Daniel 2 · 49 verses

दानिय्येल 2 Daniel 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 2.

1

अपने राज्य के दूसरे वर्ष में नबूकदनेस्सर ने ऐसा स्वप्न देखा जिस से उसका मन बहुत ही व्याकुल हो गया और उसको नींद न आई।

Apne rajya ke doosre varsh mein nabookadnessar ne aisa swapn dekha jis se uska man bahut hi vyakul ho gaya aur usko neend na aai.

2

तब राजा ने आज्ञा दी, कि ज्योतिषी, तन्त्री, टोनहे और कसदी बुलाए जाएं कि वे राजा को उसका स्वप्न बताएं; सो वे आए और राजा के साम्हने हाजिर हुए।

Tab raja ne aagya di, ki jyotishi, tantri, tonhe aur kasdi bulaye jayen ki ve raja ko uska swapn batayen; so ve aaye aur raja ke samhane hajir hue.

3

तब राजा ने उन से कहा, मैं ने एक स्वप्न देखा है, और मेरा मन व्याकुल है कि स्वपन को कैसे समझूं।

Tab raja ne un se kaha, main ne ek swapn dekha hai, aur mera man vyakul hai ki swapan ko kaise samjhun.

4

कसदियों ने, राजा से अरामी भाषा में कहा, हे राजा, तू चिरंजीव रहे! अपने दासों को स्वप्न बता, और हम उसका फल बताएंगे।

Kasdiyon ne, raja se arami bhasha mein kaha, he raja, tu chiranjeev rahe! Apne dason ko swapn bata, aur ham uska phal batayenge.

5

राजा ने कसदियों को उत्तर दिया, मैं यह आज्ञा दे चुका हूं कि यदि तुम फल समेत स्वप्न को न बताओगे तो तुम टुकड़े टुकड़े किए जाओगे, और तुम्हारे घर फुंकवा दिए जाएंगे।

Raja ne kasdiyon ko uttar diya, main yah aagya de chuka hoon ki yadi tum phal samet swapn ko na bataoge to tum tukde tukde kiye jaoge, aur tumhare ghar phunkva diye jayenge.

6

और यदि तुम फल समेत स्वप्न को बता दो तो मुझ से भांति भांति के दान और भारी प्रतिष्ठा पाओगे।

Aur yadi tum phal samet swapn ko bata do to mujh se bhanti bhanti ke daan aur bhari pratishtha paoge.

7

इसलिये तुम मुझे फल समेत स्वप्न बाताओ। उन्होंने दूसरी बार कहा, हे राजा स्वप्न तेरे दासों को बताया जाए, और हम उसका फल समझा देंगे।

Isliye tum mujhe phal samet swapn batao. Unhonne doosri baar kaha, he raja swapn tere dason ko bataya jaye, aur ham uska phal samjha denge.

8

राजा ने उत्तर दिया, मैं निश्चय जानता हूं कि तुम यह देख कर, कि राजा के मुंह से आज्ञा निकल चुकी है, समय बढ़ाना चाहते हो।

Raja ne uttar diya, main nishchay janta hoon ki tum yah dekh kar, ki raja ke munh se aagya nikal chuki hai, samay badhana chahte ho.

9

इसलिये यदि तुम मुझे स्वप्न न बताओ तो तुम्हारे लिये एक ही आज्ञा है। क्योंकि तुम ने गोष्ठी की होगी कि जब तक समय न बदले, तब तक हम राजा के साम्हने झूठी और गपशप की बातें कहा करेंगे। इसलिये तुम मुझे स्वप्न को बताओ, तब मैं जानूंगा कि तुम उसका फल भी समझा सकते हो।

Isliye yadi tum mujhe swapn na batao to tumhare liye ek hi aagya hai. Kyonki tum ne goshthi ki hogi ki jab tak samay na badle, tab tak ham raja ke samhane jhoothi aur gapshap ki batein kaha karenge. Isliye tum mujhe swapn ko batao, tab main janoonga ki tum uska phal bhi samjha sakte ho.

