Acts 2 · 47 verses

प्रेरितों के काम 2 Acts 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 2.

1

जब पिन्तेकुस का दिन आया, तो वे सब एक जगह इकट्ठे थे।

Jab pintekus ka din aaya, to ve sab ek jagah ikatthe the.

2

और एकाएक आकाश से बड़ी आंधी की सी सनसनाहट का शब्द हुआ, और उस से सारा घर जहां वे बैठे थे, गूंज गया।

Aur ekayek aakaash se badi aandhi ki si sanasnahat ka shabd huaa, aur us se sara ghar jahan ve baithe the, goonj gaya.

3

और उन्हें आग की सी जीभें फटती हुई दिखाई दीं; और उन में से हर एक पर आ ठहरीं।

Aur unhein aag ki si jeebhein phatti hui dikhai di; aur un mein se har ek par aa thahri.

4

और वे सब पवित्र आत्मा से भर गए, और जिस प्रकार आत्मा ने उन्हें बोलने की सामर्थ दी, वे अन्य अन्य भाषा बोलने लगे॥

Aur ve sab pavitra aatma se bhar gaye, aur jis prakaar aatma ne unhein bolne ki samarth di, ve anya anya bhasha bolne lage.

5

और आकाश के नीचे की हर एक जाति में से भक्त यहूदी यरूशलेम में रहते थे।

Aur aakaash ke neeche ki har ek jati mein se bhakt Yahudi Yerushalem mein rahte the.

6

जब वह शब्द हुआ तो भीड़ लग गई और लोग घबरा गए, क्योंकि हर एक को यही सुनाईं देता था, कि ये मेरी ही भाषा में बोल रहे हैं।

Jab vah shabd huaa to bheed lag gai aur log ghabra gaye, kyonki har ek ko yahi sunai deta tha, ki ye meri hi bhasha mein bol rahe hain.

7

और वे सब चकित और अचम्भित होकर कहने लगे; देखो, ये जो बोल रहे हैं क्या सब गलीली नहीं?

Aur ve sab chakit aur achambhit hokar kahne lage; dekho, ye jo bol rahe hain kya sab galeeli nahi?

8

तो फिर क्यों हम में से हर एक अपनी अपनी जन्म भूमि की भाषा सुनता है?

To phir kyon ham mein se har ek apni apni janm bhoomi ki bhasha sunta hai?

9

हम जो पारथी और मेदी और एलामी लोग और मिसुपुतामिया और यहूदिया और कप्पदूकिया और पुन्तुस और आसिया।

Ham jo parthi aur medi aur elami log aur misuputamiya aur yahoodiya aur kappadookiya aur puntus aur aasiya.

10

और फ्रूगिया और पमफूलिया और मिसर और लिबूआ देश जो कुरेने के आस पास है, इन सब देशों के रहने वाले और रोमी प्रवासी, क्या यहूदी क्या यहूदी मत धारण करने वाले, क्रेती और अरबी भी हैं।

Aur phroogiya aur pamphooliya aur misar aur libooaa desh jo kurene ke aas paas hai, in sab deshon ke rahne vale aur romi pravasi, kya Yahudi kya Yahudi mat dharan karne vale, kreti aur arbi bhi hain.

11

परन्तु अपनी अपनी भाषा में उन से परमेश्वर के बड़े बड़े कामों की चर्चा सुनते हैं।

Parantu apni apni bhasha mein un se Parmeshwar ke bade bade kamon ki charcha sunte hain.

12

और वे सब चकित हुए, और घबराकर एक दूसरे से कहने लगे कि यह क्या हुआ चाहता है?

Aur ve sab chakit hue, aur ghabrakar ek doosre se kahne lage ki yah kya huaa chahta hai?

13

परन्तु औरों ने ठट्ठा करके कहा, कि वे तो नई मदिरा के नशे में हैं॥

Parantu auron ne thattha karke kaha, ki ve to nai madira ke nashe mein hain.

