उस समय हेरोदेस राजा ने कलीसिया के कई एक व्यक्तियों को दुख देने के लिये उन पर हाथ डाले।
Us samay herodes raja ne kaleesiya ke kai ek vyaktiyon ko dukh dene ke liye un par haath dale.
Acts 12 · 25 verses
उस समय हेरोदेस राजा ने कलीसिया के कई एक व्यक्तियों को दुख देने के लिये उन पर हाथ डाले।
Us samay herodes raja ne kaleesiya ke kai ek vyaktiyon ko dukh dene ke liye un par haath dale.
उस ने यूहन्ना के भाई याकूब को तलवार से मरवा डाला।
Us ne Yuhanna ke bhai Yakub ko talvaar se marva dala.
और जब उस ने देखा, कि यहूदी लोग इस से आनन्दित होते हैं, तो उस ने पतरस को भी पकड़ लिया: वे दिन अखमीरी रोटी के दिन थे।
Aur jab us ne dekha, ki Yahudi log is se aanandit hote hain, to us ne Patras ko bhi pakad liya: ve din akhmeeri roti ke din the.
और उस ने उसे पकड़ के बन्दीगृह में डाला, और रखवाली के लिये, चार चार सिपाहियों के चार पहरों में रखा: इस मनसा से कि फसह के बाद उसे लोगों के साम्हने लाए।
Aur us ne use pakad ke bandeegrih mein dala, aur rakhvali ke liye, chaar chaar sipahiyon ke chaar pahron mein rakha: is mansa se ki phasah ke baad use logon ke samhane laye.
सो बन्दीगृह में पतरस की रखवाली हो रही थी; परन्तु कलीसिया उसके लिये लौ लगाकर परमेश्वर से प्रार्थना कर रही थी।
So bandeegrih mein Patras ki rakhvali ho rahi thi; parantu kaleesiya uske liye lau lagakar Parmeshwar se prarthana kar rahi thi.
और जब हेरोदेस उसे उन के साम्हने लाने को था, तो उसी रात पतरस दो जंजीरों से बन्धा हुआ, दो सिपाहियों के बीच में सो रहा था: और पहरूए द्वार पर बन्दीगृह की रखवाली कर रहे थे।
Aur jab herodes use un ke samhane lane ko tha, to usi raat Patras do janjeeron se bandha huaa, do sipahiyon ke beech mein so raha tha: aur pahrooye dwaar par bandeegrih ki rakhvali kar rahe the.
तो देखो, प्रभु का एक स्वर्गदूत आ खड़ा हुआ: और उस कोठरी में ज्योति चमकी: और उस ने पतरस की पसली पर हाथ मार के उसे जगाया, और कहा; उठ, फुरती कर, और उसके हाथ से जंजीरें खुलकर गिर पड़ीं।
To dekho, Prabhu ka ek swargadoot aa khada huaa: aur us kothri mein jyoti chamki: aur us ne Patras ki pasli par haath maar ke use jagaya, aur kaha; uth, phurti kar, aur uske haath se janjeerein khulkar gir padi.
तब स्वर्गदूत ने उस से कहा; कमर बान्ध, और अपने जूते पहिन ले: उस ने वैसा ही किया, फिर उस ने उस से कहा; अपना वस्त्र पहिनकर मेरे पीछे हो ले।
Tab swargadoot ne us se kaha; kamar baandh, aur apne joote pahin le: us ne vaisa hi kiya, phir us ne us se kaha; apna vastra pahinkar mere peechhe ho le.
वह निकलकर उसके पीछे हो लिया; परन्तु यह न जानता था, कि जो कुछ स्वर्गदूत कर रहा है, वह सचमुच है, वरन यह समझा, कि मैं दर्शन देख रहा हूं।
Vah nikalkar uske peechhe ho liya; parantu yah na janta tha, ki jo kuchh swargadoot kar raha hai, vah sachmuch hai, varan yah samjha, ki main darshan dekh raha hoon.
तब वे पहिल और दूसरे पहरे से निकलकर उस लोहे के फाटक पर पहुंचे, जो नगर की ओर है; वह उन के लिये आप से आप खुल गया: और वे निकलकर एक ही गली होकर गए, इतने में स्वर्गदूत उसे छोड़कर चला गया।
Tab ve pahil aur doosre pahre se nikalkar us lohe ke phatak par pahunche, jo nagar ki or hai; vah un ke liye aap se aap khul gaya: aur ve nikalkar ek hi gali hokar gaye, itne mein swargadoot use chhodkar chala gaya.
तब पतरस ने सचेत होकर कहा; अब मैं ने सच जान लिया कि प्रभु ने अपना स्वर्गदूत भेजकर मुझे हेरोदेस के हाथ से छुड़ा लिया, और यहूदियों की सारी आशा तोड़ दी।
Tab Patras ne sachet hokar kaha; ab main ne sach jaan liya ki Prabhu ne apna swargadoot bhejkar mujhe herodes ke haath se chhuda liya, aur Yahudiyon ki sari aasha tod di.
