Acts 14 · 28 verses

प्रेरितों के काम 14 Acts 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 14.

1

इकुनियुम में ऐसा हुआ कि वे यहूदियों की आराधनालय में साथ साथ गए, और ऐसी बातें की, कि यहूदियों और यूनानियों दोनों में से बहुतों ने विश्वास किया।

Ikuniyum mein aisa huaa ki ve Yahudiyon ki aaradhnalay mein saath saath gaye, aur aisi batein ki, ki Yahudiyon aur yoonaniyon donon mein se bahuton ne vishwaas kiya.

2

परन्तु न मानने वाले यहूदियों ने अन्यजातियों के मन भाइयों के विरोध में उकसाए, और बिगाड़ कर दिए।

Parantu na manne vale Yahudiyon ne anyajatiyon ke man bhaiyon ke virodh mein uksaye, aur bigaad kar diye.

3

और वे बहुत दिन तक वहां रहे, और प्रभु के भरोसे पर हियाव से बातें करते थे: और वह उन के हाथों से चिन्ह और अद्भुत काम करवाकर अपने अनुग्रह के वचन पर गवाही देता था।

Aur ve bahut din tak vahan rahe, aur Prabhu ke bharose par hiyaav se batein karte the: aur vah un ke hathon se chinh aur adbhut kaam karvakar apne anugrah ke vachan par gavahi deta tha.

4

परन्तु नगर के लोगों में फूट पड़ गई थी; इस से कितने तो यहूदियों की ओर, और कितने प्रेरितों की ओर हो गए।

Parantu nagar ke logon mein phoot pad gai thi; is se kitne to Yahudiyon ki or, aur kitne preriton ki or ho gaye.

5

परन्तु जब अन्यजाति और यहूदी उन का अपमान और उन्हें पत्थरवाह करने के लिये अपने सरदारों समेत उन पर दौड़े।

Parantu jab anyajati aur Yahudi un ka apmaan aur unhein pattharvaah karne ke liye apne sardaron samet un par daude.

6

तो वे इस बात को जान गए, और लुकाउनिया के लुस्त्रा और दिरबे नगरों में, और आसपास के देश में भाग गए।

To ve is baat ko jaan gaye, aur lukauniya ke lustra aur dirbe nagron mein, aur aaspaas ke desh mein bhaag gaye.

7

और वहां सुसमाचार सुनाने लगे॥

Aur vahan susmachaar sunane lage.

8

लुस्त्रा में एक मनुष्य बैठा था, जो पांवों का निर्बल था: वह जन्म ही से लंगड़ा था, और कभी न चला था।

Lustra mein ek manushya baitha tha, jo panvon ka nirbal tha: vah janm hi se langda tha, aur kabhi na chala tha.

9

वह पौलुस को बातें करते सुन रहा था और इस ने उस की ओर टकटकी लगाकर देखा कि इस को चंगा हो जाने का विश्वास है।

Vah Paulus ko batein karte sun raha tha aur is ne us ki or takatki lagakar dekha ki is ko changa ho jane ka vishwaas hai.

10

और ऊंचे शब्द से कहा, अपने पांवों के बल सीधा खड़ा हो: तब वह उछलकर चलने फिरने लगा।

Aur oonche shabd se kaha, apne panvon ke bal seedha khada ho: tab vah uchhalkar chalne phirne laga.

11

लोगों ने पौलुस का यह काम देखकर लुकाउनिया भाषा में ऊंचे शब्द से कहा; देवता हमारे पास उतर आए हैं।

Logon ne Paulus ka yah kaam dekhkar lukauniya bhasha mein oonche shabd se kaha; devta hamare paas utar aaye hain.

12

और उन्होंने बरनबास को ज्यूस, और पौलुस को हिरमेस कहा, क्योंकि वह बातें करने में मुख्य था।

Aur unhonne baranbaas ko jyoos, aur Paulus ko hirmes kaha, kyonki vah batein karne mein mukhya tha.

13

और ज्यूस के उस मन्दिर का पुजारी जो उस के नगर के साम्हने था, बैल और फूलों के हार फाटकों पर लाकर लोगों के साथ बलिदान करना चाहता था।

Aur jyoos ke us mandir ka pujari jo us ke nagar ke samhane tha, bail aur phoolon ke haar phatkon par lakar logon ke saath balidaan karna chahta tha.

14

परन्तु बरनबास और पौलुस प्रेरितों ने जब सुना, तो अपने कपड़े फाड़े, और भीड़ में लपक गए, और पुकार कर कहने लगे; हे लोगो तुम क्या करते हो?

Parantu baranbaas aur Paulus preriton ne jab suna, to apne kapde phade, aur bheed mein lapak gaye, aur pukaar kar kahne lage; he logo tum kya karte ho?