14

पतरस उन ग्यारह के साथ खड़ा हुआ और ऊंचे शब्द से कहने लगा, कि हे यहूदियो, और हे यरूशलेम के सब रहने वालों, यह जान लो और कान लगाकर मेरी बातें सुनो।

Patras un gyarah ke saath khada huaa aur oonche shabd se kahne laga, ki he yahoodiyo, aur he Yerushalem ke sab rahne valon, yah jaan lo aur kaan lagakar meri batein suno.

15

जैसा तुम समझ रहे हो, ये नशे में नहीं, क्योंकि अभी तो पहर ही दिन चढ़ा है।

Jaisa tum samajh rahe ho, ye nashe mein nahi, kyonki abhi to pahar hi din chadha hai.

16

परन्तु यह वह बात है, जो योएल भविष्यद्वक्ता के द्वारा कही गई है।

Parantu yah vah baat hai, jo yoyel bhavishyadwakta ke dwara kahi gai hai.

17

कि परमेश्वर कहता है, कि अन्त कि दिनों में ऐसा होगा, कि मैं अपना आत्मा सब मनुष्यों पर उंडेलूंगा और तुम्हारे बेटे और तुम्हारी बेटियां भविष्यद्वाणी करेंगी और तुम्हारे जवान दर्शन देखेंगे, और तुम्हारे पुरिनए स्वप्न देखेंगे।

Ki Parmeshwar kahta hai, ki ant ki dinon mein aisa hoga, ki main apna aatma sab manushyon par undeloonga aur tumhare bete aur tumhari betiyan bhavishyadwani karengi aur tumhare javaan darshan dekhenge, aur tumhare purinaye swapn dekhenge.

18

वरन मैं अपने दासों और अपनी दासियों पर भी उन दिनों में अपने आत्मा में से उंडेलूंगा, और वे भविष्यद्वाणी करेंगे।

Varan main apne dason aur apni dasiyon par bhi un dinon mein apne aatma mein se undeloonga, aur ve bhavishyadwani karenge.

19

और मैं ऊपर आकाश में अद्भुत काम, और नीचे धरती पर चिन्ह, अर्थात लोहू, और आग और धूएं का बादल दिखाऊंगा।

Aur main oopar aakaash mein adbhut kaam, aur neeche dharti par chinh, arthaat lohu, aur aag aur dhooyen ka badal dikhaoonga.

20

प्रभु के महान और प्रसिद्ध दिन के आने से पहिले सूर्य अन्धेरा और चान्द लोहू हो जाएगा।

Prabhu ke mahaan aur prasiddh din ke aane se pahile soorya andhera aur chaand lohu ho jayega.

21

और जो कोई प्रभु का नाम लेगा, वही उद्धार पाएगा।

Aur jo koi Prabhu ka naam lega, vahi uddhaar payega.

22

हे इस्त्राएलियों, ये बातें सुनो: कि यीशु नासरी एक मनुष्य था जिस का परमेश्वर की ओर से होने का प्रमाण उन सामर्थ के कामों और आश्चर्य के कामों और चिन्हों से प्रगट है, जो परमेश्वर ने तुम्हारे बीच उसके द्वारा कर दिखलाए जिसे तुम आप ही जानते हो।

He istrayeliyon, ye batein suno: ki Yeshu nasri ek manushya tha jis ka Parmeshwar ki or se hone ka pramaan un samarth ke kamon aur aashcharya ke kamon aur chinhon se pragat hai, jo Parmeshwar ne tumhare beech uske dwara kar dikhlaye jise tum aap hi jante ho.

23

उसी को, जब वह परमेश्वर की ठहराई हुई मनसा और होनहार के ज्ञान के अनुसार पकड़वाया गया, तो तुम ने अधर्मियों के हाथ से उसे क्रूस पर चढ़वा कर मार डाला।

Usi ko, jab vah Parmeshwar ki thahrai hui mansa aur honhaar ke gyaan ke anusaar pakadvaya gaya, to tum ne adharmiyon ke haath se use kroos par chadhva kar maar dala.

24

परन्तु उसी को परमेश्वर ने मृत्यु के बन्धनों से छुड़ाकर जिलाया: क्योंकि यह अनहोना था कि वह उसके वश में रहता।

Parantu usi ko Parmeshwar ne mrityu ke bandhanon se chhudakar jilaya: kyonki yah anhona tha ki vah uske vash mein rahta.

