Acts 21 · 40 verses

प्रेरितों के काम 21 Acts 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 21.

1

जब हम ने उन से अलग होकर जहाज खोला, तो सीधे मार्ग से कोस में आए, और दूसरे दिन रूदुस में, और वहां से पतरा में।

Jab ham ne un se alag hokar jahaaj khola, to seedhe maarg se kos mein aaye, aur doosre din roodus mein, aur vahan se patra mein.

2

और एक जहाज फीनीके को जाता हुआ मिला, और उस पर चढ़कर, उसे खोल दिया।

Aur ek jahaaj pheeneeke ko jata huaa mila, aur us par chadhkar, use khol diya.

3

जब कुप्रुस दिखाई दिया, जो हम ने उसे बाएं हाथ छोड़ा, और सूरिया को चलकर सूर में उतरे; क्योंकि वहां जहाज का बोझ उतारना था।

Jab kuprus dikhai diya, jo ham ne use bayen haath chhoda, aur sooriya ko chalkar soor mein utre; kyonki vahan jahaaj ka bojh utarna tha.

4

और चेलों को पाकर हम वहां सात दिन तक रहे: उन्होंने आत्मा के सिखाए पौलुस से कहा, कि यरूशलेम में पांव न रखना।

Aur chelon ko pakar ham vahan saat din tak rahe: unhonne aatma ke sikhaye Paulus se kaha, ki Yerushalem mein paanv na rakhna.

5

जब वे दिन पूरे हो गए, तो हम वहां से चल दिए; ओर सब स्त्रियों और बालकों समेत हमें नगर के बाहर तक पहुंचाया और हम ने किनारे पर घुटने टेककर प्रार्थना की।

Jab ve din poore ho gaye, to ham vahan se chal diye; or sab striyon aur balkon samet hamein nagar ke bahar tak pahunchaya aur ham ne kinare par ghutne tekkar prarthana ki.

6

तब एक दूसरे से विदा होकर, हम तो जहाज पर चढ़े, और वे अपने अपने घर लौट गए॥

Tab ek doosre se vida hokar, ham to jahaaj par chadhe, aur ve apne apne ghar laut gaye.

7

जब हम सूर से जलयात्रा पूरी करके पतुलिमयिस में पहुंचे, और भाइयों को नमस्कार करके उन के साथ एक दिन रहे।

Jab ham soor se jalyatra poori karke patulimyis mein pahunche, aur bhaiyon ko namaskaar karke un ke saath ek din rahe.

8

दूसरे दिन हम वहां से चलकर कैसरिया में आए, और फिलेप्पुस सुसमाचार प्रचारक के घर में जो सातों में से एक था, जाकर उसके यहां रहे।

Doosre din ham vahan se chalkar kaisriya mein aaye, aur phileppus susmachaar pracharak ke ghar mein jo saton mein se ek tha, jakar uske yahan rahe.

9

उस की चार कुंवारी पुत्रियां थीं; जो भविष्यद्वाणी करती थीं।

Us ki chaar kunvari putriyan thi; jo bhavishyadwani karti thi.

10

जब हम वहां बहुत दिन रह चुके, तो अगबुस नाम एक भविष्यद्वक्ता यहूदिया से आया।

Jab ham vahan bahut din rah chuke, to agbus naam ek bhavishyadwakta yahoodiya se aaya.

11

उस ने हमारे पास आकर पौलुस का पटका लिया, और अपने हाथ पांव बान्धकर कहा; पवित्र आत्मा यह कहता है, कि जिस मनुष्य का यह पटका है, उस को यरूशलेम में यहूदी इसी रीति से बान्धेंगे, और अन्यजातियों के हाथ में सौंपेंगे।

Us ne hamare paas aakar Paulus ka patka liya, aur apne haath paanv bandhakar kaha; pavitra aatma yah kahta hai, ki jis manushya ka yah patka hai, us ko Yerushalem mein Yahudi isi reeti se bandhenge, aur anyajatiyon ke haath mein saumpenge.

