तब महायाजक ने कहा, क्या ये बातें यों ही है?
Tab mahayajak ne kaha, kya ye batein yon hi hai?
Acts 7 · 60 verses
तब महायाजक ने कहा, क्या ये बातें यों ही है?
Tab mahayajak ne kaha, kya ye batein yon hi hai?
उस ने कहा; हे भाइयो, और पितरो सुनो, हमारा पिता इब्राहीम हारान में बसने से पहिले जब मिसुपुतामिया में था; तो तेजोमय परमेश्वर ने उसे दर्शन दिया।
Us ne kaha; he bhaiyo, aur pitro suno, hamara pita Ibrahim haraan mein basne se pahile jab misuputamiya mein tha; to tejomay Parmeshwar ne use darshan diya.
और उस से कहा कि तू अपने देश और अपने कुटुम्ब से निकलकर उस देश मे चला जा, जिसे मैं तुझे दिखाऊंगा।
Aur us se kaha ki tu apne desh aur apne kutumb se nikalkar us desh me chala ja, jise main tujhe dikhaoonga.
तब वह कसदियों के देश से निकलकर हारान में जा बसा; और उसके पिता की मृत्यु के बाद परमेश्वर ने उस को वहां से इस देश में लाकर बसाया जिस में अब तुम बसते हो।
Tab vah kasdiyon ke desh se nikalkar haraan mein ja basa; aur uske pita ki mrityu ke baad Parmeshwar ne us ko vahan se is desh mein lakar basaya jis mein ab tum baste ho.
और उस को कुछ मीरास वरन पैर रखने भर की भी उस में जगह न दी, परन्तु प्रतिज्ञा की कि मैं यह देश, तेरे और तेरे बाद तेरे वंश के हाथ कर दूंगा; यद्यपि उस समय उसके कोई पुत्र भी न था।
Aur us ko kuchh meeraas varan pair rakhne bhar ki bhi us mein jagah na di, parantu pratigya ki ki main yah desh, tere aur tere baad tere vansh ke haath kar doonga; yadyapi us samay uske koi putra bhi na tha.
और परमेश्वर ने यों कहा; कि तेरी सन्तान के लोग पराये देश में परदेशी होंगे, और वे उन्हें दास बनाएंगे, और चार सौ वर्ष तक दुख देंगे।
Aur Parmeshwar ne yon kaha; ki teri santaan ke log paraye desh mein pardeshi honge, aur ve unhein daas banayenge, aur chaar sau varsh tak dukh denge.
फिर परमेश्वर ने कहा; जिस जाति के वे दास होंगे, उस को मैं दण्ड दूंगा; और इस के बाद वे निकल कर इसी जगह मेरी सेवा करेंगे।
Phir Parmeshwar ne kaha; jis jati ke ve daas honge, us ko main dand doonga; aur is ke baad ve nikal kar isi jagah meri seva karenge.
और उस ने उस से खतने की वाचा बान्धी; और इसी दशा में इसहाक उस से उत्पन्न हुआ; और आठवें दिन उसका खतना किया गया; और इसहाक से याकूब और याकूब से बारह कुलपति उत्पन्न हुए।
Aur us ne us se khatne ki vacha bandhi; aur isi dasha mein Ishaq us se utpann huaa; aur aathvein din uska khatna kiya gaya; aur Ishaq se Yakub aur Yakub se barah kulapti utpann hue.
और कुलपतियों ने यूसुफ से डाह करके उसे मिसर देश जाने वालों के हाथ बेचा; परन्तु परमेश्वर उसके साथ था।
Aur kulaptiyon ne Yusuf se daah karke use misar desh jane valon ke haath becha; parantu Parmeshwar uske saath tha.
और उसे उसके सब क्लेशों से छुड़ाकर मिसर के राजा फिरौन के आगे अनुग्रह और बुद्धि दी, और उस ने उसे मिसर पर और अपने सारे घर पर हाकिम ठहराया।
Aur use uske sab kleshon se chhudakar misar ke raja Firaun ke aage anugrah aur buddhi di, aur us ne use misar par aur apne sare ghar par hakim thahraya.
तब मिसर और कनान के सारे देश में अकाल पड़ा; जिस से भारी क्लेश हुआ, और हमारे बाप दादों को अन्न नहीं मिलता था।
Tab misar aur kanaan ke sare desh mein akaal pada; jis se bhari klesh huaa, aur hamare baap dadon ko ann nahi milta tha.
