Acts 26 · 32 verses

प्रेरितों के काम 26 Acts 26 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 26.

1

अग्रिप्पा ने पौलुस से कहा; तुझे अपने विषय में बोलने की आज्ञा है: तब पौलुस हाथ बढ़ाकर उत्तर देने लगा, कि,

Agrippa ne Paulus se kaha; tujhe apne vishay mein bolne ki aagya hai: tab Paulus haath badhakar uttar dene laga, ki,

2

हे राजा अग्रिप्पा, जितनी बातों का यहूदी मुझ पर दोष लगाते हैं, आज तेरे साम्हने उन का उत्तर देने में मैं अपने को धन्य समझता हूं।

He raja agrippa, jitni baton ka Yahudi mujh par dosh lagate hain, aaj tere samhane un ka uttar dene mein main apne ko dhanya samajhta hoon.

3

विशेष करके इसलिये कि तू यहूदियों के सब व्यवहारों और विवादों को जानता है, सो मैं बिनती करता हूं, धीरज से मेरी सुन ले।

Vishesh karke isliye ki tu Yahudiyon ke sab vyavharon aur vivadon ko janta hai, so main binti karta hoon, dheeraj se meri sun le.

4

जैसा मेरा चाल चलन आरम्भ से अपनी जाति के बीच और यरूशलेम में था, यह सब यहूदी जानते हैं।

Jaisa mera chaal chalan aarambh se apni jati ke beech aur Yerushalem mein tha, yah sab Yahudi jante hain.

5

वे यदि गवाही देना चाहते हैं, तो आरम्भ से मुझे पहिचानते हैं, कि मैं फरीसी होकर अपने धर्म के सब से खरे पन्थ के अनुसार चला।

Ve yadi gavahi dena chahte hain, to aarambh se mujhe pahichante hain, ki main phareesi hokar apne dharm ke sab se khare panth ke anusaar chala.

6

और अब उस प्रतिज्ञा की आशा के कारण जो परमेश्वर ने हमारे बाप दादों से की थी, मुझ पर मुकद्दमा चल रहा है।

Aur ab us pratigya ki aasha ke karan jo Parmeshwar ne hamare baap dadon se ki thi, mujh par mukaddama chal raha hai.

7

उसी प्रतिज्ञा के पूरे होने की आशा लगाए हुए, हमारे बारहों गोत्र अपने सारे मन से रात दिन परमेश्वर की सेवा करते आए हैं: हे राजा, इसी आशा के विषय में यहूदी मुझ पर दोष लगाते हैं।

Usi pratigya ke poore hone ki aasha lagaye hue, hamare barhon gotra apne sare man se raat din Parmeshwar ki seva karte aaye hain: he raja, isi aasha ke vishay mein Yahudi mujh par dosh lagate hain.

8

जब कि परमेश्वर मरे हुओं को जिलाता है, तो तुम्हारे यहां यह बात क्यों विश्वास के योग्य नहीं समझी जाती?

Jab ki Parmeshwar mare huon ko jilata hai, to tumhare yahan yah baat kyon vishwaas ke yogya nahi samjhi jati?

9

मैं ने भी समझा था कि यीशु नासरी के नाम के विरोध में मुझे बहुत कुछ करना चाहिए।

Main ne bhi samjha tha ki Yeshu nasri ke naam ke virodh mein mujhe bahut kuchh karna chahiye.

10

और मैं ने यरूशलेम में ऐसा ही किया; और महायाजकों से अधिकार पाकर बहुत से पवित्र लोगों को बन्दीगृह में डाल, और जब वे मार डाले जाते थे, तो मैं भी उन के विरोध में अपनी सम्मति देता था।

Aur main ne Yerushalem mein aisa hi kiya; aur mahayajkon se adhikaar pakar bahut se pavitra logon ko bandeegrih mein daal, aur jab ve maar dale jate the, to main bhi un ke virodh mein apni sammati deta tha.

11

और हर आराधनालय में मैं उन्हें ताड़ना दिला दिलाकर यीशु की निन्दा करवाता था, यहां तक कि क्रोध के मारे ऐसा पागल हो गया, कि बाहर के नगरों में भी जाकर उन्हें सताता था।

Aur har aaradhnalay mein main unhein tadna dila dilakar Yeshu ki ninda karvata tha, yahan tak ki krodh ke mare aisa pagal ho gaya, ki bahar ke nagron mein bhi jakar unhein satata tha.