10

कसदियों ने राजा से कहा, पृथ्वी भर में ऐसा कोई मनुष्य नहीं जो राजा के मन की बात बता सके; और न कोई ऐसा राजा, वा प्रधान, वा हाकिम कभी हुआ है जिसने किसी ज्योतिषी वा तन्त्री, वा कसदी से ऐसी बात पूछी हो।

Kasdiyon ne raja se kaha, prithvi bhar mein aisa koi manushya nahi jo raja ke man ki baat bata sake; aur na koi aisa raja, va pradhaan, va hakim kabhi huaa hai jisne kisi jyotishi va tantri, va kasdi se aisi baat poochhi ho.

11

जो बात राजा पूछता है, वह अनोखी है, और देवताओं को छोड़ कर जिनका निवास मनुष्यों के संग नहीं है, और कोई दूसरा नहीं, जो राजा को यह बता सके॥

Jo baat raja poochhta hai, vah anokhi hai, aur devtaon ko chhod kar jinka nivaas manushyon ke sang nahi hai, aur koi doosra nahi, jo raja ko yah bata sake.

12

इस पर राजा ने झुंझलाकर, और बहुत की क्रोधित हो कर, बाबुल के सब पण्डितों के नाश करने की आज्ञा दे दी।

Is par raja ne jhunjhlakar, aur bahut ki krodhit ho kar, babul ke sab panditon ke naash karne ki aagya de di.

13

सो यह आज्ञा निकली, और पण्डित लोगों का घात होने पर था; और लोग दानिय्येल और उसके संगियों को ढूंढ़ रहे थे कि वे भी घात किए जाएं।

So yah aagya nikli, aur pandit logon ka ghaat hone par tha; aur log daniyyel aur uske sangiyon ko dhoondh rahe the ki ve bhi ghaat kiye jayen.

14

तब दानिय्येल ने, जल्लादों के प्रधान अर्योक से, जो बाबुल के पण्डितों को घात करने के लिये निकला था, सोच विचार कर और बुद्धिमानी के साथ कहा;

Tab daniyyel ne, jalladon ke pradhaan aryok se, jo babul ke panditon ko ghaat karne ke liye nikla tha, soch vichaar kar aur buddhimani ke saath kaha;

15

और राजा के हाकिम अर्योक से पूछने लगा, यह आज्ञा राजा की ओर से ऐसी उतावली के साथ क्यों निकली? तब अर्योक ने दानिय्येल को इसका भेद बता दिया।

Aur raja ke hakim aryok se poochhne laga, yah aagya raja ki or se aisi utavli ke saath kyon nikli? Tab aryok ne daniyyel ko iska bhed bata diya.

16

और दानिय्येल ने भीतर जा कर राजा से बिनती की, कि उसके लिये कोई समय ठहराया जाए, तो वह महाराज को स्वप्न का फल बता देगा।

Aur daniyyel ne bheetar ja kar raja se binti ki, ki uske liye koi samay thahraya jaye, to vah maharaaj ko swapn ka phal bata dega.

17

तब दानिय्येल ने अपने घर जा कर, अपने संगी हनन्याह, मीशाएल, और अजर्याह को यह हाल बता कर कहा,

Tab daniyyel ne apne ghar ja kar, apne sangi hananyaah, meeshayel, aur ajaryaah ko yah haal bata kar kaha,

18

इस भेद के विषय में स्वर्ग के परमेश्वर की दया के लिये यह कह कर प्रार्थना करो, कि बाबुल के और सब पण्डितों के संग दानिय्येल और उसके संगी भी नाश न किए जाएं।

Is bhed ke vishay mein swarg ke Parmeshwar ki daya ke liye yah kah kar prarthana karo, ki babul ke aur sab panditon ke sang daniyyel aur uske sangi bhi naash na kiye jayen.

