Acts 11 · 30 verses

प्रेरितों के काम 11 Acts 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Preriton ke kaam 11.

1

और प्रेरितों और भाइयों ने जो यहूदिया में थे सुना, कि अन्यजातियों ने भी परमेश्वर का वचन मान लिया है।

Aur preriton aur bhaiyon ne jo yahoodiya mein the suna, ki anyajatiyon ne bhi Parmeshwar ka vachan maan liya hai.

2

और जब पतरस यरूशलेम में आया, तो खतना किए हुए लोग उस से वाद-विवाद करने लगे।

Aur jab Patras Yerushalem mein aaya, to khatna kiye hue log us se vaad-vivaad karne lage.

3

कि तू ने खतनारिहत लोगों के यहां जाकर उन से साथ खाया।

Ki tu ne khatnarihat logon ke yahan jakar un se saath khaya.

4

तब पतरस ने उन्हें आरम्भ से क्रमानुसार कह सुनाया;

Tab Patras ne unhein aarambh se kramanusaar kah sunaya;

5

कि मैं याफा नगर में प्रार्थना कर रहा था, और बेसुध होकर एक दर्शन देखा, कि एक पात्र, बड़ी चादर के समान चारों कोनों से लटकाया हुआ, आकाश से उतरकर मेरे पास आया।

Ki main yapha nagar mein prarthana kar raha tha, aur besudh hokar ek darshan dekha, ki ek patra, badi chadar ke samaan charon konon se latkaya huaa, aakaash se utarkar mere paas aaya.

6

जब मैं ने उस पर ध्यान किया, तो पृथ्वी के चौपाए और बनपशु और रेंगने वाले जन्तु और आकाश के पक्षी देखे।

Jab main ne us par dhyaan kiya, to prithvi ke chaupaye aur banapshu aur rengne vale jantu aur aakaash ke pakshi dekhe.

7

और यह शब्द भी सुना कि हे पतरस उठ मार और खा।

Aur yah shabd bhi suna ki he Patras uth maar aur kha.

8

मैं ने कहा, नहीं प्रभु, नहीं, क्योंकि कोई अपवित्र था अशुद्ध वस्तु मेरे मुंह में कभी नहीं गई।

Main ne kaha, nahi Prabhu, nahi, kyonki koi apvitra tha ashuddh vastu mere munh mein kabhi nahi gai.

9

इस के उत्तर में आकाश से दूसरी बार शब्द हुआ, कि जो कुछ परमेश्वर ने शुद्ध ठहराया है, उसे अशुद्ध मत कह।

Is ke uttar mein aakaash se doosri baar shabd huaa, ki jo kuchh Parmeshwar ne shuddh thahraya hai, use ashuddh mat kah.

10

तीन बार ऐसा ही हुआ; तब सब कुछ फिर आकाश पर खींच लिया गया।

Teen baar aisa hi huaa; tab sab kuchh phir aakaash par kheench liya gaya.

11

और देखो, तुरन्त तीन मनुष्य जो कैसरिया से मेरे पास भेजे गए थे, उस घर पर जिस में हम थे, आ खड़े हुए।

Aur dekho, turant teen manushya jo kaisriya se mere paas bheje gaye the, us ghar par jis mein ham the, aa khade hue.

12

तब आत्मा ने मुझ से उन के साथ बेखटके हो लेने को कहा, और ये छ: भाई भी मेरे साथ हो लिए; और हम उस मनुष्य के घर में गए।

Tab aatma ne mujh se un ke saath bekhatke ho lene ko kaha, aur ye chha: bhai bhi mere saath ho liye; aur ham us manushya ke ghar mein gaye.

13

और उस ने बताया, कि मैं ने एक स्वर्गदूत को अपने घर में खड़ा देखा, जिस ने मुझ से कहा, कि याफा में मनुष्य भेजकर शमौन को जो पतरस कहलाता है, बुलवा ले।

Aur us ne bataya, ki main ne ek swargadoot ko apne ghar mein khada dekha, jis ne mujh se kaha, ki yapha mein manushya bhejkar Shamaun ko jo Patras kahlata hai, bulva le.

14

वह तुम से ऐसी बातें कहेगा, जिन के द्वारा तू और तेरा सारा घराना उद्धार पाएगा।

Vah tum se aisi batein kahega, jin ke dwara tu aur tera sara gharana uddhaar payega.

15

जब मैं बातें करने लगा, तो पवित्र आत्मा उन पर उसी रीति से उतरा, जिस रीति से आरम्भ में हम पर उतरा था।

Jab main batein karne laga, to pavitra aatma un par usi reeti se utra, jis reeti se aarambh mein ham par utra tha.

16

तब मुझे प्रभु का वह वचन स्मरण आया; जो उस ने कहा; कि यूहन्ना ने तो पानी से बपतिस्मा दिया, परन्तु तुम पवित्र आत्मा से बपतिस्मा पाओगे।

Tab mujhe Prabhu ka vah vachan smaran aaya; jo us ne kaha; ki Yuhanna ne to pani se baptisma diya, parantu tum pavitra aatma se baptisma paoge.

