2 Peter 2 · 22 verses

2 पतरस 2 2 Peter 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 Patras 2.

1

और जिस प्रकार उन लोगों में झूठे भविष्यद्वक्ता थे उसी प्रकार तुम में भी झूठे उपदेशक होंगे, जो नाश करने वाले पाखण्ड का उद्घाटन छिप छिपकर करेंगे और उस स्वामी का जिस ने उन्हें मोल लिया है इन्कार करेंगे और अपने आप को शीघ्र विनाश में डाल देंगे।

Aur jis prakaar un logon mein jhoothe bhavishyadwakta the usi prakaar tum mein bhi jhoothe updeshak honge, jo naash karne vale pakhand ka udghatan chhip chhipkar karenge aur us swami ka jis ne unhein mol liya hai inkaar karenge aur apne aap ko sheeghra vinaash mein daal denge.

2

और बहुतेरे उन की नाईं लुचपन करेंगे, जिन के कारण सत्य के मार्ग की निन्दा की जाएगी।

Aur bahutere un ki nai luchpan karenge, jin ke karan satya ke maarg ki ninda ki jayegi.

3

और वे लोभ के लिये बातें गढ़ कर तुम्हें अपने लाभ का कारण बनाएंगे, और जो दण्ड की आज्ञा उन पर पहिले से हो चुकी है, उसके आने में कुछ भी देर नहीं, और उन का विनाश ऊंघता नहीं।

Aur ve lobh ke liye batein gadh kar tumhein apne laabh ka karan banayenge, aur jo dand ki aagya un par pahile se ho chuki hai, uske aane mein kuchh bhi der nahi, aur un ka vinaash oonghta nahi.

4

क्योंकि जब परमेश्वर ने उन स्वर्गदूतों को जिन्हों ने पाप किया नहीं छोड़ा, पर नरक में भेज कर अन्धेरे कुण्डों में डाल दिया, ताकि न्याय के दिन तक बन्दी रहें।

Kyonki jab Parmeshwar ne un swargadooton ko jinhon ne paap kiya nahi chhoda, par narak mein bhej kar andhere kundon mein daal diya, taki nyaay ke din tak bandi rahein.

5

और प्रथम युग के संसार को भी न छोड़ा, वरन भक्तिहीन संसार पर महा जल-प्रलय भेजकर धर्म के प्रचारक नूह समेत आठ व्यक्तियों को बचा लिया।

Aur pratham yug ke sansaar ko bhi na chhoda, varan bhaktiheen sansaar par maha jal-pralay bhejkar dharm ke pracharak nooh samet aath vyaktiyon ko bacha liya.

6

और सदोम और अमोरा के नगरों को विनाश का ऐसा दण्ड दिया, कि उन्हें भस्म करके राख में मिला दिया ताकि वे आने वाले भक्तिहीन लोगों की शिक्षा के लिये एक दृष्टान्त बनें।

Aur sadom aur amora ke nagron ko vinaash ka aisa dand diya, ki unhein bhasm karke raakh mein mila diya taki ve aane vale bhaktiheen logon ki shiksha ke liye ek drishtaant banein.

7

और धर्मी लूत को जो अधर्मियों के अशुद्ध चाल-चलन से बहुत दुखी था छुटकारा दिया।

Aur dharmi loot ko jo adharmiyon ke ashuddh chaal-chalan se bahut dukhi tha chhutkara diya.

8

(क्योंकि वह धर्मी उन के बीच में रहते हुए, और उन के अधर्म के कामों को देख देख कर, और सुन सुन कर, हर दिन अपने सच्चे मन को पीड़ित करता था)।

(kyonki vah dharmi un ke beech mein rahte hue, aur un ke adharm ke kamon ko dekh dekh kar, aur sun sun kar, har din apne sachche man ko peedit karta tha).

9

तो प्रभु के भक्तों को परीक्षा में से निकाल लेना और अधर्मियों को न्याय के दिन तक दण्ड की दशा में रखना भी जानता है।

To Prabhu ke bhakton ko pareeksha mein se nikaal lena aur adharmiyon ko nyaay ke din tak dand ki dasha mein rakhna bhi janta hai.

10

निज करके उन्हें जो अशुद्ध अभिलाषाओं के पीछे शरीर के अनुसार चलते, और प्रभुता को तुच्छ जानते हैं: वे ढीठ, और हठी हैं, और ऊंचे पद वालों को बुरा भला कहने से नहीं डरते।

Nij karke unhein jo ashuddh abhilashaon ke peechhe shareer ke anusaar chalte, aur prabhuta ko tuchchh jante hain: ve dheeth, aur hathi hain, aur oonche pad valon ko bura bhala kahne se nahi darte.

