इस के बाद पौलुस अथेने को छोड़कर कुरिन्थुस में आया।
Is ke baad Paulus athene ko chhodkar kurinthus mein aaya.
Acts 18 · 28 verses
इस के बाद पौलुस अथेने को छोड़कर कुरिन्थुस में आया।
Is ke baad Paulus athene ko chhodkar kurinthus mein aaya.
और वहां अक्विला नाम एक यहूदी मिला, जिस का जन्म पुन्तुस का था; और अपनी पत्नी प्रिस्किल्ला समेत इतालिया से नया आया था, क्योंकि क्लौदियुस ने सब यहूदियों को रोम से निकल जाने की आज्ञा दी थी, सो वह उन के यहां गया।
Aur vahan akvila naam ek Yahudi mila, jis ka janm puntus ka tha; aur apni patni priskilla samet italiya se naya aaya tha, kyonki klaudiyus ne sab Yahudiyon ko rom se nikal jane ki aagya di thi, so vah un ke yahan gaya.
और उसका और उन का एक ही उद्यम था; इसलिये वह उन के साथ रहा, और वे काम करने लगे, और उन का उद्यम तम्बू बनाने का था।
Aur uska aur un ka ek hi udyam tha; isliye vah un ke saath raha, aur ve kaam karne lage, aur un ka udyam tambu banane ka tha.
और वह हर एक सब्त के दिन आराधनालय में वाद-विवाद करके यहूदियों और यूनानियों को भी समझाता था॥
Aur vah har ek sabt ke din aaradhnalay mein vaad-vivaad karke Yahudiyon aur yoonaniyon ko bhi samjhata tha.
जब सीलास और तीमुथियुस मकिदुनिया से आए, तो पौलुस वचन सुनाने की धुन में लगकर यहूदियों को गवाही देता था कि यीशु ही मसीह है।
Jab seelaas aur teemuthiyus makiduniya se aaye, to Paulus vachan sunane ki dhun mein lagkar Yahudiyon ko gavahi deta tha ki Yeshu hi Masih hai.
परन्तु जब वे विरोध और निन्दा करने लगे, तो उस ने अपने कपड़े झाड़कर उन से कहा; तुम्हारा लोहू तुम्हारी गर्दन पर रहे: मैं निर्दोष हूं: अब से मैं अन्यजातियों के पास जाऊंगा।
Parantu jab ve virodh aur ninda karne lage, to us ne apne kapde jhadkar un se kaha; tumhara lohu tumhari gardan par rahe: main nirdosh hoon: ab se main anyajatiyon ke paas jaoonga.
और वहां से चलकर वह तितुस युस्तुस नाम परमेश्वर के एक भक्त के घर में आया, जिस का घर आराधनालय से लगा हुआ था।
Aur vahan se chalkar vah titus yustus naam Parmeshwar ke ek bhakt ke ghar mein aaya, jis ka ghar aaradhnalay se laga huaa tha.
तब आराधनालय के सरदार क्रिस्पुस ने अपने सारे घराने समेत प्रभु पर विश्वास किया; और बहुत से कुरिन्थी सुनकर विश्वास लाए और बपतिस्मा लिया।
Tab aaradhnalay ke sardaar krispus ne apne sare gharane samet Prabhu par vishwaas kiya; aur bahut se kurinthi sunkar vishwaas laye aur baptisma liya.
और प्रभु ने रात को दर्शन के द्वारा पौलुस से कहा, मत डर, वरन कहे जा, और चुप मत रह।
Aur Prabhu ne raat ko darshan ke dwara Paulus se kaha, mat dar, varan kahe ja, aur chup mat rah.
क्योंकि मैं तेरे साथ हूं: और कोई तुझ पर चढ़ाई करके तेरी हानि न करेगा; क्योंकि इस नगर में मेरे बहुत से लोग हैं।
Kyonki main tere saath hoon: aur koi tujh par chadhai karke teri hani na karega; kyonki is nagar mein mere bahut se log hain.
सो वह उन में परमेश्वर का वचन सिखाते हुए डेढ़ वर्ष तक रहा॥
So vah un mein Parmeshwar ka vachan sikhate hue dedh varsh tak raha.
जब गल्लियो अखाया देश का हाकिम था तो यहूदी लोग एका करके पौलुस पर चढ़ आए, और उसे न्याय आसन के साम्हने लाकर, कहने लगे।
Jab galliyo akhaya desh ka hakim tha to Yahudi log eka karke Paulus par chadh aaye, aur use nyaay aasan ke samhane lakar, kahne lage.
कि यह लोगों को समझाता है, कि परमेश्वर की उपासना ऐसी रीति से करें, जो व्यवस्था के विपरीत है।
Ki yah logon ko samjhata hai, ki Parmeshwar ki upasna aisi reeti se karein, jo vyavastha ke vipreet hai.
जब पौलुस बोलने पर था, तो गल्लियो ने यहूदियों से कहा; हे यहूदियो, यदि यह कुछ अन्याय या दुष्टता की बात होती तो उचित था कि मैं तुम्हारी सुनता।
Jab Paulus bolne par tha, to galliyo ne Yahudiyon se kaha; he yahoodiyo, yadi yah kuchh anyaay ya dushtata ki baat hoti to uchit tha ki main tumhari sunta.
