Acts 4 · 37 verses

प्रेरितों के काम 4 Acts 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 4.

1

जब वे लोगों से यह कह रहे थे, तो याजक और मन्दिर के सरदार और सदूकी उन पर चढ़ आए।

Jab ve logon se yah kah rahe the, to yajak aur mandir ke sardaar aur sadooki un par chadh aaye.

2

क्योंकि वे बहुत क्रोधित हुए कि वे लोगों को सिखाते थे और यीशु का उदाहरण दे देकर मरे हुओं के जी उठने का प्रचार करते थे।

Kyonki ve bahut krodhit hue ki ve logon ko sikhate the aur Yeshu ka udahran de dekar mare huon ke ji uthne ka prachaar karte the.

3

और उन्होंने उन्हें पकड़कर दूसरे दिन तक हवालात में रखा क्योंकि सन्धया हो गई थी।

Aur unhonne unhein pakadkar doosre din tak havalaat mein rakha kyonki sandhaya ho gai thi.

4

परन्तु वचन के सुनने वालों में से बहुतों ने विश्वास किया, और उन की गिनती पांच हजार पुरूषों के लगभग हो गई॥

Parantu vachan ke sunne valon mein se bahuton ne vishwaas kiya, aur un ki ginti paanch hajaar purooshon ke lagbhag ho gai.

5

दूसरे दिन ऐसा हुआ कि उन के सरदार और पुरनिये और शास्त्री।

Doosre din aisa huaa ki un ke sardaar aur purniye aur shastri.

6

और महायाजक हन्ना और कैफा और यूहन्ना और सिकन्दर और जितने महायाजक के घराने के थे, सब यरूशलेम में इकट्ठे हुए।

Aur mahayajak hanna aur kaipha aur Yuhanna aur sikandar aur jitne mahayajak ke gharane ke the, sab Yerushalem mein ikatthe hue.

7

और उन्हें बीच में खड़ा करके पूछने लगे, कि तुम ने यह काम किस सामर्थ से और किस नाम से किया है?

Aur unhein beech mein khada karke poochhne lage, ki tum ne yah kaam kis samarth se aur kis naam se kiya hai?

8

तब पतरस ने पवित्र आत्मा से परिपूर्ण होकर उन से कहा।

Tab Patras ne pavitra aatma se paripoorn hokar un se kaha.

9

हे लोगों के सरदारों और पुरनियों, इस दुर्बल मनुष्य के साथ जो भलाई की गई है, यदि आज हम से उसके विषय में पूछ पाछ की जाती है, कि वह क्योंकर अच्छा हुआ।

He logon ke sardaron aur purniyon, is durbal manushya ke saath jo bhalai ki gai hai, yadi aaj ham se uske vishay mein poochh paachh ki jati hai, ki vah kyonkar achchha huaa.

10

तो तुम सब और सारे इस्त्राएली लोग जान लें कि यीशु मसीह नासरी के नाम से जिसे तुम ने क्रूस पर चढ़ाया, और परमेश्वर ने मरे हुओं में से जिलाया, यह मनुष्य तुम्हारे साम्हने भला चंगा खड़ा है।

To tum sab aur sare istrayeli log jaan lein ki Yeshu Masih nasri ke naam se jise tum ne kroos par chadhaya, aur Parmeshwar ne mare huon mein se jilaya, yah manushya tumhare samhane bhala changa khada hai.

11

यह वही पत्थर है जिसे तुम राजमिस्त्रियों ने तुच्छ जाना और वह कोने के सिरे का पत्थर हो गया।

Yah vahi patthar hai jise tum rajmistriyon ne tuchchh jana aur vah kone ke sire ka patthar ho gaya.

12

और किसी दूसरे के द्वारा उद्धार नहीं; क्योंकि स्वर्ग के नीचे मनुष्यों में और कोई दूसरा नाम नहीं दिया गया, जिस के द्वारा हम उद्धार पा सकें॥

Aur kisi doosre ke dwara uddhaar nahi; kyonki swarg ke neeche manushyon mein aur koi doosra naam nahi diya gaya, jis ke dwara ham uddhaar pa sakein.

13

जब उन्होंने पतरस और यूहन्ना का हियाव देखा, ओर यह जाना कि ये अनपढ़ और साधारण मनुष्य हैं, तो अचम्भा किया; फिर उन को पहचाना, कि ये यीशु के साथ रहे हैं।

Jab unhonne Patras aur Yuhanna ka hiyaav dekha, or yah jana ki ye anpadh aur sadharan manushya hain, to achambha kiya; phir un ko pahchana, ki ye Yeshu ke saath rahe hain.

