Acts 19 · 41 verses

प्रेरितों के काम 19 Acts 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 19.

1

और जब अपुल्लोस कुरिन्थुस में था, तो पौलुस ऊपर से सारे देश से होकर इफिसुस में आया, और कई चेलों को देख कर।

Aur jab apullos kurinthus mein tha, to Paulus oopar se sare desh se hokar iphisus mein aaya, aur kai chelon ko dekh kar.

2

उन से कहा; क्या तुम ने विश्वास करते समय पवित्र आत्मा पाया? उन्होंने उस से कहा, हम ने तो पवित्र आत्मा की चर्चा भी नहीं सुनी।

Un se kaha; kya tum ne vishwaas karte samay pavitra aatma paya? Unhonne us se kaha, ham ne to pavitra aatma ki charcha bhi nahi suni.

3

उस ने उन से कहा; तो फिर तुम ने किस का बपतिस्मा लिया? उन्होंने कहा; यूहन्ना का बपतिस्मा।

Us ne un se kaha; to phir tum ne kis ka baptisma liya? Unhonne kaha; Yuhanna ka baptisma.

4

पौलुस ने कहा; यूहन्ना ने यह कहकर मन फिराव का बपतिस्मा दिया, कि जो मेरे बाद आनेवाला है, उस पर अर्थात यीशु पर विश्वास करना।

Paulus ne kaha; Yuhanna ne yah kahkar man phiraav ka baptisma diya, ki jo mere baad aanevala hai, us par arthaat Yeshu par vishwaas karna.

5

यह सुनकर उन्होंने प्रभु यीशु के नाम का बपतिस्मा लिया।

Yah sunkar unhonne Prabhu Yeshu ke naam ka baptisma liya.

6

और जब पौलुस ने उन पर हाथ रखे, तो उन पर पवित्र आत्मा उतरा, और वे भिन्न भिन्न भाषा बोलने और भविष्यद्ववाणी करने लगे।

Aur jab Paulus ne un par haath rakhe, to un par pavitra aatma utra, aur ve bhinn bhinn bhasha bolne aur bhavishyadwavani karne lage.

7

ये सब लगभग बारह पुरूष थे॥

Ye sab lagbhag barah puroosh the.

8

और वह आराधनालय में जाकर तीन महीने तक निडर होकर बोलता रहा, और परमेश्वर के राज्य के विषय में विवाद करता और समझाता रहा।

Aur vah aaradhnalay mein jakar teen maheene tak nidar hokar bolta raha, aur Parmeshwar ke rajya ke vishay mein vivaad karta aur samjhata raha.

9

परन्तु जब कितनों ने कठोर होकर उस की नहीं मानी वरन लोगों के साम्हने इस मार्ग को बुरा कहने लगे, तो उस ने उन को छोड़ कर चेलों को अलग कर लिया, और प्रति दिन तुरन्नुस की पाठशाला में विवाद किया करता था।

Parantu jab kitnon ne kathor hokar us ki nahi mani varan logon ke samhane is maarg ko bura kahne lage, to us ne un ko chhod kar chelon ko alag kar liya, aur prati din turannus ki pathshala mein vivaad kiya karta tha.

10

दो वर्ष तक यही होता रहा, यहां तक कि आसिया के रहने वाले क्या यहूदी, क्या यूनानी सब ने प्रभु का वचन सुन लिया।

Do varsh tak yahi hota raha, yahan tak ki aasiya ke rahne vale kya Yahudi, kya yoonani sab ne Prabhu ka vachan sun liya.

11

और परमेश्वर पौलुस के हाथों से सामर्थ के अनोखे काम दिखाता था।

Aur Parmeshwar Paulus ke hathon se samarth ke anokhe kaam dikhata tha.

12

यहां तक कि रूमाल और अंगोछे उस की देह से छुलवाकर बीमारों पर डालते थे, और उन की बीमारियां जाती रहती थी; और दुष्टात्माएं उन में से निकल जाया करती थीं।

Yahan tak ki roomaal aur angochhe us ki deh se chhulvakar beemaron par dalte the, aur un ki beemariyan jati rahti thi; aur dushtatmayen un mein se nikal jaya karti thi.

13

परन्तु कितने यहूदी जो झाड़ा फूंकी करते फिरते थे, यह कहने लगे, कि जिन में दुष्टात्मा हों उन पर प्रभु यीशु का नाम यह कहकर फूंके कि जिस यीशु का प्रचार पौलुस करता है, मैं तुम्हें उसी की शपथ देता हूं।

Parantu kitne Yahudi jo jhada phoonki karte phirte the, yah kahne lage, ki jin mein dushtatma hon un par Prabhu Yeshu ka naam yah kahkar phoonke ki jis Yeshu ka prachaar Paulus karta hai, main tumhein usi ki shapath deta hoon.

14

और स्क्किवा नाम के एक यहूदी महायाजक के सात पुत्र थे, जो ऐसा ही करते थे।

Aur skkiva naam ke ek Yahudi mahayajak ke saat putra the, jo aisa hi karte the.

