हे भाइयों, और पितरो, मेरा प्रत्युत्तर सुनो, जो मैं अब तुम्हारे साम्हने कहता हूं॥
He bhaiyon, aur pitro, mera pratyuttar suno, jo main ab tumhare samhane kahta hoon.
Acts 22 · 30 verses
हे भाइयों, और पितरो, मेरा प्रत्युत्तर सुनो, जो मैं अब तुम्हारे साम्हने कहता हूं॥
He bhaiyon, aur pitro, mera pratyuttar suno, jo main ab tumhare samhane kahta hoon.
वे यह सुनकर कि वह हम से इब्रानी भाषा में बोलता है, और भी चुप रहे। तब उस ने कहा;
Ve yah sunkar ki vah ham se ibrani bhasha mein bolta hai, aur bhi chup rahe. Tab us ne kaha;
मैं तो यहूदी मनुष्य हूं, जो किलिकिया के तरसुस में जन्मा; परन्तु इस नगर में गमलीएल के पांवों के पास बैठकर पढ़ाया गया, और बाप दादों की व्यवस्था की ठीक रीति पर सिखाया गया; और परमेश्वर के लिये ऐसी धुन लगाए था, जैसे तुम सब आज लगाए हो।
Main to Yahudi manushya hoon, jo kilikiya ke tarsus mein janma; parantu is nagar mein gamleeyel ke panvon ke paas baithkar padhaya gaya, aur baap dadon ki vyavastha ki theek reeti par sikhaya gaya; aur Parmeshwar ke liye aisi dhun lagaye tha, jaise tum sab aaj lagaye ho.
और मैं ने पुरूष और स्त्री दोनों को बान्ध बान्धकर, और बन्दीगृह में डाल डालकर, इस पंथ को यहां तक सताया, कि उन्हें मरवा भी डाला।
Aur main ne puroosh aur stri donon ko baandh bandhakar, aur bandeegrih mein daal dalkar, is panth ko yahan tak sataya, ki unhein marva bhi dala.
इस बात के लिये महायाजक और सब पुरनिये गवाह हैं; कि उन में से मैं भाइयों के नाम पर चिट्ठियां लेकर दमिश्क को चला जा रहा था, कि जो वहां हों उन्हें भी दण्ड दिलाने के लिये बान्धकर यरूशलेम में लाऊं।
Is baat ke liye mahayajak aur sab purniye gavaah hain; ki un mein se main bhaiyon ke naam par chitthiyan lekar damishk ko chala ja raha tha, ki jo vahan hon unhein bhi dand dilane ke liye bandhakar Yerushalem mein laun.
जब मैं चलते चलते दमिश्क के निकट पहुंचा, तो ऐसा हुआ कि दोपहर के लगभग एकाएक एक बड़ी ज्योति आकाश से मेरे चारों ओर चमकी।
Jab main chalte chalte damishk ke nikat pahuncha, to aisa huaa ki dophar ke lagbhag ekayek ek badi jyoti aakaash se mere charon or chamki.
और मैं भूमि पर गिर पड़ा: और यह शब्द सुना, कि हे शाऊल, हे शाऊल, तू मुझे क्यों सताता है? मैं ने उत्तर दिया, कि हे प्रभु, तू कौन है?
Aur main bhoomi par gir pada: aur yah shabd suna, ki he shaool, he shaool, tu mujhe kyon satata hai? Main ne uttar diya, ki he Prabhu, tu kaun hai?
उस ने मुझ से कहा; मैं यीशु नासरी हूं, जिस तू सताता है।
Us ne mujh se kaha; main Yeshu nasri hoon, jis tu satata hai.
और मेरे साथियों ने ज्योति तो देखी, परन्तु जो मुझ से बोलता था उसका शब्द न सुना।
Aur mere sathiyon ne jyoti to dekhi, parantu jo mujh se bolta tha uska shabd na suna.
तब मैने कहा; हे प्रभु मैं क्या करूं प्रभु ने मुझ से कहा; उठकर दमिश्क में जा, और जो कुछ तेरे करने के लिये ठहराया गया है वहां तुझ से सब कह दिया जाएगा।
Tab maine kaha; he Prabhu main kya karun Prabhu ne mujh se kaha; uthkar damishk mein ja, aur jo kuchh tere karne ke liye thahraya gaya hai vahan tujh se sab kah diya jayega.
जब उस ज्योति के तेज के मारे मुझे कुछ दिखाई न दिया, तो मैं अपने साथियों के हाथ पकड़े हुए दमिश्क में आया।
Jab us jyoti ke tej ke mare mujhe kuchh dikhai na diya, to main apne sathiyon ke haath pakde hue damishk mein aaya.
और हनन्याह नाम का व्यवस्था के अनुसार एक भक्त मनुष्य, जो वहां के रहने वाले सब यहूदियों में सुनाम था, मेरे पास आया।
Aur hananyaah naam ka vyavastha ke anusaar ek bhakt manushya, jo vahan ke rahne vale sab Yahudiyon mein sunaam tha, mere paas aaya.
और खड़ा होकर मुझ से कहा; हे भाई शाऊल फिर देखने लग: उसी घड़ी मेरे नेत्र खुल गए और मैं ने उसे देखा।
Aur khada hokar mujh se kaha; he bhai shaool phir dekhne lag: usi ghadi mere netra khul gaye aur main ne use dekha.
तब उस ने कहा; हमारे बाप दादों के परमेश्वर ने तुझे इसलिये ठहराया है, कि तू उस की इच्छा को जाने, और उस धर्मी को देखे, और उसके मुंह से बातें सुने।
Tab us ne kaha; hamare baap dadon ke Parmeshwar ne tujhe isliye thahraya hai, ki tu us ki ichchha ko jane, aur us dharmi ko dekhe, aur uske munh se batein sune.
