Acts 10 · 48 verses

प्रेरितों के काम 10 Acts 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 10.

1

कैसरिया में कुरनेलियुस नाम ऐक मनुष्य था, जो इतालियानी नाम पलटन का सूबेदार था।

Kaisriya mein kurneliyus naam aik manushya tha, jo italiyani naam paltan ka soobedaar tha.

2

वह भक्त था, और अपने सारे घराने समेत परमेश्वर से डरता था, और यहूदी लागों को बहुत दान देता, और बराबर परमेश्वर से प्रार्थना करता था।

Vah bhakt tha, aur apne sare gharane samet Parmeshwar se darta tha, aur Yahudi lagon ko bahut daan deta, aur barabar Parmeshwar se prarthana karta tha.

3

उस ने दिन के तीसरे पहर के निकट दर्शन में स्पष्ट रूप से देखा, कि परमेश्वर का एक स्वर्गदूत मेरे पास भीतर आकर कहता है; कि हे कुरनेलियुस।

Us ne din ke teesre pahar ke nikat darshan mein spasht roop se dekha, ki Parmeshwar ka ek swargadoot mere paas bheetar aakar kahta hai; ki he kurneliyus.

4

उस ने उसे ध्यान से देखा; और डरकर कहा; हे प्रभु क्या है उस ने उस से कहा, तेरी प्रार्थनाएं और तेरे दान स्मरण के लिये परमेश्वर के साम्हने पहुंचे हैं।

Us ne use dhyaan se dekha; aur darkar kaha; he Prabhu kya hai us ne us se kaha, teri prarthanayen aur tere daan smaran ke liye Parmeshwar ke samhane pahunche hain.

5

और अब याफा में मनुष्य भेजकर शमौन को, जो पतरस कहलाता है, बुलवा ले।

Aur ab yapha mein manushya bhejkar Shamaun ko, jo Patras kahlata hai, bulva le.

6

वह शमौन चमड़े के धन्धा करने वाले के यहां पाहुन है, जिस का घर समुद्र के किनारे है।

Vah Shamaun chamde ke dhandha karne vale ke yahan pahun hai, jis ka ghar samudra ke kinare hai.

7

जब वह स्वर्गदूत जिस ने उस से बातें की थीं चला गया, तो उस ने दो सेवक, और जो उसके पास उपस्थित रहा करते थे उन में से एक भक्त सिपाही को बुलाया।

Jab vah swargadoot jis ne us se batein ki thi chala gaya, to us ne do sevak, aur jo uske paas upasthit raha karte the un mein se ek bhakt sipahi ko bulaya.

8

और उन्हें सब बातें बता कर याफा को भेजा॥

Aur unhein sab batein bata kar yapha ko bheja.

9

दूसरे दिन, जब वे चलते चलते नगर के पास पहुंचे, तो दो पहर के निकट पतरस कोठे पर प्रार्थना करने चढ़ा।

Doosre din, jab ve chalte chalte nagar ke paas pahunche, to do pahar ke nikat Patras kothe par prarthana karne chadha.

10

और उसे भूख लगी, और कुछ खाना चाहता था; परन्तु जब वे तैयार कर रहे थे, तो वह बेसुध हो गया।

Aur use bhookh lagi, aur kuchh khana chahta tha; parantu jab ve taiyaar kar rahe the, to vah besudh ho gaya.

11

और उस ने देखा, कि आकाश खुल गया; और एक पात्र बड़ी चादर के समान चारों कोनों से लटकता हुआ, पृथ्वी की ओर उतर रहा है।

Aur us ne dekha, ki aakaash khul gaya; aur ek patra badi chadar ke samaan charon konon se latakta huaa, prithvi ki or utar raha hai.

12

जिस में पृथ्वी के सब प्रकार के चौपाए और रेंगने वाले जन्तु और आकाश के पक्षी थे।

Jis mein prithvi ke sab prakaar ke chaupaye aur rengne vale jantu aur aakaash ke pakshi the.

13

और उसे एक ऐसा शब्द सुनाईं दिया, कि हे पतरस उठ, मार के खा।

Aur use ek aisa shabd sunai diya, ki he Patras uth, maar ke kha.

