Acts 13 · 52 verses

प्रेरितों के काम 13 Acts 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 13.

1

अन्ताकिया की कलीसिया में कितने भविष्यद्वक्ता और उपदेशक थे; अर्थात बरनबास और शमौन जो नीगर कहलाता है; और लूकियुस कुरेनी, और देश की चौथाई के राजा हेरोदेस का दूध-भाई मनाहेम और शाऊल।

Antakiya ki kaleesiya mein kitne bhavishyadwakta aur updeshak the; arthaat baranbaas aur Shamaun jo neegar kahlata hai; aur lookiyus kureni, aur desh ki chauthai ke raja herodes ka doodh-bhai manahem aur shaool.

2

जब वे उपवास सहित प्रभु की उपासना कर रहे था, तो पवित्र आत्मा ने कहा; मेरे निमित्त बरनबास और शाऊल को उस काम के लिये अलग करो जिस के लिये मैं ने उन्हें बुलाया है।

Jab ve upvaas sahit Prabhu ki upasna kar rahe tha, to pavitra aatma ne kaha; mere nimitt baranbaas aur shaool ko us kaam ke liye alag karo jis ke liye main ne unhein bulaya hai.

3

तब उन्होंने उपवास और प्रार्थना कर के और उन पर हाथ रखकर उन्हें विदा किया॥

Tab unhonne upvaas aur prarthana kar ke aur un par haath rakhkar unhein vida kiya.

4

सो वे पवित्र आत्मा के भेजे हुए सिलूकिया को गए; और वहां से जहाज पर चढ़कर कुप्रुस को चले।

So ve pavitra aatma ke bheje hue silookiya ko gaye; aur vahan se jahaaj par chadhkar kuprus ko chale.

5

और सलमीस में पहुंचकर, परमेश्वर का वचन यहूदियों की अराधनालयों में सुनाया; और यूहन्ना उन का सेवक था।

Aur salmees mein pahunchkar, Parmeshwar ka vachan Yahudiyon ki aradhnalyon mein sunaya; aur Yuhanna un ka sevak tha.

6

और उस सारे टापू में होते हुए, पाफुस तक पहुंचे: वहां उन्हें बार-यीशु नाम एक यहूदी टोन्हा और झूठा भविष्यद्वक्ता मिला।

Aur us sare tapu mein hote hue, paphus tak pahunche: vahan unhein baar-Yeshu naam ek Yahudi tonha aur jhootha bhavishyadwakta mila.

7

वह सिरिगयुस पौलुस सूबेदार के साथ था, जो बुद्धिमान पुरूष था: उस ने बरनबास और शाऊल को अपने पास बुलाकर परमेश्वर का वचन सुनना चाहा।

Vah sirigyus Paulus soobedaar ke saath tha, jo buddhimaan puroosh tha: us ne baranbaas aur shaool ko apne paas bulakar Parmeshwar ka vachan sunna chaha.

8

परन्तु इलीमास टोन्हे ने, क्योंकि यही उसके नाम का अर्थ है उन का साम्हना करके, सूबेदार को विश्वास करने से रोकना चाहा।

Parantu ileemaas tonhe ne, kyonki yahi uske naam ka arth hai un ka samhana karke, soobedaar ko vishwaas karne se rokna chaha.

9

तब शाऊल ने जिस का नाम पौलुस भी है, पवित्र आत्मा से परिपूर्ण हो उस की ओर टकटकी लगाकर कहा।

Tab shaool ne jis ka naam Paulus bhi hai, pavitra aatma se paripoorn ho us ki or takatki lagakar kaha.

10

हे सारे कपट और सब चतुराई से भरे हुए शैतान की सन्तान, सकल धर्म के बैरी, क्या तू प्रभु के सीधे मार्गों को टेढ़ा करना न छोड़ेगा?

He sare kapat aur sab chaturai se bhare hue Shaitan ki santaan, sakal dharm ke bairi, kya tu Prabhu ke seedhe margon ko tedha karna na chhodega?

