Acts 15 · 41 verses

प्रेरितों के काम 15 Acts 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 15.

1

फिर कितने लोग यहूदिया से आकर भाइयों को सिखाने लगे कि यदि मूसा की रीति पर तुम्हारा खतना न हो तो तुम उद्धार नहीं पा सकते।

Phir kitne log yahoodiya se aakar bhaiyon ko sikhane lage ki yadi Musa ki reeti par tumhara khatna na ho to tum uddhaar nahi pa sakte.

2

जब पौलुस और बरनबास का उन से बहुत झगड़ा और वाद-विवाद हुआ तो यह ठहराया गया, कि पौलुस और बरनबास, और हम में से कितने और व्यक्ति इस बात के विषय में यरूशलेम को प्रेरितों और प्राचीनों के पास जांए।

Jab Paulus aur baranbaas ka un se bahut jhagda aur vaad-vivaad huaa to yah thahraya gaya, ki Paulus aur baranbaas, aur ham mein se kitne aur vyakti is baat ke vishay mein Yerushalem ko preriton aur pracheenon ke paas janye.

3

सो मण्डली ने उन्हें कुछ दूर तक पहुंचाया; और वे फीनीके ओर सामरिया से होते हुए अन्यजातियों के मन फेरने का समाचार सुनाते गए, और सब भाइयों को बहुत आनन्दित किया।

So mandali ne unhein kuchh door tak pahunchaya; aur ve pheeneeke or samriya se hote hue anyajatiyon ke man pherne ka samachaar sunate gaye, aur sab bhaiyon ko bahut aanandit kiya.

4

जब यरूशलेम में पहुंचे, तो कलीसिया और प्रेरित और प्राचीन उन से आनन्द के साथ मिले, और उन्होंने बताया कि परमेश्वर ने उन के साथ होकर कैसे कैसे काम किए थे।

Jab Yerushalem mein pahunche, to kaleesiya aur prerit aur pracheen un se aanand ke saath mile, aur unhonne bataya ki Parmeshwar ne un ke saath hokar kaise kaise kaam kiye the.

5

परन्तु फरीसियों के पंथ में से जिन्हों ने विश्वास किया था, उन में से कितनों ने उठकर कहा, कि उन्हें खतना कराना और मूसा की व्यवस्था को मानने की आज्ञा देना चाहिए।

Parantu phareesiyon ke panth mein se jinhon ne vishwaas kiya tha, un mein se kitnon ne uthkar kaha, ki unhein khatna karana aur Musa ki vyavastha ko manne ki aagya dena chahiye.

6

तब प्रेरित और प्राचीन इस बात के विषय में विचार करने के लिये इकट्ठे हुए।

Tab prerit aur pracheen is baat ke vishay mein vichaar karne ke liye ikatthe hue.

7

तब पतरस ने बहुत वाद-विवाद के बाद खड़े होकर उन से कहा॥ हे भाइयो, तुम जानते हो, कि बहुत दिन हुए, कि परमेश्वर ने तुम में से मुझे चुन लिया, कि मेरे मुंह से अन्यजाति सुसमाचार का वचन सुनकर विश्वास करें।

Tab Patras ne bahut vaad-vivaad ke baad khade hokar un se kaha. He bhaiyo, tum jante ho, ki bahut din hue, ki Parmeshwar ne tum mein se mujhe chun liya, ki mere munh se anyajati susmachaar ka vachan sunkar vishwaas karein.

8

और मन के जांचने वाले परमेश्वर ने उन को भी हमारी नाईं पवित्र आत्मा देकर उन की गवाही दी।

Aur man ke janchne vale Parmeshwar ne un ko bhi hamari nai pavitra aatma dekar un ki gavahi di.

9

और विश्वास के द्वारा उन के मन शुद्ध कर के हम में और उन में कुछ भेद न रखा।

Aur vishwaas ke dwara un ke man shuddh kar ke ham mein aur un mein kuchh bhed na rakha.

10

तो अब तुम क्यों परमेश्वर की परीक्षा करते हो कि चेलों की गरदन पर ऐसा जूआ रखो, जिसे न हमारे बाप दादे उठा सके थे और न हम उठा सकते।

To ab tum kyon Parmeshwar ki pareeksha karte ho ki chelon ki gardan par aisa jooaa rakho, jise na hamare baap dade utha sake the aur na ham utha sakte.

11

हां, हमारा यह तो निश्चय है, कि जिस रीति से वे प्रभु यीशु के अनुग्रह से उद्धार पाएंगे; उसी रीति से हम भी पाएंगे॥

Han, hamara yah to nishchay hai, ki jis reeti se ve Prabhu Yeshu ke anugrah se uddhaar payenge; usi reeti se ham bhi payenge.