15

पर दुष्टात्मा ने उत्तर दिया, कि यीशु को मैं जानती हूं, और पौलुस को भी पहचानती हूं; परन्तु तुम कौन हो?

Par dushtatma ne uttar diya, ki Yeshu ko main janti hoon, aur Paulus ko bhi pahchanti hoon; parantu tum kaun ho?

16

और उस मनुष्य ने जिस में दुष्ट आत्मा थी; उन पर लपक कर, और उन्हें वश में लाकर, उन पर ऐसा उपद्रव किया, कि वे नंगे और घायल होकर उस घर से निकल भागे।

Aur us manushya ne jis mein dusht aatma thi; un par lapak kar, aur unhein vash mein lakar, un par aisa upadrav kiya, ki ve nange aur ghayal hokar us ghar se nikal bhage.

17

और यह बात इफिसुस के रहने वाले यहूदी और यूनानी भी सब जान गए, और उन सब पर भय छा गया; और प्रभु यीशु के नाम की बड़ाई हुई।

Aur yah baat iphisus ke rahne vale Yahudi aur yoonani bhi sab jaan gaye, aur un sab par bhay chha gaya; aur Prabhu Yeshu ke naam ki badai hui.

18

और जिन्हों ने विश्वास किया था, उन में से बहुतेरों ने आकर अपने अपने कामों को मान लिया और प्रगट किया।

Aur jinhon ne vishwaas kiya tha, un mein se bahuteron ne aakar apne apne kamon ko maan liya aur pragat kiya.

19

और जादू करने वालों में से बहुतों ने अपनी अपनी पोथियां इकट्ठी करके सब के साम्हने जला दीं; और जब उन का दाम जोड़ा गया, जो पचास हजार रूपये की निकलीं।

Aur jadu karne valon mein se bahuton ne apni apni pothiyan ikatthi karke sab ke samhane jala di; aur jab un ka daam joda gaya, jo pachaas hajaar roopye ki nikli.

20

यों प्रभु का वचन बल पूर्वक फैलता गया और प्रबल होता गया॥

Yon Prabhu ka vachan bal poorvak phailta gaya aur prabal hota gaya.

21

जब ये बातें हो चुकीं, तो पौलुस ने आत्मा में ठाना कि मकिदुनिया और अखाया से होकर यरूशलेम को जाऊं, और कहा, कि वहां जाने के बाद मुझे रोम को भी देखना अवश्य है।

Jab ye batein ho chuki, to Paulus ne aatma mein thana ki makiduniya aur akhaya se hokar Yerushalem ko jaun, aur kaha, ki vahan jane ke baad mujhe rom ko bhi dekhna avashya hai.

22

सो अपनी सेवा करने वालों में से तीमुथियुस और इरास्तुस को मकिदुनिया में भेजकर आप कुछ दिन आसिया में रह गया।

So apni seva karne valon mein se teemuthiyus aur irastus ko makiduniya mein bhejkar aap kuchh din aasiya mein rah gaya.

23

उस समय उस पन्थ के विषय में बड़ा हुल्लड़ हुआ।

Us samay us panth ke vishay mein bada hullad huaa.

24

क्योंकि देमेत्रियुस नाम का एक सुनार अरितमिस के चान्दी के मन्दिर बनवाकर कारीगरों को बहुत काम दिलाया करता था।

Kyonki demetriyus naam ka ek sunaar aritmis ke chandi ke mandir banvakar kareegron ko bahut kaam dilaya karta tha.

25

उस ने उन को, और, और ऐसी वस्तुओं के कारीगरों को इकट्ठे करके कहा; हे मनुष्यो, तुम जानते हो, कि इस काम में हमें कितना धन मिलता है।

Us ne un ko, aur, aur aisi vastuon ke kareegron ko ikatthe karke kaha; he manushyo, tum jante ho, ki is kaam mein hamein kitna dhan milta hai.

26

और तुम देखते और सुनते हो, कि केवल इफिसुस ही में नहीं, वरन प्राय: सारे आसिया में यह कह कहकर इस पौलुस ने बहुत लोगों को समझाया और भरमाया भी है, कि जो हाथ की कारीगरी है, वे ईश्वर नहीं।

Aur tum dekhte aur sunte ho, ki keval iphisus hi mein nahi, varan praay: sare aasiya mein yah kah kahkar is Paulus ne bahut logon ko samjhaya aur bharmaya bhi hai, ki jo haath ki kareegri hai, ve ishwar nahi.

27

और अब केवल इसी एक बात का ही डर नहीं, कि हमारे इस धन्धे की प्रतिष्ठा जाती रहेगी; वरन यह कि महान देवी अरितमिस का मन्दिर तुच्छ समझा जाएगा और जिसे सारा आसिया और जगत पूजता है उसका महत्व भी जाता रहेगा।

Aur ab keval isi ek baat ka hi dar nahi, ki hamare is dhandhe ki pratishtha jati rahegi; varan yah ki mahaan devi aritmis ka mandir tuchchh samjha jayega aur jise sara aasiya aur jagat poojta hai uska mahatva bhi jata rahega.