और यह सोचकर, वह उस यूहन्ना की माता मरियम के घर आया, जो मरकुस कहलाता है; वहां बहुत लोग इकट्ठे होकर प्रार्थना कर रहे थे।
Aur yah sochkar, vah us Yuhanna ki mata Mariyam ke ghar aaya, jo markus kahlata hai; vahan bahut log ikatthe hokar prarthana kar rahe the.
जब उस ने फाटक की खिड़की खटखटाई; तो रूदे नाम एक दासी सुनने को आई।
Jab us ne phatak ki khidki khatakhtai; to roode naam ek dasi sunne ko aai.
और पतरस का शब्द पहचानकर, उस ने आनन्द के मारे फाटक न खोला; परन्तु दौड़कर भीतर गई, और बताया कि पतरस द्वार पर खड़ा है।
Aur Patras ka shabd pahchankar, us ne aanand ke mare phatak na khola; parantu daudkar bheetar gai, aur bataya ki Patras dwaar par khada hai.
उन्होंने उस से कहा; तू पागल है, परन्तु वह दृढ़ता से बोली, कि ऐसा ही है: तब उन्होंने कहा, उसका स्वर्गदूत होगा।
Unhonne us se kaha; tu pagal hai, parantu vah dridhta se boli, ki aisa hi hai: tab unhonne kaha, uska swargadoot hoga.
परन्तु पतरस खटखटाता ही रहा: सो उन्होंने खिड़की खोली, और उसे देखकर चकित हो गए।
Parantu Patras khatakhtata hi raha: so unhonne khidki kholi, aur use dekhkar chakit ho gaye.
तब उस ने उन्हें हाथ से सैन किया, कि चुप रहें; और उन को बताया, कि प्रभु किस रीति से मुझे बन्दीगृह से निकाल लाया है: फिर कहा, कि याकूब और भाइयों को यह बात कह देना; तब निकलकर दूसरी जगह चला गया।
Tab us ne unhein haath se sain kiya, ki chup rahein; aur un ko bataya, ki Prabhu kis reeti se mujhe bandeegrih se nikaal laya hai: phir kaha, ki Yakub aur bhaiyon ko yah baat kah dena; tab nikalkar doosri jagah chala gaya.
भोर को सिपाहियों में बड़ी हलचल होने लगी, कि पतरस क्या हुआ।
Bhor ko sipahiyon mein badi halchal hone lagi, ki Patras kya huaa.
जब हेरोदेस ने उस की खोज की, और न पाया; तो पहरूओं की जांच करके आज्ञा दी कि वे मार डाले जाएं; और वह यहूदिया को छोड़कर कैसरिया में जा रहा।
Jab herodes ne us ki khoj ki, aur na paya; to pahrooon ki jaanch karke aagya di ki ve maar dale jayen; aur vah yahoodiya ko chhodkar kaisriya mein ja raha.
और वह सूर और सैदा के लोगों से बहुत अप्रसन्न था; सो वे एक चित्त होकर उसके पास आए और बलास्तुस को, जो राजा का एक कर्मचारी था, मनाकर मेल करना चाहा; क्योंकि राजा के देश से उन के देश का पालन पोषण होता था।
Aur vah soor aur saida ke logon se bahut aprasann tha; so ve ek chitt hokar uske paas aaye aur balastus ko, jo raja ka ek karmachari tha, manakar mel karna chaha; kyonki raja ke desh se un ke desh ka palan poshan hota tha.
और ठहराए हुए दिन हेरोदेस राजवस्त्र पहिनकर सिंहासन पर बैठा; और उन को व्याख्यान देने लगा।
Aur thahraye hue din herodes rajvastra pahinkar sinhasan par baitha; aur un ko vyakhyaan dene laga.
और लोग पुकार उठे, कि यह तो मनुष्य का नहीं परमेश्वर का शब्द है।
Aur log pukaar uthe, ki yah to manushya ka nahi Parmeshwar ka shabd hai.
उसी झण प्रभु के एक स्वर्गदूत ने तुरन्त उसे मारा, क्योंकि उस ने परमेश्वर की महिमा नहीं की और वह कीड़े पड़ के मर गया॥
Usi jhan Prabhu ke ek swargadoot ne turant use mara, kyonki us ne Parmeshwar ki mahima nahi ki aur vah keede pad ke mar gaya.
परन्तु परमेश्वर का वचन बढ़ता और फैलता गया॥
Parantu Parmeshwar ka vachan badhta aur phailta gaya.
जब बरनबास और शाऊल अपनी सेवा पूरी कर चुके, तो यूहन्ना को जो मरकुस कहलाता है साथ लेकर यरूशलेम से लौटे॥
Jab baranbaas aur shaool apni seva poori kar chuke, to Yuhanna ko jo markus kahlata hai saath lekar Yerushalem se laute.