19

तब वह भेद दानिय्येल को रात के समय दर्शन के द्वारा प्रगट किया गया। सो दानिय्येल ने स्वर्ग के परमेश्वर का यह कह कर धन्यवाद किया,

Tab vah bhed daniyyel ko raat ke samay darshan ke dwara pragat kiya gaya. So daniyyel ne swarg ke Parmeshwar ka yah kah kar dhanyavaad kiya,

20

परमेश्वर का नाम युगानुयुग धन्य है; क्योंकि बुद्धि और पराक्रम उसी के हैं।

Parmeshwar ka naam yuganuyug dhanya hai; kyonki buddhi aur parakram usi ke hain.

21

समयों और ऋतुओं को वही पलटता है; राजाओं का अस्त और उदय भी वही करता है; बुद्धिमानों को बुद्धि और समझ वालों को समझ भी वही देता है;

Samyon aur rituon ko vahi palatta hai; rajaon ka ast aur uday bhi vahi karta hai; buddhimanon ko buddhi aur samajh valon ko samajh bhi vahi deta hai;

22

वही गूढ़ और गुप्त बातों को प्रगट करता है; वह जानता है कि अन्धियारे में क्या है, और उसके संग सदा प्रकाश बना रहता है।

Vahi goodh aur gupt baton ko pragat karta hai; vah janta hai ki andhiyare mein kya hai, aur uske sang sada prakaash bana rahta hai.

23

हे मेरे पूर्वजों के परमेश्वर, मैं तेरा धन्यवाद और स्तुति करता हूं, क्योंकि तू ने मुझे बुद्धि और शक्ति दी है, और जिस भेद का खुलना हम लोगों न तुझ से मांगे था, उसे तू ने मुझ पर प्रगट किया है, तू ने हम को राजा की बात बताई है।

He mere poorvajon ke Parmeshwar, main tera dhanyavaad aur stuti karta hoon, kyonki tu ne mujhe buddhi aur shakti di hai, aur jis bhed ka khulna ham logon na tujh se mange tha, use tu ne mujh par pragat kiya hai, tu ne ham ko raja ki baat batai hai.

24

तब दानिय्येल ने अर्योक के पास, जिसे राजा ने बाबुल के पण्डितों के नाश करने के लिये ठहराया था, भीतर जा कर कहा, बाबुल के पण्डितों का नाश न कर, मुझे राजा के सम्मुख भीतर ले चल, मैं फल बताऊंगा॥

Tab daniyyel ne aryok ke paas, jise raja ne babul ke panditon ke naash karne ke liye thahraya tha, bheetar ja kar kaha, babul ke panditon ka naash na kar, mujhe raja ke sammukh bheetar le chal, main phal bataoonga.

25

तब अर्योक ने दानिय्येल को राजा के सम्मुख शीघ्र भीतर ले जा कर उस से कहा, यहूदी बंधुओं में से एक पुरूष मुझ को मिला है, जो राजा को स्वप्न का फल बताएगा।

Tab aryok ne daniyyel ko raja ke sammukh sheeghra bheetar le ja kar us se kaha, Yahudi bandhuon mein se ek puroosh mujh ko mila hai, jo raja ko swapn ka phal batayega.

26

राजा ने दानिय्येल से, जिसका नाम बेलतशस्सर भी था, पूछा, क्या तुझ में इतनी शक्ति है कि जो स्वप्न मैं ने देखा है, उसे फल समेत मुझे बताए?

Raja ne daniyyel se, jiska naam belatshassar bhi tha, poochha, kya tujh mein itni shakti hai ki jo swapn main ne dekha hai, use phal samet mujhe bataye?