परन्तु याकूब ने यह सुनकर, कि मिसर में अनाज है, हमारे बाप दादों को पहिली बार भेजा।
Parantu Yakub ne yah sunkar, ki misar mein anaaj hai, hamare baap dadon ko pahili baar bheja.
और दूसरी बार यूसुफ अपने भाइयों पर प्रगट को गया, और यूसुफ की जाति फिरौन को मालूम हो गई।
Aur doosri baar Yusuf apne bhaiyon par pragat ko gaya, aur Yusuf ki jati Firaun ko maloom ho gai.
तब यूसुफ ने अपने पिता याकूब और अपने सारे कुटुम्ब को, जो पछत्तर व्यक्ति थे, बुला भेजा।
Tab Yusuf ne apne pita Yakub aur apne sare kutumb ko, jo pachhattar vyakti the, bula bheja.
तब याकूब मिसर में गया; और वहां वह और हमारे बाप दादे मर गए।
Tab Yakub misar mein gaya; aur vahan vah aur hamare baap dade mar gaye.
और वे शिकिम में पहुंचाए जाकर उस कब्र में रखे गए, जिसे इब्राहीम ने चान्दी देकर शिकिम में हमोर की सन्तान से मोल लिया था।
Aur ve shikim mein pahunchaye jakar us kabra mein rakhe gaye, jise Ibrahim ne chandi dekar shikim mein hamor ki santaan se mol liya tha.
परन्तु जब उस प्रतिज्ञा के पूरे होने का समय निकट आया, तो परमेश्वर ने इब्राहीम से की थी, तो मिसर में वे लोग बढ़ गए; और बहुत हो गए।
Parantu jab us pratigya ke poore hone ka samay nikat aaya, to Parmeshwar ne Ibrahim se ki thi, to misar mein ve log badh gaye; aur bahut ho gaye.
जब तक कि मिसर में दूसरा राजा न हुआ जो यूसुफ को नहीं जानता था।
Jab tak ki misar mein doosra raja na huaa jo Yusuf ko nahi janta tha.
उस ने हमारी जाति से चतुराई करके हमारे बाप दादों के साथ यहां तक कुव्योहार किया, कि उन्हें अपने बालकों को फेंक देना पड़ा कि वे जीवित न रहें।
Us ne hamari jati se chaturai karke hamare baap dadon ke saath yahan tak kuvyohaar kiya, ki unhein apne balkon ko phenk dena pada ki ve jeevit na rahein.
उस समय मूसा उत्पन्न हुआ जो बहुत ही सुन्दर था; और वह तीन महीने तक अपने पिता के घर में पाला गया।
Us samay Musa utpann huaa jo bahut hi sundar tha; aur vah teen maheene tak apne pita ke ghar mein pala gaya.
परन्तु जब फेंक दिया गया तो फिरौन की बेटी ने उसे उठा लिया, और अपना पुत्र करके पाला।
Parantu jab phenk diya gaya to Firaun ki beti ne use utha liya, aur apna putra karke pala.
और मूसा को मिस्रियों की सारी विद्या पढ़ाई गई, और वह बातों और कामों में सामर्थी था।
Aur Musa ko misriyon ki sari vidya padhai gai, aur vah baton aur kamon mein samarthi tha.
जब वह चालीस वर्ष का हुआ, तो उसके मन में आया कि मैं अपने इस्त्राएली भाइयों से भेंट करूं।
Jab vah chalees varsh ka huaa, to uske man mein aaya ki main apne istrayeli bhaiyon se bhent karun.
और उस ने एक व्यक्ति पर अन्याय होने देखकर, उसे बचाया, और मिसरी को मारकर सताए हुए का पलटा लिया।
Aur us ne ek vyakti par anyaay hone dekhkar, use bachaya, aur misri ko markar sataye hue ka palta liya.
उस ने सोचा, कि मेरे भाई समझेंगे कि परमेश्वर मेरे हाथों से उन का उद्धार करेगा, परन्तु उन्होंने न समझा।
Us ne socha, ki mere bhai samjhenge ki Parmeshwar mere hathon se un ka uddhaar karega, parantu unhonne na samjha.
दूसरे दिन जब वे आपस में लड़ रहे थे, तो वह वहां आ निकला; और यह कहके उन्हें मेल करने के लिये समझाया, कि हे पुरूषो, तुम तो भाई भाई हो, एक दूसरे पर क्यों अन्याय करते हो?