28

वे यह सुनकर क्रोध से भर गए, और चिल्ला चिल्लाकर कहने लगे, इफिसयों की अरितमिस महान है!

Ve yah sunkar krodh se bhar gaye, aur chilla chillakar kahne lage, iphisyon ki aritmis mahaan hai!

29

और सारे नगर में बड़ा कोलाहल मच गया और लोगों ने गयुस और अरिस्तरखुस मकिदुनियों को जो पौलुस के संगी यात्री थे, पकड़ लिया, और एकिचत्त होकर रंगशाला में दौड़ गए।

Aur sare nagar mein bada kolahal mach gaya aur logon ne gayus aur aristarkhus makiduniyon ko jo Paulus ke sangi yatri the, pakad liya, aur ekichatt hokar rangshala mein daud gaye.

30

जब पौलुस ने लोगों के पास भीतर जाना चाहा तो चेलों ने उसे जाने न दिया।

Jab Paulus ne logon ke paas bheetar jana chaha to chelon ne use jane na diya.

31

आसिया के हाकिमों में से भी उसके कई मित्रों ने उसके पास कहला भेजा, और बिनती की, कि रंगशाला में जाकर जोखिम न उठाना।

Aasiya ke hakimon mein se bhi uske kai mitron ne uske paas kahla bheja, aur binti ki, ki rangshala mein jakar jokhim na uthana.

32

सो कोई कुछ चिल्लाया, और कोई कुछ; क्योंकि सभा में बड़ी गड़बड़ी हो रही थी, और बहुत से लोग तो यह जानते भी नहीं थे कि हम किस लिये इकट्ठे हुए हैं।

So koi kuchh chillaya, aur koi kuchh; kyonki sabha mein badi gadabdi ho rahi thi, aur bahut se log to yah jante bhi nahi the ki ham kis liye ikatthe hue hain.

33

तब उन्होंने सिकन्दर को, जिस यहूदियों ने खड़ा किया था, भीड़ में से आगे बढ़ाया, और सिकन्दर हाथ से सैन करके लोगों के साम्हने उत्तर दिया चाहता था।

Tab unhonne sikandar ko, jis Yahudiyon ne khada kiya tha, bheed mein se aage badhaya, aur sikandar haath se sain karke logon ke samhane uttar diya chahta tha.

34

परन्तु जब उन्होंने जान लिया कि वह यहूदी है, तो सब के सब एक शब्द से कोई दो घंटे तक चिल्लाते रहे, कि इफिसयों की अरितमिस महान है।

Parantu jab unhonne jaan liya ki vah Yahudi hai, to sab ke sab ek shabd se koi do ghante tak chillate rahe, ki iphisyon ki aritmis mahaan hai.

35

तब नगर के मन्त्री ने लोगों को शान्त करके कहा; हे इफिसयों, कौन नहीं जानता, कि इफिसयों का नगर बड़ी देवी अरितमिस के मन्दिर, और ज्यूस की ओर से गिरी हुई मूरत का टहलुआ है।

Tab nagar ke mantri ne logon ko shaant karke kaha; he iphisyon, kaun nahi janta, ki iphisyon ka nagar badi devi aritmis ke mandir, aur jyoos ki or se giri hui moorat ka tahluaa hai.

36

सो जब कि इन बातों का खण्डन ही नहीं हो सकता, तो उचित है, कि तुम चुपके रहो; और बिना सोचे विचारे कुछ न करो।

So jab ki in baton ka khandan hi nahi ho sakta, to uchit hai, ki tum chupke raho; aur bina soche vichare kuchh na karo.

37

क्योंकि तुम इन मनुष्यों को लाए हो, जो न मन्दिर के लूटने वाले हैं, और न हमारी देवी के निन्दक हैं।

Kyonki tum in manushyon ko laye ho, jo na mandir ke lootne vale hain, aur na hamari devi ke nindak hain.

38

यदि देमेत्रियुस और उसके साथी कारीगरों को किसी से विवाद हो तो कचहरी खुली हैं, और हाकिम भी हैं; वे एक दूसरे पर नालिश करें।

Yadi demetriyus aur uske sathi kareegron ko kisi se vivaad ho to kachahri khuli hain, aur hakim bhi hain; ve ek doosre par nalish karein.

39

परन्तु यदि तुम किसी और बात के विषय में कुछ पूछना चाहते हो, तो नियत सभा में फैसला किया जाएगा।

Parantu yadi tum kisi aur baat ke vishay mein kuchh poochhna chahte ho, to niyat sabha mein phaisla kiya jayega.

40

क्योंकि आज के बलवे के कारण हम पर दोष लगाए जाने का डर है, इसलिये कि इस का कोई कारण नहीं, सो हम इस भीड़ के इकट्ठा होने का कोई उत्तर न दे सकेंगे।

Kyonki aaj ke balve ke karan ham par dosh lagaye jane ka dar hai, isliye ki is ka koi karan nahi, so ham is bheed ke ikattha hone ka koi uttar na de sakenge.

41

और यह कह के उस ने सभा को विदा किया॥

Aur yah kah ke us ne sabha ko vida kiya.