Acts 3 · 26 verses

प्रेरितों के काम 3 Acts 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 3.

1

पतरस और यूहन्ना तीसरे पहर प्रार्थना के समय मन्दिर में जा रहे थे।

Patras aur Yuhanna teesre pahar prarthana ke samay mandir mein ja rahe the.

2

और लोग एक जन्म के लंगड़े को ला रहे थे, जिस को वे प्रति दिन मन्दिर के उस द्वार पर जो सुन्दर कहलाता है, बैठा देते थे, कि वह मन्दिर में जाने वालों से भीख मांगे।

Aur log ek janm ke langde ko la rahe the, jis ko ve prati din mandir ke us dwaar par jo sundar kahlata hai, baitha dete the, ki vah mandir mein jane valon se bheekh mange.

3

जब उस ने पतरस और यूहन्ना को मन्दिर में जाते देखा, तो उन से भीख मांगी।

Jab us ne Patras aur Yuhanna ko mandir mein jate dekha, to un se bheekh mangi.

4

पतरस ने यूहन्ना के साथ उस की ओर ध्यान से देखकर कहा, हमारी ओर देख।

Patras ne Yuhanna ke saath us ki or dhyaan se dekhkar kaha, hamari or dekh.

5

सो वह उन से कुछ पाने की आशा रखते हुए उन की ओर ताकने लगा।

So vah un se kuchh pane ki aasha rakhte hue un ki or takne laga.

6

तब पतरस ने कहा, चान्दी और सोना तो मेरे पास है नहीं; परन्तु जो मेरे पास है, वह तुझे देता हूं: यीशु मसीह नासरी के नाम से चल फिर।

Tab Patras ne kaha, chandi aur sona to mere paas hai nahi; parantu jo mere paas hai, vah tujhe deta hoon: Yeshu Masih nasri ke naam se chal phir.

7

और उस ने उसका दाहिना हाथ पकड़ के उसे उठाया: और तुरन्त उसके पावों और टखनों में बल आ गया।

Aur us ne uska dahina haath pakad ke use uthaya: aur turant uske pavon aur takhnon mein bal aa gaya.

8

और वह उछलकर खड़ा हो गया, और चलने फिरने लगा और चलता; और कूदता, और परमेश्वर की स्तुति करता हुआ उन के साथ मन्दिर में गया।

Aur vah uchhalkar khada ho gaya, aur chalne phirne laga aur chalta; aur koodta, aur Parmeshwar ki stuti karta huaa un ke saath mandir mein gaya.

9

सब लोगों ने उसे चलते फिरते और परमेश्वर की स्तुति करते देखकर।

Sab logon ne use chalte phirte aur Parmeshwar ki stuti karte dekhkar.

10

उस को पहचान लिया कि यह वही है, जो मन्दिर के सुन्दर फाटक पर बैठ कर भीख मांगा करता था; और उस घटना से जो उसके साथ हुई थी; वे बहुत अचम्भित और चकित हुए॥

Us ko pahchaan liya ki yah vahi hai, jo mandir ke sundar phatak par baith kar bheekh manga karta tha; aur us ghatna se jo uske saath hui thi; ve bahut achambhit aur chakit hue.

11

जब वह पतरस और यूहन्ना को पकड़े हुए था, तो सब लोग बहुत अचम्भा करते हुए उस ओसारे में जो सुलैमान का कहलाता है, उन के पास दौड़े आए।

Jab vah Patras aur Yuhanna ko pakde hue tha, to sab log bahut achambha karte hue us osare mein jo sulaimaan ka kahlata hai, un ke paas daude aaye.

12

यह देखकर पतरस ने लोगों से कहा; हे इस्त्राएलियों, तुम इस मनुष्य पर क्यों अचम्भा करते हो, और हमारी ओर क्यों इस प्रकार देख रहे हो, कि मानो हम ही ने अपनी सामर्थ या भक्ति से इसे चलना-फिरता कर दिया।

Yah dekhkar Patras ne logon se kaha; he istrayeliyon, tum is manushya par kyon achambha karte ho, aur hamari or kyon is prakaar dekh rahe ho, ki mano ham hi ne apni samarth ya bhakti se ise chalna-phirta kar diya.

13

इब्राहीम और इसहाक और याकूब के परमेश्वर, हमारे बाप दादों के परमेश्वर ने अपने सेवक यीशु की महिमा की, जिसे तुम ने पकड़वा दिया, और जब पीलातुस ने उसे छोड़ देने का विचार किया, तब तुम ने उसके साम्हने उसका इन्कार किया।

Ibrahim aur Ishaq aur Yakub ke Parmeshwar, hamare baap dadon ke Parmeshwar ne apne sevak Yeshu ki mahima ki, jise tum ne pakadva diya, aur jab peelatus ne use chhod dene ka vichaar kiya, tab tum ne uske samhane uska inkaar kiya.

14

तुम ने उस पवित्र और धर्मी का इन्कार किया, और बिनती की, कि एक हत्यारे को तुम्हारे लिये छोड़ दिया जाए।

Tum ne us pavitra aur dharmi ka inkaar kiya, aur binti ki, ki ek hatyare ko tumhare liye chhod diya jaye.

