaar, shahnai aadi sab prakaar ke bajon ka shabd sune, vah gir kar us sone ki moorat ko dandavat kare;

11

और जो कोई गिर कर दण्डवत न करे वह धधकते हुए भट्ठे के बीच में डाल दिया जाए।

Aur jo koi gir kar dandavat na kare vah dhadhakte hue bhatthe ke beech mein daal diya jaye.

12

देख, शद्रक, मेशक, और अबेदनगो नाम कुछ यहूदी पुरूष हैं, जिन्हें तू ने बाबुल के प्रान्त के कार्य के ऊपर नियुक्त किया है। उन पुरूषों ने, हे राजा, तेरी आज्ञा की कुछ चिन्ता नहीं की; वे तेरे देवता की उपासना नहीं करते, और जो सोने की मूरत तू ने खड़ी कराई है, उसको दण्डवत नहीं करते॥

Dekh, shadrak, meshak, aur abedango naam kuchh Yahudi puroosh hain, jinhein tu ne babul ke praant ke karya ke oopar niyukt kiya hai. Un purooshon ne, he raja, teri aagya ki kuchh chinta nahi ki; ve tere devta ki upasna nahi karte, aur jo sone ki moorat tu ne khadi karai hai, usko dandavat nahi karte.

13

तब नबूकदनेस्सर ने रोष और जलजलाहट में आकर आज्ञा दी कि शद्रक मेशक और अबेदनगो को लाओ। तब वे पुरूष राजा के साम्हने हाजिर किए गए।

Tab nabookadnessar ne rosh aur jalajlahat mein aakar aagya di ki shadrak meshak aur abedango ko lao. Tab ve puroosh raja ke samhane hajir kiye gaye.

14

नबूकदनेस्सर ने उन से पूछा, हे शद्रक, मेशक और अबेदनगो, तुम लोग जो मेरे देवता की उपासना नहीं करते, और मेरी खड़ी कराई हुई सोने की मूरत को दण्डवत नहीं करते, सो क्या तुम जान बूझकर ऐसा करते हो?

Nabookadnessar ne un se poochha, he shadrak, meshak aur abedango, tum log jo mere devta ki upasna nahi karte, aur meri khadi karai hui sone ki moorat ko dandavat nahi karte, so kya tum jaan boojhkar aisa karte ho?

15

यदि तुम अभी तैयार हो, कि जब नरसिंगे, बांसुली, वीणा, सारंगी, सितार, शहनाई आदि सब प्रकार के बाजों का शब्द सुनो, और उसी क्षण गिर कर मेरी बनवाई हुई मूरत को दण्डवत करो, तो बचोगे; और यदि तुम दण्डवत ने करो तो इसी घड़ी धधकते हुए भट्ठे के बीच में डाले जाओगे; फिर ऐसा कौन देवता है, जो तुम को मेरे हाथ से छुड़ा सके?

Yadi tum abhi taiyaar ho, ki jab narsinge, bansuli, veena, sarangi, sitaar, shahnai aadi sab prakaar ke bajon ka shabd suno, aur usi kshan gir kar meri banvai hui moorat ko dandavat karo, to bachoge; aur yadi tum dandavat ne karo to isi ghadi dhadhakte hue bhatthe ke beech mein dale jaoge; phir aisa kaun devta hai, jo tum ko mere haath se chhuda sake?

16

शद्रक, मेशक और अबेदनगो ने राजा से कहा, हे नबूकदनेस्सर, इस विषय में तुझे उत्तर देने का हमें कुछ प्रयोजन नहीं जान पड़ता।

Shadrak, meshak aur abedango ne raja se kaha, he nabookadnessar, is vishay mein tujhe uttar dene ka hamein kuchh prayojan nahi jaan padta.

17

हमारा परमेश्वर, जिसकी हम उपासना करते हैं वह हम को उस धधकते हुए भट्टे की आग से बचाने की शक्ति रखता है; वरन हे राजा, वह हमें तेरे हाथ से भी छुड़ा सकता है।

Hamara Parmeshwar, jiski ham upasna karte hain vah ham ko us dhadhakte hue bhatte ki aag se bachane ki shakti rakhta hai; varan he raja, vah hamein tere haath se bhi chhuda sakta hai.

18

परन्तु, यदि नहीं, तो हे राजा तुझे मालूम हो, कि हम लोग तेरे देवता की उपासना नहीं करेंगे, और न तेरी खड़ी कराई हुई सोने की मूरत को दण्डवत करेंगे॥

Parantu, yadi nahi, to he raja tujhe maloom ho, ki ham log tere devta ki upasna nahi karenge, aur na teri khadi karai hui sone ki moorat ko dandavat karenge.

19

तब नबूकदनेस्सर झुंझला उठा, और उसके चेहरे का रंग शद्रक, मेशक और अबेदनगो की ओर बदल गया। और उसने आज्ञा दी कि भट्ठे को सातगुणा अधिक धधका दो।

Tab nabookadnessar jhunjhla utha, aur uske chehre ka rang shadrak, meshak aur abedango ki or badal gaya. Aur usne aagya di ki bhatthe ko satguna adhik dhadhka do.

20

फिर अपनी सेना में के कई एक बलवान् पुरूषों को उसने आज्ञा दी, कि शद्रक, मेशक और अबेदनगो को बान्धकर उन्हें धधकते हुए भट्ठे में डाल दो।

Phir apni sena mein ke kai ek balvaan purooshon ko usne aagya di, ki shadrak, meshak aur abedango ko bandhakar unhein dhadhakte hue bhatthe mein daal do.