14

परन्तु पतरस ने कहा, नहीं प्रभु, कदापि नहीं; क्योंकि मैं ने कभी कोई अपवित्र या अशुद्ध वस्तु नहीं खाई है।

Parantu Patras ne kaha, nahi Prabhu, kadapi nahi; kyonki main ne kabhi koi apvitra ya ashuddh vastu nahi khai hai.

15

फिर दूसरी बार उसे शब्द सुनाईं दिया, कि जो कुछ परमेश्वर ने शुद्ध ठहराया है, उसे तू अशुद्ध मत कह।

Phir doosri baar use shabd sunai diya, ki jo kuchh Parmeshwar ne shuddh thahraya hai, use tu ashuddh mat kah.

16

तीन बार ऐसा ही हुआ; तब तुरन्त वह पात्र आकाश पर उठा लिया गया॥

Teen baar aisa hi huaa; tab turant vah patra aakaash par utha liya gaya.

17

जब पतरस अपने मन में दुविधा कर रहा था, कि यह दर्शन जो मैं ने देखा क्या है, तो देखो, वे मनुष्य जिन्हें कुरनेलियुस ने भेजा था, शमौन के घर का पता लगाकर डेवढ़ी पर आ खड़े हुए।

Jab Patras apne man mein duvidha kar raha tha, ki yah darshan jo main ne dekha kya hai, to dekho, ve manushya jinhein kurneliyus ne bheja tha, Shamaun ke ghar ka pata lagakar devdhi par aa khade hue.

18

और पुकारकर पूछने लगे, क्या शमौन जो पतरस कहलाता है, यहीं पाहुन है

Aur pukarkar poochhne lage, kya Shamaun jo Patras kahlata hai, yahi pahun hai

19

पतरस जो उस दर्शन पर सोच ही रहा था, कि आत्मा ने उस से कहा, देख, तीन मनुष्य तेरी खोज में हैं।

Patras jo us darshan par soch hi raha tha, ki aatma ne us se kaha, dekh, teen manushya teri khoj mein hain.

20

सो उठकर नीचे जा, और बेखटके उन के साथ हो ले; क्योंकि मैं ही ने उन्हें भेजा है।

So uthkar neeche ja, aur bekhatke un ke saath ho le; kyonki main hi ne unhein bheja hai.

21

तब पतरस ने उतरकर उन मनुष्यों से कहा; देखो, जिसकी खोज तुम कर रहे हो, वह मैं ही हूं; तुम्हारे आने का क्या कारण है

Tab Patras ne utarkar un manushyon se kaha; dekho, jiski khoj tum kar rahe ho, vah main hi hoon; tumhare aane ka kya karan hai

22

उन्होंने कहा; कुरनेलियुस सूबेदार जो धर्मी और परमेश्वर से डरने वाला और सारी यहूदी जाति में सुनामी मनुष्य है, उस ने एक पवित्र स्वर्गदूत से यह चितावनी पाई है, कि तुझे अपने घर बुलाकर तुझ से वचन सुने।

Unhonne kaha; kurneliyus soobedaar jo dharmi aur Parmeshwar se darne vala aur sari Yahudi jati mein sunami manushya hai, us ne ek pavitra swargadoot se yah chitavni pai hai, ki tujhe apne ghar bulakar tujh se vachan sune.

23

तब उस ने उन्हें भीतर बुलाकर उन की पहुनाईं की॥ और दूसरे दिन, वह उनके साथ गया; और याफा के भाइयों में से कई उसके साथ हो लिए।

Tab us ne unhein bheetar bulakar un ki pahunai ki. Aur doosre din, vah unke saath gaya; aur yapha ke bhaiyon mein se kai uske saath ho liye.

24

दूसरे दिन वे कैसरिया में पहुंचे, और कुरनेलियुस अपने कुटुम्बियों और प्रिय मित्रों को इकट्ठे करके उन की बाट जोह रहा था।

Doosre din ve kaisriya mein pahunche, aur kurneliyus apne kutumbiyon aur priya mitron ko ikatthe karke un ki baat joh raha tha.

25

जब पतरस भीतर आ रहा था, तो कुरनेलियुस ने उस से भेंट की, और पांवों पड़ के प्रणाम किया।

Jab Patras bheetar aa raha tha, to kurneliyus ne us se bhent ki, aur panvon pad ke pranaam kiya.