Doosre din jab ve aapas mein lad rahe the, to vah vahan aa nikla; aur yah kahke unhein mel karne ke liye samjhaya, ki he puroosho, tum to bhai bhai ho, ek doosre par kyon anyaay karte ho?
परन्तु जो अपने पड़ोसी पर अन्याय कर रहा था, उस ने उसे यह कहकर हटा दिया, कि तुझे किस ने हम पर हाकिम और न्यायी ठहराया है?
Parantu jo apne padosi par anyaay kar raha tha, us ne use yah kahkar hata diya, ki tujhe kis ne ham par hakim aur nyayi thahraya hai?
क्या जिस रीति से तू ने कल मिसरी को मार डाला मुझे भी मार डालना चाहता है?
Kya jis reeti se tu ne kal misri ko maar dala mujhe bhi maar dalna chahta hai?
यह बात सुनकर, मूसा भागा; और मिद्यान देश में परदेशी होकर रहने लगा: और वहां उसके दो पुत्र उत्पन्न हुए।
Yah baat sunkar, Musa bhaga; aur midyaan desh mein pardeshi hokar rahne laga: aur vahan uske do putra utpann hue.
जब पूरे चालीस वर्ष बीत गए, तो एक स्वर्ग दूत ने सीनै पहाड़ के जंगल में उसे जलती हुई झाड़ी की ज्वाला में दर्शन दिया।
Jab poore chalees varsh beet gaye, to ek swarg doot ne seenai pahaad ke jangal mein use jalti hui jhadi ki jwala mein darshan diya.
मूसा ने उस दर्शन को देखकर अचम्भा किया, और जब देखने के लिये पास गया, तो प्रभु का यह शब्द हुआ।
Musa ne us darshan ko dekhkar achambha kiya, aur jab dekhne ke liye paas gaya, to Prabhu ka yah shabd huaa.
कि मैं तेरे बाप दादों, इब्राहीम, इसहाक और याकूब का परमेश्वर हूं: तब तो मूसा कांप उठा, यहां तक कि उसे देखने का हियाव न रहा।
Ki main tere baap dadon, Ibrahim, Ishaq aur Yakub ka Parmeshwar hoon: tab to Musa kaamp utha, yahan tak ki use dekhne ka hiyaav na raha.
तब प्रभु ने उस से कहा; अपने पावों से जूती उतार ले, क्योंकि जिस जगह तू खड़ा है, वह पवित्र भूमि है।
Tab Prabhu ne us se kaha; apne pavon se jooti utaar le, kyonki jis jagah tu khada hai, vah pavitra bhoomi hai.
मैं ने सचमुच अपने लोगों की र्दुदशा को जो मिसर में है, देखी है; और उन की आह और उन का रोना सुन लिया है; इसलिये उन्हें छुड़ाने के लिये उतरा हूं। अब आ, मैं तुझे मिसर में भेजूंगा।
Main ne sachmuch apne logon ki rdudsha ko jo misar mein hai, dekhi hai; aur un ki aah aur un ka rona sun liya hai; isliye unhein chhudane ke liye utra hoon. Ab aa, main tujhe misar mein bhejoonga.
जिस मूसा को उन्होंने यह कहकर नकारा था कि तुझे किस ने हम पर हाकिम और न्यायी ठहराया है; उसी को परमेश्वर ने हाकिम और छुड़ाने वाला ठहरा कर, उस स्वर्ग दूत के द्वारा जिस ने उसे झाड़ी में दर्शन दिया था, भेजा।
Jis Musa ko unhonne yah kahkar nakara tha ki tujhe kis ne ham par hakim aur nyayi thahraya hai; usi ko Parmeshwar ne hakim aur chhudane vala thahra kar, us swarg doot ke dwara jis ne use jhadi mein darshan diya tha, bheja.
यही व्यक्ति मिसर और लाल समुद्र और जंगल में चालीस वर्ष तक अद्भुत काम और चिन्ह दिखा दिखाकर उन्हें निकाल लाया।
Yahi vyakti misar aur laal samudra aur jangal mein chalees varsh tak adbhut kaam aur chinh dikha dikhakar unhein nikaal laya.
यह वही मूसा है, जिस ने इस्त्राएलियों से कहा; कि परमेश्वर तुम्हारे भाइयों में से तुम्हारे लिये मुझ सा एक भविष्यद्वक्ता उठाएगा।
Yah vahi Musa hai, jis ne istrayeliyon se kaha; ki Parmeshwar tumhare bhaiyon mein se tumhare liye mujh sa ek bhavishyadwakta uthayega.