27

दानिय्येल ने राजा का उत्तर दिया, जो भेद राजा पूछता है, वह न तो पण्डित न तन्त्री, न ज्योतिषी, न दूसरे भावी बताने वाले राजा को बता सकते हैं,

Daniyyel ne raja ka uttar diya, jo bhed raja poochhta hai, vah na to pandit na tantri, na jyotishi, na doosre bhavi batane vale raja ko bata sakte hain,

28

परन्तु भेदों का प्रगटकर्त्ता परमेश्वर स्वर्ग में है; और उसी ने नबूकदनेस्सर राजा को जताया है कि अन्त के दिनों में क्या क्या होने वाला है। तेरा स्वपन और जो कुछ तू ने पलंग पर पड़े हुए देखा, वह यह है:

Parantu bhedon ka pragatkartta Parmeshwar swarg mein hai; aur usi ne nabookadnessar raja ko jataya hai ki ant ke dinon mein kya kya hone vala hai. Tera swapan aur jo kuchh tu ne palang par pade hue dekha, vah yah hai:

29

हे राजा, जब तुझ को पलंग पर यह विचार हुआ कि भविष्य में क्या क्या होने वाला है, तब भेदों को खोलने वाले ने तुझ को बताया, कि क्या क्या होने वाला है।

He raja, jab tujh ko palang par yah vichaar huaa ki bhavishya mein kya kya hone vala hai, tab bhedon ko kholne vale ne tujh ko bataya, ki kya kya hone vala hai.

30

मुझ पर यह भेद इस कारण नहीं खोला गया कि मैं और सब प्राणियों से अधिक बुद्धिमान हूं, परन्तु केवल इसी कारण खोला गया है कि स्वपन का फल राजा को बताया जाए, और तू अपने मन के विचार समझ सके॥

Mujh par yah bhed is karan nahi khola gaya ki main aur sab praniyon se adhik buddhimaan hoon, parantu keval isi karan khola gaya hai ki swapan ka phal raja ko bataya jaye, aur tu apne man ke vichaar samajh sake.

31

हे राजा, जब तू देख रहा था, तब एक बड़ी मूर्ति देख पड़ी, और वह मूर्ति जो तेरे साम्हने खड़ी थी, सो लम्बी चौड़ी थी; उसकी चमक अनुपम थी, और उसका रूप भयंकर था।

He raja, jab tu dekh raha tha, tab ek badi moorti dekh padi, aur vah moorti jo tere samhane khadi thi, so lambi chaudi thi; uski chamak anupam thi, aur uska roop bhayankar tha.

32

उस मूर्ति का सिर तो चोखे सोने का था, उसकी छाती और भुजाएं चान्दी की, उसका पेट और जांघे पीतल की,

Us moorti ka sir to chokhe sone ka tha, uski chhati aur bhujayen chandi ki, uska pet aur janghe peetal ki,

33

उसकी टांगे लोहे की और उसके पांव कुछ तो लोहे के और कुछ मिट्टी के थे।

Uski tange lohe ki aur uske paanv kuchh to lohe ke aur kuchh mitti ke the.

34

फिर देखते देखते, तू ने क्या देखा, कि एक पत्थर ने, बिना किसी के खोदे, आप ही आप उखड़ कर उस मूर्ति के पांवों पर लगकर जो लोहे और मिट्टी के थे, उन को चूर चूर कर डाला।

Phir dekhte dekhte, tu ne kya dekha, ki ek patthar ne, bina kisi ke khode, aap hi aap ukhad kar us moorti ke panvon par lagkar jo lohe aur mitti ke the, un ko choor choor kar dala.

35

तब लोहा, मिट्टी, पीतल, चान्दी और सोना भी सब चूर चूर हो गए, और धूपकाल में खलिहानों के भूसे की नाईं हवा से ऐसे उड़ गए कि उनका कहीं पता न रहा; और वह पत्थर जो मूर्ति पर लगा था, वह बड़ा पहाड़ बन कर सारी पृथ्वी में फैल गया॥

Tab loha, mitti, peetal, chandi aur sona bhi sab choor choor ho gaye, aur dhoopkaal mein khalihanon ke bhoose ki nai hava se aise ud gaye ki unka kahi pata na raha; aur vah patthar jo moorti par laga tha, vah bada pahaad ban kar sari prithvi mein phail gaya.

