Daniel 11 · 45 verses

दानिय्येल 11 Daniel 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 11.

1

और दारा नाम मादी राजा के राज्य के पहिले वर्ष में उसको हियाव दिलाने और बल देने के लिये मैं खड़ा हो गया॥

Aur dara naam madi raja ke rajya ke pahile varsh mein usko hiyaav dilane aur bal dene ke liye main khada ho gaya.

2

और अब मैं तुझ को सच्ची बात बताता हूं। देख, फारस के राज्य में अब तीन और राजा उठेंगे; और चौथा राजा उन सभों से अधिक धनी होगा; और जब वह धन के कारण सामर्थी होगा, तब सब लोगों को यूनान के राज्य के विरुद्ध उभारेगा।

Aur ab main tujh ko sachchi baat batata hoon. Dekh, pharas ke rajya mein ab teen aur raja uthenge; aur chautha raja un sabhon se adhik dhani hoga; aur jab vah dhan ke karan samarthi hoga, tab sab logon ko yoonaan ke rajya ke viruddh ubharega.

3

उसके बाद एक पराक्रमी राजा उठ कर अपना राज्य बहुत बढ़ाएगा, और अपनी इच्छा के अनुसार ही काम किया करेगा।

Uske baad ek parakrami raja uth kar apna rajya bahut badhayega, aur apni ichchha ke anusaar hi kaam kiya karega.

4

और जब वह बड़ा होगा, तब उसका राज्य टूटेगा और चारों दिशाओं में बंटकर अलग अलग हो जाएगा; और न तो उसके राज्य की शक्ति ज्यों की त्यों रहेगी और न उसके वंश को कुछ मिलेगा; क्योंकि उसका राज्य उखड़ कर, उनकी अपेक्षा और लोगों को प्राप्त होगा॥

Aur jab vah bada hoga, tab uska rajya tootega aur charon dishaon mein bantkar alag alag ho jayega; aur na to uske rajya ki shakti jyon ki tyon rahegi aur na uske vansh ko kuchh milega; kyonki uska rajya ukhad kar, unki apeksha aur logon ko praapt hoga.

5

तब दक्खिन देश का राजा बल पकड़ेगा; परन्तु उसका एक हाकिम उस से अधिक बल पकड़ कर प्रभुता करेगा; यहां तक कि उसकी प्रभुता बड़ी हो जाएगी।

Tab dakkhin desh ka raja bal pakdega; parantu uska ek hakim us se adhik bal pakad kar prabhuta karega; yahan tak ki uski prabhuta badi ho jayegi.

6

कई वर्षों के बीतने पर, वे दोनों आपस में मिलेंगे, और दक्खिन देश के राजा की बेटी उत्तर देश के राजा के पास शान्ति की वाचा बान्धने को आएगी; परन्तु उसका बाहुबल बना न रहेगा, और न वह राजा और न उसका नाम रहेगा; परन्तु वह स्त्री अपने पहुंचाने वालों और अपने पिता और अपने सम्भालने वालों समेत अलग कर दी जाएगी॥

Kai varshon ke beetne par, ve donon aapas mein milenge, aur dakkhin desh ke raja ki beti uttar desh ke raja ke paas shanti ki vacha bandhane ko aayegi; parantu uska bahubal bana na rahega, aur na vah raja aur na uska naam rahega; parantu vah stri apne pahunchane valon aur apne pita aur apne sambhalne valon samet alag kar di jayegi.

7

फिर उसकी जड़ों में से एक डाल उत्पन्न हो कर उसके स्थान में बढ़ेगी; वह सेना समेत उत्तर के राजा के गढ़ में प्रवेश करेगा, और उन से युद्ध कर के प्रबल होगा।

Phir uski jadon mein se ek daal utpann ho kar uske sthaan mein badhegi; vah sena samet uttar ke raja ke gadh mein pravesh karega, aur un se yuddh kar ke prabal hoga.

8

तब वह उसके देवताओं की ढली हुई मूरतों, और सोने-चान्दी के मनभाऊ पात्रों को छीनकर मिस्र में ले जाएगा; इसके बाद वह कुछ वर्ष तक उत्तर देश के राजा के विरुद्ध हाथ रोके रहेगा।

Tab vah uske devtaon ki dhali hui moorton, aur sone-chandi ke manbhau patron ko chheenkar Misr mein le jayega; iske baad vah kuchh varsh tak uttar desh ke raja ke viruddh haath roke rahega.