12

इसी धुन में जब मैं महायाजकों से अधिकार और परवाना लेकर दमिश्क को जा रहा था।

Isi dhun mein jab main mahayajkon se adhikaar aur parvana lekar damishk ko ja raha tha.

13

तो हे राजा, मार्ग में दोपहर के समय मैं ने आकाश से सूर्य के तेज से भी बढ़कर एक ज्योति अपने और अपने साथ चलने वालों के चारों ओर चमकती हुई देखी।

To he raja, maarg mein dophar ke samay main ne aakaash se soorya ke tej se bhi badhkar ek jyoti apne aur apne saath chalne valon ke charon or chamakti hui dekhi.

14

और जब हम सब भूमि पर गिर पड़े, तो मैं ने इब्रानी भाषा में, मुझ से यह कहते हुए यह शब्द सुना, कि हे शाऊल, हे शाऊल, तू मुझे क्यों सताता है? पैने पर लात मारना तेरे लिये कठिन है।

Aur jab ham sab bhoomi par gir pade, to main ne ibrani bhasha mein, mujh se yah kahte hue yah shabd suna, ki he shaool, he shaool, tu mujhe kyon satata hai? Paine par laat marna tere liye kathin hai.

15

मैं ने कहा, हे प्रभु तू कौन है? प्रभु ने कहा, मैं यीशु हूं: जिसे तू सताता है।

Main ne kaha, he Prabhu tu kaun hai? Prabhu ne kaha, main Yeshu hoon: jise tu satata hai.

16

परन्तु तू उठ, अपने पांवों पर खड़ा हो; क्योंकि मैं ने तुझे इसलिये दर्शन दिया है, कि तुझे उन बातों का भी सेवक और गवाह ठहराऊं, जो तू ने देखी हैं, और उन का भी जिन के लिये मैं तुझे दर्शन दूंगा।

Parantu tu uth, apne panvon par khada ho; kyonki main ne tujhe isliye darshan diya hai, ki tujhe un baton ka bhi sevak aur gavaah thahraun, jo tu ne dekhi hain, aur un ka bhi jin ke liye main tujhe darshan doonga.

17

और मैं तुझे तेरे लोगों से और अन्यजातियों से बचाता रहूंगा, जिन के पास मैं अब तुझे इसलिये भेजता हूं।

Aur main tujhe tere logon se aur anyajatiyon se bachata rahoonga, jin ke paas main ab tujhe isliye bhejta hoon.

18

कि तू उन की आंखे खोले, कि वे अंधकार से ज्योति की ओर, और शैतान के अधिकार से परमेश्वर की ओर फिरें; कि पापों की क्षमा, और उन लोगों के साथ जो मुझ पर विश्वास करने से पवित्र किए गए हैं, मीरास पाएं।

Ki tu un ki aankhe khole, ki ve andhkaar se jyoti ki or, aur Shaitan ke adhikaar se Parmeshwar ki or phirein; ki papon ki kshama, aur un logon ke saath jo mujh par vishwaas karne se pavitra kiye gaye hain, meeraas payen.

19

सो हे राजा अग्रिप्पा, मैं ने उस स्वर्गीय दर्शन की बात न टाली।

So he raja agrippa, main ne us swargeeya darshan ki baat na tali.

20

परन्तु पहिले दमिश्क के, फिर यरूशलेम के रहने वालों को, तब यहूदिया के सारे देश में और अन्यजातियों को समझाता रहा, कि मन फिराओ और परमेश्वर की ओर फिर कर मन फिराव के योग्य काम करो।

Parantu pahile damishk ke, phir Yerushalem ke rahne valon ko, tab yahoodiya ke sare desh mein aur anyajatiyon ko samjhata raha, ki man phirao aur Parmeshwar ki or phir kar man phiraav ke yogya kaam karo.

21

इन बातों के कारण यहूदी मुझे मन्दिर में पकड़ के मार डालने का यत्न करते थे।

In baton ke karan Yahudi mujhe mandir mein pakad ke maar dalne ka yatn karte the.

