John 21 · 25 verses

यूहन्ना 21 John 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 21.

1

इन बातों के बाद यीशु ने अपने आप को तिबिरियास झील के किनारे चेलों पर प्रगट किया और इस रीति से प्रगट किया।

In baton ke baad Yeshu ne apne aap ko tibiriyaas jheel ke kinare chelon par pragat kiya aur is reeti se pragat kiya.

2

शमौन पतरस और थोमा जो दिदुमुस कहलाता है, और गलील के काना नगर का नतनएल और जब्दी के पुत्र, और उसके चेलों में से दो और जन इकट्ठे थे।

Shamaun Patras aur thoma jo didumus kahlata hai, aur galeel ke kana nagar ka natnayel aur jabdi ke putra, aur uske chelon mein se do aur jan ikatthe the.

3

शमौन पतरस ने उन से कहा, मैं मछली पकड़ने को जाता हूं: उन्होंने उस से कहा, हम भी तेरे साथ चलते हैं: सो वे निकलकर नाव पर चढ़े, परन्तु उस रात कुछ न पकड़ा।

Shamaun Patras ne un se kaha, main machhli pakadne ko jata hoon: unhonne us se kaha, ham bhi tere saath chalte hain: so ve nikalkar naav par chadhe, parantu us raat kuchh na pakda.

4

भोर होते ही यीशु किनारे पर खड़ा हुआ; तौभी चेलों ने न पहचाना कि यह यीशु है।

Bhor hote hi Yeshu kinare par khada huaa; taubhi chelon ne na pahchana ki yah Yeshu hai.

5

तब यीशु ने उन से कहा, हे बाल को, क्या तुम्हारे पास कुछ खाने को है? उन्होंने उत्तर दिया कि नहीं।

Tab Yeshu ne un se kaha, he baal ko, kya tumhare paas kuchh khane ko hai? Unhonne uttar diya ki nahi.

6

उस ने उन से कहा, नाव की दाहिनी ओर जाल डालो, तो पाओगे, तब उन्होंने जाल डाला, और अब मछिलयों की बहुतायत के कारण उसे खींच न सके।

Us ne un se kaha, naav ki dahini or jaal dalo, to paoge, tab unhonne jaal dala, aur ab machhilyon ki bahutayat ke karan use kheench na sake.

7

इसलिये उस चेले ने जिस से यीशु प्रेम रखता था पतरस से कहा, यह तो प्रभु है: शमौन पतरस ने यह सुनकर कि प्रभु है, कमर में अंगरखा कस लिया, क्योंकि वह नंगा था, और झील में कूद पड़ा।

Isliye us chele ne jis se Yeshu prem rakhta tha Patras se kaha, yah to Prabhu hai: Shamaun Patras ne yah sunkar ki Prabhu hai, kamar mein angarkha kas liya, kyonki vah nanga tha, aur jheel mein kood pada.

8

परन्तु और चेले डोंगी पर मछिलयों से भरा हुआ जाल खींचते हुए आए, क्योंकि वे किनारे से अधिक दूर नहीं, कोई दो सौ हाथ पर थे।

Parantu aur chele dongi par machhilyon se bhara huaa jaal kheenchte hue aaye, kyonki ve kinare se adhik door nahi, koi do sau haath par the.

9

जब किनारे पर उतरे, तो उन्होंने कोएले की आग, और उस पर मछली रखी हुई, और रोटी देखी।

Jab kinare par utre, to unhonne koyele ki aag, aur us par machhli rakhi hui, aur roti dekhi.

10

यीशु ने उन से कहा, जो मछिलयां तुम ने अभी पकड़ी हैं, उन में से कुछ लाओ।

Yeshu ne un se kaha, jo machhilyan tum ne abhi pakdi hain, un mein se kuchh lao.

11

शमौन पतरस ने डोंगी पर चढ़कर एक सौ तिर्पन बड़ी मछिलयों से भरा हुआ जाल किनारे पर खींचा, और इतनी मछिलयां होने से भी जाल न फटा।

Shamaun Patras ne dongi par chadhkar ek sau tirpan badi machhilyon se bhara huaa jaal kinare par kheencha, aur itni machhilyan hone se bhi jaal na phata.

12

यीशु ने उन से कहा, कि आओ, भोजन करो और चेलों में से किसी को हियाव न हुआ, कि उस से पूछे, कि तू कौन है? क्योंकि वे जानते थे, कि हो न हो यह प्रभु ही है।

Yeshu ne un se kaha, ki aao, bhojan karo aur chelon mein se kisi ko hiyaav na huaa, ki us se poochhe, ki tu kaun hai? Kyonki ve jante the, ki ho na ho yah Prabhu hi hai.

13

यीशु आया, और रोटी लेकर उन्हें दी, और वैसे ही मछली भी।

Yeshu aaya, aur roti lekar unhein di, aur vaise hi machhli bhi.

14

यह तीसरी बार है, कि यीशु ने मरे हुओं में से जी उठने के बाद चेलों को दर्शन दिए॥

Yah teesri baar hai, ki Yeshu ne mare huon mein se ji uthne ke baad chelon ko darshan diye.

