हे प्रियो, अब मैं तुम्हें यह दूसरी पत्री लिखता हूं, और दोनों में सुधि दिला कर तुम्हारे शुद्ध मन को उभारता हूं।
He priyo, ab main tumhein yah doosri patri likhta hoon, aur donon mein sudhi dila kar tumhare shuddh man ko ubharta hoon.
2 Peter 3 · 18 verses
हे प्रियो, अब मैं तुम्हें यह दूसरी पत्री लिखता हूं, और दोनों में सुधि दिला कर तुम्हारे शुद्ध मन को उभारता हूं।
He priyo, ab main tumhein yah doosri patri likhta hoon, aur donon mein sudhi dila kar tumhare shuddh man ko ubharta hoon.
कि तुम उन बातों को, जो पवित्र भविष्यद्वक्ताओं ने पहिले से कही हैं और प्रभु, और उद्धारकर्ता की उस आज्ञा को स्मरण करो, जो तुम्हारे प्रेरितों के द्वारा दी गई थी।
Ki tum un baton ko, jo pavitra bhavishyadwaktaon ne pahile se kahi hain aur Prabhu, aur uddharkarta ki us aagya ko smaran karo, jo tumhare preriton ke dwara di gai thi.
और यह पहिले जान लो, कि अन्तिम दिनों में हंसी ठट्ठा करने वाले आएंगे, जो अपनी ही अभिलाषाओं के अनुसार चलेंगे।
Aur yah pahile jaan lo, ki antim dinon mein hansi thattha karne vale aayenge, jo apni hi abhilashaon ke anusaar chalenge.
और कहेंगे, उसके आने की प्रतिज्ञा कहां गई? क्योंकि जब से बाप-दादे सो गए हैं, सब कुछ वैसा ही है, जैसा सृष्टि के आरम्भ से था?
Aur kahenge, uske aane ki pratigya kahan gai? Kyonki jab se baap-dade so gaye hain, sab kuchh vaisa hi hai, jaisa srishti ke aarambh se tha?
वे तो जान बूझ कर यह भूल गए, कि परमेश्वर के वचन के द्वारा से आकाश प्राचीन काल से वर्तमान है और पृथ्वी भी जल में से बनी और जल में स्थिर है।
Ve to jaan boojh kar yah bhool gaye, ki Parmeshwar ke vachan ke dwara se aakaash pracheen kaal se vartamaan hai aur prithvi bhi jal mein se bani aur jal mein sthir hai.
इन्हीं के द्वारा उस युग का जगत जल में डूब कर नाश हो गया।
Inhi ke dwara us yug ka jagat jal mein doob kar naash ho gaya.
पर वर्तमान काल के आकाश और पृथ्वी उसी वचन के द्वारा इसलिये रखे हैं, कि जलाए जाएं; और वह भक्तिहीन मनुष्यों के न्याय और नाश होने के दिन तक ऐसे ही रखे रहेंगे॥
Par vartamaan kaal ke aakaash aur prithvi usi vachan ke dwara isliye rakhe hain, ki jalaye jayen; aur vah bhaktiheen manushyon ke nyaay aur naash hone ke din tak aise hi rakhe rahenge.
हे प्रियों, यह एक बात तुम से छिपी न रहे, कि प्रभु के यहां एक दिन हजार वर्ष के बराबर है, और हजार वर्ष एक दिन के बराबर हैं।
He priyon, yah ek baat tum se chhipi na rahe, ki Prabhu ke yahan ek din hajaar varsh ke barabar hai, aur hajaar varsh ek din ke barabar hain.
प्रभु अपनी प्रतिज्ञा के विषय में देर नहीं करता, जैसी देर कितने लोग समझते हैं; पर तुम्हारे विषय में धीरज धरता है, और नहीं चाहता, कि कोई नाश हो; वरन यह कि सब को मन फिराव का अवसर मिले।
Prabhu apni pratigya ke vishay mein der nahi karta, jaisi der kitne log samajhte hain; par tumhare vishay mein dheeraj dharta hai, aur nahi chahta, ki koi naash ho; varan yah ki sab ko man phiraav ka avsar mile.
