Acts 5 · 42 verses

प्रेरितों के काम 5 Acts 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 5.

1

और हनन्याह नाम एक मनुष्य, और उस की पत्नी सफीरा ने कुछ भूमि बेची।

Aur hananyaah naam ek manushya, aur us ki patni sapheera ne kuchh bhoomi bechi.

2

और उसके दाम में से कुछ रख छोड़ा; और यह बात उस की पत्नी भी जानती थी, और उसका एक भाग लाकर प्रेरितों के पावों के आगे रख दिया।

Aur uske daam mein se kuchh rakh chhoda; aur yah baat us ki patni bhi janti thi, aur uska ek bhaag lakar preriton ke pavon ke aage rakh diya.

3

परन्तु पतरस ने कहा; हे हनन्याह! शैतान ने तेरे मन में यह बात क्यों डाली है कि तू पवित्र आत्मा से झूठ बोले, और भूमि के दाम में से कुछ रख छोड़े?

Parantu Patras ne kaha; he hananyaah! Shaitan ne tere man mein yah baat kyon dali hai ki tu pavitra aatma se jhooth bole, aur bhoomi ke daam mein se kuchh rakh chhode?

4

जब तक वह तेरे पास रही, क्या तेरी न थी? और जब बिक गई तो क्या तेरे वश में न थी? तू ने यह बात अपने मन में क्यों विचारी? तू मनुष्यों से नहीं, परन्तु परमेश्वर से झूठ बोला।

Jab tak vah tere paas rahi, kya teri na thi? Aur jab bik gai to kya tere vash mein na thi? Tu ne yah baat apne man mein kyon vichari? Tu manushyon se nahi, parantu Parmeshwar se jhooth bola.

5

ये बातें सुनते ही हनन्याह गिर पड़ा, और प्राण छोड़ दिए; और सब सुनने वालों पर बड़ा भय छा गया।

Ye batein sunte hi hananyaah gir pada, aur praan chhod diye; aur sab sunne valon par bada bhay chha gaya.

6

फिर जवानों ने उठकर उसकी अर्थी बनाई और बाहर ले जाकर गाड़ दिया॥

Phir javanon ne uthkar uski arthi banai aur bahar le jakar gaad diya.

7

लगभग तीन घंटे के बाद उस की पत्नी, जो कुछ हुआ था न जानकर, भीतर आई।

Lagbhag teen ghante ke baad us ki patni, jo kuchh huaa tha na jankar, bheetar aai.

8

तब पतरस ने उस से कहा; मुझे बता क्या तुम ने वह भूमि इतने ही में बेची थी? उस ने कहा; हां, इतने ही में।

Tab Patras ne us se kaha; mujhe bata kya tum ne vah bhoomi itne hi mein bechi thi? Us ne kaha; han, itne hi mein.

9

पतरस ने उस से कहा; यह क्या बात है, कि तुम दोनों ने प्रभु की आत्मा की परीक्षा के लिये एका किया है देख, तेरे पति के गाड़ने वाले द्वार ही पर खड़े हैं, और तुझे भी बाहर ले जाएंगे।

Patras ne us se kaha; yah kya baat hai, ki tum donon ne Prabhu ki aatma ki pareeksha ke liye eka kiya hai dekh, tere pati ke gadne vale dwaar hi par khade hain, aur tujhe bhi bahar le jayenge.

10

तब वह तुरन्त उसके पांवों पर गिर पड़ी, और प्राण छोड़ दिए: और जवानों ने भीतर आकर उसे मरा पाया, और बाहर ले जाकर उसके पति के पास गाड़ दिया।

Tab vah turant uske panvon par gir padi, aur praan chhod diye: aur javanon ne bheetar aakar use mara paya, aur bahar le jakar uske pati ke paas gaad diya.

11

और सारी कलीसिया पर और इन बातों के सब सुनने वालों पर, बड़ा भय छा गया॥

Aur sari kaleesiya par aur in baton ke sab sunne valon par, bada bhay chha gaya.