12

तब सारी सभा चुपचाप होकर बरनबास और पौलुस की सुनने लगी, कि परमेश्वर ने उन के द्वारा अन्यजातियों में कैसे कैसे चिन्ह, और अद्भुत काम दिखाए।

Tab sari sabha chupchaap hokar baranbaas aur Paulus ki sunne lagi, ki Parmeshwar ne un ke dwara anyajatiyon mein kaise kaise chinh, aur adbhut kaam dikhaye.

13

जब वे चुप हुए, तो याकूब कहने लगा, कि॥

Jab ve chup hue, to Yakub kahne laga, ki.

14

हे भाइयो, मेरी सुनो: शमौन ने बताया, कि परमेश्वर ने पहिले पहिल अन्यजातियों पर कैसी कृपा दृष्टि की, कि उन में से अपने नाम के लिये एक लोग बना ले।

He bhaiyo, meri suno: Shamaun ne bataya, ki Parmeshwar ne pahile pahil anyajatiyon par kaisi kripa drishti ki, ki un mein se apne naam ke liye ek log bana le.

15

और इस से भविष्यद्वक्ताओं की बातें मिलती हैं, जैसा लिखा है, कि।

Aur is se bhavishyadwaktaon ki batein milti hain, jaisa likha hai, ki.

16

इस के बाद मैं फिर आकर दाऊद का गिरा हुआ डेरा उठाऊंगा, और उसके खंडहरों को फिर बनाऊंगा, और उसे खड़ा करूंगा।

Is ke baad main phir aakar Daud ka gira huaa dera uthaoonga, aur uske khandahron ko phir banaoonga, aur use khada karoonga.

17

इसलिये कि शेष मनुष्य, अर्थात सब अन्यजाति जो मेरे नाम के कहलाते हैं, प्रभु को ढूंढें।

Isliye ki shesh manushya, arthaat sab anyajati jo mere naam ke kahlate hain, Prabhu ko dhoondhein.

18

यह वही प्रभु कहता है जो जगत की उत्पत्ति से इन बातों का समाचार देता आया है।

Yah vahi Prabhu kahta hai jo jagat ki utpatti se in baton ka samachaar deta aaya hai.

19

इसलिये मेरा विचार यह है, कि अन्यजातियों में से जो लोग परमेश्वर की ओर फिरते हैं, हम उन्हें दु:ख न दें।

Isliye mera vichaar yah hai, ki anyajatiyon mein se jo log Parmeshwar ki or phirte hain, ham unhein dukh na dein.

20

परन्तु उन्हें लिख भेंजें, कि वे मूरतों की अशुद्धताओं और व्यभिचार और गला घोंटे हुओं के मांस से और लोहू से परे रहें।

Parantu unhein likh bhenjein, ki ve moorton ki ashuddhataon aur vyabhichaar aur gala ghonte huon ke maans se aur lohu se pare rahein.

21

क्योंकि पुराने समय से नगर नगर मूसा की व्यवस्था के प्रचार करने वाले होते चले आए है, और वह हर सब्त के दिन अराधनालय में पढ़ी जाती है।

Kyonki purane samay se nagar nagar Musa ki vyavastha ke prachaar karne vale hote chale aaye hai, aur vah har sabt ke din aradhnalay mein padhi jati hai.

22

तब सारी कलीसिया सहित प्रेरितों और प्राचीनों को अच्छा लगा, कि अपने में से कई मनुष्यों को चुनें, अर्थात यहूदा, जो बरसब्बा कहलाता है, और सीलास को जो भाइयों में मुखिया थे; और उन्हें पौलुस और बरनबास के साथ अन्ताकिया को भेजें।

Tab sari kaleesiya sahit preriton aur pracheenon ko achchha laga, ki apne mein se kai manushyon ko chunein, arthaat Yahuda, jo barsabba kahlata hai, aur seelaas ko jo bhaiyon mein mukhiya the; aur unhein Paulus aur baranbaas ke saath antakiya ko bhejein.

23

और उन के हाथ यह लिख भेजा, कि अन्ताकिया और सूरिया और किलिकिया के रहने वाले भाइयों को जो अन्यजातियों में से हैं, प्रेरितों और प्राचीन भाइयों का नमस्कार!

Aur un ke haath yah likh bheja, ki antakiya aur sooriya aur kilikiya ke rahne vale bhaiyon ko jo anyajatiyon mein se hain, preriton aur pracheen bhaiyon ka namaskaar!

24

हम ने सुना है, कि हम में से कितनों ने वहां जाकर, तुम्हें अपनी बातों से घबरा दिया; और तुम्हारे मन उलट दिए हैं परन्तु हम ने उन को आज्ञा नहीं दी थी।

Ham ne suna hai, ki ham mein se kitnon ne vahan jakar, tumhein apni baton se ghabra diya; aur tumhare man ulat diye hain parantu ham ne un ko aagya nahi di thi.

25

इसलिये हम ने एक चित्त होकर ठीक समझा, कि चुने हुए मनुष्यों को अपने प्यारे बरनबास और पौलुस के साथ तुम्हारे पास भेजें।

Isliye ham ne ek chitt hokar theek samjha, ki chune hue manushyon ko apne pyare baranbaas aur Paulus ke saath tumhare paas bhejein.