9

तब वह राजा दक्खिन देश के राजा के देश में आएगा, परन्तु फिर अपने देश में लौट जाएगा॥

Tab vah raja dakkhin desh ke raja ke desh mein aayega, parantu phir apne desh mein laut jayega.

10

उसके पुत्र झगड़ा मचा कर बहुत से बड़े बड़े दल इकट्टे करेंगे, और उमण्डने वाली नदी की नाईं आकर देश के बीच हो कर जाएंगे, फिर लौटते हुए उसके गढ़ तक झगड़ा मचाते जाएंगे।

Uske putra jhagda macha kar bahut se bade bade dal ikatte karenge, aur umandane vali nadi ki nai aakar desh ke beech ho kar jayenge, phir lautte hue uske gadh tak jhagda machate jayenge.

11

तब दक्खिन देश का राजा चिढ़ेगा, और निकल कर उत्तर देश के उस राजा से युद्ध करेगा, और वह राजा लड़ने के लिये बड़ी भीड़ इकट्ठी करेगा, परन्तु वह भीड़ उसके हाथ में कर दी जाएगी।

Tab dakkhin desh ka raja chidhega, aur nikal kar uttar desh ke us raja se yuddh karega, aur vah raja ladne ke liye badi bheed ikatthi karega, parantu vah bheed uske haath mein kar di jayegi.

12

उस भीड़ को जीत कर के उसका मन फूल उठेगा, और वह लाखों लोगों को गिराएगा, परन्तु वह प्रबल न होगा।

Us bheed ko jeet kar ke uska man phool uthega, aur vah lakhon logon ko girayega, parantu vah prabal na hoga.

13

क्योंकि उत्तर देश का राजा लौट कर पहिली से भी बड़ी भीड़ इकट्ठी करेगा; और कई दिनों वरन वर्षों के बीतने पर वह निश्चय बड़ी सेना और सम्पत्ति लिए हुए आएगा॥

Kyonki uttar desh ka raja laut kar pahili se bhi badi bheed ikatthi karega; aur kai dinon varan varshon ke beetne par vah nishchay badi sena aur sampatti liye hue aayega.

14

उन दिनों में बहुत से लोग दक्खिन देश के राजा के विरुद्ध उठेंगे; वरन तेरे लोगों में से भी बलात्कारी लोग उठ खड़े होंगे, जिस से इस दर्शन की बात पूरी हो जाएगी; परन्तु वे ठोकर खाकर गिरेंगे।

Un dinon mein bahut se log dakkhin desh ke raja ke viruddh uthenge; varan tere logon mein se bhi balatkari log uth khade honge, jis se is darshan ki baat poori ho jayegi; parantu ve thokar khakar girenge.

15

तब उत्तर देश का राजा आकर किला बान्धेगा और दृढ़ नगर ले लेगा। और दक्खिन देश के न तो प्रधान खड़े रहेंगे और न बड़े वीर; क्योंकि किसी के खड़े रहने का बल न रहेगा।

Tab uttar desh ka raja aakar kila bandhega aur dridh nagar le lega. Aur dakkhin desh ke na to pradhaan khade rahenge aur na bade veer; kyonki kisi ke khade rahne ka bal na rahega.

16

तब जो भी उनके विरुद्ध आएगा, वह अपनी इच्छा पूरी करेगा, और वह हाथ में सत्यानाश लिए हुए शिरोमणि देश में भी खड़ा होगा और उसका साम्हना करने वाला कोई न रहेगा।

Tab jo bhi unke viruddh aayega, vah apni ichchha poori karega, aur vah haath mein satyanaash liye hue shiromni desh mein bhi khada hoga aur uska samhana karne vala koi na rahega.

17

तब वह अपने राज्य के पूर्ण बल समेत, कई सीधे लोगों को संग लिए हुए आने लगेगा, और अपनी इच्छा के अनुसार काम किया करेगा। और वह उसको एक स्त्री इसलिये देगा कि उसका राज्य बिगाड़ा जाए; परन्तु वह स्थिर न रहेगी, न उस राजा की होगी।

Tab vah apne rajya ke poorn bal samet, kai seedhe logon ko sang liye hue aane lagega, aur apni ichchha ke anusaar kaam kiya karega. Aur vah usko ek stri isliye dega ki uska rajya bigada jaye; parantu vah sthir na rahegi, na us raja ki hogi.

18

तब वह द्वीपों की ओर मुंह कर के बहुतों को ले लेगा; परन्तु एक सेनापति उसके अहंकार को मिटाएगा; वरन उसके अहंकार के अनुकूल उसे बदला देगा।

Tab vah dweepon ki or munh kar ke bahuton ko le lega; parantu ek senapti uske ahankaar ko mitayega; varan uske ahankaar ke anukool use badla dega.

