Acts 17 · 34 verses

प्रेरितों के काम 17 Acts 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 17.

1

फिर वे अम्फिपुलिस और अपुल्लोनिया होकर थिस्सलुनीके में आए, जहां यहूदियों का एक आराधनालय था।

Phir ve amphipulis aur apulloniya hokar thissaluneeke mein aaye, jahan Yahudiyon ka ek aaradhnalay tha.

2

और पौलुस अपनी रीति के अनुसार उन के पास गया, और तीन सब्त के दिन पवित्र शास्त्रों से उन के साथ विवाद किया।

Aur Paulus apni reeti ke anusaar un ke paas gaya, aur teen sabt ke din pavitra shastron se un ke saath vivaad kiya.

3

और उन का अर्थ खोल खोलकर समझाता था, कि मसीह को दुख उठाना, और मरे हुओं में से जी उठना, अवश्य था; और यही यीशु जिस की मैं तुम्हें कथा सुनाता हूं, मसीह है।

Aur un ka arth khol kholkar samjhata tha, ki Masih ko dukh uthana, aur mare huon mein se ji uthna, avashya tha; aur yahi Yeshu jis ki main tumhein katha sunata hoon, Masih hai.

4

उन में से कितनों ने, और भक्त यूनानियों में से बहुतेरों ने और बहुत सी कुलीन स्त्रियों ने मान लिया, और पौलुस और सीलास के साथ मिल गए।

Un mein se kitnon ne, aur bhakt yoonaniyon mein se bahuteron ne aur bahut si kuleen striyon ne maan liya, aur Paulus aur seelaas ke saath mil gaye.

5

परन्तु यहूदियों ने डाह से भरकर बजारू लोगों में से कई दुष्ट मनुष्यों को अपने साथ में लिया, और भीड़ लगाकर नगर में हुल्लड़ मचाने लगे, और यासोन के घर पर चढ़ाई करके उन्हें लोगों के साम्हने लाना चाहा।

Parantu Yahudiyon ne daah se bharkar bajaru logon mein se kai dusht manushyon ko apne saath mein liya, aur bheed lagakar nagar mein hullad machane lage, aur yason ke ghar par chadhai karke unhein logon ke samhane lana chaha.

6

और उन्हें न पाकर, वे यह चिल्लाते हुए यासोन और कितने और भाइयों को नगर के हाकिमों के साम्हने खींच लाए, कि ये लोग जिन्हों ने जगत को उलटा पुलटा कर दिया है, यहां भी आए हैं।

Aur unhein na pakar, ve yah chillate hue yason aur kitne aur bhaiyon ko nagar ke hakimon ke samhane kheench laye, ki ye log jinhon ne jagat ko ulta pulta kar diya hai, yahan bhi aaye hain.

7

और यासोन ने उन्हें अपने यहां उतारा है, और ये सब के सब यह कहते हैं कि यीशु राजा है, और कैसर की आज्ञाओं का विरोध करते हैं।

Aur yason ne unhein apne yahan utara hai, aur ye sab ke sab yah kahte hain ki Yeshu raja hai, aur kaisar ki aagyaon ka virodh karte hain.

8

उन्होंने लोगों को और नगर के हाकिमों को यह सुनाकर घबरा दिया।

Unhonne logon ko aur nagar ke hakimon ko yah sunakar ghabra diya.

9

और उन्होंने यासोन और बाकी लोगों से मुचलका लेकर उन्हें छोड़ दिया॥

Aur unhonne yason aur baki logon se muchalka lekar unhein chhod diya.

10

भाइयों ने तुरन्त रात ही रात पौलुस और सीलास को बिरीया में भेज दिया: और वे वहां पहुंचकर यहूदियों के आराधनालय में गए।

Bhaiyon ne turant raat hi raat Paulus aur seelaas ko bireeya mein bhej diya: aur ve vahan pahunchkar Yahudiyon ke aaradhnalay mein gaye.

11

ये लोग तो थिस्सलुनीके के यहूदियों से भले थे और उन्होंने बड़ी लालसा से वचन ग्रहण किया, और प्रति दिन पवित्र शास्त्रों में ढूंढ़ते रहे कि ये बातें यों ही हैं, कि नहीं।

Ye log to thissaluneeke ke Yahudiyon se bhale the aur unhonne badi lalsa se vachan grahan kiya, aur prati din pavitra shastron mein dhoondhte rahe ki ye batein yon hi hain, ki nahi.