15

हम भी तो तुम्हारे समान दु:ख-सुख भोगी मनुष्य हैं, और तुम्हें सुसमाचार सुनाते हैं, कि तुम इन व्यर्थ वस्तुओं से अलग होकर जीवते परमेश्वर की ओर फिरो, जिस ने स्वर्ग और पृथ्वी और समुद्र और जो कुछ उन में है बनाया।

Ham bhi to tumhare samaan dukh-sukh bhogi manushya hain, aur tumhein susmachaar sunate hain, ki tum in vyarth vastuon se alag hokar jeevte Parmeshwar ki or phiro, jis ne swarg aur prithvi aur samudra aur jo kuchh un mein hai banaya.

16

उस ने बीते समयों में सब जातियों को अपने अपने मार्गों में चलने दिया।

Us ne beete samyon mein sab jatiyon ko apne apne margon mein chalne diya.

17

तौभी उस ने अपने आप को बे-गवाह न छोड़ा; किन्तु वह भलाई करता रहा, और आकाश से वर्षा और फलवन्त ऋतु देकर, तुम्हारे मन को भोजन और आनन्द से भरता रहा।

Taubhi us ne apne aap ko be-gavaah na chhoda; kintu vah bhalai karta raha, aur aakaash se varsha aur phalvant ritu dekar, tumhare man ko bhojan aur aanand se bharta raha.

18

यह कह कर भी उन्होंने लोगों को कठिनता से रोका कि उन के लिये बलिदान न करें॥

Yah kah kar bhi unhonne logon ko kathinta se roka ki un ke liye balidaan na karein.

19

परन्तु कितने यहूदियों ने अन्ताकिया और इकुनियम से आकर लोगों को अपनी ओर कर लिया, और पौलुस को पत्थरवाह किया, और मरा समझकर उसे नगर के बाहर घसीट ले गए।

Parantu kitne Yahudiyon ne antakiya aur ikuniyam se aakar logon ko apni or kar liya, aur Paulus ko pattharvaah kiya, aur mara samajhkar use nagar ke bahar ghaseet le gaye.

20

पर जब चेले उस की चारों ओर आ खड़े हुए, तो वह उठकर नगर में गया और दूसरे दिन बरनबास के साथ दिरबे को चला गया।

Par jab chele us ki charon or aa khade hue, to vah uthkar nagar mein gaya aur doosre din baranbaas ke saath dirbe ko chala gaya.

21

और वे उस नगर के लोगों को सुसमाचार सुनाकर, और बहुत से चेले बनाकर, लुस्त्रा और इकुनियम और अन्ताकिया को लौट आए।

Aur ve us nagar ke logon ko susmachaar sunakar, aur bahut se chele banakar, lustra aur ikuniyam aur antakiya ko laut aaye.

22

और चेलों के मन को स्थिर करते रहे और यह उपदेश देते थे, कि हमें बड़े क्लेश उठाकर परमेश्वर के राज्य में प्रवेश करना होगा।

Aur chelon ke man ko sthir karte rahe aur yah updesh dete the, ki hamein bade klesh uthakar Parmeshwar ke rajya mein pravesh karna hoga.

23

और उन्होंने हर एक कलीसिया में उन के लिये प्राचीन ठहराए, और उपवास सहित प्रार्थना कर के, उन्हें प्रभु के हाथ सौंपा जिस पर उन्होंने विश्वास किया था।

Aur unhonne har ek kaleesiya mein un ke liye pracheen thahraye, aur upvaas sahit prarthana kar ke, unhein Prabhu ke haath saumpa jis par unhonne vishwaas kiya tha.

24

और पिसिदिया से होते हुए वे पंफूलिया में पहुंचे;

Aur pisidiya se hote hue ve pamphooliya mein pahunche;

25

और पिरगा में वचन सुनाकर अत्तलिया में आए।

Aur pirga mein vachan sunakar attaliya mein aaye.

26

और वहां से जहाज से अन्ताकिया में आए, जहां से वे उस काम के लिये जो उन्होंने पूरा किया था परमेश्वर के अनुग्रह पर सौंपे गए थे।

Aur vahan se jahaaj se antakiya mein aaye, jahan se ve us kaam ke liye jo unhonne poora kiya tha Parmeshwar ke anugrah par saumpe gaye the.

27

वहां पहुंचकर, उन्होंने कलीसिया इकट्ठी की और बताया, कि परमेश्वर ने हमारे साथ होकर कैसे बड़े बड़े काम किए! और अन्यजातियों के लिये विश्वास का द्वार खोल दिया।

Vahan pahunchkar, unhonne kaleesiya ikatthi ki aur bataya, ki Parmeshwar ne hamare saath hokar kaise bade bade kaam kiye! Aur anyajatiyon ke liye vishwaas ka dwaar khol diya.

28

और वे चेलों के साथ बहुत दिन तक रहे॥

Aur ve chelon ke saath bahut din tak rahe.