12

और प्रेरितों के हाथों से बहुत चिन्ह और अद्भुत काम लोगों के बीच में दिखाए जाते थे, (और वे सब एक चित्त होकर सुलैमान के ओसारे में इकट्ठे हुआ करते थे।

Aur preriton ke hathon se bahut chinh aur adbhut kaam logon ke beech mein dikhaye jate the, (aur ve sab ek chitt hokar sulaimaan ke osare mein ikatthe huaa karte the.

13

परन्तु औरों में से किसी को यह हियाव न होता था, उन में जा मिलें; तौभी लोग उन की बड़ाई करते थे।

Parantu auron mein se kisi ko yah hiyaav na hota tha, un mein ja milein; taubhi log un ki badai karte the.

14

और विश्वास करने वाले बहुतेरे पुरूष और स्त्रियां प्रभु की कलीसिया में और भी अधिक आकर मिलते रहे।)

Aur vishwaas karne vale bahutere puroosh aur striyan Prabhu ki kaleesiya mein aur bhi adhik aakar milte rahe.)

15

यहां तक कि लोग बीमारों को सड़कों पर ला लाकर, खाटों और खटोलों पर लिटा देते थे, कि जब पतरस आए, तो उस की छाया ही उन में से किसी पर पड़ जाए।

Yahan tak ki log beemaron ko sadkon par la lakar, khaton aur khatolon par lita dete the, ki jab Patras aaye, to us ki chhaya hi un mein se kisi par pad jaye.

16

और यरूशलेम के आस पास के नगरों से भी बहुत लोग बीमारों और अशुद्ध आत्माओं के सताए हुओं का ला लाकर, इकट्ठे होते थे, और सब अच्छे कर दिए जाते थे॥

Aur Yerushalem ke aas paas ke nagron se bhi bahut log beemaron aur ashuddh aatmaon ke sataye huon ka la lakar, ikatthe hote the, aur sab achchhe kar diye jate the.

17

तब महायाजक और उसके सब साथी जो सदूकियों के पंथ के थे, डाह से भर कर उठे।

Tab mahayajak aur uske sab sathi jo sadookiyon ke panth ke the, daah se bhar kar uthe.

18

और प्रेरितों को पकड़कर बन्दीगृह में बन्द कर दिया।

Aur preriton ko pakadkar bandeegrih mein band kar diya.

19

परन्तु रात को प्रभु के एक स्वर्गदूत ने बन्दीगृह के द्वार खोलकर उन्हें बाहर लाकर कहा।

Parantu raat ko Prabhu ke ek swargadoot ne bandeegrih ke dwaar kholkar unhein bahar lakar kaha.

20

कि जाओ, मन्दिर में खड़े होकर, इस जीवन की सब बातें लोगों को सुनाओ।

Ki jao, mandir mein khade hokar, is jeevan ki sab batein logon ko sunao.

21

वे यह सुनकर भोर होते ही मन्दिर में जाकर उपदेश देने लगे: परन्तु महायाजक और उसके साथियों ने आकर महासभा को और इस्त्राएलियों के सब पुरनियों को इकट्ठे किया, और बन्दीगृह में कहला भेजा कि उन्हें लाएं।

Ve yah sunkar bhor hote hi mandir mein jakar updesh dene lage: parantu mahayajak aur uske sathiyon ne aakar mahasbha ko aur istrayeliyon ke sab purniyon ko ikatthe kiya, aur bandeegrih mein kahla bheja ki unhein layen.

22

परन्तु प्यादों ने वहां पहुंचकर उन्हें बन्दीगृह में न पाया, और लौटकर संदेश दिया।

Parantu pyadon ne vahan pahunchkar unhein bandeegrih mein na paya, aur lautkar sandesh diya.