यह वही है, जिस ने जंगल में कलीसिया के बीच उस स्वर्गदूत के साथ सीनै पहाड़ पर उस से बातें की, और हमारे बाप दादों के साथ था: उसी को जीवित वचन मिले, कि हम तक पहुंचाए।
Yah vahi hai, jis ne jangal mein kaleesiya ke beech us swargadoot ke saath seenai pahaad par us se batein ki, aur hamare baap dadon ke saath tha: usi ko jeevit vachan mile, ki ham tak pahunchaye.
परन्तु हमारे बाप दादों ने उस की मानना न चाहा; वरन उसे हटाकर अपने मन मिसर की ओर फेरे।
Parantu hamare baap dadon ne us ki manna na chaha; varan use hatakar apne man misar ki or phere.
और हारून से कहा; हमारे लिये ऐसा देवता बना, जो हमारे आगे आगे चलें; क्योंकि यह मूसा जा हमें मिसर देश से निकाल लाया, हम नहीं जानते उसे क्या हुआ?
Aur haroon se kaha; hamare liye aisa devta bana, jo hamare aage aage chalein; kyonki yah Musa ja hamein misar desh se nikaal laya, ham nahi jante use kya huaa?
उन दिनों में उन्होंने एक बछड़ा बनाकर, उस की मूरत के आगे बलि चढ़ाया; और अपने हाथों के कामों में मगन होने लगे।
Un dinon mein unhonne ek bachhda banakar, us ki moorat ke aage bali chadhaya; aur apne hathon ke kamon mein magan hone lage.
सो परमेश्वर ने मुंह मोड़कर उन्हें छोड़ दिया, कि आकशगण पूजें; जैसा भविष्यद्वक्ताओं की पुस्तक में लिखा है; कि हे इस्त्राएल के घराने, क्या तुम जंगल में चालीस वर्ष तक पशुबलि और अन्नबलि मुझ ही को चढ़ाते रहे?
So Parmeshwar ne munh modkar unhein chhod diya, ki aakashgan poojein; jaisa bhavishyadwaktaon ki pustak mein likha hai; ki he istrayel ke gharane, kya tum jangal mein chalees varsh tak pashubli aur annabli mujh hi ko chadhate rahe?
और तुम मोलेक के तम्बू और रिफान देवता के तारे को लिए फिरते थे; अर्थात उन आकारों को जिन्हें तुम ने दण्डवत करने के लिये बनाया था: सो मैं तुम्हें बाबुल के परे ले जाकर बसाऊंगा।
Aur tum molek ke tambu aur riphaan devta ke tare ko liye phirte the; arthaat un aakaron ko jinhein tum ne dandavat karne ke liye banaya tha: so main tumhein babul ke pare le jakar basaoonga.
साक्षी का तम्बू जंगल में हमारे बाप दादों के बीच में था; जैसा उस ने ठहराया, जिस ने मूसा से कहा; कि जो आकर तू ने देखा है, उसके अनुसार इसे बना।
Sakshi ka tambu jangal mein hamare baap dadon ke beech mein tha; jaisa us ne thahraya, jis ne Musa se kaha; ki jo aakar tu ne dekha hai, uske anusaar ise bana.
उसी तम्बू को हमारे बाप दादे पूर्वकाल से पाकर यहोशू के साथ यहां ले आए; जिस समय कि उन्होंने उन अन्यजातियों का अधिकार पाया, जिन्हें परमेश्वर ने हमारे बाप दादों के साम्हने से निकाल दिया; और वह दाऊद के समय तक रहा।
Usi tambu ko hamare baap dade poorvakaal se pakar yahoshu ke saath yahan le aaye; jis samay ki unhonne un anyajatiyon ka adhikaar paya, jinhein Parmeshwar ne hamare baap dadon ke samhane se nikaal diya; aur vah Daud ke samay tak raha.
उस पर परमेश्वर ने अनुग्रह किया, सो उस ने बिनती की, कि मैं याकूब के परमेश्वर के लिये निवास स्थान ठहराऊं।
Us par Parmeshwar ne anugrah kiya, so us ne binti ki, ki main Yakub ke Parmeshwar ke liye nivaas sthaan thahraun.
परन्तु सुलैमान ने उसके लिये घर बनाया।
Parantu sulaimaan ne uske liye ghar banaya.