11

अब देख, प्रभु का हाथ तुझ पर लगा है; और तू कुछ समय तक अन्धा रहेगा और सूर्य को न देखेगा: तब तुरन्त धुन्धलाई और अन्धेरा उस पर छा गया, और वह इधर उधर टटोलने लगा, ताकि कोई उसका हाथ पकड़ के ले चले।

Ab dekh, Prabhu ka haath tujh par laga hai; aur tu kuchh samay tak andha rahega aur soorya ko na dekhega: tab turant dhundhalai aur andhera us par chha gaya, aur vah idhar udhar tatolne laga, taki koi uska haath pakad ke le chale.

12

तब सूबेदार ने जो कुछ हुआ था, देखकर और प्रभु के उपदेश से चकित होकर विश्वास किया॥

Tab soobedaar ne jo kuchh huaa tha, dekhkar aur Prabhu ke updesh se chakit hokar vishwaas kiya.

13

पौलुस और उसके साथी पाफुस से जहाज खोलकर पंफूलिया के पिरगा में आए: और यूहन्ना उन्हें छोड़कर यरूशलेम को लौट गया।

Paulus aur uske sathi paphus se jahaaj kholkar pamphooliya ke pirga mein aaye: aur Yuhanna unhein chhodkar Yerushalem ko laut gaya.

14

और पिरगा से आगे बढ़कर के पिसिदिया के अन्ताकिया में पहुंचे; और सब्त के दिन अराधनालय में जाकर बैठ गए।

Aur pirga se aage badhkar ke pisidiya ke antakiya mein pahunche; aur sabt ke din aradhnalay mein jakar baith gaye.

15

और व्यवस्था और भविष्यद्वक्ताओं की पुस्तक के पढ़ने के बाद सभा के सरदारों ने उन के पास कहला भेजा, कि हे भाइयों, यदि लोगों के उपदेश के लिये तुम्हारे मन में कोई बात हो तो कहो।

Aur vyavastha aur bhavishyadwaktaon ki pustak ke padhne ke baad sabha ke sardaron ne un ke paas kahla bheja, ki he bhaiyon, yadi logon ke updesh ke liye tumhare man mein koi baat ho to kaho.

16

तब पौलुस ने खड़े होकर और हाथ से सैन करके कहा; हे इस्त्राएलियों, और परमेश्वर से डरने वालों, सुनो।

Tab Paulus ne khade hokar aur haath se sain karke kaha; he istrayeliyon, aur Parmeshwar se darne valon, suno.

17

इन इस्त्राएली लोगों के परमेश्वर ने हमारे बापदादों को चुन लिया, और जब थे मिसर देश में परदेशी होकर रहते थे, तो उन की उन्नति की; और बलवन्त भुजा से निकाल लाया।

In istrayeli logon ke Parmeshwar ne hamare bapdadon ko chun liya, aur jab the misar desh mein pardeshi hokar rahte the, to un ki unnati ki; aur balvant bhuja se nikaal laya.

18

और वह कोई चालीस वर्ष तक जंगल में उन की सहता रहा।

Aur vah koi chalees varsh tak jangal mein un ki sahta raha.

19

और कनान देश में सात जातियों का नाश कर के उन का देश कोई साढ़े चार सौ वर्ष में इन की मीरास में कर दिया।

Aur kanaan desh mein saat jatiyon ka naash kar ke un ka desh koi sadhe chaar sau varsh mein in ki meeraas mein kar diya.

20

इस के बाद उस ने सामुएल भविष्यद्वक्ता तक उन में न्यायी ठहराए।

Is ke baad us ne samuel bhavishyadwakta tak un mein nyayi thahraye.