14

और उस मनुष्य को जो अच्छा हुआ था, उन के साथ खड़े देखकर, वे विरोध में कुछ न कह सके।

Aur us manushya ko jo achchha huaa tha, un ke saath khade dekhkar, ve virodh mein kuchh na kah sake.

15

परन्तु उन्हें सभा के बाहर जाने की आज्ञा देकर, वे आपस में विचार करने लगे,

Parantu unhein sabha ke bahar jane ki aagya dekar, ve aapas mein vichaar karne lage,

16

कि हम इन मनुष्यों के साथ क्या करें? क्योंकि यरूशलेम के सब रहने वालों पर प्रगट है, कि इन के द्वारा एक प्रसिद्ध चिन्ह दिखाया गया है; और हम उसका इन्कार नहीं कर सकते।

Ki ham in manushyon ke saath kya karein? Kyonki Yerushalem ke sab rahne valon par pragat hai, ki in ke dwara ek prasiddh chinh dikhaya gaya hai; aur ham uska inkaar nahi kar sakte.

17

परन्तु इसलिये कि यह बात लोगों में और अधिक फैल न जाए, हम उन्हें धमकाएं, कि वे इस नाम से फिर किसी मनुष्य से बातें न करें।

Parantu isliye ki yah baat logon mein aur adhik phail na jaye, ham unhein dhamkayen, ki ve is naam se phir kisi manushya se batein na karein.

18

तब उन्हें बुलाया और चितौनी देकर यह कहा, कि यीशु के नाम से कुछ भी न बोलना और न सिखलाना।

Tab unhein bulaya aur chitauni dekar yah kaha, ki Yeshu ke naam se kuchh bhi na bolna aur na sikhlana.

19

परन्तु पतरस और यूहन्ना ने उन को उत्तर दिया, कि तुम ही न्याय करो, कि क्या यह परमेश्वर के निकट भला है, कि हम परमेश्वर की बात से बढ़कर तुम्हारी बात मानें।

Parantu Patras aur Yuhanna ne un ko uttar diya, ki tum hi nyaay karo, ki kya yah Parmeshwar ke nikat bhala hai, ki ham Parmeshwar ki baat se badhkar tumhari baat manein.

20

क्योंकि यह तो हम से हो नहीं सकता, कि जो हम ने देखा और सुना है, वह न कहें।

Kyonki yah to ham se ho nahi sakta, ki jo ham ne dekha aur suna hai, vah na kahein.

21

तब उन्होंने उन को और धमका कर छोड़ दिया, क्योंकि लोगों के कारण उन्हें दण्ड देने का कोई दांव नहीं मिला, इसलिये कि जो घटना हुई थी उसके कारण सब लोग परमेश्वर की बड़ाई करते थे।

Tab unhonne un ko aur dhamka kar chhod diya, kyonki logon ke karan unhein dand dene ka koi daanv nahi mila, isliye ki jo ghatna hui thi uske karan sab log Parmeshwar ki badai karte the.

22

क्योंकि वह मनुष्य, जिस पर यह चंगा करने का चिन्ह दिखाया गया था, चालीस वर्ष से अधिक आयु का था।

Kyonki vah manushya, jis par yah changa karne ka chinh dikhaya gaya tha, chalees varsh se adhik aayu ka tha.

23

वे छूटकर अपने साथियों के पास आए, और जो कुछ महायाजकों और पुरनियों ने उन से कहा था, उन को सुना दिया।

Ve chhootkar apne sathiyon ke paas aaye, aur jo kuchh mahayajkon aur purniyon ne un se kaha tha, un ko suna diya.

24

यह सुनकर, उन्होंने एक चित्त होकर ऊंचे शब्द से परमेश्वर से कहा, हे स्वामी, तू वही है जिस ने स्वर्ग और पृथ्वी और समुद्र और जो कुछ उन में है बनाया।

Yah sunkar, unhonne ek chitt hokar oonche shabd se Parmeshwar se kaha, he swami, tu vahi hai jis ne swarg aur prithvi aur samudra aur jo kuchh un mein hai banaya.

25

तू ने पवित्र आत्मा के द्वारा अपने सेवक हमारे पिता दाऊद के मुख से कहा, कि अन्य जातियों ने हुल्लड़ क्यों मचाया और देश के लोगों ने क्यों व्यर्थ बातें सोचीं?

