और शाऊल जो अब तक प्रभु के चेलों को धमकाने और घात करने की धुन में था, महायाजक के पास गया।
Aur shaool jo ab tak Prabhu ke chelon ko dhamkane aur ghaat karne ki dhun mein tha, mahayajak ke paas gaya.
Acts 9 · 43 verses
और शाऊल जो अब तक प्रभु के चेलों को धमकाने और घात करने की धुन में था, महायाजक के पास गया।
Aur shaool jo ab tak Prabhu ke chelon ko dhamkane aur ghaat karne ki dhun mein tha, mahayajak ke paas gaya.
और उस से दमिश्क की अराधनालयों के नाम पर इस अभिप्राय की चिट्ठियां मांगी, कि क्या पुरूष, क्या स्त्री, जिन्हें वह इस पंथ पर पाए उन्हें बान्ध कर यरूशलेम में ले आए।
Aur us se damishk ki aradhnalyon ke naam par is abhipraay ki chitthiyan mangi, ki kya puroosh, kya stri, jinhein vah is panth par paye unhein baandh kar Yerushalem mein le aaye.
परन्तु चलते चलते जब वह दमिश्क के निकट पहुंचा, तो एकाएक आकाश से उसके चारों ओर ज्योति चमकी।
Parantu chalte chalte jab vah damishk ke nikat pahuncha, to ekayek aakaash se uske charon or jyoti chamki.
और वह भूमि पर गिर पड़ा, और यह शब्द सुना, कि हे शाऊल, हे शाऊल, तू मुझे क्यों सताता है?
Aur vah bhoomi par gir pada, aur yah shabd suna, ki he shaool, he shaool, tu mujhe kyon satata hai?
उस ने पूछा; हे प्रभु, तू कौन है? उस ने कहा; मैं यीशु हूं; जिसे तू सताता है।
Us ne poochha; he Prabhu, tu kaun hai? Us ne kaha; main Yeshu hoon; jise tu satata hai.
परन्तु अब उठकर नगर में जा, और जो कुछ करना है, वह तुझ से कहा जाएगा।
Parantu ab uthkar nagar mein ja, aur jo kuchh karna hai, vah tujh se kaha jayega.
जो मनुष्य उसके साथ थे, वे चुपचाप रह गए; क्योंकि शब्द तो सुनते थे, परन्तु किसी को देखते न थे।
Jo manushya uske saath the, ve chupchaap rah gaye; kyonki shabd to sunte the, parantu kisi ko dekhte na the.
तब शाऊल भूमि पर से उठा, परन्तु जब आंखे खोलीं तो उसे कुछ दिखाई न दिया और वे उसका हाथ पकड़के दमिश्क में ले गए।
Tab shaool bhoomi par se utha, parantu jab aankhe kholi to use kuchh dikhai na diya aur ve uska haath pakadke damishk mein le gaye.
और वह तीन दिन तक न देख सका, और न खाया और न पीया।
Aur vah teen din tak na dekh saka, aur na khaya aur na peeya.
दमिश्क में हनन्याह नाम एक चेला था, उस से प्रभु ने दर्शन में कहा, हे हनन्याह! उस ने कहा; हां प्रभु।
Damishk mein hananyaah naam ek chela tha, us se Prabhu ne darshan mein kaha, he hananyaah! Us ne kaha; han Prabhu.
तब प्रभु ने उस से कहा, उठकर उस गली में जा जो सीधी कहलाती है, और यहूदा के घर में शाऊल नाम एक तारसी को पूछ ले; क्योंकि देख, वह प्रार्थना कर रहा है।
Tab Prabhu ne us se kaha, uthkar us gali mein ja jo seedhi kahlati hai, aur Yahuda ke ghar mein shaool naam ek tarsi ko poochh le; kyonki dekh, vah prarthana kar raha hai.
और उस ने हनन्याह नाम एक पुरूष को भीतर आते, और अपने ऊपर आते देखा है; ताकि फिर से दृष्टि पाए।
Aur us ne hananyaah naam ek puroosh ko bheetar aate, aur apne oopar aate dekha hai; taki phir se drishti paye.
हनन्याह ने उत्तर दिया, कि हे प्रभु, मैं ने इस मनुष्य के विषय में बहुतों से सुना है, कि इस ने यरूशलेम में तेरे पवित्र लोगों के साथ बड़ी बड़ी बुराईयां की हैं।
Hananyaah ne uttar diya, ki he Prabhu, main ne is manushya ke vishay mein bahuton se suna hai, ki is ne Yerushalem mein tere pavitra logon ke saath badi badi buraiyan ki hain.
और यहां भी इस को महायाजकों की ओर से अधिकार मिला है, कि जो लोग तेरा नाम लेते हैं, उन सब को बान्ध ले।
Aur yahan bhi is ko mahayajkon ki or se adhikaar mila hai, ki jo log tera naam lete hain, un sab ko baandh le.