36

स्वपन तो यों ही हुआ; और अब हम उसका फल राजा को समझा देते हैं।

Swapan to yon hi huaa; aur ab ham uska phal raja ko samjha dete hain.

37

हे राजा, तू तो महाराजाधिराज है, क्योंकि स्वर्ग के परमेश्वर ने तुझ को राज्य, सामर्थ, शक्ति और महिमा दी है,

He raja, tu to maharajadhiraaj hai, kyonki swarg ke Parmeshwar ne tujh ko rajya, samarth, shakti aur mahima di hai,

38

और जहां कहीं मनुष्य पाए जाते हैं, वहां उसने उन सभों को, और मैदान के जीवजन्तु, और आकाश के पक्षी भी तेरे वश में कर दिए हैं; और तुझ को उन सब का अधिकारी ठहराया है। यह सोने का सिर तू ही है।

Aur jahan kahi manushya paye jate hain, vahan usne un sabhon ko, aur maidaan ke jeevjantu, aur aakaash ke pakshi bhi tere vash mein kar diye hain; aur tujh ko un sab ka adhikari thahraya hai. Yah sone ka sir tu hi hai.

39

तेरे बाद एक राज्य और उदय होगा जो तुझ से छोटा होगा; फिर एक और तीसरा पीतल का सा राज्य होगा जिस में सारी पृथ्वी आ जाएगी।

Tere baad ek rajya aur uday hoga jo tujh se chhota hoga; phir ek aur teesra peetal ka sa rajya hoga jis mein sari prithvi aa jayegi.

40

और चौथा राज्य लोहे के तुल्य मजबूत होगा; लोहे से तो सब वस्तुएं चूर चूर हो जाती और पिस जाती हैं; इसलिये जिस भांति लोहे से वे सब कुचली जाती हैं, उसी भांति, उस चौथे राज्य से सब कुछ चूर चूर हो कर पिस जाएगा।

Aur chautha rajya lohe ke tulya majboot hoga; lohe se to sab vastuein choor choor ho jati aur pis jati hain; isliye jis bhanti lohe se ve sab kuchli jati hain, usi bhanti, us chauthe rajya se sab kuchh choor choor ho kar pis jayega.

41

और तू ने जो मूर्ति के पांवों और उनकी उंगलियों को देखा, जो कुछ कुम्हार की मिट्टी की और कुछ लोहे की थीं, इस से वह चौथा राज्य बटा हुआ होगा; तौभी उस में लोहे का सा कड़ापन रहेगा, जैसे कि तू ने कुम्हार की मिट्टी के संग लोहा भी मिला हुआ देखा था।

Aur tu ne jo moorti ke panvon aur unki ungliyon ko dekha, jo kuchh kumhaar ki mitti ki aur kuchh lohe ki thi, is se vah chautha rajya bata huaa hoga; taubhi us mein lohe ka sa kadapan rahega, jaise ki tu ne kumhaar ki mitti ke sang loha bhi mila huaa dekha tha.

42

और जैसे पांवों की उंगलियां कुछ तो लोहे की और कुछ मिट्टी की थीं, इसका अर्थ यह है, कि वह राज्य कुछ तो दृढ़ और कुछ निर्बल होगा।

Aur jaise panvon ki ungliyan kuchh to lohe ki aur kuchh mitti ki thi, iska arth yah hai, ki vah rajya kuchh to dridh aur kuchh nirbal hoga.

