Acts 6 · 15 verses

प्रेरितों के काम 6 Acts 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 6.

1

उन दिनों में जब चेले बहुत होते जाते थे, तो यूनानी भाषा बोलने वाले इब्रानियों पर कुड़कुड़ाने लगे, कि प्रति दिन की सेवकाई में हमारी विधवाओं की सुधि नहीं ली जाती।

Un dinon mein jab chele bahut hote jate the, to yoonani bhasha bolne vale ibraniyon par kudkudane lage, ki prati din ki sevkai mein hamari vidhvaon ki sudhi nahi li jati.

2

तब उन बारहों ने चेलों की मण्डली को अपने पास बुलाकर कहा, यह ठीक नहीं कि हम परमेश्वर का वचन छोड़कर खिलाने पिलाने की सेवा में रहें।

Tab un barhon ne chelon ki mandali ko apne paas bulakar kaha, yah theek nahi ki ham Parmeshwar ka vachan chhodkar khilane pilane ki seva mein rahein.

3

इसलिये हे भाइयो, अपने में से सात सुनाम पुरूषों को जो पवित्र आत्मा और बुद्धि से परिपूर्ण हों, चुन लो, कि हम उन्हें इस काम पर ठहरा दें।

Isliye he bhaiyo, apne mein se saat sunaam purooshon ko jo pavitra aatma aur buddhi se paripoorn hon, chun lo, ki ham unhein is kaam par thahra dein.

4

परन्तु हम तो प्रार्थना में और वचन की सेवा में लगे रहेंगे।

Parantu ham to prarthana mein aur vachan ki seva mein lage rahenge.

5

यह बात सारी मण्डली को अच्छी लगी, और उन्होंने स्तिफनुस नाम एक पुरूष को जो विश्वास और पवित्र आत्मा से परिपूर्ण था, और फिलेप्पुस और प्रखुरूस और नीकानोर और तीमोन और परिमनास और अन्ताकीवाला नीकुलाउस को जो यहूदी मत में आ गया था, चुन लिया।

Yah baat sari mandali ko achchhi lagi, aur unhonne stiphnus naam ek puroosh ko jo vishwaas aur pavitra aatma se paripoorn tha, aur phileppus aur prakhuroos aur neekanor aur teemon aur parimnaas aur antakeevala neekulaus ko jo Yahudi mat mein aa gaya tha, chun liya.

6

और इन्हें प्रेरितों के साम्हने खड़ा किया और उन्होंने प्रार्थना करके उन पर हाथ रखे।

Aur inhein preriton ke samhane khada kiya aur unhonne prarthana karke un par haath rakhe.

7

और परमेश्वर का वचन फैलता गया और यरूशलेम में चेलों की गिनती बहुत बढ़ती गई; और याजकों का एक बड़ा समाज इस मत के अधीन हो गया।

Aur Parmeshwar ka vachan phailta gaya aur Yerushalem mein chelon ki ginti bahut badhti gai; aur yajkon ka ek bada samaaj is mat ke adheen ho gaya.

8

स्तिफनुस अनुग्रह और सामर्थ में परिपूर्ण होकर लोगों में बड़े बड़े अद्भुत काम और चिन्ह दिखाया करता था।

Stiphnus anugrah aur samarth mein paripoorn hokar logon mein bade bade adbhut kaam aur chinh dikhaya karta tha.

9

तब उस अराधनालय में से जो लिबरतीनों की कहलाती थी, और कुरेनी और सिकन्दरिया और किलिकिया और एशीया के लोगों में से कई एक उठकर स्तिफनुस से वाद-विवाद करने लगे।

Tab us aradhnalay mein se jo libarteenon ki kahlati thi, aur kureni aur sikandariya aur kilikiya aur esheeya ke logon mein se kai ek uthkar stiphnus se vaad-vivaad karne lage.

10

परन्तु उस ज्ञान और उस आत्मा का जिस से वह बातें करता था, वे साम्हना न कर सके।

Parantu us gyaan aur us aatma ka jis se vah batein karta tha, ve samhana na kar sake.

11

इस पर उन्होने कई लोगों को उभारा जो कहने लगे, कि हम ने इस को मूसा और परमेश्वर के विरोध में निन्दा की बातें कहते सुना है।

Is par unhone kai logon ko ubhara jo kahne lage, ki ham ne is ko Musa aur Parmeshwar ke virodh mein ninda ki batein kahte suna hai.

12

और लोगों और प्राचीनों और शास्त्रियों को भड़काकर चढ़ आए और उसे पकड़कर महासभा में ले आए।

Aur logon aur pracheenon aur shastriyon ko bhadkakar chadh aaye aur use pakadkar mahasbha mein le aaye.

13

और झूठे गवाह खड़े किए, जिन्हों ने कहा कि यह मनुष्य इस पवित्र स्थान और व्यवस्था के विरोध में बोलना नहीं छोड़ता।

Aur jhoothe gavaah khade kiye, jinhon ne kaha ki yah manushya is pavitra sthaan aur vyavastha ke virodh mein bolna nahi chhodta.

14

क्योंकि हम ने उसे यह कहते सुना है, कि यही यीशु नासरी इस जगह को ढा देगा, और उन रीतों को बदल डालेगा जो मूसा ने हमें सौंपी हैं।

Kyonki ham ne use yah kahte suna hai, ki yahi Yeshu nasri is jagah ko dha dega, aur un reeton ko badal dalega jo Musa ne hamein saumpi hain.

15

तब सब लोगों ने जो सभा में बैठे थे, उस की ओर ताक कर उसका मुखड़ा स्वर्गदूत का सा देखा॥

Tab sab logon ne jo sabha mein baithe the, us ki or taak kar uska mukhda swargadoot ka sa dekha.