23

कि हम ने बन्दीगृह को बड़ी चौकसी से बन्द किया हुआ, और पहरे वालों को बाहर द्वारों पर खड़े हुए पाया; परन्तु जब खोला, तो भीतर कोई न मिला।

Ki ham ne bandeegrih ko badi chauksi se band kiya huaa, aur pahre valon ko bahar dwaron par khade hue paya; parantu jab khola, to bheetar koi na mila.

24

जब मन्दिर के सरदार और महायाजकों ने ये बातें सुनीं, तो उन के विषय में भारी चिन्ता में पड़ गए कि यह क्या हुआ चाहता है?

Jab mandir ke sardaar aur mahayajkon ne ye batein suni, to un ke vishay mein bhari chinta mein pad gaye ki yah kya huaa chahta hai?

25

इतने में किसी ने आकर उन्हें बताया, कि देखो, जिन्हें तुम ने बन्दीगृह में बन्द रखा था, वे मनुष्य मन्दिर में खड़े हुए लोगों को उपदेश दे रहे हैं।

Itne mein kisi ne aakar unhein bataya, ki dekho, jinhein tum ne bandeegrih mein band rakha tha, ve manushya mandir mein khade hue logon ko updesh de rahe hain.

26

तब सरदार, प्यादों के साथ जाकर, उन्हें ले आया, परन्तु बरबस नहीं, क्योंकि वे लोगों से डरते थे, कि हमें पत्थरवाह न करें।

Tab sardaar, pyadon ke saath jakar, unhein le aaya, parantu barbas nahi, kyonki ve logon se darte the, ki hamein pattharvaah na karein.

27

उन्होंने उन्हें फिर लाकर महासभा के साम्हने खड़ा कर दिया और महायाजक ने उन से पूछा।

Unhonne unhein phir lakar mahasbha ke samhane khada kar diya aur mahayajak ne un se poochha.

28

क्या हम ने तुम्हें चिताकर आज्ञा न दी थी, कि तुम इस नाम से उपदेश न करना? तौभी देखो, तुम ने सारे यरूशलेम को अपने उपदेश से भर दिया है और उस व्यक्ति का लोहू हमारी गर्दन पर लाना चाहते हो।

Kya ham ne tumhein chitakar aagya na di thi, ki tum is naam se updesh na karna? Taubhi dekho, tum ne sare Yerushalem ko apne updesh se bhar diya hai aur us vyakti ka lohu hamari gardan par lana chahte ho.

29

तब पतरस और, और प्रेरितों ने उत्तर दिया, कि मनुष्यों की आज्ञा से बढ़कर परमेश्वर की आज्ञा का पालन करना ही कर्तव्य कर्म है।

Tab Patras aur, aur preriton ne uttar diya, ki manushyon ki aagya se badhkar Parmeshwar ki aagya ka palan karna hi kartavya karm hai.

30

हमारे बाप दादों के परमेश्वर ने यीशु को जिलाया, जिसे तुम ने क्रूस पर लटका कर मार डाला था।

Hamare baap dadon ke Parmeshwar ne Yeshu ko jilaya, jise tum ne kroos par latka kar maar dala tha.

31

उसी को परमेश्वर ने प्रभु और उद्धारक ठहराकर, अपने दाहिने हाथ से सर्वोच्च कर दिया, कि वह इस्त्राएलियों को मन फिराव की शक्ति और पापों की क्षमा प्रदान करे।

Usi ko Parmeshwar ne Prabhu aur uddharak thahrakar, apne dahine haath se sarvochch kar diya, ki vah istrayeliyon ko man phiraav ki shakti aur papon ki kshama pradaan kare.

32

और हम इन बातों के गवाह हैं, और पवित्र आत्मा भी, जिसे परमेश्वर ने उन्हें दिया है, जो उस की आज्ञा मानते हैं॥

Aur ham in baton ke gavaah hain, aur pavitra aatma bhi, jise Parmeshwar ne unhein diya hai, jo us ki aagya mante hain.

