Acts 16 · 40 verses

प्रेरितों के काम 16 Acts 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 16.

1

फिर वह दिरबे और लुस्त्रा में भी गया, और देखो, वहां तीमुथियुस नाम एक चेला था, जो किसी विश्वासी यहूदिनी का पुत्र था, परन्तु उसका पिता यूनानी था।

Phir vah dirbe aur lustra mein bhi gaya, aur dekho, vahan teemuthiyus naam ek chela tha, jo kisi vishwasi yahoodini ka putra tha, parantu uska pita yoonani tha.

2

वह लुस्त्रा और इकुनियुम के भाइयों में सुनाम था।

Vah lustra aur ikuniyum ke bhaiyon mein sunaam tha.

3

पौलुस ने चाहा, कि यह मेरे साथ चले; और जो यहूदी लोग उन जगहों में थे उन के कारण उसे लेकर उसका खतना किया; क्योंकि वे सब जानते था, कि उसका पिता यूनानी था।

Paulus ne chaha, ki yah mere saath chale; aur jo Yahudi log un jaghon mein the un ke karan use lekar uska khatna kiya; kyonki ve sab jante tha, ki uska pita yoonani tha.

4

और नगर नगर जाते हुए वे उन विधियों को जो यरूशलेम के प्रेरितों और प्राचीनों ने ठहराई थीं, मानने के लिये उन्हें पहुंचाते जाते थे।

Aur nagar nagar jate hue ve un vidhiyon ko jo Yerushalem ke preriton aur pracheenon ne thahrai thi, manne ke liye unhein pahunchate jate the.

5

इस प्रकार कलीसिया विश्वास में स्थिर होती गई और गिनती में प्रति दिन बढ़ती गई।

Is prakaar kaleesiya vishwaas mein sthir hoti gai aur ginti mein prati din badhti gai.

6

और वे फ्रूगिया और गलतिया देशों में से होकर गए, और पवित्र आत्मा ने उन्हें ऐशिया में वचन सुनाने से मना किया।

Aur ve phroogiya aur galtiya deshon mein se hokar gaye, aur pavitra aatma ne unhein aishiya mein vachan sunane se mana kiya.

7

और उन्होंने मूसिया के निकट पहुंचकर, बितूनिया में जाना चाहा; परन्तु यीशु के आत्मा ने उन्हें जाने न दिया।

Aur unhonne moosiya ke nikat pahunchkar, bitooniya mein jana chaha; parantu Yeshu ke aatma ne unhein jane na diya.

8

सो मूसिया से होकर वे त्रोआस में आए।

So moosiya se hokar ve troaas mein aaye.

9

और पौलुस ने रात को एक दर्शन देखा कि एक मकिदुनी पुरूष खड़ा हुआ, उस से बिनती करके कहता है, कि पार उतरकर मकिदुनिया में आ; और हमारी सहायता कर।

Aur Paulus ne raat ko ek darshan dekha ki ek makiduni puroosh khada huaa, us se binti karke kahta hai, ki paar utarkar makiduniya mein aa; aur hamari sahayta kar.

10

उसके यह दर्शन देखते ही हम ने तुरन्त मकिदुनिया जाना चाहा, यह समझकर, कि परमेश्वर ने हमें उन्हें सुसमाचार सुनाने के लिये बुलाया है॥

Uske yah darshan dekhte hi ham ne turant makiduniya jana chaha, yah samajhkar, ki Parmeshwar ne hamein unhein susmachaar sunane ke liye bulaya hai.

11

सो त्रोआस से जहाज खोलकर हम सीधे सुमात्राके और दूसरे दिन नियापुलिस में आए।

So troaas se jahaaj kholkar ham seedhe sumatrake aur doosre din niyapulis mein aaye.

12

वहां से हम फिलिप्पी में पहुंचे, जो मकिदुनिया प्रान्त का मुख्य नगर, और रोमियों की बस्ती है; और हम उस नगर में कुछ दिन तक रहे।

Vahan se ham philippi mein pahunche, jo makiduniya praant ka mukhya nagar, aur romiyon ki basti hai; aur ham us nagar mein kuchh din tak rahe.

13

सब्त के दिन हम नगर के फाटक के बाहर नदी के किनारे यह समझकर गए, कि वहां प्रार्थना करने का स्थान होगा; और बैठकर उन स्त्रियों से जो इकट्ठी हुई थीं, बातें करने लगे।

Sabt ke din ham nagar ke phatak ke bahar nadi ke kinare yah samajhkar gaye, ki vahan prarthana karne ka sthaan hoga; aur baithkar un striyon se jo ikatthi hui thi, batein karne lage.