15

भोजन करने के बाद यीशु ने शमौन पतरस से कहा, हे शमौन, यूहन्ना के पुत्र, क्या तू इन से बढ़कर मुझ से प्रेम रखता है? उस ने उस से कहा, हां प्रभु तू तो जानता है, कि मैं तुझ से प्रीति रखता हूं: उस ने उस से कहा, मेरे मेमनों को चरा।

Bhojan karne ke baad Yeshu ne Shamaun Patras se kaha, he Shamaun, Yuhanna ke putra, kya tu in se badhkar mujh se prem rakhta hai? Us ne us se kaha, han Prabhu tu to janta hai, ki main tujh se preeti rakhta hoon: us ne us se kaha, mere memnon ko chara.

16

उस ने फिर दूसरी बार उस से कहा, हे शमौन यूहन्ना के पुत्र, क्या तू मुझ से प्रेम रखता है? उस ने उन से कहा, हां, प्रभु तू जानता है, कि मैं तुझ से प्रीति रखता हूं: उस ने उस से कहा, मेरी भेड़ों की रखवाली कर।

Us ne phir doosri baar us se kaha, he Shamaun Yuhanna ke putra, kya tu mujh se prem rakhta hai? Us ne un se kaha, han, Prabhu tu janta hai, ki main tujh se preeti rakhta hoon: us ne us se kaha, meri bhedon ki rakhvali kar.

17

उस ने तीसरी बार उस से कहा, हे शमौन, यूहन्ना के पुत्र, क्या तू मुझ से प्रीति रखता है? पतरस उदास हुआ, कि उस ने उसे तीसरी बार ऐसा कहा; कि क्या तू मुझ से प्रीति रखता है? और उस से कहा, हे प्रभु, तू तो सब कुछ जानता है: तू यह जानता है कि मैं तुझ से प्रीति रखता हूं: यीशु ने उस से कहा, मेरी भेड़ों को चरा।

Us ne teesri baar us se kaha, he Shamaun, Yuhanna ke putra, kya tu mujh se preeti rakhta hai? Patras udaas huaa, ki us ne use teesri baar aisa kaha; ki kya tu mujh se preeti rakhta hai? Aur us se kaha, he Prabhu, tu to sab kuchh janta hai: tu yah janta hai ki main tujh se preeti rakhta hoon: Yeshu ne us se kaha, meri bhedon ko chara.

18

मैं तुझ से सच सच कहता हूं, जब तू जवान था, तो अपनी कमर बान्धकर जहां चाहता था, वहां फिरता था; परन्तु जब तू बूढ़ा होगा, तो अपने हाथ लम्बे करेगा, और दूसरा तेरी कमर बान्धकर जहां तू न चाहेगा वहां तुझे ले जाएगा।

Main tujh se sach sach kahta hoon, jab tu javaan tha, to apni kamar bandhakar jahan chahta tha, vahan phirta tha; parantu jab tu boodha hoga, to apne haath lambe karega, aur doosra teri kamar bandhakar jahan tu na chahega vahan tujhe le jayega.

19

उस ने इन बातों से पता दिया कि पतरस कैसी मृत्यु से परमेश्वर की महिमा करेगा; और यह कहकर, उस से कहा, मेरे पीछे हो ले।

Us ne in baton se pata diya ki Patras kaisi mrityu se Parmeshwar ki mahima karega; aur yah kahkar, us se kaha, mere peechhe ho le.

20

पतरस ने फिरकर उस चेले को पीछे आते देखा, जिस से यीशु प्रेम रखता था, और जिस ने भोजन के समय उस की छाती की और झुककर पूछा हे प्रभु, तेरा पकड़वाने वाला कौन है?

Patras ne phirkar us chele ko peechhe aate dekha, jis se Yeshu prem rakhta tha, aur jis ne bhojan ke samay us ki chhati ki aur jhukkar poochha he Prabhu, tera pakadvane vala kaun hai?

21

उसे देखकर पतरस ने यीशु से कहा, हे प्रभु, इस का क्या हाल होगा?

Use dekhkar Patras ne Yeshu se kaha, he Prabhu, is ka kya haal hoga?

22

यीशु ने उस से कहा, यदि मैं चाहूं कि वह मेरे आने तक ठहरा रहे, तो तुझे क्या? तू मेरे पीछे हो ले।

Yeshu ne us se kaha, yadi main chahun ki vah mere aane tak thahra rahe, to tujhe kya? Tu mere peechhe ho le.

23

इसलिये भाइयों में यह बात फैल गई, कि वह चेला न मरेगा; तौभी यीशु ने उस से यह नहीं कहा, कि यह न मरेगा, परन्तु यह कि यदि मैं चाहूं कि यह मेरे आने तक ठहरा रहे, तो तुझे इस से क्या?

Isliye bhaiyon mein yah baat phail gai, ki vah chela na marega; taubhi Yeshu ne us se yah nahi kaha, ki yah na marega, parantu yah ki yadi main chahun ki yah mere aane tak thahra rahe, to tujhe is se kya?

24

यह वही चेला है, जो इन बातों की गवाही देता है और जिस ने इन बातों को लिखा है और हम जानते हैं, कि उस की गवाही सच्ची है।

Yah vahi chela hai, jo in baton ki gavahi deta hai aur jis ne in baton ko likha hai aur ham jante hain, ki us ki gavahi sachchi hai.

25

और भी बहुत से काम हैं, जो यीशु ने किए; यदि वे एक एक करके लिखे जाते, तो मैं समझता हूं, कि पुस्तकें जो लिखी जातीं वे जगत में भी न समातीं॥

Aur bhi bahut se kaam hain, jo Yeshu ne kiye; yadi ve ek ek karke likhe jate, to main samajhta hoon, ki pustakein jo likhi jati ve jagat mein bhi na samati.