परन्तु प्रभु ने उस से कहा, कि तू चला जा; क्योंकि यह, तो अन्यजातियों और राजाओं, और इस्त्राएलियों के साम्हने मेरा नाम प्रगट करने के लिये मेरा चुना हुआ पात्र है।
Parantu Prabhu ne us se kaha, ki tu chala ja; kyonki yah, to anyajatiyon aur rajaon, aur istrayeliyon ke samhane mera naam pragat karne ke liye mera chuna huaa patra hai.
और मैं उसे बताऊंगा, कि मेरे नाम के लिये उसे कैसा कैसा दुख उठाना पड़ेगा।
Aur main use bataoonga, ki mere naam ke liye use kaisa kaisa dukh uthana padega.
तब हनन्याह उठकर उस घर में गया, और उस पर अपना हाथ रखकर कहा, हे भाई शाऊल, प्रभु, अर्थात यीशु, जो उस रास्ते में, जिस से तू आया तुझे दिखाई दिया था, उसी ने मुझे भेजा है, कि तू फिर दृष्टि पाए और पवित्र आत्मा से परिपूर्ण हो जाए।
Tab hananyaah uthkar us ghar mein gaya, aur us par apna haath rakhkar kaha, he bhai shaool, Prabhu, arthaat Yeshu, jo us raste mein, jis se tu aaya tujhe dikhai diya tha, usi ne mujhe bheja hai, ki tu phir drishti paye aur pavitra aatma se paripoorn ho jaye.
और तुरन्त उस की आंखों से छिलके से गिरे, और वह देखने लगा और उठकर बपतिस्मा लिया; फिर भोजन कर के बल पाया॥
Aur turant us ki aankhon se chhilke se gire, aur vah dekhne laga aur uthkar baptisma liya; phir bhojan kar ke bal paya.
और वह कई दिन उन चेलों के साथ रहा जो दमिश्क में थे।
Aur vah kai din un chelon ke saath raha jo damishk mein the.
और वह तुरन्त आराधनालयों में यीशु का प्रचार करने लगा, कि वह परमेश्वर का पुत्र है।
Aur vah turant aaradhnalyon mein Yeshu ka prachaar karne laga, ki vah Parmeshwar ka putra hai.
और सब सुनने वाले चकित होकर कहने लगे; क्या यह वही व्यक्ति नहीं है जो यरूशलेम में उन्हें जो इस नाम को लेते थे नाश करता था, और यहां भी इसी लिये आया था, कि उन्हें बान्ध कर महायाजकों के पास ले आए?
Aur sab sunne vale chakit hokar kahne lage; kya yah vahi vyakti nahi hai jo Yerushalem mein unhein jo is naam ko lete the naash karta tha, aur yahan bhi isi liye aaya tha, ki unhein baandh kar mahayajkon ke paas le aaye?
परन्तु शाऊल और भी सामर्थी होता गया, और इस बात का प्रमाण दे देकर कि मसीह यही है, दमिश्क के रहने वाले यहूदियों का मुंह बन्द करता रहा॥
Parantu shaool aur bhi samarthi hota gaya, aur is baat ka pramaan de dekar ki Masih yahi hai, damishk ke rahne vale Yahudiyon ka munh band karta raha.
जब बहुत दिन बीत गए, तो यहूदियों ने मिलकर उसके मार डालने की युक्ति निकाली।
Jab bahut din beet gaye, to Yahudiyon ne milkar uske maar dalne ki yukti nikali.
परन्तु उन की युक्ति शाऊल को मालूम हो गई: वे तो उसके मार डालने के लिये रात दिन फाटकों पर लगे रहे थे।
Parantu un ki yukti shaool ko maloom ho gai: ve to uske maar dalne ke liye raat din phatkon par lage rahe the.
परन्तु रात को उसके चेलों ने उसे लेकर टोकरे में बैठाया, और शहरपनाह पर से लटका कर उतार दिया॥
Parantu raat ko uske chelon ne use lekar tokre mein baithaya, aur shahrapnaah par se latka kar utaar diya.
यरूशलेम में पहुंचकर उस ने चेलों के साथ मिल जाने का उपाय किया: परन्तु सब उस से डरते थे, क्योंकि उन को प्रतीति न होता था, कि वह भी चेला है।
Yerushalem mein pahunchkar us ne chelon ke saath mil jane ka upaay kiya: parantu sab us se darte the, kyonki un ko prateeti na hota tha, ki vah bhi chela hai.
परन्तु बरनबा उसे अपने साथ प्रेरितों के पास ले जाकर उन से कहा, कि इस ने किस रीति से मार्ग में प्रभु को देखा, और इस ने इस से बातें कीं; फिर दमिश्क में इस ने कैसे हियाव से यीशु के नाम का प्रचार किया।
Parantu baranba use apne saath preriton ke paas le jakar un se kaha, ki is ne kis reeti se maarg mein Prabhu ko dekha, aur is ne is se batein ki; phir damishk mein is ne kaise hiyaav se Yeshu ke naam ka prachaar kiya.
वह उन के साथ यरूशलेम में आता जाता रहा।
Vah un ke saath Yerushalem mein aata jata raha.