26

ये तो ऐसे मनुष्य हैं, जिन्हों ने अपने प्राण हमारे प्रभु यीशु मसीह के नाम के लिये जोखिम में डाले हैं।

Ye to aise manushya hain, jinhon ne apne praan hamare Prabhu Yeshu Masih ke naam ke liye jokhim mein dale hain.

27

और हम ने यहूदा और सीलास को भेजा है, जो अपने मुंह से भी ये बातें कह देंगे।

Aur ham ne Yahuda aur seelaas ko bheja hai, jo apne munh se bhi ye batein kah denge.

28

पवित्र आत्मा को, और हम को ठीक जान पड़ा, कि इन आवश्यक बातों को छोड़; तुम पर और बोझ न डालें;

Pavitra aatma ko, aur ham ko theek jaan pada, ki in aavashyak baton ko chhod; tum par aur bojh na dalein;

29

कि तुम मूरतों के बलि किए हुओं से, और लोहू से, और गला घोंटे हुओं के मांस से, और व्यभिचार से, परे रहो। इन से परे रहो; तो तुम्हारा भला होगा आगे शुभ॥

Ki tum moorton ke bali kiye huon se, aur lohu se, aur gala ghonte huon ke maans se, aur vyabhichaar se, pare raho. In se pare raho; to tumhara bhala hoga aage shubh.

30

फिर वे विदा होकर अन्ताकिया में पहुंचे, और सभा को इकट्ठी करके वह उन्हें पत्री दे दी।

Phir ve vida hokar antakiya mein pahunche, aur sabha ko ikatthi karke vah unhein patri de di.

31

और वे पढ़कर उस उपदेश की बात से अति आनन्दित हुए।

Aur ve padhkar us updesh ki baat se ati aanandit hue.

32

और यहूदा और सीलास ने जो आप भी भविष्यद्वक्ता थे, बहुत बातों से भाइयों को उपदेश देकर स्थिर किया।

Aur Yahuda aur seelaas ne jo aap bhi bhavishyadwakta the, bahut baton se bhaiyon ko updesh dekar sthir kiya.

33

वे कुछ दिन रहकर भाइयों से शान्ति के साथ विदा हुए, कि अपने भेजने वालों के पास जाएं।

Ve kuchh din rahkar bhaiyon se shanti ke saath vida hue, ki apne bhejne valon ke paas jayen.

34

(परन्तु सीलास को वहां रहना अच्छा लगा।)

(parantu seelaas ko vahan rahna achchha laga.)

35

और पौलुस और बरनबास अन्ताकिया में रह गए: और बहुत और लोगों के साथ प्रभु के वचन का उपदेश करते और सुसमाचार सुनाते रहे॥

Aur Paulus aur baranbaas antakiya mein rah gaye: aur bahut aur logon ke saath Prabhu ke vachan ka updesh karte aur susmachaar sunate rahe.

36

कुछ दिन बाद पौलुस ने बरनबास से कहा; कि जिन जिन नगरों में हम ने प्रभु का वचन सुनाया था, आओ, फिर उन में चलकर अपने भाइयों को देखें; कि कैसे हैं।

Kuchh din baad Paulus ne baranbaas se kaha; ki jin jin nagron mein ham ne Prabhu ka vachan sunaya tha, aao, phir un mein chalkar apne bhaiyon ko dekhein; ki kaise hain.

37

तब बरनबास ने यूहन्ना को जो मरकुस कहलाता है, साथ लेने का विचार किया।

Tab baranbaas ne Yuhanna ko jo markus kahlata hai, saath lene ka vichaar kiya.

38

परन्तु पौलुस ने उसे जो पंफूलिया में उन से अलग हो गया था, और काम पर उन के साथ न गया, साथ ले जाना अच्छा न समझा।

Parantu Paulus ne use jo pamphooliya mein un se alag ho gaya tha, aur kaam par un ke saath na gaya, saath le jana achchha na samjha.

39

सो ऐसा टंटा हुआ, कि वे एक दूसरे से अलग हो गए: और बरनबास, मरकुस को लेकर जहाज पर कुप्रुस को चला गया।

So aisa tanta huaa, ki ve ek doosre se alag ho gaye: aur baranbaas, markus ko lekar jahaaj par kuprus ko chala gaya.

40

परन्तु पौलुस ने सीलास को चुन लिया, और भाइयों से परमेश्वर के अनुग्रह पर सौंपा जाकर वहां से चला गया।

Parantu Paulus ne seelaas ko chun liya, aur bhaiyon se Parmeshwar ke anugrah par saumpa jakar vahan se chala gaya.

41

और कलीसियाओं को स्थिर करता हुआ, सूरिया और किलिकिया से होते हुआ निकला॥

Aur kaleesiyaon ko sthir karta huaa, sooriya aur kilikiya se hote huaa nikla.