12

सो उन में से बहुतों ने, और यूनानी कुलीन स्त्रियों में से, और पुरूषों में से बहुतेरों ने विश्वास किया।

So un mein se bahuton ne, aur yoonani kuleen striyon mein se, aur purooshon mein se bahuteron ne vishwaas kiya.

13

किन्तु जब थिस्सलुनीके के यहूदी जान गए, कि पौलुस बिरीया में भी परमेश्वर का वचन सुनाता है, तो वहां भी आकर लोगों को उकसाने और हलचल मचाने लगे।

Kintu jab thissaluneeke ke Yahudi jaan gaye, ki Paulus bireeya mein bhi Parmeshwar ka vachan sunata hai, to vahan bhi aakar logon ko uksane aur halchal machane lage.

14

तब भाइयों ने तुरन्त पौलुस को विदा किया, कि समुद्र के किनारे चला जाए; परन्तु सीलास और तीमुथियुस वहीं रह गए।

Tab bhaiyon ne turant Paulus ko vida kiya, ki samudra ke kinare chala jaye; parantu seelaas aur teemuthiyus vahi rah gaye.

15

पौलुस के पहुंचाने वाले उसे अथेने तक ले गए, और सीलास और तीमुथियुस के लिये यह आज्ञा लेकर विदा हुए, कि मेरे पास बहुत शीघ्र आओ॥

Paulus ke pahunchane vale use athene tak le gaye, aur seelaas aur teemuthiyus ke liye yah aagya lekar vida hue, ki mere paas bahut sheeghra aao.

16

जब पौलुस अथेने में उन की बाट जोह रहा था, तो नगर को मूरतों से भरा हुआ देखकर उसका जी जल गया।

Jab Paulus athene mein un ki baat joh raha tha, to nagar ko moorton se bhara huaa dekhkar uska ji jal gaya.

17

सो वह आराधनालय में यहूदियों और भक्तों से और चौक में जो लोग मिलते थे, उन से हर दिन वाद-विवाद किया करता था।

So vah aaradhnalay mein Yahudiyon aur bhakton se aur chauk mein jo log milte the, un se har din vaad-vivaad kiya karta tha.

18

तब इपिकूरी और स्तोईकी पण्डितों में से कितने उस से तर्क करने लगे, और कितनों ने कहा, यह बकवादी क्या कहना चाहता है परन्तु औरों ने कहा; वह अन्य देवताओं का प्रचारक मालूम पड़ता है, क्योंकि वह यीशु का, और पुनरुत्थान का सुसमाचार सुनाता था।

Tab ipikoori aur stoiki panditon mein se kitne us se tark karne lage, aur kitnon ne kaha, yah bakvadi kya kahna chahta hai parantu auron ne kaha; vah anya devtaon ka pracharak maloom padta hai, kyonki vah Yeshu ka, aur punrutthaan ka susmachaar sunata tha.

19

तब वे उसे अपने साथ अरियुपगुस पर ले गए और पूछा, क्या हम जान सकते हैं, कि यह नया मत जो तू सुनाता है, क्या है?

Tab ve use apne saath ariyupgus par le gaye aur poochha, kya ham jaan sakte hain, ki yah naya mat jo tu sunata hai, kya hai?

20

क्योंकि तू अनोखी बातें हमें सुनाता है, इसलिये हम जानना चाहते हैं कि इन का अर्थ क्या है?

Kyonki tu anokhi batein hamein sunata hai, isliye ham janna chahte hain ki in ka arth kya hai?

21

(इसलिये कि सब अथेनवी और परदेशी जो वहां रहते थे नई नई बातें कहने और सुनने के सिवाय और किसी काम में समय नहीं बिताते थे)।

(isliye ki sab athenvi aur pardeshi jo vahan rahte the nai nai batein kahne aur sunne ke sivaay aur kisi kaam mein samay nahi bitate the).

22

तब पौलुस ने अरियुपगुस के बीच में खड़ा होकर कहा; हे अथेने के लोगों मैं देखता हूं, कि तुम हर बात में देवताओं के बड़े मानने वाले हो।

Tab Paulus ne ariyupgus ke beech mein khada hokar kaha; he athene ke logon main dekhta hoon, ki tum har baat mein devtaon ke bade manne vale ho.

23

क्योंकि मैं फिरते हुए तुम्हारी पूजने की वस्तुओं को देख रहा था, तो एक ऐसी वेदी भी पाई, जिस पर लिखा था, कि अनजाने ईश्वर के लिये। सो जिसे तुम बिना जाने पूजते हो, मैं तुम्हें उसका समाचार सुनाता हूं।

Kyonki main phirte hue tumhari poojne ki vastuon ko dekh raha tha, to ek aisi vedi bhi pai, jis par likha tha, ki anjane ishwar ke liye. So jise tum bina jane poojte ho, main tumhein uska samachaar sunata hoon.