और निधड़क होकर प्रभु के नाम से प्रचार करता था: और यूनानी भाषा बोलने वाले यहूदियों के साथ बातचीत और वाद-विवाद करता था; परन्तु वे उसके मार डालने का यत्न करने लगे।
Aur nidhdak hokar Prabhu ke naam se prachaar karta tha: aur yoonani bhasha bolne vale Yahudiyon ke saath batcheet aur vaad-vivaad karta tha; parantu ve uske maar dalne ka yatn karne lage.
यह जानकर भाई उसे कैसरिया में ले आए, और तरसुस को भेज दिया॥
Yah jankar bhai use kaisriya mein le aaye, aur tarsus ko bhej diya.
सो सारे यहूदिया, और गलील, और सामरिया में कलीसिया को चैन मिला, और उसकी उन्नति होती गई; और वह प्रभु के भय और पवित्र आत्मा की शान्ति में चलती और बढ़ती जाती थी॥
So sare yahoodiya, aur galeel, aur samriya mein kaleesiya ko chain mila, aur uski unnati hoti gai; aur vah Prabhu ke bhay aur pavitra aatma ki shanti mein chalti aur badhti jati thi.
और ऐसा हुआ कि पतरस हर जगह फिरता हुआ, उन पवित्र लोगों के पास भी पहुंचा, जो लुद्दा में रहते थे।
Aur aisa huaa ki Patras har jagah phirta huaa, un pavitra logon ke paas bhi pahuncha, jo ludda mein rahte the.
वहां उसे ऐनियास नाम झोले का मारा हुआ एक मनुष्य मिला, जो आठ वर्ष से खाट पर पड़ा था।
Vahan use ainiyaas naam jhole ka mara huaa ek manushya mila, jo aath varsh se khaat par pada tha.
पतरस ने उस से कहा; हे ऐनियास! यीशु मसीह तुझे चंगा करता है; उठ, अपना बिछौना बिछा; तब वह तुरन्त उठ खड़ा हुआ।
Patras ne us se kaha; he ainiyaas! Yeshu Masih tujhe changa karta hai; uth, apna bichhauna bichha; tab vah turant uth khada huaa.
और लुद्दा और शारोन के सब रहने वाले उसे देखकर प्रभु की ओर फिरे॥
Aur ludda aur sharon ke sab rahne vale use dekhkar Prabhu ki or phire.
याफा में तबीता अर्थात दोरकास नाम एक विश्वासिनी रहती थी, वह बहुतेरे भले भले काम और दान किया करती थी।
Yapha mein tabeeta arthaat dorkaas naam ek vishwasini rahti thi, vah bahutere bhale bhale kaam aur daan kiya karti thi.
उन्हीं दिनों में वह बीमार होकर मर गई; और उन्होंने उसे नहला कर अटारी पर रख दिया।
Unhi dinon mein vah beemaar hokar mar gai; aur unhonne use nahla kar atari par rakh diya.
और इसलिये कि लुद्दा याफा के निकट था, चेलों ने यह सुनकर कि पतरस वहां है दो मनुष्य भेजकर उस ने बिनती की कि हमारे पास आने में देर न कर।
Aur isliye ki ludda yapha ke nikat tha, chelon ne yah sunkar ki Patras vahan hai do manushya bhejkar us ne binti ki ki hamare paas aane mein der na kar.
तब पतरस उठकर उन के साथ हो लिया, और जब पहुंच गया, तो वे उसे उस अटारी पर ले गए; और सब विधवाएं रोती हुई उसके पास आ खड़ी हुई: और जो कुरते और कपड़े दोरकास ने उन के साथ रहते हुए बनाए थे, दिखाने लगीं।
Tab Patras uthkar un ke saath ho liya, aur jab pahunch gaya, to ve use us atari par le gaye; aur sab vidhvayen roti hui uske paas aa khadi hui: aur jo kurte aur kapde dorkaas ne un ke saath rahte hue banaye the, dikhane lagi.
तब पतरस ने सब को बाहर कर दिया, और घुटने टेककर प्रार्थना की; और लोथ की ओर देखकर कहा; हे तबीता उठ: तब उस ने अपनी आंखे खोल दी; और पतरस को देखकर उठ बैठी।
Tab Patras ne sab ko bahar kar diya, aur ghutne tekkar prarthana ki; aur loth ki or dekhkar kaha; he tabeeta uth: tab us ne apni aankhe khol di; aur Patras ko dekhkar uth baithi.
उस ने हाथ देकर उसे उठाया और पवित्र लोगों और विधवाओं को बुलाकर उसे जीवित और जागृत दिखा दिया।
Us ne haath dekar use uthaya aur pavitra logon aur vidhvaon ko bulakar use jeevit aur jagrit dikha diya.
यह बात सारे याफा मे फैल गई: और बहुतेरों ने प्रभु पर विश्वास किया।
Yah baat sare yapha me phail gai: aur bahuteron ne Prabhu par vishwaas kiya.
और पतरस याफा में शमौन नाम किसी चमड़े के धन्धा करने वाले के यहां बहुत दिन तक रहा॥
Aur Patras yapha mein Shamaun naam kisi chamde ke dhandha karne vale ke yahan bahut din tak raha.