22

सो परमेश्वर की सहायता से मैं आज तक बना हूं और छोटे बड़े सभी के साम्हने गवाही देता हूं और उन बातों को छोड़ कुछ नहीं कहता, जो भविष्यद्वक्ताओं और मूसा ने भी कहा कि होने वाली हैं।

So Parmeshwar ki sahayta se main aaj tak bana hoon aur chhote bade sabhi ke samhane gavahi deta hoon aur un baton ko chhod kuchh nahi kahta, jo bhavishyadwaktaon aur Musa ne bhi kaha ki hone vali hain.

23

कि मसीह को दुख उठाना होगा, और वही सब से पहिले मरे हुओं में से जी उठकर, हमारे लोगों में और अन्यजातियों में ज्योति का प्रचार करेगा॥

Ki Masih ko dukh uthana hoga, aur vahi sab se pahile mare huon mein se ji uthkar, hamare logon mein aur anyajatiyon mein jyoti ka prachaar karega.

24

जब वह इस रीति से उत्तर दे रहा था, तो फेस्तुस ने ऊंचे शब्द से कहा; हे पौलुस, तू पागल है: बहुत विद्या ने तुझे पागल कर दिया है।

Jab vah is reeti se uttar de raha tha, to phestus ne oonche shabd se kaha; he Paulus, tu pagal hai: bahut vidya ne tujhe pagal kar diya hai.

25

परन्तु उस ने कहा; हे महाप्रतापी फेस्तुस, मैं पागल नहीं, परन्तु सच्चाई और बुद्धि की बातें कहता हूं।

Parantu us ne kaha; he mahapratapi phestus, main pagal nahi, parantu sachchai aur buddhi ki batein kahta hoon.

26

राजा भी जिस के साम्हने मैं निडर होकर बोल रहा हूं, ये बातें जानता है, और मुझे प्रतीति है, कि इन बातों में से कोई उस से छिपी नहीं, क्योंकि यह घटना तो कोने में नहीं हुई।

Raja bhi jis ke samhane main nidar hokar bol raha hoon, ye batein janta hai, aur mujhe prateeti hai, ki in baton mein se koi us se chhipi nahi, kyonki yah ghatna to kone mein nahi hui.

27

हे राजा अग्रिप्पा, क्या तू भविष्यद्वक्ताओं की प्रतीति करता है? हां, मैं जानता हूं, कि तू प्रतीति करता है।

He raja agrippa, kya tu bhavishyadwaktaon ki prateeti karta hai? Han, main janta hoon, ki tu prateeti karta hai.

28

अब अग्रिप्पा ने पौलुस से कहा तू थोड़े ही समझाने से मुझे मसीही बनाना चाहता है?

Ab agrippa ne Paulus se kaha tu thode hi samjhane se mujhe maseehi banana chahta hai?

29

पौलुस ने कहा, परमेश्वर से मेरी प्रार्थना यह है कि क्या थोड़े में, क्या बहुत में, केवल तू ही नहीं, परन्तु जितने लोग आज मेरी सुनते हैं, इन बन्धनों को छोड़ वे मेरे समान हो जाएं॥

Paulus ne kaha, Parmeshwar se meri prarthana yah hai ki kya thode mein, kya bahut mein, keval tu hi nahi, parantu jitne log aaj meri sunte hain, in bandhanon ko chhod ve mere samaan ho jayen.

30

तब राजा और हाकिम और बिरनीके और उन के साथ बैठने वाले उठ खड़े हुए।

Tab raja aur hakim aur birneeke aur un ke saath baithne vale uth khade hue.

31

और अलग जाकर आपस में कहने लगे, यह मनुष्य ऐसा तो कुछ नहीं करता, जो मृत्यु या बन्धन के योग्य हो।

Aur alag jakar aapas mein kahne lage, yah manushya aisa to kuchh nahi karta, jo mrityu ya bandhan ke yogya ho.

32

अग्रिप्पा ने फेस्तुस से कहा; यदि यह मनुष्य कैसर की दोहाई न देता, तो छूट सकता था॥

Agrippa ne phestus se kaha; yadi yah manushya kaisar ki dohai na deta, to chhoot sakta tha.