परन्तु प्रभु का दिन चोर की नाईं आ जाएगा, उस दिन आकाश बड़ी हड़हड़ाहट के शब्द से जाता रहेगा, और तत्व बहुत ही तप्त होकर पिघल जाएंगे, और पृथ्वी और उस पर के काम जल जाएंगे।
Parantu Prabhu ka din chor ki nai aa jayega, us din aakaash badi hadahdahat ke shabd se jata rahega, aur tatva bahut hi tapt hokar pighal jayenge, aur prithvi aur us par ke kaam jal jayenge.
तो जब कि ये सब वस्तुएं, इस रीति से पिघलने वाली हैं, तो तुम्हें पवित्र चाल चलन और भक्ति में कैसे मनुष्य होना चाहिए।
To jab ki ye sab vastuein, is reeti se pighalne vali hain, to tumhein pavitra chaal chalan aur bhakti mein kaise manushya hona chahiye.
और परमेश्वर के उस दिन की बाट किस रीति से जोहना चाहिए और उसके जल्द आने के लिये कैसा यत्न करना चाहिए; जिस के कारण आकाश आग से पिघल जाएंगे, और आकाश के गण बहुत ही तप्त होकर गल जाएंगे।
Aur Parmeshwar ke us din ki baat kis reeti se johna chahiye aur uske jald aane ke liye kaisa yatn karna chahiye; jis ke karan aakaash aag se pighal jayenge, aur aakaash ke gan bahut hi tapt hokar gal jayenge.
पर उस की प्रतिज्ञा के अनुसार हम एक नए आकाश और नई पृथ्वी की आस देखते हैं जिन में धार्मिकता वास करेगी॥
Par us ki pratigya ke anusaar ham ek naye aakaash aur nai prithvi ki aas dekhte hain jin mein dharmikta vaas karegi.
इसलिये, हे प्रियो, जब कि तुम इन बातों की आस देखते हो तो यत्न करो कि तुम शान्ति से उसके साम्हने निष्कलंक और निर्दोष ठहरो।
Isliye, he priyo, jab ki tum in baton ki aas dekhte ho to yatn karo ki tum shanti se uske samhane nishkalank aur nirdosh thahro.
और हमारे प्रभु के धीरज को उद्धार समझो, जैसे हमारे प्रिय भाई पौलुस न भी उस ज्ञान के अनुसार जो उसे मिला, तुम्हें लिखा है।
Aur hamare Prabhu ke dheeraj ko uddhaar samjho, jaise hamare priya bhai Paulus na bhi us gyaan ke anusaar jo use mila, tumhein likha hai.
वैसे ही उस ने अपनी सब पत्रियों में भी इन बातों की चर्चा की है जिन में कितनी बातें ऐसी है, जिनका समझना कठिन है, और अनपढ़ और चंचल लोग उन के अर्थों को भी पवित्र शास्त्र की और बातों की नाईं खींच तान कर अपने ही नाश का कारण बनाते हैं।
Vaise hi us ne apni sab patriyon mein bhi in baton ki charcha ki hai jin mein kitni batein aisi hai, jinka samajhna kathin hai, aur anpadh aur chanchal log un ke arthon ko bhi pavitra shastra ki aur baton ki nai kheench taan kar apne hi naash ka karan banate hain.
इसलिये हे प्रियो तुम लोग पहिले ही से इन बातों को जान कर चौकस रहो, ताकि अधर्मियों के भ्रम में फंस कर अपनी स्थिरता को हाथ से कहीं खो न दो।
Isliye he priyo tum log pahile hi se in baton ko jaan kar chaukas raho, taki adharmiyon ke bhram mein phans kar apni sthirta ko haath se kahi kho na do.
पर हमारे प्रभु, और उद्धारकर्ता यीशु मसीह के अनुग्रह और पहचान में बढ़ते जाओ। उसी की महिमा अब भी हो, और युगानुयुग होती रहे। आमीन॥
Par hamare Prabhu, aur uddharkarta Yeshu Masih ke anugrah aur pahchaan mein badhte jao. Usi ki mahima ab bhi ho, aur yuganuyug hoti rahe. Aamin.