12

जब ये बातें सुनी, तो हम और वहां के लोगों ने उस से बिनती की, कि यरूशलेम को न जाए।

Jab ye batein suni, to ham aur vahan ke logon ne us se binti ki, ki Yerushalem ko na jaye.

13

परन्तु पौलुस ने उत्तर दिया, कि तुम क्या करते हो, कि रो रोकर मेरा मन तोड़ते हो, मैं तो प्रभु यीशु के नाम के लिये यरूशलेम में न केवल बान्धे जाने ही के लिये वरन मरने के लिये भी तैयार हूं।

Parantu Paulus ne uttar diya, ki tum kya karte ho, ki ro rokar mera man todte ho, main to Prabhu Yeshu ke naam ke liye Yerushalem mein na keval bandhe jane hi ke liye varan marne ke liye bhi taiyaar hoon.

14

जब उन से न माना तो हम यह कहकर चुप हो गए; कि प्रभु की इच्छा पूरी हो॥

Jab un se na mana to ham yah kahkar chup ho gaye; ki Prabhu ki ichchha poori ho.

15

उन दिनों के बाद हम बान्ध छान्ध कर यरूशलेम को चल दिए।

Un dinon ke baad ham baandh chhaandh kar Yerushalem ko chal diye.

16

कैसरिया के भी कितने चेले हमारे साथ हो लिए, और मनासोन नाम कुप्रुस के एक पुराने चेले को साथ ले आए, कि हम उसके यहां टिकें॥

Kaisriya ke bhi kitne chele hamare saath ho liye, aur manason naam kuprus ke ek purane chele ko saath le aaye, ki ham uske yahan tikein.

17

जब हम यरूशलेम में पहुंचे, तो भाई बड़े आनन्द के साथ हम से मिले।

Jab ham Yerushalem mein pahunche, to bhai bade aanand ke saath ham se mile.

18

दूसरे दिन पौलुस हमें लेकर याकूब के पास गया, जहां सब प्राचीन इकट्ठे थे।

Doosre din Paulus hamein lekar Yakub ke paas gaya, jahan sab pracheen ikatthe the.

19

तब उस ने उन्हें नमस्कार करके, जो जो काम परमेश्वर ने उस की सेवकाई के द्वारा अन्यजातियों में किए थे, एक एक करके सब बताया।

Tab us ne unhein namaskaar karke, jo jo kaam Parmeshwar ne us ki sevkai ke dwara anyajatiyon mein kiye the, ek ek karke sab bataya.

20

उन्होंने यह सुनकर परमेश्वर की महिमा की, फिर उस से कहा; हे भाई, तू देखता है, कि यहूदियों में से कई हजार ने विश्वास किया है; और सब व्यवस्था के लिये धुन लगाए हैं।

Unhonne yah sunkar Parmeshwar ki mahima ki, phir us se kaha; he bhai, tu dekhta hai, ki Yahudiyon mein se kai hajaar ne vishwaas kiya hai; aur sab vyavastha ke liye dhun lagaye hain.

21

और उन को तेरे विषय में सिखाया गया है, कि तू अन्यजातियों में रहने वाले यहूदियों को मूसा से फिर जाने को सिखाता है, और कहता है, कि न अपने बच्चों का खतना कराओ और न रीतियों पर चलो: सो क्या किया जाए?

Aur un ko tere vishay mein sikhaya gaya hai, ki tu anyajatiyon mein rahne vale Yahudiyon ko Musa se phir jane ko sikhata hai, aur kahta hai, ki na apne bachchon ka khatna karao aur na reetiyon par chalo: so kya kiya jaye?

22

लोग अवश्य सुनेंगे, कि तू आया है।

Log avashya sunenge, ki tu aaya hai.

23

इसलिये जो हम तुझ से कहते हैं, वह कर: हमारे यहां चार मनुष्य हैं, जिन्होंने मन्नत मानी है।

Isliye jo ham tujh se kahte hain, vah kar: hamare yahan chaar manushya hain, jinhonne mannat mani hai.