19

तब वह अपने देश के गढ़ों की ओर मुंह फेरेगा, और वह ठोकर खाकर गिरेगा, और कहीं उसका पता न रहेगा।

Tab vah apne desh ke gadhon ki or munh pherega, aur vah thokar khakar girega, aur kahi uska pata na rahega.

20

तब उसके स्थान में कोई ऐसा उठेगा, जो शिरोमणि राज्य में अन्धेर करने वाले को घुमाएगा; परन्तु थोड़े दिन बीतने पर वह क्रोध वा युद्ध किए बिना ही नाश हो जाएगा।

Tab uske sthaan mein koi aisa uthega, jo shiromni rajya mein andher karne vale ko ghumayega; parantu thode din beetne par vah krodh va yuddh kiye bina hi naash ho jayega.

21

उसके स्थान में एक तुच्छ मनुष्य उठेगा, जिसकी राजप्रतिष्ठा पहिले तो न होगी, तौभी वह चैन के समय आकर चिकनी-चुपड़ी बातों के द्वारा राज्य को प्राप्त करेगा।

Uske sthaan mein ek tuchchh manushya uthega, jiski rajapratishtha pahile to na hogi, taubhi vah chain ke samay aakar chikni-chupdi baton ke dwara rajya ko praapt karega.

22

तब उसकी भुजारूपी बाढ़ से लोग, वरन वाचा का प्रधान भी उसके साम्हने से बहकर नाश होंगे।

Tab uski bhujaroopi baadh se log, varan vacha ka pradhaan bhi uske samhane se bahkar naash honge.

23

क्योंकि वह उसके संग वाचा बान्धने पर भी छल करेगा, और थोड़े ही लोगों को संग लिए हुए चढ़ कर प्रबल होगा।

Kyonki vah uske sang vacha bandhane par bhi chhal karega, aur thode hi logon ko sang liye hue chadh kar prabal hoga.

24

चैन के समय वह प्रान्त के उत्तम से उत्तम स्थानों पर चढ़ाई करेगा; और जो काम न उसके पुरखा और न उसके पुरखाओं के पुरखा करते थे, उसे वह करेगा; और लूटी हुई धन-सम्पत्ति उन में बहुत बांटा करेगा। वह कुछ काल तक दृढ़ नगरों के लेने की कल्पना करता रहेगा।

Chain ke samay vah praant ke uttam se uttam sthanon par chadhai karega; aur jo kaam na uske purkha aur na uske purkhaon ke purkha karte the, use vah karega; aur looti hui dhan-sampatti un mein bahut banta karega. Vah kuchh kaal tak dridh nagron ke lene ki kalpana karta rahega.

25

तब वह दक्खिन देश के राजा के विरुद्ध बड़ी सेना लिए हुए अपने बल और हियाव को बढ़ाएगा, और दक्खिन देश का राजा अत्यन्त बड़ी सामर्थी सेना लिए हुए युद्ध तो करेगा, परन्तु ठहर न सकेगा, क्योंकि लोग उसके विरुद्ध कल्पना करेंगे।

Tab vah dakkhin desh ke raja ke viruddh badi sena liye hue apne bal aur hiyaav ko badhayega, aur dakkhin desh ka raja atyant badi samarthi sena liye hue yuddh to karega, parantu thahar na sakega, kyonki log uske viruddh kalpana karenge.

26

उसके भोजन के खाने वाले भी उसको हरवाएंगे; और यद्यपि उसकी सेना बाढ़ की नाईं चढ़ेगी, तौभी उसके बहुत से लोग मर मिटेंगे।

Uske bhojan ke khane vale bhi usko harvayenge; aur yadyapi uski sena baadh ki nai chadhegi, taubhi uske bahut se log mar mitenge.

27

तब उन दोनों राजाओं के मन बुराई करने में लगेंगे, यहां तक कि वे एक ही मेज पर बैठे हुए आपस में झूठ बोलेंगे, परन्तु इस से कुछ बन न पड़ेगा; क्योंकि इन सब बातों का अन्त नियत ही समय में होने वाला है।

Tab un donon rajaon ke man burai karne mein lagenge, yahan tak ki ve ek hi mej par baithe hue aapas mein jhooth bolenge, parantu is se kuchh ban na padega; kyonki in sab baton ka ant niyat hi samay mein hone vala hai.