21

उसके बाद उन्हों ने एक राजा मांगा: तब परमेश्वर ने चालीस वषै के लिये बिन्यामीन के गोत्र में से एक मनुष्य अर्थात कीश के पुत्र शाऊल को उन पर राजा ठहराया।

Uske baad unhon ne ek raja manga: tab Parmeshwar ne chalees vashai ke liye binyameen ke gotra mein se ek manushya arthaat keesh ke putra shaool ko un par raja thahraya.

22

फिर उसे अलग करके दाऊद को उन का राजा बनाया; जिस के विषय में उस ने गवाही दी, कि मुझे एक मनुष्य यिशै का पुत्र दाऊद, मेरे मन के अनुसार मिल गया है। वही मेरे सारी इच्छा पूरी करेगा।

Phir use alag karke Daud ko un ka raja banaya; jis ke vishay mein us ne gavahi di, ki mujhe ek manushya yishai ka putra Daud, mere man ke anusaar mil gaya hai. Vahi mere sari ichchha poori karega.

23

इसी के वंश में से परमेश्वर ने अपनी प्रतिज्ञा के अनुसार इस्त्राएल के पास एक उद्धारकर्ता, अर्थात यीशु को भेजा।

Isi ke vansh mein se Parmeshwar ne apni pratigya ke anusaar istrayel ke paas ek uddharkarta, arthaat Yeshu ko bheja.

24

जिस के आने से पहिले यूहन्ना ने सब इस्त्राएलियों को मन फिराव के बपतिस्मा का प्रचार किया।

Jis ke aane se pahile Yuhanna ne sab istrayeliyon ko man phiraav ke baptisma ka prachaar kiya.

25

और जब यूहन्ना अपना दौर पूरा करने पर था, तो उस ने कहा, तुम मुझे क्या समझते हो? मैं वह नहीं! वरन देखो, मेरे बाद एक आनेवाला है, जिस के पांवों की जूती मैं खोलने के योग्य नहीं।

Aur jab Yuhanna apna daur poora karne par tha, to us ne kaha, tum mujhe kya samajhte ho? Main vah nahi! Varan dekho, mere baad ek aanevala hai, jis ke panvon ki jooti main kholne ke yogya nahi.

26

हे भाइयो, तुम जो इब्राहीम की सन्तान हो; और तुम जो परमेश्वर से डरते हो, तुम्हारे पास इस उद्धार का वचन भेजा गया है।

He bhaiyo, tum jo Ibrahim ki santaan ho; aur tum jo Parmeshwar se darte ho, tumhare paas is uddhaar ka vachan bheja gaya hai.

27

क्योंकि यरूशलेम के रहने वालों और उन के सरदारों ने, न उसे पहचाना, और न भविष्यद्वक्ताओं की बातें समझी; जो हर सब्त के दिन पढ़ी जाती हैं, इसलिये उसे दोषी ठहराकर उन को पूरा किया।

Kyonki Yerushalem ke rahne valon aur un ke sardaron ne, na use pahchana, aur na bhavishyadwaktaon ki batein samjhi; jo har sabt ke din padhi jati hain, isliye use doshi thahrakar un ko poora kiya.

28

उन्होंने मार डालने के योग्य कोई दोष उस में ने पाया, तौभी पीलातुस से बिनती की, कि वह मार डाला जाए।

Unhonne maar dalne ke yogya koi dosh us mein ne paya, taubhi peelatus se binti ki, ki vah maar dala jaye.

29

और जब उन्होंने उसके विषय में लिखी हुई सब बातें पूरी की, तो उसे क्रूस पर से उतार कर कब्र में रखा।

Aur jab unhonne uske vishay mein likhi hui sab batein poori ki, to use kroos par se utaar kar kabra mein rakha.

30

परन्तु परमेश्वर ने उसे मरे हुओं में से जिलाया।

Parantu Parmeshwar ne use mare huon mein se jilaya.

31

और वह उन्हें जो उसके साथ गलील से यरूशलेम आए थे, बहुत दिनों तक दिखाई देता रहा; लोगों के साम्हने अब वे भी उसके गवाह हैं।

Aur vah unhein jo uske saath galeel se Yerushalem aaye the, bahut dinon tak dikhai deta raha; logon ke samhane ab ve bhi uske gavaah hain.