43

और तू ने जो लोहे को कुम्हार की मिट्टी के संग मिला हुआ देखा, इसका अर्थ यह है, कि उस राज्य के लोग एक दूसरे मनुष्यों से मिले जुले तो रहेंगे, परन्तु जैसे लोहा मिट्टी के साथ मेल नहीं खाता, वैसे ही वे भी एक न बने रहेंगे।

Aur tu ne jo lohe ko kumhaar ki mitti ke sang mila huaa dekha, iska arth yah hai, ki us rajya ke log ek doosre manushyon se mile jule to rahenge, parantu jaise loha mitti ke saath mel nahi khata, vaise hi ve bhi ek na bane rahenge.

44

और उन राजाओं के दिनों में स्वर्ग का परमेश्वर, एक ऐसा राज्य उदय करेगा जो अनन्तकाल तक न टूटेगा, और न वह किसी दूसरी जाति के हाथ में किया जाएगा। वरन वह उन सब राज्यों को चूर चूर करेगा, और उनका अन्त कर डालेगा; और वह सदा स्थिर रहेगा;

Aur un rajaon ke dinon mein swarg ka Parmeshwar, ek aisa rajya uday karega jo anantakaal tak na tootega, aur na vah kisi doosri jati ke haath mein kiya jayega. Varan vah un sab rajyon ko choor choor karega, aur unka ant kar dalega; aur vah sada sthir rahega;

45

जैसा तू ने देखा कि एक पत्थर किसी के हाथ के बिन खोदे पहाड़ में से उखड़ा, और उसने लोहे, पीतल, मिट्टी, चान्दी, और सोने को चूर चूर किया, इसी रीति महान् परमेश्वर ने राजा को जताया है कि इसके बाद क्या क्या होने वाला है। न स्वप्न में और न उसके फल में कुछ सन्देह है॥

Jaisa tu ne dekha ki ek patthar kisi ke haath ke bin khode pahaad mein se ukhda, aur usne lohe, peetal, mitti, chandi, aur sone ko choor choor kiya, isi reeti mahaan Parmeshwar ne raja ko jataya hai ki iske baad kya kya hone vala hai. Na swapn mein aur na uske phal mein kuchh sandeh hai.

46

इतना सुनकर नबूकदनेस्सर राजा ने मुंह के बल गिर कर दानिय्येल को दण्डवत की, और आज्ञा दी कि उसको भेंट चढ़ाओ, और उसके साम्हने सुगन्ध वस्तु जलाओ।

Itna sunkar nabookadnessar raja ne munh ke bal gir kar daniyyel ko dandavat ki, aur aagya di ki usko bhent chadhao, aur uske samhane sugandh vastu jalao.

47

फिर राजा ने दानिय्येल से कहा, सच तो यह है कि तुम लोगों का परमेश्वर, सब ईश्वरों का ईश्वर, राजाओं का राजा और भेदों का खोलने वाला है, इसलिये तू यह भेद प्रगट कर पाया।

Phir raja ne daniyyel se kaha, sach to yah hai ki tum logon ka Parmeshwar, sab ishwaron ka ishwar, rajaon ka raja aur bhedon ka kholne vala hai, isliye tu yah bhed pragat kar paya.

48

तब राजा ने दानिय्येल का पद बड़ा किया, और उसको बहुत से बड़े बड़े दान दिए; और यह आज्ञा दी कि वह बाबुल के सारे प्रान्त पर हाकिम और बाबुल के सब पण्डितों पर मुख्य प्रधान बने।

Tab raja ne daniyyel ka pad bada kiya, aur usko bahut se bade bade daan diye; aur yah aagya di ki vah babul ke sare praant par hakim aur babul ke sab panditon par mukhya pradhaan bane.

49

तब दानिय्येल के बिनती करने से राजा ने शद्रक, मेशक, और अबेदनगो को बाबुल के प्रान्त के कार्य के ऊपर नियुक्त कर दिया; परन्तु दानिय्येल आप ही राजा के दरबार में रहा करता था॥

Tab daniyyel ke binti karne se raja ne shadrak, meshak, aur abedango ko babul ke praant ke karya ke oopar niyukt kar diya; parantu daniyyel aap hi raja ke darbaar mein raha karta tha.