26

परन्तु पतरस ने उसे उठाकर कहा, खड़ा हो, मैं भी तो मनुष्य हूं।

Parantu Patras ne use uthakar kaha, khada ho, main bhi to manushya hoon.

27

और उसके साथ बातचीत करता हुआ भीतर गया, और बहुत से लोगों को इकट्ठे देखकर।

Aur uske saath batcheet karta huaa bheetar gaya, aur bahut se logon ko ikatthe dekhkar.

28

उन से कहा, तुम जानते हो, कि अन्यजाति की संगति करना या उसके यहां जाना यहूदी के लिये अधर्म है, परन्तु परमेश्वर ने मुझे बताया है, कि किसी मनुष्य को अपवित्र था अशुद्ध न कहूं।

Un se kaha, tum jante ho, ki anyajati ki sangti karna ya uske yahan jana Yahudi ke liye adharm hai, parantu Parmeshwar ne mujhe bataya hai, ki kisi manushya ko apvitra tha ashuddh na kahun.

29

इसी लिये मैं जब बुलाया गया; तो बिना कुछ कहे चला आया: अब मैं पूछता हूं कि मुझे किस काम के लिये बुलाया गया है

Isi liye main jab bulaya gaya; to bina kuchh kahe chala aaya: ab main poochhta hoon ki mujhe kis kaam ke liye bulaya gaya hai

30

कुरनेलियुस ने कहा; कि इस घड़ी पूरे चार दिन हुए, कि मैं अपने घर में तीसरे पहर को प्रार्थना कर रहा था; कि देखो, एक पुरूष चमकीला वस्त्र पहिने हुए, मेरे साम्हने आ खड़ा हुआ।

Kurneliyus ne kaha; ki is ghadi poore chaar din hue, ki main apne ghar mein teesre pahar ko prarthana kar raha tha; ki dekho, ek puroosh chamkeela vastra pahine hue, mere samhane aa khada huaa.

31

और कहने लगा, हे कुरनेलियुस, तेरी प्रार्थना सुन ली गई, और तेरे दान परमेश्वर के साम्हने स्मरण किए गए हैं।

Aur kahne laga, he kurneliyus, teri prarthana sun li gai, aur tere daan Parmeshwar ke samhane smaran kiye gaye hain.

32

इस लिये किसी को याफा भेजकर शमौन को जो पतरस कहलाता है, बुला; वह समुद्र के किनारे शमौन चमड़े के धन्धा करने वाले के घर में पाहुन है।

Is liye kisi ko yapha bhejkar Shamaun ko jo Patras kahlata hai, bula; vah samudra ke kinare Shamaun chamde ke dhandha karne vale ke ghar mein pahun hai.

33

तब मैं ने तुरन्त तेरे पास लोग भेजे, और तू ने भला किया, जो आ गया: अब हम सब यहां परमेश्वर के साम्हने हैं, ताकि जो कुछ परमेश्वर ने तुझ से कहा है उसे सुनें।

Tab main ne turant tere paas log bheje, aur tu ne bhala kiya, jo aa gaya: ab ham sab yahan Parmeshwar ke samhane hain, taki jo kuchh Parmeshwar ne tujh se kaha hai use sunein.

34

तब पतरस ने मुंह खोलकर कहा;

Tab Patras ne munh kholkar kaha;

35

अब मुझे निश्चय हुआ, कि परमेश्वर किसी का पक्ष नहीं करता, वरन हर जाति में जो उस से डरता और धर्म के काम करता है, वह उसे भाता है।

Ab mujhe nishchay huaa, ki Parmeshwar kisi ka paksh nahi karta, varan har jati mein jo us se darta aur dharm ke kaam karta hai, vah use bhata hai.

36

जो वचन उस ने इस्त्राएलियों के पास भेजा, जब कि उस ने यीशु मसीह के द्वारा (जो सब का प्रभु है) शान्ति का सुसमाचार सुनाया।

Jo vachan us ne istrayeliyon ke paas bheja, jab ki us ne Yeshu Masih ke dwara (jo sab ka Prabhu hai) shanti ka susmachaar sunaya.