32

और हम तुम्हें उस प्रतिज्ञा के विषय में, जो बाप दादों से की गई थी, यह सुसमाचार सुनाते हैं।

Aur ham tumhein us pratigya ke vishay mein, jo baap dadon se ki gai thi, yah susmachaar sunate hain.

33

कि परमेश्वर ने यीशु को जिलाकर, वही प्रतिज्ञा हमारी सन्तान के लिये पूरी की, जैसा दूसरे भजन में भी लिखा है, कि तू मेरा पुत्र है; आज मैं ही ने तुझे जन्माया है।

Ki Parmeshwar ne Yeshu ko jilakar, vahi pratigya hamari santaan ke liye poori ki, jaisa doosre bhajan mein bhi likha hai, ki tu mera putra hai; aaj main hi ne tujhe janmaya hai.

34

और उसके इस रीति से मरे हुओं में से जिलाने के विषय में भी, कि वह कभी न सड़े, उस ने यों कहा है; कि मैं दाऊद पर की पवित्र और अचल कृपा तुम पर करूंगा।

Aur uske is reeti se mare huon mein se jilane ke vishay mein bhi, ki vah kabhi na sade, us ne yon kaha hai; ki main Daud par ki pavitra aur achal kripa tum par karoonga.

35

इसलिये उस ने एक और भजन में भी कहा है; कि तू अपने पवित्र जन को सड़ने न देगा।

Isliye us ne ek aur bhajan mein bhi kaha hai; ki tu apne pavitra jan ko sadne na dega.

36

क्योंकि दाऊद तो परमेश्वर की इच्छा के अनुसार अपने समय में सेवा करके सो गया; और अपने बाप दादों में जा मिला; और सड़ भी गया।

Kyonki Daud to Parmeshwar ki ichchha ke anusaar apne samay mein seva karke so gaya; aur apne baap dadon mein ja mila; aur sad bhi gaya.

37

परन्तु जिस को परमेश्वर ने जिलाया, वह सड़ने नहीं पाया।

Parantu jis ko Parmeshwar ne jilaya, vah sadne nahi paya.

38

इसलिये, हे भाइयो; तुम जान लो कि इसी के द्वारा पापों की क्षमा का समाचार तुम्हें दिया जाता है।

Isliye, he bhaiyo; tum jaan lo ki isi ke dwara papon ki kshama ka samachaar tumhein diya jata hai.

39

और जिन बातों से तुम मूसा की व्यवस्था के द्वारा निर्दोष नहीं ठहर सकते थे, उन्हीं सब से हर एक विश्वास करने वाला उसके द्वारा निर्दोष ठहरता है।

Aur jin baton se tum Musa ki vyavastha ke dwara nirdosh nahi thahar sakte the, unhi sab se har ek vishwaas karne vala uske dwara nirdosh thaharta hai.

40

इसलिये चौकस रहो, ऐसा न हो, कि जो भविष्यद्वक्ताओं की पुस्तक में आया है,

Isliye chaukas raho, aisa na ho, ki jo bhavishyadwaktaon ki pustak mein aaya hai,

41

तुम पर भी आ पड़े कि हे निन्दा करने वालो, देखो, और चकित हो, और मिट जाओ; क्योंकि मैं तुम्हारे दिनों में एक काम करता हूं; ऐसा काम, कि यदि कोई तुम से उसकी चर्चा करे, तो तुम कभी प्रतीति न करोगे॥

Tum par bhi aa pade ki he ninda karne valo, dekho, aur chakit ho, aur mit jao; kyonki main tumhare dinon mein ek kaam karta hoon; aisa kaam, ki yadi koi tum se uski charcha kare, to tum kabhi prateeti na karoge.