28

तब उत्तर देश का राजा बड़ी लूट लिए हुए अपने देश को लौटेगा, और उसका मन पवित्र वाचा के विरुद्ध उभरेगा, और वह अपनी इच्छा पूरी कर के अपने देश को लौट जाएगा॥

Tab uttar desh ka raja badi loot liye hue apne desh ko lautega, aur uska man pavitra vacha ke viruddh ubhrega, aur vah apni ichchha poori kar ke apne desh ko laut jayega.

29

नियत समय पर वह फिर दक्खिन देश की ओर जाएगा, परन्तु उस पिछली बार के समान इस बार उसका वश न चलेगा।

Niyat samay par vah phir dakkhin desh ki or jayega, parantu us pichhli baar ke samaan is baar uska vash na chalega.

30

क्योंकि कित्तियों के जहाज उसके विरुद्ध आएंगे, और वह उदास हो कर लौटेगा, और पवित्र वाचा पर चिढ़ कर अपनी इच्छा पूरी करेगा। वह लौट कर पवित्र वाचा के तोड़ने वालों की सुधि लेगा।

Kyonki kittiyon ke jahaaj uske viruddh aayenge, aur vah udaas ho kar lautega, aur pavitra vacha par chidh kar apni ichchha poori karega. Vah laut kar pavitra vacha ke todne valon ki sudhi lega.

31

तब उसके सहायक खड़े हो कर, दृढ़ पवित्र स्थान को अपवित्र करेंगे, और नित्य होमबलि को बन्द करेंगे। और वे उस घृणित वस्तु को खड़ा करेंगे जो उजाड़ करा देती है।

Tab uske sahayak khade ho kar, dridh pavitra sthaan ko apvitra karenge, aur nitya homabli ko band karenge. Aur ve us ghrinit vastu ko khada karenge jo ujaad kara deti hai.

32

और जो दुष्ट हो कर उस वाचा को तोड़ेंगे, उन को वह चिकनी-चुपड़ी बातें कह कहकर भक्तिहीन कर देगा; परन्तु जो लोग अपने परमेश्वर का ज्ञान रखेंगे, वे हियाव बान्धकर बड़े काम करेंगे।

Aur jo dusht ho kar us vacha ko todenge, un ko vah chikni-chupdi batein kah kahkar bhaktiheen kar dega; parantu jo log apne Parmeshwar ka gyaan rakhenge, ve hiyaav bandhakar bade kaam karenge.

33

और लोगों को सिखाने वाले बुद्धिमान जन बहुतों को समझाएंगे, तौभी वे बहुत दिन तक तलवार से छिदकर और आग में जलकर, और बंधुए हो कर और लुटकर, बड़े दु:ख में पड़े रहेंगे।

Aur logon ko sikhane vale buddhimaan jan bahuton ko samjhayenge, taubhi ve bahut din tak talvaar se chhidkar aur aag mein jalkar, aur bandhue ho kar aur lutkar, bade dukh mein pade rahenge.

34

जब वे दु:ख में पड़ेंगे तब थोड़ा बहुत सम्भलेंगे, परन्तु बहुत से लोग चिकनी-चुपड़ी बातें कह कहकर उन से मिल जाएंगे;

Jab ve dukh mein padenge tab thoda bahut sambhalenge, parantu bahut se log chikni-chupdi batein kah kahkar un se mil jayenge;

35

और सिखाने वालों में से कितने गिरेंगे, और इसलिये गिरने पाएंगे कि जांचे जाएं, और निर्मल और उजले किए जाएं। यह दशा अन्त के समय तक बनी रहेगी, क्योंकि इन सब बातों का अन्त नियत समय में होने वाला है॥

Aur sikhane valon mein se kitne girenge, aur isliye girne payenge ki janche jayen, aur nirmal aur ujle kiye jayen. Yah dasha ant ke samay tak bani rahegi, kyonki in sab baton ka ant niyat samay mein hone vala hai.

36

तब वह राजा अपनी इच्छा के अनुसार काम करेगा, और अपने आप को सारे देवताओं से ऊंचा और बड़ा ठहराएगा; वरन सब देवताओं के परमेश्वर के विरुद्ध भी अनोखी बातें कहेगा। और जब तक परमेश्वर का क्रोध न हो जाए तब तक उस राजा का कार्य सफल होता रहेगा; क्योंकि जो कुछ निश्चय कर के ठाना हुआ है वह अवश्य ही पूरा होने वाला है।

Tab vah raja apni ichchha ke anusaar kaam karega, aur apne aap ko sare devtaon se ooncha aur bada thahrayega; varan sab devtaon ke Parmeshwar ke viruddh bhi anokhi batein kahega. Aur jab tak Parmeshwar ka krodh na ho jaye tab tak us raja ka karya saphal hota rahega; kyonki jo kuchh nishchay kar ke thana huaa hai vah avashya hi poora hone vala hai.

