हे थियुफिलुस, मैं ने पहिली पुस्तिका उन सब बातों के विषय में लिखी, जो यीशु ने आरम्भ में किया और करता और सिखाता रहा।
He thiyuphilus, main ne pahili pustika un sab baton ke vishay mein likhi, jo Yeshu ne aarambh mein kiya aur karta aur sikhata raha.
Acts 1 · 26 verses
हे थियुफिलुस, मैं ने पहिली पुस्तिका उन सब बातों के विषय में लिखी, जो यीशु ने आरम्भ में किया और करता और सिखाता रहा।
He thiyuphilus, main ne pahili pustika un sab baton ke vishay mein likhi, jo Yeshu ne aarambh mein kiya aur karta aur sikhata raha.
उस दिन तक जब वह उन प्रेरितों को जिन्हें उस ने चुना था, पवित्र आत्मा के द्वारा आज्ञा देकर ऊपर उठाया न गया।
Us din tak jab vah un preriton ko jinhein us ne chuna tha, pavitra aatma ke dwara aagya dekar oopar uthaya na gaya.
और उस ने दु:ख उठाने के बाद बहुत से पड़े प्रमाणों से अपने आप को उन्हें जीवित दिखाया, और चालीस दिन तक वह उन्हें दिखाई देता रहा: और परमेश्वर के राज्य की बातें करता रहा।
Aur us ne dukh uthane ke baad bahut se pade pramanon se apne aap ko unhein jeevit dikhaya, aur chalees din tak vah unhein dikhai deta raha: aur Parmeshwar ke rajya ki batein karta raha.
ओर उन से मिलकर उन्हें आज्ञा दी, कि यरूशलेम को न छोड़ो, परन्तु पिता की उस प्रतिज्ञा के पूरे होने की बाट जोहते रहो, जिस की चर्चा तुम मुझ से सुन चुके हो।
Or un se milkar unhein aagya di, ki Yerushalem ko na chhodo, parantu pita ki us pratigya ke poore hone ki baat johte raho, jis ki charcha tum mujh se sun chuke ho.
क्योंकि यूहन्ना ने तो पानी में बपतिस्मा दिया है परन्तु थोड़े दिनों के बाद तुम पवित्रात्मा से बपतिस्मा पाओगे।
Kyonki Yuhanna ne to pani mein baptisma diya hai parantu thode dinon ke baad tum pavitratma se baptisma paoge.
सो उन्हों ने इकट्ठे होकर उस से पूछा, कि हे प्रभु, क्या तू इसी समय इस्त्राएल को राज्य फेर देगा?
So unhon ne ikatthe hokar us se poochha, ki he Prabhu, kya tu isi samay istrayel ko rajya pher dega?
उस ने उन से कहा; उन समयों या कालों को जानना, जिन को पिता ने अपने ही अधिकार में रखा है, तुम्हारा काम नहीं।
Us ne un se kaha; un samyon ya kalon ko janna, jin ko pita ne apne hi adhikaar mein rakha hai, tumhara kaam nahi.
परन्तु जब पवित्र आत्मा तुम पर आएगा तब तुम सामर्थ पाओगे; और यरूशलेम और सारे यहूदिया और सामरिया में, और पृथ्वी की छोर तक मेरे गवाह होगे।
Parantu jab pavitra aatma tum par aayega tab tum samarth paoge; aur Yerushalem aur sare yahoodiya aur samriya mein, aur prithvi ki chhor tak mere gavaah hoge.
यह कहकर वह उन के देखते देखते ऊपर उठा लिया गया; और बादल ने उसे उन की आंखों से छिपा लिया।
Yah kahkar vah un ke dekhte dekhte oopar utha liya gaya; aur badal ne use un ki aankhon se chhipa liya.
और उसके जाते समय जब वे आकाश की ओर ताक रहे थे, तो देखो, दो पुरूष श्वेत वस्त्र पहिने हुए उन के पास आ खड़े हुए।
Aur uske jate samay jab ve aakaash ki or taak rahe the, to dekho, do puroosh shwet vastra pahine hue un ke paas aa khade hue.
और कहने लगे; हे गलीली पुरूषों, तुम क्यों खड़े स्वर्ग की ओर देख रहे हो? यही यीशु, जो तुम्हारे पास से स्वर्ग पर उठा लिया गया है, जिस रीति से तुम ने उसे स्वर्ग को जाते देखा है उसी रीति से वह फिर आएगा॥
Aur kahne lage; he galeeli purooshon, tum kyon khade swarg ki or dekh rahe ho? Yahi Yeshu, jo tumhare paas se swarg par utha liya gaya hai, jis reeti se tum ne use swarg ko jate dekha hai usi reeti se vah phir aayega.
तब वे जैतून नाम के पहाड़ से जो यरूशलेम के निकट एक सब्त के दिन की दूरी पर है, यरूशलेम को लौटे।
Tab ve jaitoon naam ke pahaad se jo Yerushalem ke nikat ek sabt ke din ki doori par hai, Yerushalem ko laute.