17

सो जब कि परमेश्वर ने उन्हें भी वही दान दिया, जो हमें प्रभु यीशु मसीह पर विश्वास करने से मिला था; तो मैं कौन था जो परमेश्वर को रोक सकता

So jab ki Parmeshwar ne unhein bhi vahi daan diya, jo hamein Prabhu Yeshu Masih par vishwaas karne se mila tha; to main kaun tha jo Parmeshwar ko rok sakta

18

यह सुनकर, वे चुप रहे, और परमेश्वर की बड़ाई करके कहने लगे, तब तो परमेश्वर ने अन्यजातियों को भी जीवन के लिये मन फिराव का दान दिया है॥

Yah sunkar, ve chup rahe, aur Parmeshwar ki badai karke kahne lage, tab to Parmeshwar ne anyajatiyon ko bhi jeevan ke liye man phiraav ka daan diya hai.

19

सो जो लोग उस क्लेश के मारे जो स्तिफनुस के कारण पड़ा था, तित्तर बित्तर हो गए थे, वे फिरते फिरते फीनीके और कुप्रुस और अन्ताकिया में पहुंचे; परन्तु यहूदियों को छोड़ किसी और को वचन न सुनाते थे।

So jo log us klesh ke mare jo stiphnus ke karan pada tha, tittar bittar ho gaye the, ve phirte phirte pheeneeke aur kuprus aur antakiya mein pahunche; parantu Yahudiyon ko chhod kisi aur ko vachan na sunate the.

20

परन्तु उन में से कितने कुप्रुसी और कुरेनी थे, जो अन्ताकिया में आकर युनानियों को भी प्रभु यीशु का सुसमाचार की बातें सुनाने लगे।

Parantu un mein se kitne kuprusi aur kureni the, jo antakiya mein aakar yunaniyon ko bhi Prabhu Yeshu ka susmachaar ki batein sunane lage.

21

और प्रभु का हाथ उन पर था, और बहुत लोग विश्वास करके प्रभु की ओर फिरे।

Aur Prabhu ka haath un par tha, aur bahut log vishwaas karke Prabhu ki or phire.

22

तब उन की चर्चा यरूशलेम की कलीसिया के सुनने में आई, और उन्होंने बरनबास को अन्ताकिया भेजा।

Tab un ki charcha Yerushalem ki kaleesiya ke sunne mein aai, aur unhonne baranbaas ko antakiya bheja.

23

वह वहां पहुंचकर, और परमेश्वर के अनुग्रह को देखकर आनन्दित हुआ; और सब को उपदेश दिया कि तन मन लगाकर प्रभु से लिपटे रहो।

Vah vahan pahunchkar, aur Parmeshwar ke anugrah ko dekhkar aanandit huaa; aur sab ko updesh diya ki tan man lagakar Prabhu se lipte raho.

24

क्योंकि वह एक भला मनुष्य था; और पवित्र आत्मा से परिपूर्ण था: और और बहुत से लोग प्रभु में आ मिले।

Kyonki vah ek bhala manushya tha; aur pavitra aatma se paripoorn tha: aur aur bahut se log Prabhu mein aa mile.

25

तब वह शाऊल को ढूंढने के लिये तरसुस को चला गया।

Tab vah shaool ko dhoondhne ke liye tarsus ko chala gaya.

26

और जब उन से मिला तो उसे अन्ताकिया में लाया, और ऐसा हुआ कि वे एक वर्ष तक कलीसिया के साथ मिलते और बहुत लोगों को उपदेश देते रहे, और चेले सब से पहिले अन्ताकिया ही में मसीही कहलाए॥

Aur jab un se mila to use antakiya mein laya, aur aisa huaa ki ve ek varsh tak kaleesiya ke saath milte aur bahut logon ko updesh dete rahe, aur chele sab se pahile antakiya hi mein maseehi kahlaye.

27

उन्हीं दिनों में कई भविष्यद्वक्ता यरूशलेम से अन्ताकिया में आए।

Unhi dinon mein kai bhavishyadwakta Yerushalem se antakiya mein aaye.

28

उन में से अगबुस नाम एक ने खड़े होकर आत्मा की प्रेरणा से यह बताया, कि सारे जगत में बड़ा अकाल पड़ेगा, और वह अकाल क्लौदियुस के समय में पड़ा।

Un mein se agbus naam ek ne khade hokar aatma ki prerna se yah bataya, ki sare jagat mein bada akaal padega, aur vah akaal klaudiyus ke samay mein pada.

29

तब चेलों ने ठहराया, कि हर एक अपनी अपनी पूंजी के अनुसार यहूदिया में रहने वाले भाइयों की सेवा के लिये कुछ भेजे।

Tab chelon ne thahraya, ki har ek apni apni poonji ke anusaar yahoodiya mein rahne vale bhaiyon ki seva ke liye kuchh bheje.

30

और उन्होंने ऐसा ही किया; और बरनबास और शाऊल के हाथ प्राचीनों के पास कुछ भेज दिया॥

Aur unhonne aisa hi kiya; aur baranbaas aur shaool ke haath pracheenon ke paas kuchh bhej diya.