33

यह सुनकर वे जल गए, और उन्हें मार डालना चाहा।

Yah sunkar ve jal gaye, aur unhein maar dalna chaha.

34

परन्तु गमलीएल नाम एक फरीसी ने जो व्यवस्थापक और सब लोगों में माननीय था, न्यायालय में खड़े होकर प्रेरितों को थोड़ी देर के लिये बाहर कर देने की आज्ञा दी।

Parantu gamleeyel naam ek phareesi ne jo vyavasthapak aur sab logon mein manneeya tha, nyayalay mein khade hokar preriton ko thodi der ke liye bahar kar dene ki aagya di.

35

तब उस ने कहा, हे इस्त्राएलियों, जो कुछ इन मनुष्यों से किया चाहते हो, सोच समझ के करना।

Tab us ne kaha, he istrayeliyon, jo kuchh in manushyon se kiya chahte ho, soch samajh ke karna.

36

क्योंकि इन दिनों से पहले यियूदास यह कहता हुआ उठा, कि मैं भी कुछ हूं; और कोई चार सौ मनुष्य उसके साथ हो लिये, परन्तु वह मारा गया; और जितने लोग उसे मानते थे, सब तित्तर बित्तर हुए और मिट गए।

Kyonki in dinon se pahle yiyoodaas yah kahta huaa utha, ki main bhi kuchh hoon; aur koi chaar sau manushya uske saath ho liye, parantu vah mara gaya; aur jitne log use mante the, sab tittar bittar hue aur mit gaye.

37

उसके बाद नाम लिखाई के दिनों में यहूदा गलीली उठा, और कुछ लोग अपनी ओर कर लिये: वह भी नाश हो गया, और जितने लागे उसे मानते थे, सब तित्तर बित्तर हो गए।

Uske baad naam likhai ke dinon mein Yahuda galeeli utha, aur kuchh log apni or kar liye: vah bhi naash ho gaya, aur jitne lage use mante the, sab tittar bittar ho gaye.

38

इसलिये अब मैं तुम से कहता हूं, इन मनुष्यों से दूर ही रहो और उन से कुछ काम न रखो; क्योंकि यदि यह धर्म या काम मनुष्यों की ओर से हो तब तो मिट जाएगा।

Isliye ab main tum se kahta hoon, in manushyon se door hi raho aur un se kuchh kaam na rakho; kyonki yadi yah dharm ya kaam manushyon ki or se ho tab to mit jayega.

39

परन्तु यदि परमेश्वर की ओर से है, तो तुम उन्हें कदापि मिटा न सकोगे; कहीं ऐसा न हो, कि तुम परमेश्वर से भी लड़ने वाले ठहरो।

Parantu yadi Parmeshwar ki or se hai, to tum unhein kadapi mita na sakoge; kahi aisa na ho, ki tum Parmeshwar se bhi ladne vale thahro.

40

तब उन्होंने उस की बात मान ली; और प्रेरितों को बुलाकर पिटवाया; और यह आज्ञा देकर छोड़ दिया, कि यीशु के नाम से फिर बातें न करना।

Tab unhonne us ki baat maan li; aur preriton ko bulakar pitvaya; aur yah aagya dekar chhod diya, ki Yeshu ke naam se phir batein na karna.

41

वे इस बात से आनन्दित होकर महासभा के साम्हने से चले गए, कि हम उसके नाम के लिये निरादर होने के योग्य तो ठहरे।

Ve is baat se aanandit hokar mahasbha ke samhane se chale gaye, ki ham uske naam ke liye niradar hone ke yogya to thahre.

42

और प्रति दिन मन्दिर में और घर घर में उपदेश करने, और इस बात का सुसमाचार सुनाने से, कि यीशु ही मसीह है न रूके॥

Aur prati din mandir mein aur ghar ghar mein updesh karne, aur is baat ka susmachaar sunane se, ki Yeshu hi Masih hai na rooke.