14

और लुदिया नाम थुआथीरा नगर की बैंजनी कपड़े बेचने वाली एक भक्त स्त्री सुनती थी, और प्रभु ने उसका मन खोला, ताकि पौलुस की बातों पर चित्त लगाए।

Aur ludiya naam thuaatheera nagar ki bainjni kapde bechne vali ek bhakt stri sunti thi, aur Prabhu ne uska man khola, taki Paulus ki baton par chitt lagaye.

15

और जब उस ने अपने घराने समेत बपतिस्मा लिया, तो उस ने बिनती की, कि यदि तुम मुझे प्रभु की विश्वासिनी समझते हो, तो चलकर मेरे घर में रहो; और वह हमें मनाकर ले गई॥

Aur jab us ne apne gharane samet baptisma liya, to us ne binti ki, ki yadi tum mujhe Prabhu ki vishwasini samajhte ho, to chalkar mere ghar mein raho; aur vah hamein manakar le gai.

16

जब हम प्रार्थना करने की जगह जा रहे थे, तो हमें एक दासी मिली जिस में भावी कहने वाली आत्मा थी; और भावी कहने से अपने स्वामियों के लिये बहुत कुछ कमा लाती थी।

Jab ham prarthana karne ki jagah ja rahe the, to hamein ek dasi mili jis mein bhavi kahne vali aatma thi; aur bhavi kahne se apne swamiyon ke liye bahut kuchh kama lati thi.

17

वह पौलुस के और हमारे पीछे आकर चिल्लाने लगी कि ये मनुष्य परमप्रधान परमेश्वर के दास हैं, जो हमें उद्धार के मार्ग की कथा सुनाते हैं।

Vah Paulus ke aur hamare peechhe aakar chillane lagi ki ye manushya parmapradhaan Parmeshwar ke daas hain, jo hamein uddhaar ke maarg ki katha sunate hain.

18

वह बहुत दिन तक ऐसा ही करती रही, परन्तु पौलुस दु:खित हुआ, और मुंह फेर कर उस आत्मा से कहा, मैं तुझे यीशु मसीह के नाम से आज्ञा देता हूं, कि उस में से निकल जा और वह उसी घड़ी निकल गई॥

Vah bahut din tak aisa hi karti rahi, parantu Paulus dukhit huaa, aur munh pher kar us aatma se kaha, main tujhe Yeshu Masih ke naam se aagya deta hoon, ki us mein se nikal ja aur vah usi ghadi nikal gai.

19

जब उसके स्वामियों ने देखा, कि हमारी कमाई की आशा जाती रही, तो पौलुस और सीलास को पकड़ कर चौक में प्रधानों के पास खींच ले गए।

Jab uske swamiyon ne dekha, ki hamari kamai ki aasha jati rahi, to Paulus aur seelaas ko pakad kar chauk mein pradhanon ke paas kheench le gaye.

20

और उन्हें फौजदारी के हाकिमों के पास ले जाकर कहा; ये लोग जो यहूदी हैं, हमारे नगर में बड़ी हलचल मचा रहे हैं।

Aur unhein phaujdari ke hakimon ke paas le jakar kaha; ye log jo Yahudi hain, hamare nagar mein badi halchal macha rahe hain.

21

और ऐसे व्यवहार बता रहे हैं, जिन्हें ग्रहण करना या मानना हम रोमियों के लिये ठीक नहीं।

Aur aise vyavhaar bata rahe hain, jinhein grahan karna ya manna ham romiyon ke liye theek nahi.

22

तब भीड़ के लोग उन के विरोध में इकट्ठे होकर चढ़ आए, और हाकिमों ने उन के कपड़े फाड़कर उतार डाले, और उन्हें बेंत मारने की आज्ञा दी।

Tab bheed ke log un ke virodh mein ikatthe hokar chadh aaye, aur hakimon ne un ke kapde phadkar utaar dale, aur unhein bent marne ki aagya di.

23

और बहुत बेंत लगवाकर उन्हें बन्दीगृह में डाला; और दारोगा को आज्ञा दी, कि उन्हें चौकसी से रखे।

Aur bahut bent lagvakar unhein bandeegrih mein dala; aur daroga ko aagya di, ki unhein chauksi se rakhe.

24

उस ने ऐसी आज्ञा पाकर उन्हें भीतर की कोठरी में रखा और उन के पांव काठ में ठोक दिए।

Us ne aisi aagya pakar unhein bheetar ki kothri mein rakha aur un ke paanv kaath mein thok diye.

25

आधी रात के लगभग पौलुस और सीलास प्रार्थना करते हुए परमेश्वर के भजन गा रहे थे, और बन्धुए उन की सुन रहे थे।

Aadhi raat ke lagbhag Paulus aur seelaas prarthana karte hue Parmeshwar ke bhajan ga rahe the, aur bandhue un ki sun rahe the.