21

तब वे पुरूष अपने मोजों, अंगरखों, बागों और और वस्त्रों सहित बान्धकर, उस धधकते हुए भट्ठे में डाल दिए गए।

Tab ve puroosh apne mojon, angarkhon, bagon aur aur vastron sahit bandhakar, us dhadhakte hue bhatthe mein daal diye gaye.

22

वह भट्ठा तो राजा की दृढ़ आज्ञा होने के कारण अत्यन्त धधकाया गया था, इस कारण जिन पुरूषों ने शद्रक, मेशक और अबेदनगो को उठाया वे ही आग की आंच से जल मरे।

Vah bhattha to raja ki dridh aagya hone ke karan atyant dhadhkaya gaya tha, is karan jin purooshon ne shadrak, meshak aur abedango ko uthaya ve hi aag ki aanch se jal mare.

23

और उसी धधकते हुए भट्ठे के बीच ये तीनों पुरूष, शद्रक, मेशक और अबेदनगो, बन्धे हुए फेंक दिए गए॥

Aur usi dhadhakte hue bhatthe ke beech ye teenon puroosh, shadrak, meshak aur abedango, bandhe hue phenk diye gaye.

24

तब नबूकदनेस्सर राजा अचम्भित हुआ और घबरा कर उठ खड़ा हुआ। और अपने मन्त्रियों से पूछने लगा, क्या हम ने उस आग के बीच तीन ही पुरूष बन्धे हुए नहीं डलवाए? उन्होंने राजा को उत्तर दिया, हां राजा, सच बात तो है।

Tab nabookadnessar raja achambhit huaa aur ghabra kar uth khada huaa. Aur apne mantriyon se poochhne laga, kya ham ne us aag ke beech teen hi puroosh bandhe hue nahi dalvaye? Unhonne raja ko uttar diya, han raja, sach baat to hai.

25

फिर उसने कहा, अब मैं देखता हूं कि चार पुरूष आग के बीच खुले हुए टहल रहे हैं, और उन को कुछ भी हानि नहीं पहुंची; और चौथे पुरूष का स्वरूप ईश्वर के पुत्र के सदृश्य है॥

Phir usne kaha, ab main dekhta hoon ki chaar puroosh aag ke beech khule hue tahal rahe hain, aur un ko kuchh bhi hani nahi pahunchi; aur chauthe puroosh ka swaroop ishwar ke putra ke sadrishya hai.

26

फिर नबूकदनेस्सर उस धधकते हुए भट्ठे के द्वार के पास जा कर कहने लगा, हे शद्रक, मेशक और अबेदनगो, हे परमप्रधान परमेश्वर के दासो, निकल कर यहां आओ! यह सुन कर शद्रक, मेशक और अबेदनगो आग के बीच से निकल आए।

Phir nabookadnessar us dhadhakte hue bhatthe ke dwaar ke paas ja kar kahne laga, he shadrak, meshak aur abedango, he parmapradhaan Parmeshwar ke daso, nikal kar yahan aao! Yah sun kar shadrak, meshak aur abedango aag ke beech se nikal aaye.

27

जब अधिपति, हाकिम, गर्वनर और राजा के मन्त्रियों ने, जो इकट्ठे हुए थे, उन पुरूषों की ओर देखा, तब उनकी देह में आग का कुछ भी प्रभाव नहीं पाया; और उनके सिर का एक बाल भी न झुलसा, न उनके मोजे कुछ बिगड़े, न उन में जलने की कुछ गन्ध पाई गई।

Jab adhipti, hakim, garvanar aur raja ke mantriyon ne, jo ikatthe hue the, un purooshon ki or dekha, tab unki deh mein aag ka kuchh bhi prabhaav nahi paya; aur unke sir ka ek baal bhi na jhulsa, na unke moje kuchh bigde, na un mein jalne ki kuchh gandh pai gai.

28

नबूकदनेस्सर कहने लगा, धन्य है शद्रक, मेशक और अबेदनगो का परमेश्वर, जिसने अपना दूत भेज कर अपने इन दासों को इसलिये बचाया, क्योंकि इन्होंने राजा की आज्ञा न मान कर, उसी पर भरोसा रखा, और यह सोच कर अपना शरीर भी अर्पण किया, कि हम अपने परमेश्वर को छोड़, किसी देवता की उपासना वा दण्डवत न करेंगे।

Nabookadnessar kahne laga, dhanya hai shadrak, meshak aur abedango ka Parmeshwar, jisne apna doot bhej kar apne in dason ko isliye bachaya, kyonki inhonne raja ki aagya na maan kar, usi par bharosa rakha, aur yah soch kar apna shareer bhi arpan kiya, ki ham apne Parmeshwar ko chhod, kisi devta ki upasna va dandavat na karenge.

29

इसलिये अब मैं यह आज्ञा देता हूं कि देश-देश और जाति-जाति के लोगों, और भिन्न-भिन्न भाषा बोलने वालों में से जो कोई शद्रक, मेशक और अबेदनगो के परमेश्वर की कुछ निन्दा करेगा, वह टुकड़े टुकड़े किया जाएगा, और उसका घर घूरा बनाया जाएगा; क्योंकि ऐसा कोई और देवता नहीं जो इस रीति से बचा सके।

Isliye ab main yah aagya deta hoon ki desh-desh aur jati-jati ke logon, aur bhinn-bhinn bhasha bolne valon mein se jo koi shadrak, meshak aur abedango ke Parmeshwar ki kuchh ninda karega, vah tukde tukde kiya jayega, aur uska ghar ghoora banaya jayega; kyonki aisa koi aur devta nahi jo is reeti se bacha sake.

30

तब राजा ने बाबुल के प्रान्त में शद्रक, मेशक, अबेदनगो का पद और ऊंचा किया॥

Tab raja ne babul ke praant mein shadrak, meshak, abedango ka pad aur ooncha kiya.