क्योंकि तू उस की ओर से सब मनुष्यों के साम्हने उन बातों का गवाह होगा, जो तू ने देखी और सुनी हैं।
Kyonki tu us ki or se sab manushyon ke samhane un baton ka gavaah hoga, jo tu ne dekhi aur suni hain.
अब क्यों देर करता है? उठ, बपतिस्मा ले, और उसका नाम लेकर अपने पापों को धो डाल।
Ab kyon der karta hai? Uth, baptisma le, aur uska naam lekar apne papon ko dho daal.
जब मैं फिर यरूशलेम में आकर मन्दिर में प्रार्थना कर रहा था, तो बेसुध हो गया।
Jab main phir Yerushalem mein aakar mandir mein prarthana kar raha tha, to besudh ho gaya.
और उस ने देखा कि मुझ से कहता है; जल्दी करके यरूशलेम से झट निकल जा: क्योंकि वे मेरे विषय में तेरी गवाही न मानेंगे।
Aur us ne dekha ki mujh se kahta hai; jaldi karke Yerushalem se jhat nikal ja: kyonki ve mere vishay mein teri gavahi na manenge.
मैं ने कहा; हे प्रभु वे तो आप जानते हैं, कि मैं तुझ पर विश्वास करने वालों को बन्दीगृह में डालता और जगह जगह आराधनालय में पिटवाता था।
Main ne kaha; he Prabhu ve to aap jante hain, ki main tujh par vishwaas karne valon ko bandeegrih mein dalta aur jagah jagah aaradhnalay mein pitvata tha.
और जब तेरे गवाह स्तिफनुस का लोहू बहाया जा रहा था तब मैं भी वहां खड़ा था, और इस बात में सहमत था, और उसके घातकों के कपड़ों की रखवाली करता था।
Aur jab tere gavaah stiphnus ka lohu bahaya ja raha tha tab main bhi vahan khada tha, aur is baat mein sahmat tha, aur uske ghatkon ke kapdon ki rakhvali karta tha.
और उस ने मुझ से कहा, चला जा: क्योंकि मैं तुझे अन्यजातियों के पास दूर दूर भेजूंगा॥
Aur us ne mujh se kaha, chala ja: kyonki main tujhe anyajatiyon ke paas door door bhejoonga.
वे इस बात तक उस की सुनते रहे; तब ऊंचे शब्द से चिल्लाए, कि ऐसे मनुष्य का अन्त करो; उसका जीवित रहता उचित नहीं।
Ve is baat tak us ki sunte rahe; tab oonche shabd se chillaye, ki aise manushya ka ant karo; uska jeevit rahta uchit nahi.
जब वे चिल्लाते और कपड़े फेंकते और आकाश में धूल उड़ाते थे;
Jab ve chillate aur kapde phenkte aur aakaash mein dhool udate the;
तो पलटन के सूबेदार ने कहा; कि इसे गढ़ में ले जाओ; और कोड़े मार कर जांचो, कि मैं जानूं कि लोग किस कारण उसके विरोध में ऐसा चिल्ला रहे हैं।
To paltan ke soobedaar ne kaha; ki ise gadh mein le jao; aur kode maar kar jancho, ki main janun ki log kis karan uske virodh mein aisa chilla rahe hain.
जब उन्होंने उसे तसमों से बान्धा तो पौलुस ने उस सूबेदार से जो पास खड़ा था कहा, क्या यह उचित है, कि तुम एक रोमी मनुष्य को, और वह भी बिना दोषी ठहराए हुए कोड़े मारो?
Jab unhonne use tasmon se bandha to Paulus ne us soobedaar se jo paas khada tha kaha, kya yah uchit hai, ki tum ek romi manushya ko, aur vah bhi bina doshi thahraye hue kode maro?
सूबेदार ने यह सुनकर पलटन के सरदार के पास जाकर कहा; तू यह क्या करता है? यह तो रोमी है।
Soobedaar ne yah sunkar paltan ke sardaar ke paas jakar kaha; tu yah kya karta hai? Yah to romi hai.
तब पलटन के सरदार ने उसके पास आकर कहा; मुझे बता, क्या तू रोमी है? उस ने कहा, हां।
Tab paltan ke sardaar ne uske paas aakar kaha; mujhe bata, kya tu romi hai? Us ne kaha, han.
यह सुनकर पलटन के सरदार ने कहा; कि मैं ने रोमी होने का पद बहुत रूपये देकर पाया है: पौलुस ने कहा, मैं तो जन्म से रोमी हूं।
Yah sunkar paltan ke sardaar ne kaha; ki main ne romi hone ka pad bahut roopye dekar paya hai: Paulus ne kaha, main to janm se romi hoon.
तब जो लोग उसे जांचने पर थे, वे तुरन्त उसके पास से हट गए; और पलटन का सरदार भी यह जानकर कि यह रोमी है, और मैं ने उसे बान्धा है, डर गया॥
Tab jo log use janchne par the, ve turant uske paas se hat gaye; aur paltan ka sardaar bhi yah jankar ki yah romi hai, aur main ne use bandha hai, dar gaya.
दूसरे दिन वह ठीक ठीक जानने की इच्छा से कि यहूदी उस पर क्यों दोष लगाते हैं, उसके बन्धन खोल दिए; और महायाजकों और सारी महासभा को इकट्ठे होने की आज्ञा दी, और पौलुस को नीचे ले जाकर उन के साम्हने खड़ा कर दिया॥
Doosre din vah theek theek janne ki ichchha se ki Yahudi us par kyon dosh lagate hain, uske bandhan khol diye; aur mahayajkon aur sari mahasbha ko ikatthe hone ki aagya di, aur Paulus ko neeche le jakar un ke samhane khada kar diya.