26

कि इतने में एकाएक बड़ा भुईडोल हुआ, यहां तक कि बन्दीगृह की नेव हिल गईं, और तुरन्त सब द्वार खुल गए; और सब के बन्धन खुल पड़े।

Ki itne mein ekayek bada bhuidol huaa, yahan tak ki bandeegrih ki nev hil gai, aur turant sab dwaar khul gaye; aur sab ke bandhan khul pade.

27

और दारोगा जाग उठा, और बन्दीगृह के द्वार खुले देखकर समझा कि बन्धुए भाग गए, सो उस ने तलवार खींचकर अपने आप को मार डालना चाहा।

Aur daroga jaag utha, aur bandeegrih ke dwaar khule dekhkar samjha ki bandhue bhaag gaye, so us ne talvaar kheenchkar apne aap ko maar dalna chaha.

28

परन्तु पौलुस ने ऊंचे शब्द से पुकारकर कहा; अपने आप को कुछ हानि न पहुंचा, क्योंकि हम सब यहां हैं।

Parantu Paulus ne oonche shabd se pukarkar kaha; apne aap ko kuchh hani na pahuncha, kyonki ham sab yahan hain.

29

तब वह दीया मंगवाकर भीतर लपक गया, और कांपता हुआ पौलुस और सीलास के आगे गिरा।

Tab vah deeya mangvakar bheetar lapak gaya, aur kampta huaa Paulus aur seelaas ke aage gira.

30

और उन्हें बाहर लाकर कहा, हे साहिबो, उद्धार पाने के लिये मैं क्या करूं?

Aur unhein bahar lakar kaha, he sahibo, uddhaar pane ke liye main kya karun?

31

उन्होंने कहा, प्रभु यीशु मसीह पर विश्वास कर, तो तू और तेरा घराना उद्धार पाएगा।

Unhonne kaha, Prabhu Yeshu Masih par vishwaas kar, to tu aur tera gharana uddhaar payega.

32

और उन्होंने उस को, और उसके सारे घर के लोगों को प्रभु का वचन सुनाया।

Aur unhonne us ko, aur uske sare ghar ke logon ko Prabhu ka vachan sunaya.

33

और रात को उसी घड़ी उस ने उन्हें ले जाकर उन के घाव धोए, और उस ने अपने सब लोगों समेत तुरन्त बपतिस्मा लिया।

Aur raat ko usi ghadi us ne unhein le jakar un ke ghaav dhoye, aur us ne apne sab logon samet turant baptisma liya.

34

और उस ने उन्हें अपने घर में ले जाकर, उन के आगे भोजन रखा और सारे घराने समेत परमेश्वर पर विश्वास करके आनन्द किया॥

Aur us ne unhein apne ghar mein le jakar, un ke aage bhojan rakha aur sare gharane samet Parmeshwar par vishwaas karke aanand kiya.

35

जब दिन हुआ तक हाकिमों ने प्यादों के हाथ कहला भेजा कि उन मनुष्यों को छोड़ दो।

Jab din huaa tak hakimon ne pyadon ke haath kahla bheja ki un manushyon ko chhod do.

36

दारोगा ने ये बातें पौलुस से कह सुनाईं, कि हाकिमों ने तुम्हारे छोड़ देने की आज्ञा भेज दी है, सो अब निकलकर कुशल से चले जाओ।

Daroga ne ye batein Paulus se kah sunai, ki hakimon ne tumhare chhod dene ki aagya bhej di hai, so ab nikalkar kushal se chale jao.

37

परन्तु पौलुस ने उस से कहा, उन्होंने हमें जो रोमी मनुष्य हैं, दोषी ठहराए बिना, लोगों के साम्हने मारा, और बन्दीगृह में डाला, और अब क्या हमें चुपके से निकाल देते हैं? ऐसा नहीं, परन्तु वे आप आकर हमें बाहर ले जाएं।

Parantu Paulus ne us se kaha, unhonne hamein jo romi manushya hain, doshi thahraye bina, logon ke samhane mara, aur bandeegrih mein dala, aur ab kya hamein chupke se nikaal dete hain? Aisa nahi, parantu ve aap aakar hamein bahar le jayen.

38

प्यादों ने ये बातें हाकिमों से कह दीं, और वे यह सुनकर कि रोमी हैं, डर गए।

Pyadon ne ye batein hakimon se kah di, aur ve yah sunkar ki romi hain, dar gaye.

39

और आकर उन्हें मनाया, और बाहर ले जाकर बिनती की कि नगर से चले जाएं।

Aur aakar unhein manaya, aur bahar le jakar binti ki ki nagar se chale jayen.

40

वे बन्दीगृह से निकल कर लुदिया के यहां गए, और भाइयों से भेंट करके उन्हें शान्ति दी, और चले गए॥

Ve bandeegrih se nikal kar ludiya ke yahan gaye, aur bhaiyon se bhent karke unhein shanti di, aur chale gaye.