24

उन्हें लेकर उस के साथ अपने आप को शुद्ध कर; और उन के लिये खर्चा दे, कि वे सिर मुण्डाएं: तब सब जान लेंगे, कि जो बातें उन्हें तेरे विषय में सिखाई गईं, उन की कुछ जड़ नहीं है परन्तु तू आप भी व्यवस्था को मानकर उसके अनुसार चलता है।

Unhein lekar us ke saath apne aap ko shuddh kar; aur un ke liye kharcha de, ki ve sir mundayen: tab sab jaan lenge, ki jo batein unhein tere vishay mein sikhai gai, un ki kuchh jad nahi hai parantu tu aap bhi vyavastha ko mankar uske anusaar chalta hai.

25

परन्तु उन अन्यजातियों के विषय में जिन्हों ने विश्वास किया है, हम ने यह निर्णय करके लिख भेजा है कि वे मूरतों के साम्हने बलि किए हुए मांस से, और लोहू से, और गला घोंटे हुओं के मांस से, और व्यभिचार से, बचे रहें।

Parantu un anyajatiyon ke vishay mein jinhon ne vishwaas kiya hai, ham ne yah nirnay karke likh bheja hai ki ve moorton ke samhane bali kiye hue maans se, aur lohu se, aur gala ghonte huon ke maans se, aur vyabhichaar se, bache rahein.

26

तब पौलुस उन मनुष्यों को लेकर, और दूसरे दिन उन के साथ शुद्ध होकर मन्दिर में गया, और बता दिया, कि शुद्ध होने के दिन, अर्थात उन में से हर एक के लिये चढ़ावा चढ़ाए जाने तक के दिन कब पूरे होंगे॥

Tab Paulus un manushyon ko lekar, aur doosre din un ke saath shuddh hokar mandir mein gaya, aur bata diya, ki shuddh hone ke din, arthaat un mein se har ek ke liye chadhava chadhaye jane tak ke din kab poore honge.

27

जब वे सात दिन पूरे होने पर थे, तो आसिया के यहूदियों ने पौलुस को मन्दिर में देखकर सब लोगों को उकसाया, और यों चिल्लाकर उस को पकड़ लिया।

Jab ve saat din poore hone par the, to aasiya ke Yahudiyon ne Paulus ko mandir mein dekhkar sab logon ko uksaya, aur yon chillakar us ko pakad liya.

28

कि हे इस्त्राएलियों, सहायता करो; यह वही मनुष्य है, जो लोगों के, और व्यवस्था के, और इस स्थान के विरोध में हर जगह सब लोगों को सिखाता है, यहां तक कि युनानियों को भी मन्दिर में लाकर उस ने इस पवित्र स्थान को अपवित्र किया है।

Ki he istrayeliyon, sahayta karo; yah vahi manushya hai, jo logon ke, aur vyavastha ke, aur is sthaan ke virodh mein har jagah sab logon ko sikhata hai, yahan tak ki yunaniyon ko bhi mandir mein lakar us ne is pavitra sthaan ko apvitra kiya hai.

29

उन्होंने तो इस से पहिले त्रुफिमुस इफिसी को उसके साथ नगर में देखा था, और समझते थे, कि पौलुस उसे मन्दिर में ले आया है।

Unhonne to is se pahile truphimus iphisi ko uske saath nagar mein dekha tha, aur samajhte the, ki Paulus use mandir mein le aaya hai.

30

तब सारे नगर में कोलाहल मच गया, और लोग दौड़कर इकट्ठे हुए, और पौलुस को पकड़कर मन्दिर के बाहर घसीट लाए, और तुरन्त द्वार बन्द किए गए।

Tab sare nagar mein kolahal mach gaya, aur log daudkar ikatthe hue, aur Paulus ko pakadkar mandir ke bahar ghaseet laye, aur turant dwaar band kiye gaye.