25

क्योंकि दाऊद उसके विषय में कहता है, कि मैं प्रभु को सर्वदा अपने साम्हने देखता रहा क्योंकि वह मेरी दाहिनी ओर है, ताकि मैं डिग न जाऊं।

Kyonki Daud uske vishay mein kahta hai, ki main Prabhu ko sarvada apne samhane dekhta raha kyonki vah meri dahini or hai, taki main dig na jaun.

26

इसी कारण मेरा मन आनन्द हुआ, और मेरी जीभ मगन हुई; वरन मेरा शरीर भी आशा में बसा रहेगा।

Isi karan mera man aanand huaa, aur meri jeebh magan hui; varan mera shareer bhi aasha mein basa rahega.

27

क्योंकि तू मेरे प्राणों को अधोलोक में न छोड़ेगा; और न अपने पवित्र जन को सड़ने ही देगा!

Kyonki tu mere pranon ko adholok mein na chhodega; aur na apne pavitra jan ko sadne hi dega!

28

तू ने मुझे जीवन का मार्ग बताया है; तू मुझे अपने दर्शन के द्वारा आनन्द से भर देगा।

Tu ne mujhe jeevan ka maarg bataya hai; tu mujhe apne darshan ke dwara aanand se bhar dega.

29

हे भाइयो, मैं उस कुलपति दाऊद के विषय में तुम से साहस के साथ कह सकता हूं कि वह तो मर गया और गाड़ा भी गया और उस की कब्र आज तक हमारे यहां वर्तमान है।

He bhaiyo, main us kulapti Daud ke vishay mein tum se sahas ke saath kah sakta hoon ki vah to mar gaya aur gada bhi gaya aur us ki kabra aaj tak hamare yahan vartamaan hai.

30

सो भविष्यद्वक्ता होकर और यह जानकर कि परमेश्वर ने मुझ से शपथ खाई है, कि मैं तेरे वंश में से एक व्यक्ति को तेरे सिंहासन पर बैठाऊंगा।

So bhavishyadwakta hokar aur yah jankar ki Parmeshwar ne mujh se shapath khai hai, ki main tere vansh mein se ek vyakti ko tere sinhasan par baithaoonga.

31

उस ने होनहार को पहिले ही से देखकर मसीह के जी उठने के विषय में भविष्यद्वाणी की कि न तो उसका प्राण अधोलोक में छोड़ा गया, और न उस की देह सड़ने पाई।

Us ne honhaar ko pahile hi se dekhkar Masih ke ji uthne ke vishay mein bhavishyadwani ki ki na to uska praan adholok mein chhoda gaya, aur na us ki deh sadne pai.

32

इसी यीशु को परमेश्वर ने जिलाया, जिस के हम सब गवाह हैं।

Isi Yeshu ko Parmeshwar ne jilaya, jis ke ham sab gavaah hain.

33

इस प्रकार परमेश्वर के दाहिने हाथ से सर्वोच्च पद पाकर, और पिता से वह पवित्र आत्मा प्राप्त करके जिस की प्रतिज्ञा की गई थी, उस ने यह उंडेल दिया है जो तुम देखते और सुनते हो।

Is prakaar Parmeshwar ke dahine haath se sarvochch pad pakar, aur pita se vah pavitra aatma praapt karke jis ki pratigya ki gai thi, us ne yah undel diya hai jo tum dekhte aur sunte ho.

34

क्योंकि दाऊद तो स्वर्ग पर नहीं चढ़ा; परन्तु वह आप कहता है, कि प्रभु ने मेरे प्रभु से कहा;

Kyonki Daud to swarg par nahi chadha; parantu vah aap kahta hai, ki Prabhu ne mere Prabhu se kaha;

35

मेरे दाहिने बैठ, जब तक कि मैं तेरे बैरियों को तेरे पांवों तले की चौकी न कर दूं।

Mere dahine baith, jab tak ki main tere bairiyon ko tere panvon tale ki chauki na kar dun.