24

जिस परमेश्वर ने पृथ्वी और उस की सब वस्तुओं को बनाया, वह स्वर्ग और पृथ्वी का स्वामी होकर हाथ के बनाए हुए मन्दिरों में नहीं रहता।

Jis Parmeshwar ne prithvi aur us ki sab vastuon ko banaya, vah swarg aur prithvi ka swami hokar haath ke banaye hue mandiron mein nahi rahta.

25

न किसी वस्तु का प्रयोजन रखकर मनुष्यों के हाथों की सेवा लेता है, क्योंकि वह तो आप ही सब को जीवन और श्वास और सब कुछ देता है।

Na kisi vastu ka prayojan rakhkar manushyon ke hathon ki seva leta hai, kyonki vah to aap hi sab ko jeevan aur shwaas aur sab kuchh deta hai.

26

उस ने एक ही मूल से मनुष्यों की सब जातियां सारी पृथ्वी पर रहने के लिये बनाईं हैं; और उन के ठहराए हुए समय, और निवास के सिवानों को इसलिये बान्धा है।

Us ne ek hi mool se manushyon ki sab jatiyan sari prithvi par rahne ke liye banai hain; aur un ke thahraye hue samay, aur nivaas ke sivanon ko isliye bandha hai.

27

कि वे परमेश्वर को ढूंढ़ें, कदाचित उसे टटोल कर पा जाएं तौभी वह हम में से किसी से दूर नहीं!

Ki ve Parmeshwar ko dhoondhein, kadachit use tatol kar pa jayen taubhi vah ham mein se kisi se door nahi!

28

क्योंकि हम उसी में जीवित रहते, और चलते-फिरते, और स्थिर रहते हैं; जैसे तुम्हारे कितने कवियों ने भी कहा है, कि हम तो उसी के वंश भी हैं।

Kyonki ham usi mein jeevit rahte, aur chalte-phirte, aur sthir rahte hain; jaise tumhare kitne kaviyon ne bhi kaha hai, ki ham to usi ke vansh bhi hain.

29

सो परमेश्वर का वंश होकर हमें यह समझना उचित नहीं, कि ईश्वरत्व, सोने या रूपे या पत्थर के समान है, जो मनुष्य की कारीगरी और कल्पना से गढ़े गए हों।

So Parmeshwar ka vansh hokar hamein yah samajhna uchit nahi, ki ishwaratva, sone ya roope ya patthar ke samaan hai, jo manushya ki kareegri aur kalpana se gadhe gaye hon.

30

इसलिये परमेश्वर आज्ञानता के समयों में अनाकानी करके, अब हर जगह सब मनुष्यों को मन फिराने की आज्ञा देता है।

Isliye Parmeshwar aagyanta ke samyon mein anakani karke, ab har jagah sab manushyon ko man phirane ki aagya deta hai.

31

क्योंकि उस ने एक दिन ठहराया है, जिस में वह उस मनुष्य के द्वारा धर्म से जगत का न्याय करेगा, जिसे उस ने ठहराया है और उसे मरे हुओं में से जिलाकर, यह बात सब पर प्रामाणित कर दी है॥

Kyonki us ne ek din thahraya hai, jis mein vah us manushya ke dwara dharm se jagat ka nyaay karega, jise us ne thahraya hai aur use mare huon mein se jilakar, yah baat sab par pramanit kar di hai.

32

मरे हुओं के पुनरुत्थान की बात सुनकर कितने तो ठट्ठा करने लगे, और कितनों ने कहा, यह बात हम तुझ से फिर कभी सुनेंगे।

Mare huon ke punrutthaan ki baat sunkar kitne to thattha karne lage, aur kitnon ne kaha, yah baat ham tujh se phir kabhi sunenge.

33

इस पर पौलुस उन के बीच में से निकल गया।

Is par Paulus un ke beech mein se nikal gaya.

34

परन्तु कई एक मनुष्य उसके साथ मिल गए, और विश्वास किया, जिन में दियुनुसियुस अरियुपगी था, और दमरिस नाम एक स्त्री थी, और उन के साथ और भी कितने लोग थे॥

Parantu kai ek manushya uske saath mil gaye, aur vishwaas kiya, jin mein diyunusiyus ariyupgi tha, aur damris naam ek stri thi, aur un ke saath aur bhi kitne log the.