15

और तुम ने जीवन के कर्ता को मार डाला, जिसे परमेश्वर ने मरे हुओं में से जिलाया; और इस बात के हम गवाह हैं।

Aur tum ne jeevan ke karta ko maar dala, jise Parmeshwar ne mare huon mein se jilaya; aur is baat ke ham gavaah hain.

16

और उसी के नाम ने, उस विश्वास के द्वारा जो उसके नाम पर है, इस मनुष्य को जिसे तुम देखते हो और जानते भी हो सामर्थ दी है; और निश्चय उसी विश्वास ने जो उसके द्वारा है, इस को तुम सब के साम्हने बिलकुल भला चंगा कर दिया है।

Aur usi ke naam ne, us vishwaas ke dwara jo uske naam par hai, is manushya ko jise tum dekhte ho aur jante bhi ho samarth di hai; aur nishchay usi vishwaas ne jo uske dwara hai, is ko tum sab ke samhane bilkul bhala changa kar diya hai.

17

और अब हे भाइयो, मैं जानता हूं कि यह काम तुम ने अज्ञानता से किया, और वैसा ही तुम्हारे सरदारों ने भी किया।

Aur ab he bhaiyo, main janta hoon ki yah kaam tum ne agyanta se kiya, aur vaisa hi tumhare sardaron ne bhi kiya.

18

परन्तु जिन बातों को परमेश्वर ने सब भविष्यद्वक्ताओं के मुख से पहिले ही बताया था, कि उसका मसीह दु:ख उठाएगा; उन्हें उस ने इस रीति से पूरी किया।

Parantu jin baton ko Parmeshwar ne sab bhavishyadwaktaon ke mukh se pahile hi bataya tha, ki uska Masih dukh uthayega; unhein us ne is reeti se poori kiya.

19

इसलिये, मन फिराओ और लौट आओ कि तुम्हारे पाप मिटाए जाएं, जिस से प्रभु के सम्मुख से विश्रान्ति के दिन आएं।

Isliye, man phirao aur laut aao ki tumhare paap mitaye jayen, jis se Prabhu ke sammukh se vishranti ke din aayen.

20

और वह उस मसीह यीशु को भेजे जो तुम्हारे लिये पहिले ही से ठहराया गया है।

Aur vah us Masih Yeshu ko bheje jo tumhare liye pahile hi se thahraya gaya hai.

21

अवश्य है कि वह स्वर्ग में उस समय तक रहे जब तक कि वह सब बातों का सुधार न कर ले जिस की चर्चा परमेश्वर ने अपने पवित्र भविष्यद्वक्ताओं के मुख से की है, जो जगत की उत्पत्ति से होते आए हैं।

Avashya hai ki vah swarg mein us samay tak rahe jab tak ki vah sab baton ka sudhaar na kar le jis ki charcha Parmeshwar ne apne pavitra bhavishyadwaktaon ke mukh se ki hai, jo jagat ki utpatti se hote aaye hain.

22

जैसा कि मूसा ने कहा, प्रभु परमेश्वर तुम्हारे भाइयों में से तुम्हारे लिये मुझ सा एक भविष्यद्वक्ता उठाएगा, जो कुछ वह तुम से कहे, उस की सुनना।

Jaisa ki Musa ne kaha, Prabhu Parmeshwar tumhare bhaiyon mein se tumhare liye mujh sa ek bhavishyadwakta uthayega, jo kuchh vah tum se kahe, us ki sunna.

23

परन्तु प्रत्येक मनुष्य जो उस भविष्यद्वक्ता की न सुने, लोगों में से नाश किया जाएगा।

Parantu pratyek manushya jo us bhavishyadwakta ki na sune, logon mein se naash kiya jayega.

24

और शमूएल से लेकर उसके बाद वालों तक जितने भविष्यद्वक्ताओं ने बातें की हैं उन सब ने इन दिनों का सन्देश दिया है।

Aur shamooyel se lekar uske baad valon tak jitne bhavishyadwaktaon ne batein ki hain un sab ne in dinon ka sandesh diya hai.

25

तुम भविष्यद्वक्ताओं की सन्तान और उस वाचा के भागी हो, जो परमेश्वर ने तुम्हारे बाप दादों से बान्धी, जब उस ने इब्राहीम से कहा, कि तेरे वंश के द्वारा पृथ्वी के सारे घराने आशीष पाएंगे।

Tum bhavishyadwaktaon ki santaan aur us vacha ke bhagi ho, jo Parmeshwar ne tumhare baap dadon se bandhi, jab us ne Ibrahim se kaha, ki tere vansh ke dwara prithvi ke sare gharane aasheesh payenge.

26

परमेश्वर ने अपने सेवक को उठाकर पहिले तुम्हारे पास भेजा, कि तुम में से हर एक को उस की बुराइयों से फेरकर आशीष दे॥

Parmeshwar ne apne sevak ko uthakar pahile tumhare paas bheja, ki tum mein se har ek ko us ki buraiyon se pherkar aasheesh de.