36

सो अब इस्त्राएल का सारा घराना निश्चय जान ले कि परमेश्वर ने उसी यीशु को जिसे तुम ने क्रूस पर चढ़ाया, प्रभु भी ठहराया और मसीह भी॥

So ab istrayel ka sara gharana nishchay jaan le ki Parmeshwar ne usi Yeshu ko jise tum ne kroos par chadhaya, Prabhu bhi thahraya aur Masih bhi.

37

तब सुनने वालों के हृदय छिद गए, और वे पतरस और शेष प्रेरितों से पूछने लगे, कि हे भाइयो, हम क्या करें?

Tab sunne valon ke hriday chhid gaye, aur ve Patras aur shesh preriton se poochhne lage, ki he bhaiyo, ham kya karein?

38

पतरस ने उन से कहा, मन फिराओ, और तुम में से हर एक अपने अपने पापों की क्षमा के लिये यीशु मसीह के नाम से बपतिस्मा ले; तो तुम पवित्र आत्मा का दान पाओगे।

Patras ne un se kaha, man phirao, aur tum mein se har ek apne apne papon ki kshama ke liye Yeshu Masih ke naam se baptisma le; to tum pavitra aatma ka daan paoge.

39

क्योंकि यह प्रतिज्ञा तुम, और तुम्हारी सन्तानों, और उन सब दूर दूर के लोगों के लिये भी है जिन को प्रभु हमारा परमेश्वर अपने पास बुलाएगा।

Kyonki yah pratigya tum, aur tumhari santanon, aur un sab door door ke logon ke liye bhi hai jin ko Prabhu hamara Parmeshwar apne paas bulayega.

40

उस ने बहुत ओर बातों में भी गवाही दे देकर समझाया कि अपने आप को इस टेढ़ी जाति से बचाओ।

Us ne bahut or baton mein bhi gavahi de dekar samjhaya ki apne aap ko is tedhi jati se bachao.

41

सो जिन्हों ने उसका वचन ग्रहण किया उन्होंने बपतिस्मा लिया; और उसी दिन तीन हजार मनुष्यों के लगभग उन में मिल गए।

So jinhon ne uska vachan grahan kiya unhonne baptisma liya; aur usi din teen hajaar manushyon ke lagbhag un mein mil gaye.

42

और वे प्रेरितों से शिक्षा पाने, और संगति रखने में और रोटी तोड़ने में और प्रार्थना करने में लौलीन रहे॥

Aur ve preriton se shiksha pane, aur sangti rakhne mein aur roti todne mein aur prarthana karne mein lauleen rahe.

43

और सब लोगों पर भय छा गया, और बहुत से अद्भुत काम और चिन्ह प्रेरितों के द्वारा प्रगट होते थे।

Aur sab logon par bhay chha gaya, aur bahut se adbhut kaam aur chinh preriton ke dwara pragat hote the.

44

और वे सब विश्वास करने वाले इकट्ठे रहते थे, और उन की सब वस्तुएं साझे की थीं।

Aur ve sab vishwaas karne vale ikatthe rahte the, aur un ki sab vastuein sajhe ki thi.

45

और वे अपनी अपनी सम्पत्ति और सामान बेच बेचकर जैसी जिस की आवश्यकता होती थी बांट दिया करते थे।

Aur ve apni apni sampatti aur samaan bech bechkar jaisi jis ki aavashyakta hoti thi baant diya karte the.

46

और वे प्रति दिन एक मन होकर मन्दिर में इकट्ठे होते थे, और घर घर रोटी तोड़ते हुए आनन्द और मन की सीधाई से भोजन किया करते थे।

Aur ve prati din ek man hokar mandir mein ikatthe hote the, aur ghar ghar roti todte hue aanand aur man ki seedhai se bhojan kiya karte the.

47

और परमेश्वर की स्तुति करते थे, और सब लोग उन से प्रसन्न थे: और जो उद्धार पाते थे, उन को प्रभु प्रति दिन उन में मिला देता था॥

Aur Parmeshwar ki stuti karte the, aur sab log un se prasann the: aur jo uddhaar pate the, un ko Prabhu prati din un mein mila deta tha.