Tu ne pavitra aatma ke dwara apne sevak hamare pita Daud ke mukh se kaha, ki anya jatiyon ne hullad kyon machaya aur desh ke logon ne kyon vyarth batein sochi?

26

प्रभु और उसके मसीह के विरोध में पृथ्वी के राजा खड़े हुए, और हाकिम एक साथ इकट्ठे हो गए।

Prabhu aur uske Masih ke virodh mein prithvi ke raja khade hue, aur hakim ek saath ikatthe ho gaye.

27

क्योंकि सचमुच तेरे सेवक यीशु के विरोध में, जिस तू ने अभिषेक किया, हेरोदेस और पुन्तियुस पीलातुस भी अन्य जातियों और इस्त्राएलियों के साथ इस नगर में इकट्ठे हुए।

Kyonki sachmuch tere sevak Yeshu ke virodh mein, jis tu ne abhishek kiya, herodes aur puntiyus peelatus bhi anya jatiyon aur istrayeliyon ke saath is nagar mein ikatthe hue.

28

कि जो कुछ पहिले से तेरी सामर्थ और मति से ठहरा था वही करें।

Ki jo kuchh pahile se teri samarth aur mati se thahra tha vahi karein.

29

अब, हे प्रभु, उन की धमकियों को देख; और अपने दासों को यह वरदान दे, कि तेरा वचन बड़े हियाव से सुनाएं।

Ab, he Prabhu, un ki dhamkiyon ko dekh; aur apne dason ko yah vardaan de, ki tera vachan bade hiyaav se sunayen.

30

और चंगा करने के लिये तू अपना हाथ बढ़ा; कि चिन्ह और अद्भुत काम तेरे पवित्र सेवक यीशु के नाम से किए जाएं।

Aur changa karne ke liye tu apna haath badha; ki chinh aur adbhut kaam tere pavitra sevak Yeshu ke naam se kiye jayen.

31

जब वे प्रार्थना कर चुके, तो वह स्थान जहां वे इकट्ठे थे हिल गया, और वे सब पवित्र आत्मा से परिपूर्ण हो गए, और परमेश्वर का वचन हियाव से सुनाते रहे॥

Jab ve prarthana kar chuke, to vah sthaan jahan ve ikatthe the hil gaya, aur ve sab pavitra aatma se paripoorn ho gaye, aur Parmeshwar ka vachan hiyaav se sunate rahe.

32

और विश्वास करने वालों की मण्डली एक चित्त और एक मन के थे यहां तक कि कोई भी अपनी सम्पति अपनी नहीं कहता था, परन्तु सब कुछ साझे का था।

Aur vishwaas karne valon ki mandali ek chitt aur ek man ke the yahan tak ki koi bhi apni sampati apni nahi kahta tha, parantu sab kuchh sajhe ka tha.

33

और प्रेरित बड़ी सामर्थ से प्रभु यीशु के जी उठने की गवाही देते रहे और उन सब पर बड़ा अनुग्रह था।

Aur prerit badi samarth se Prabhu Yeshu ke ji uthne ki gavahi dete rahe aur un sab par bada anugrah tha.

34

और उन में कोई भी दरिद्र न था, क्योंकि जिन के पास भूमि या घर थे, वे उन को बेच बेचकर, बिकी हुई वस्तुओं का दाम लाते, और उसे प्रेरितों के पांवों पर रखते थे।

Aur un mein koi bhi daridra na tha, kyonki jin ke paas bhoomi ya ghar the, ve un ko bech bechkar, biki hui vastuon ka daam late, aur use preriton ke panvon par rakhte the.

35

और जैसी जिसे आवश्यकता होती थी, उसके अनुसार हर एक को बांट दिया करते थे।

Aur jaisi jise aavashyakta hoti thi, uske anusaar har ek ko baant diya karte the.

36

और यूसुफ नाम, कुप्रुस का एक लेवी था जिसका नाम प्रेरितों ने बरनबा अर्थात (शान्ति का पुत्र) रखा था।

Aur Yusuf naam, kuprus ka ek levi tha jiska naam preriton ne baranba arthaat (shanti ka putra) rakha tha.

37

उस की कुछ भूमि थी, जिसे उस ने बेचा, और दाम के रूपये लाकर प्रेरितों के पांवों पर रख दिए॥

Us ki kuchh bhoomi thi, jise us ne becha, aur daam ke roopye lakar preriton ke panvon par rakh diye.