परन्तु परमप्रधान हाथ के बनाए घरों में नहीं रहता, जैसा कि भविष्यद्वक्ता ने कहा।
Parantu parmapradhaan haath ke banaye gharon mein nahi rahta, jaisa ki bhavishyadwakta ne kaha.
कि प्रभु कहता है, स्वर्ग मेरा सिहांसन और पृथ्वी मेरे पांवों तले की पीढ़ी है, मेरे लिये तुम किस प्रकार का घर बनाओगे और मेरे विश्राम का कौन सा स्थान होगा
Ki Prabhu kahta hai, swarg mera sihansan aur prithvi mere panvon tale ki peedhi hai, mere liye tum kis prakaar ka ghar banaoge aur mere vishraam ka kaun sa sthaan hoga
क्या ये सब वस्तुएं मेरे हाथ की बनाईं नहीं? हे हठीले, और मन और कान के खतनारिहत लोगो, तुम सदा पवित्र आत्मा का साम्हना करते हो।
Kya ye sab vastuein mere haath ki banai nahi? He hatheele, aur man aur kaan ke khatnarihat logo, tum sada pavitra aatma ka samhana karte ho.
जैसा तुम्हारे बाप दादे करते थे, वैसे ही तुम भी करते हो।
Jaisa tumhare baap dade karte the, vaise hi tum bhi karte ho.
भविष्यद्वक्ताओं में से किस को तुम्हारे बाप दादों ने नहीं सताया, और उन्होंने उस धर्मी के आगमन का पूर्वकाल से सन्देश देने वालों को मार डाला, और अब तुम भी उसके पकड़वाने वाले और मार डालने वाले हुए।
Bhavishyadwaktaon mein se kis ko tumhare baap dadon ne nahi sataya, aur unhonne us dharmi ke aagman ka poorvakaal se sandesh dene valon ko maar dala, aur ab tum bhi uske pakadvane vale aur maar dalne vale hue.
तुम ने स्वर्गदूतों के द्वारा ठहराई हुई व्यवस्था तो पाई, परन्तु उसका पालन नहीं किया॥
Tum ne swargadooton ke dwara thahrai hui vyavastha to pai, parantu uska palan nahi kiya.
ये बातें सुनकर वे जल गए और उस पर दांत पीसने लगे।
Ye batein sunkar ve jal gaye aur us par daant peesne lage.
परन्तु उस ने पवित्र आत्मा से परिपूर्ण होकर स्वर्ग की ओर देखा और परमेश्वर की महिमा को और यीशु को परमेश्वर की दाहिनी ओर खड़ा देखकर।
Parantu us ne pavitra aatma se paripoorn hokar swarg ki or dekha aur Parmeshwar ki mahima ko aur Yeshu ko Parmeshwar ki dahini or khada dekhkar.
कहा; देखो, मैं स्वर्ग को खुला हुआ, और मनुष्य के पुत्र को परमेश्वर के दाहिनी ओर खड़ा हुआ देखता हूं।
Kaha; dekho, main swarg ko khula huaa, aur manushya ke putra ko Parmeshwar ke dahini or khada huaa dekhta hoon.
तब उन्होंने बड़े शब्द से चिल्लाकर कान बन्द कर लिए, और एक चित्त होकर उस पर झपटे।
Tab unhonne bade shabd se chillakar kaan band kar liye, aur ek chitt hokar us par jhapte.
और उसे नगर के बाहर निकालकर पत्थरवाह करने लगे, और गवाहों ने अपने कपड़े उतार रखे।
Aur use nagar ke bahar nikalkar pattharvaah karne lage, aur gavahon ne apne kapde utaar rakhe.
और वे स्तिफनुस को पत्थरवाह करते रहे, और वह यह कहकर प्रार्थना करता रहा; कि हे प्रभु यीशु, मेरी आत्मा को ग्रहण कर।
Aur ve stiphnus ko pattharvaah karte rahe, aur vah yah kahkar prarthana karta raha; ki he Prabhu Yeshu, meri aatma ko grahan kar.
फिर घुटने टेककर ऊंचे शब्द से पुकारा, हे प्रभु, यह पाप उन पर मत लगा, और यह कहकर सो गया: और शाऊल उसके बध में सहमत था॥
Phir ghutne tekkar oonche shabd se pukara, he Prabhu, yah paap un par mat laga, aur yah kahkar so gaya: aur shaool uske badh mein sahmat tha.