परन्तु यदि यह वाद-विवाद शब्दों, और नामों, और तुम्हारे यहां की व्यवस्था के विषय में है, तो तुम ही जानो; क्योंकि मैं इन बातों का न्यायी बनना नहीं चाहता।
Parantu yadi yah vaad-vivaad shabdon, aur namon, aur tumhare yahan ki vyavastha ke vishay mein hai, to tum hi jano; kyonki main in baton ka nyayi banna nahi chahta.
और उस ने उन्हें न्याय आसन के साम्हने से निकलवा दिया।
Aur us ne unhein nyaay aasan ke samhane se nikalva diya.
तब सब लोगों ने अराधनालय के सरदार सोस्थिनेस को पकड़ के न्याय आसन के साम्हने मारा: परन्तु गल्लियो ने इन बातों की कुछ भी चिन्ता न की॥
Tab sab logon ne aradhnalay ke sardaar sosthines ko pakad ke nyaay aasan ke samhane mara: parantu galliyo ne in baton ki kuchh bhi chinta na ki.
सो पौलुस बहुत दिन तक वहां रहा, फिर भाइयों से विदा होकर किंख्रिया में इसलिये सिर मुण्डाया क्योंकि उस ने मन्नत मानी थी और जहाज पर सूरिया को चल दिया और उसके साथ प्रिस्किल्ला और अक्विला थे।
So Paulus bahut din tak vahan raha, phir bhaiyon se vida hokar kinkhriya mein isliye sir mundaya kyonki us ne mannat mani thi aur jahaaj par sooriya ko chal diya aur uske saath priskilla aur akvila the.
और उस ने इफिसुस में पहुंचकर उन को वहां छोड़ा, और आप ही अराधनालय में जाकर यहूदियों से विवाद करने लगा।
Aur us ne iphisus mein pahunchkar un ko vahan chhoda, aur aap hi aradhnalay mein jakar Yahudiyon se vivaad karne laga.
जब उन्होंने उस से बिनती की, कि हमारे साथ और कुछ दिन रह, तो उस ने स्वीकार न किया।
Jab unhonne us se binti ki, ki hamare saath aur kuchh din rah, to us ne sweekaar na kiya.
परन्तु यह कहकर उन से विदा हुआ, कि यदि परमेश्वर चाहे तो मैं तुम्हारे पास फिर आऊंगा।
Parantu yah kahkar un se vida huaa, ki yadi Parmeshwar chahe to main tumhare paas phir aaoonga.
तब इफिसुस से जहाज खोलकर चल दिया, और कैसरिया में उतर कर (यरूशलेम को) गया और कलीसिया को नमस्कार करके अन्ताकिया में आया।
Tab iphisus se jahaaj kholkar chal diya, aur kaisriya mein utar kar (Yerushalem ko) gaya aur kaleesiya ko namaskaar karke antakiya mein aaya.
फिर कुछ दिन रहकर वहां से चला गया, और एक ओर से गलतिया और फ्रूगिया में सब चेलों को स्थिर करता फिरा॥
Phir kuchh din rahkar vahan se chala gaya, aur ek or se galtiya aur phroogiya mein sab chelon ko sthir karta phira.
अपुल्लोस नाम एक यहूदी जिस का जन्म सिकन्दरिया में हुआ था, जो विद्वान पुरूष था और पवित्र शास्त्र को अच्छी तरह से जानता था इफिसुस में आया।
Apullos naam ek Yahudi jis ka janm sikandariya mein huaa tha, jo vidwaan puroosh tha aur pavitra shastra ko achchhi tarah se janta tha iphisus mein aaya.
उस ने प्रभु के मार्ग की शिक्षा पाई थी, और मन लगाकर यीशु के विषय में ठीक ठीक सुनाता, और सिखाता था, परन्तु वह केवल यूहन्ना के बपतिस्मा की बात जानता था।
Us ne Prabhu ke maarg ki shiksha pai thi, aur man lagakar Yeshu ke vishay mein theek theek sunata, aur sikhata tha, parantu vah keval Yuhanna ke baptisma ki baat janta tha.
वह आराधनालय में निडर होकर बोलने लगा, पर प्रिस्किल्ला और अक्विला उस की बातें सुनकर, उसे अपने यहां ले गए और परमेश्वर का मार्ग उस को और भी ठीक ठीक बताया।
Vah aaradhnalay mein nidar hokar bolne laga, par priskilla aur akvila us ki batein sunkar, use apne yahan le gaye aur Parmeshwar ka maarg us ko aur bhi theek theek bataya.
और जब उस ने निश्चय किया कि पार उतरकर अखाया को जाए तो भाइयों ने उसे ढाढ़स देकर चेलों को लिखा कि वे उस से अच्छी तरह मिलें, और उस ने पहुंच कर वहां उन लोगों की बड़ी सहायता की जिन्हों ने अनुग्रह के कारण विश्वास किया था।
Aur jab us ne nishchay kiya ki paar utarkar akhaya ko jaye to bhaiyon ne use dhadhas dekar chelon ko likha ki ve us se achchhi tarah milein, aur us ne pahunch kar vahan un logon ki badi sahayta ki jinhon ne anugrah ke karan vishwaas kiya tha.
क्योंकि वह पवित्र शास्त्र से प्रमाण दे देकर, कि यीशु ही मसीह है; बड़ी प्रबलता से यहूदियों को सब के साम्हने निरूत्तर करता रहा॥
Kyonki vah pavitra shastra se pramaan de dekar, ki Yeshu hi Masih hai; badi prabalta se Yahudiyon ko sab ke samhane niroottar karta raha.