42

उन के बाहर निकलते समय लोग उन से बिनती करने लगे, कि अगले सब्त के दिन हमें ये बातें फिर सुनाईं जाएं।

Un ke bahar nikalte samay log un se binti karne lage, ki agle sabt ke din hamein ye batein phir sunai jayen.

43

और जब सभा उठ गई तो यहूदियों और यहूदी मत में आए हुए भक्तों में से बहुतेरे पौलुस और बरनबास के पीछे हो लिए; और उन्होंने उन से बातें करके समझाया, कि परमेश्वर के अनुग्रह में बने रहो॥

Aur jab sabha uth gai to Yahudiyon aur Yahudi mat mein aaye hue bhakton mein se bahutere Paulus aur baranbaas ke peechhe ho liye; aur unhonne un se batein karke samjhaya, ki Parmeshwar ke anugrah mein bane raho.

44

अगले सब्त के दिन नगर के प्राय: सब लोग परमेश्वर का वचन सुनने को इकट्ठे हो गए।

Agle sabt ke din nagar ke praay: sab log Parmeshwar ka vachan sunne ko ikatthe ho gaye.

45

परन्तु यहूदी भीड़ को देख कर डाह से भर गए, और निन्दा करते हुए पौलुस की बातों के विरोध में बोलने लगे।

Parantu Yahudi bheed ko dekh kar daah se bhar gaye, aur ninda karte hue Paulus ki baton ke virodh mein bolne lage.

46

तब पौलुस और बरनबास ने निडर होकर कहा, अवश्य था, कि परमेश्वर का वचन पहिले तुम्हें सुनाया जाता: परन्तु जब कि तुम उसे दूर करते हो, और अपने को अनन्त जीवन के योग्य नहीं ठहराते, तो देखो, हम अन्यजातियों की ओर फिरते हैं।

Tab Paulus aur baranbaas ne nidar hokar kaha, avashya tha, ki Parmeshwar ka vachan pahile tumhein sunaya jata: parantu jab ki tum use door karte ho, aur apne ko anant jeevan ke yogya nahi thahrate, to dekho, ham anyajatiyon ki or phirte hain.

47

क्योंकि प्रभु ने हमें यह आज्ञा दी है; कि मैने तुझे अन्याजातियों के लिये ज्योति ठहराया है; ताकि तू पृथ्वी की छोर तक उद्धार का द्वार हो।

Kyonki Prabhu ne hamein yah aagya di hai; ki maine tujhe anyajatiyon ke liye jyoti thahraya hai; taki tu prithvi ki chhor tak uddhaar ka dwaar ho.

48

यह सुनकर अन्यजाति आनन्दित हुए, और परमेश्वर के वचन की बड़ाई करने लगे: और जितने अनन्त जीवन के लिये ठहराए गए थे, उन्होंने विश्वास किया।

Yah sunkar anyajati aanandit hue, aur Parmeshwar ke vachan ki badai karne lage: aur jitne anant jeevan ke liye thahraye gaye the, unhonne vishwaas kiya.

49

तब प्रभु का वचन उस सारे देश में फैलने लगा।

Tab Prabhu ka vachan us sare desh mein phailne laga.

50

परन्तु यहूदियों ने भक्त और कुलीन स्त्रियों को और नगर के बड़े लोगों को उकसाया, और पौलुस और बरनबास पर उपद्रव करवाकर उन्हें अपने सिवानों से निकाल दिया।

Parantu Yahudiyon ne bhakt aur kuleen striyon ko aur nagar ke bade logon ko uksaya, aur Paulus aur baranbaas par upadrav karvakar unhein apne sivanon se nikaal diya.

51

तब वे उन के साम्हने अपने पांवों की धूल झाड़कर इकुनियुम को गए।

Tab ve un ke samhane apne panvon ki dhool jhadkar ikuniyum ko gaye.

52

और चेले आनन्द से और पवित्र आत्मा से परिपूर्ण होते रहे॥

Aur chele aanand se aur pavitra aatma se paripoorn hote rahe.