31

जब वे उसे मार डालना चाहते थे, तो पलटन के सरदार को सन्देश पहुंचा कि सारे यरूशलेम में कोलाहल मच रहा है।

Jab ve use maar dalna chahte the, to paltan ke sardaar ko sandesh pahuncha ki sare Yerushalem mein kolahal mach raha hai.

32

तब वह तुरन्त सिपाहियों और सूबेदारों को लेकर उन के पास नीचे दौड़ आया; और उन्होंने पलटन के सरदार को और सिपाहियों को देख कर पौलुस को मारने पीटने से हाथ उठाया।

Tab vah turant sipahiyon aur soobedaron ko lekar un ke paas neeche daud aaya; aur unhonne paltan ke sardaar ko aur sipahiyon ko dekh kar Paulus ko marne peetne se haath uthaya.

33

तब पलटन के सरदार ने पास आकर उसे पकड़ लिया; और दो जंजीरों से बान्धने की आज्ञा देकर पूछने लगा, यह कौन है, और इस ने क्या किया है?

Tab paltan ke sardaar ne paas aakar use pakad liya; aur do janjeeron se bandhane ki aagya dekar poochhne laga, yah kaun hai, aur is ne kya kiya hai?

34

परन्तु भीड़ में से कोई कुछ और कोई कुछ चिल्लाते रहे और जब हुल्लड़ के मारे ठीक सच्चाई न जान सका, तो उसे गढ़ में ले जाने की आज्ञा दी।

Parantu bheed mein se koi kuchh aur koi kuchh chillate rahe aur jab hullad ke mare theek sachchai na jaan saka, to use gadh mein le jane ki aagya di.

35

जब वह सीढ़ी पर पहुंचा, तो ऐसा हुआ, कि भीड़ के दबाव के मारे सिपाहियों को उसे उठाकर ले जाना पड़ा।

Jab vah seedhi par pahuncha, to aisa huaa, ki bheed ke dabaav ke mare sipahiyon ko use uthakar le jana pada.

36

क्योंकि लोगों की भीड़ यह चिल्लाती हुई उसके पीछे पड़ी, कि उसका अन्त कर दो॥

Kyonki logon ki bheed yah chillati hui uske peechhe padi, ki uska ant kar do.

37

जब वे पौलुस को गढ़ में ले जाने पर थे, तो उस ने पलटन के सरदार से कहा; क्या मुझे आज्ञा है कि मैं तुझ से कुछ कहूं उस ने कहा; क्या तू यूनानी जानता है

Jab ve Paulus ko gadh mein le jane par the, to us ne paltan ke sardaar se kaha; kya mujhe aagya hai ki main tujh se kuchh kahun us ne kaha; kya tu yoonani janta hai

38

क्या तू वह मिसरी नहीं, जो इन दिनों से पहिले बलवाई बना कर चार हजार कटारबन्द लोगों को जंगल में ले गया?

Kya tu vah misri nahi, jo in dinon se pahile balvai bana kar chaar hajaar katarband logon ko jangal mein le gaya?

39

पौलुस ने कहा, मैं तो तरसुस का यहूदी मनुष्य हूं! किलिकिया के प्रसिद्ध नगर का निवासी हूं: और मैं तुझ से बिनती करता हूं, कि मुझे लोगों से बातें करने दे।

Paulus ne kaha, main to tarsus ka Yahudi manushya hoon! Kilikiya ke prasiddh nagar ka nivasi hoon: aur main tujh se binti karta hoon, ki mujhe logon se batein karne de.

40

जब उस ने आज्ञा दी, तो पौलुस ने सीढ़ी पर खड़े होकर लोगों को हाथ से सैन किया: जब वे चुप हो गए, तो वह इब्रानी भाषा में बोलने लगा, कि,

Jab us ne aagya di, to Paulus ne seedhi par khade hokar logon ko haath se sain kiya: jab ve chup ho gaye, to vah ibrani bhasha mein bolne laga, ki,