37

वह अपने पुरखाओं के देवताओं की चिन्ता ना करेगा, न स्त्रियों की प्रीति की कुछ चिन्ता करेगा और न किसी देवता की; क्योंकि वह अपने आप ही को सभों के ऊपर बड़ा ठहराएगा।

Vah apne purkhaon ke devtaon ki chinta na karega, na striyon ki preeti ki kuchh chinta karega aur na kisi devta ki; kyonki vah apne aap hi ko sabhon ke oopar bada thahrayega.

38

वह अपने राजपद पर स्थिर रहकर दृढ़ गढ़ों ही के देवता का सम्मान करेगा, एक ऐसे देवता का जिसे उसके पुरखा भी न जानते थे, वह सोना, चान्दी, मणि और मनभावनी वस्तुएं चढ़ा कर उसका सम्मान करेगा।

Vah apne rajpad par sthir rahkar dridh gadhon hi ke devta ka sammaan karega, ek aise devta ka jise uske purkha bhi na jante the, vah sona, chandi, mani aur manbhavni vastuein chadha kar uska sammaan karega.

39

उस बिराने देवता के सहारे से वह अति दृढ़ गढ़ों से लड़ेगा, और जो कोई उसको माने उसे वह बड़ी प्रतिष्ठा देगा। ऐसे लोगों को वह बहुतों के ऊपर प्रभुता देगा, और अपने लाभ के लिए अपने देश की भूमि को बांट देगा॥

Us birane devta ke sahare se vah ati dridh gadhon se ladega, aur jo koi usko mane use vah badi pratishtha dega. Aise logon ko vah bahuton ke oopar prabhuta dega, aur apne laabh ke liye apne desh ki bhoomi ko baant dega.

40

अन्त के समय दक्खिन देश का राजा उसको सींग मारने लगेगा; परन्तु उत्तर देश का राजा उस पर बवण्डर की नाईं बहुत से रथ-सवार और जहाज ले कर चढ़ाई करेगा; इस रीति से वह बहुत से देशों में फैल जाएगा, और उन में से निकल जाएगा।

Ant ke samay dakkhin desh ka raja usko seeng marne lagega; parantu uttar desh ka raja us par bavandar ki nai bahut se rath-savaar aur jahaaj le kar chadhai karega; is reeti se vah bahut se deshon mein phail jayega, aur un mein se nikal jayega.

41

वह शिरोमणि देश में भी आएगा। और बहुत से देश उजड़ जाएंगे, परन्तु एदोमी, मोआबी और मुख्य मुख्य अम्मोनी आदि जातियों के देश उसके हाथ से बच जाएंगे।

Vah shiromni desh mein bhi aayega. Aur bahut se desh ujad jayenge, parantu edomi, moaabi aur mukhya mukhya ammoni aadi jatiyon ke desh uske haath se bach jayenge.

42

वह कई देशों पर हाथ बढ़ाएगा और मिस्र देश भी न बचेगा।

Vah kai deshon par haath badhayega aur Misr desh bhi na bachega.

43

वह मिस्र के सोने चान्दी के खजानों और सब मनभावनी वस्तुओं का स्वामी हो जाएगा; और लूबी और कूशी लोग भी उसके पीछे हो लेंगे।

Vah Misr ke sone chandi ke khajanon aur sab manbhavni vastuon ka swami ho jayega; aur loobi aur kooshi log bhi uske peechhe ho lenge.

44

उसी समय वह पूरब और उत्तर दिशाओं से समाचार सुन कर घबराएगा, और बड़े क्रोध में आकर बहुतों को सत्यानाश करने के लिये निकलेगा।

Usi samay vah poorab aur uttar dishaon se samachaar sun kar ghabrayega, aur bade krodh mein aakar bahuton ko satyanaash karne ke liye niklega.

45

और वह दोनों समुद्रों के बीच पवित्र शिरोमणि पर्वत के पास अपना राजकीय तम्बू खड़ा कराएगा; इतना करने पर भी उसका अन्त जा जाएगा, और कोई उसका सहायक न रहेगा॥

Aur vah donon samudron ke beech pavitra shiromni parvat ke paas apna rajkeeya tambu khada karayega; itna karne par bhi uska ant ja jayega, aur koi uska sahayak na rahega.