37

वह बात तुम जानते हो जो यूहन्ना के बपतिस्मा के प्रचार के बाद गलील से आरम्भ करके सारे यहूदिया में फैल गई।

Vah baat tum jante ho jo Yuhanna ke baptisma ke prachaar ke baad galeel se aarambh karke sare yahoodiya mein phail gai.

38

कि परमेश्वर ने किस रीति से यीशु नासरी को पवित्र आत्मा और सामर्थ से अभिषेक किया: वह भलाई करता, और सब को जो शैतान के सताए हुए थे, अच्छा करता फिरा; क्योंकि परमेश्वर उसके साथ था।

Ki Parmeshwar ne kis reeti se Yeshu nasri ko pavitra aatma aur samarth se abhishek kiya: vah bhalai karta, aur sab ko jo Shaitan ke sataye hue the, achchha karta phira; kyonki Parmeshwar uske saath tha.

39

और हम उन सब कामों के गवाह हैं; जो उस ने यहूदिया के देश और यरूशलेम में भी किए, और उन्होंने उसे काठ पर लटकाकर मार डाला।

Aur ham un sab kamon ke gavaah hain; jo us ne yahoodiya ke desh aur Yerushalem mein bhi kiye, aur unhonne use kaath par latkakar maar dala.

40

उस को परमेश्वर ने तीसरे दिन जिलाया, और प्रगट भी कर दिया है।

Us ko Parmeshwar ne teesre din jilaya, aur pragat bhi kar diya hai.

41

सब लोगों को नहीं वरन उन गवाहों को जिन्हें परमेश्वर ने पहिले से चुन लिया था, अर्थात हम को जिन्हों ने उसके मरे हुओं में से जी उठने के बाद उसके साथ खाया पीया।

Sab logon ko nahi varan un gavahon ko jinhein Parmeshwar ne pahile se chun liya tha, arthaat ham ko jinhon ne uske mare huon mein se ji uthne ke baad uske saath khaya peeya.

42

और उस ने हमें आज्ञा दी, कि लोगों में प्रचार करो; और गवाही दो, कि यह वही है; जिसे परमेश्वर ने जीवतों और मरे हुओं का न्यायी ठहराया है।

Aur us ne hamein aagya di, ki logon mein prachaar karo; aur gavahi do, ki yah vahi hai; jise Parmeshwar ne jeevton aur mare huon ka nyayi thahraya hai.

43

उस की सब भविष्यद्वक्ता गवाही देते हें, कि जो कोई उस पर विश्वास करेगा, उस को उसके नाम के द्वारा पापों की क्षमा मिलेगी॥

Us ki sab bhavishyadwakta gavahi dete hein, ki jo koi us par vishwaas karega, us ko uske naam ke dwara papon ki kshama milegi.

44

पतरस ये बातें कह ही रहा था, कि पवित्र आत्मा वचन के सब सुनने वालों पर उतर आया।

Patras ye batein kah hi raha tha, ki pavitra aatma vachan ke sab sunne valon par utar aaya.

45

और जितने खतना किए हुए विश्वासी पतरस के साथ आए थे, वे सब चकित हुए कि अन्यजातियों पर भी पवित्र आत्मा का दान उंडेला गया है।

Aur jitne khatna kiye hue vishwasi Patras ke saath aaye the, ve sab chakit hue ki anyajatiyon par bhi pavitra aatma ka daan undela gaya hai.

46

क्योंकि उन्होंने उन्हें भांति भांति की भाषा बोलते और परमेश्वर की बड़ाई करते सुना।

Kyonki unhonne unhein bhanti bhanti ki bhasha bolte aur Parmeshwar ki badai karte suna.

47

इस पर पतरस ने कहा; क्या कोई जल की रोक कर सकता है, कि ये बपतिस्मा न पाएं, जिन्हों ने हमारी नाईं पवित्र आत्मा पाया है

Is par Patras ne kaha; kya koi jal ki rok kar sakta hai, ki ye baptisma na payen, jinhon ne hamari nai pavitra aatma paya hai

48

और उस ने आज्ञा दी कि उन्हें यीशु मसीह ने नाम में बपतिस्मा दिया जाए: तब उन्होंने उस से बिनती की कि कुछ दिन हमारे साथ रह॥

Aur us ne aagya di ki unhein Yeshu Masih ne naam mein baptisma diya jaye: tab unhonne us se binti ki ki kuchh din hamare saath rah.