और जब वहां पहुंचे तो वे उस अटारी पर गए, जहां पतरस और यूहन्ना और याकूब और अन्द्रियास और फिलेप्पुस और थोमा और बरतुलमाई और मत्ती और हलफई का पुत्र याकूब और शमौन जेलोतेस और याकूब का पुत्र यहूदा रहते थे।
Aur jab vahan pahunche to ve us atari par gaye, jahan Patras aur Yuhanna aur Yakub aur andriyaas aur phileppus aur thoma aur bartulmai aur matti aur halphai ka putra Yakub aur Shamaun jelotes aur Yakub ka putra Yahuda rahte the.
ये सब कई स्त्रियों और यीशु की माता मरियम और उसके भाइयों के साथ एक चित्त होकर प्रार्थना में लगे रहे॥
Ye sab kai striyon aur Yeshu ki mata Mariyam aur uske bhaiyon ke saath ek chitt hokar prarthana mein lage rahe.
और उन्हीं दिनों में पतरस भाइयों के बीच में जो एक सौ बीस व्यक्ति के लगभग इकट्ठे थे, खड़ा होकर कहने लगा।
Aur unhi dinon mein Patras bhaiyon ke beech mein jo ek sau bees vyakti ke lagbhag ikatthe the, khada hokar kahne laga.
हे भाइयों, अवश्य था कि पवित्र शास्त्र का वह लेख पूरा हो, जो पवित्र आत्मा ने दाऊद के मुख से यहूदा के विषय में जो यीशु के पकड़ने वालों का अगुवा था, पहिले से कही थीं।
He bhaiyon, avashya tha ki pavitra shastra ka vah lekh poora ho, jo pavitra aatma ne Daud ke mukh se Yahuda ke vishay mein jo Yeshu ke pakadne valon ka aguva tha, pahile se kahi thi.
क्योंकि वह तो हम में गिना गया, और इस सेवकाई में सहभागी हुआ।
Kyonki vah to ham mein gina gaya, aur is sevkai mein sahbhagi huaa.
(उस ने अधर्म की कमाई से एक खेत मोल लिया; और सिर के बल गिरा, और उसका पेट फट गया, और उस की सब अन्तड़ियां निकल पड़ी।
(us ne adharm ki kamai se ek khet mol liya; aur sir ke bal gira, aur uska pet phat gaya, aur us ki sab antadiyan nikal padi.
और इस बात को यरूशलेम के सब रहने वाले जान गए, यहां तक कि उस खेत का नाम उन की भाषा में हकलदमा अर्थात लोहू का खेत पड़ गया।)
Aur is baat ko Yerushalem ke sab rahne vale jaan gaye, yahan tak ki us khet ka naam un ki bhasha mein hakladma arthaat lohu ka khet pad gaya.)
क्योंकि भजन सहिंता में लिखा है, कि उसका घर उजड़ जाए, और उस में कोई न बसे और उसका पद कोई दूसरा ले ले।
Kyonki bhajan sahinta mein likha hai, ki uska ghar ujad jaye, aur us mein koi na base aur uska pad koi doosra le le.
इसलिये जितने दिन तक प्रभु यीशु हमारे साथ आता जाता रहा, अर्थात यूहन्ना के बपतिस्मा से लेकर उसके हमारे पास से उठाए जाने तक, जो लोग बराबर हमारे साथ रहे।
Isliye jitne din tak Prabhu Yeshu hamare saath aata jata raha, arthaat Yuhanna ke baptisma se lekar uske hamare paas se uthaye jane tak, jo log barabar hamare saath rahe.
उचित है कि उन में से एक व्यक्ति हमारे साथ उसके जी उठने का गवाह हो जाए।
Uchit hai ki un mein se ek vyakti hamare saath uske ji uthne ka gavaah ho jaye.
तब उन्होंने दो को खड़ा किया, एक युसुफ को, जो बर-सबा कहलाता है, जिस का उपनाम यूसतुस है, दूसरा मत्तिय्याह को।
Tab unhonne do ko khada kiya, ek yusuph ko, jo bar-saba kahlata hai, jis ka upnaam yoostus hai, doosra mattiyyaah ko.
और यह कहकर प्रार्थना की; कि हे प्रभु, तू जो सब के मन जानता है, यह प्रगट कर कि इन दानों में से तू ने किस को चुना है।
Aur yah kahkar prarthana ki; ki he Prabhu, tu jo sab ke man janta hai, yah pragat kar ki in danon mein se tu ne kis ko chuna hai.
कि वह इस सेवकाई और प्रेरिताई का पद ले जिसे यहूदा छोड़ कर अपने स्थान को गया।
Ki vah is sevkai aur preritai ka pad le jise Yahuda chhod kar apne sthaan ko gaya.
तब उन्होंने उन के बारे में चिट्ठियां डालीं, और चिट्ठी मत्तिय्याह के नाम पर निकली, सो वह उन ग्यारह प्रेरितों के साथ गिना गया॥
Tab unhonne un ke bare mein chitthiyan dali, aur chitthi mattiyyaah ke naam par nikli, so vah un gyarah preriton ke saath gina gaya.