11

तौभी स्वर्गदूत जो शक्ति और सामर्थ में उन से बड़े हैं, प्रभु के साम्हने उन्हें बुरा भला कह कर दोष नहीं लगाते।

Taubhi swargadoot jo shakti aur samarth mein un se bade hain, Prabhu ke samhane unhein bura bhala kah kar dosh nahi lagate.

12

पर ये लोग निर्बुद्धि पशुओं ही के तुल्य हैं, जो पकड़े जाने और नाश होने के लिये उत्पन्न हुए हैं; और जिन बातों को जानते ही नहीं, उन के विषय में औरों को बुरा भला कहते हैं, वे अपनी सड़ाहट में आप ही सड़ जाएंगे।

Par ye log nirbuddhi pashuon hi ke tulya hain, jo pakde jane aur naash hone ke liye utpann hue hain; aur jin baton ko jante hi nahi, un ke vishay mein auron ko bura bhala kahte hain, ve apni sadahat mein aap hi sad jayenge.

13

औरों का बुरा करने के बदले उन्हीं का बुरा होगा: उन्हें दिन दोपहर सुख-विलास करना भला लगता है; यह कलंक और दोष है- जब वे तुम्हारे साथ खाते पीते हैं, तो अपनी ओर से प्रेम भोज करके भोग-विलास करते हैं।

Auron ka bura karne ke badle unhi ka bura hoga: unhein din dophar sukh-vilaas karna bhala lagta hai; yah kalank aur dosh hai- jab ve tumhare saath khate peete hain, to apni or se prem bhoj karke bhog-vilaas karte hain.

14

उन ही आंखों में व्यभिचार बसा हुआ है, और वे पाप किए बिना रूक नहीं सकते: वे चंचल मन वालों को फुसला लेते हैं; उन के मन को लोभ करने का अभ्यास हो गया है, वे सन्ताप के सन्तान हैं।

Un hi aankhon mein vyabhichaar basa huaa hai, aur ve paap kiye bina rook nahi sakte: ve chanchal man valon ko phusla lete hain; un ke man ko lobh karne ka abhyaas ho gaya hai, ve santaap ke santaan hain.

15

वे सीधे मार्ग को छोड़कर भटक गए हैं, और बओर के पुत्र बिलाम के मार्ग पर हो लिए हैं; जिस ने अधर्म की मजदूरी को प्रिय जाना।

Ve seedhe maarg ko chhodkar bhatak gaye hain, aur baor ke putra bilaam ke maarg par ho liye hain; jis ne adharm ki majdoori ko priya jana.

16

पर उसके अपराध के विषय में उलाहना दिया गया, यहां तक कि अबोल गदही ने मनुष्य की बोली से उस भविष्यद्वक्ता को उसके बावलेपन से रोका।

Par uske apraadh ke vishay mein ulahna diya gaya, yahan tak ki abol gadhi ne manushya ki boli se us bhavishyadwakta ko uske bavlepan se roka.

17

ये लोग अन्धे कुंए, और आन्धी के उड़ाए हुए बादल हैं, उन के लिये अनन्त अन्धकार ठहराया गया है।

Ye log andhe kune, aur aandhi ke udaye hue badal hain, un ke liye anant andhakaar thahraya gaya hai.

18

वे व्यर्थ घमण्ड की बातें कर करके लुचपन के कामों के द्वारा, उन लोगों को शारीरिक अभिलाषाओं में फंसा लेते हैं, जो भटके हुओं में से अभी निकल ही रहे हैं।

Ve vyarth ghamand ki batein kar karke luchpan ke kamon ke dwara, un logon ko shareerik abhilashaon mein phansa lete hain, jo bhatke huon mein se abhi nikal hi rahe hain.

19

वे उन्हें स्वतंत्र होने की प्रतिज्ञा तो देते हैं, पर आप ही सड़ाहट के दास हैं, क्योंकि जो व्यक्ति जिस से हार गया है, वह उसका दास बन जाता है।

Ve unhein swatantra hone ki pratigya to dete hain, par aap hi sadahat ke daas hain, kyonki jo vyakti jis se haar gaya hai, vah uska daas ban jata hai.

20

और जब वे प्रभु और उद्धारकर्ता यीशु मसीह की पहचान के द्वारा संसार की नाना प्रकार की अशुद्धता से बच निकले, और फिर उन में फंस कर हार गए, तो उन की पिछली दशा पहिली से भी बुरी हो गई है।

Aur jab ve Prabhu aur uddharkarta Yeshu Masih ki pahchaan ke dwara sansaar ki nana prakaar ki ashuddhata se bach nikle, aur phir un mein phans kar haar gaye, to un ki pichhli dasha pahili se bhi buri ho gai hai.

21

क्योंकि धर्म के मार्ग में न जानना ही उन के लिये इस से भला होता, कि उसे जान कर, उस पवित्र आज्ञा से फिर जाते, जो उन्हें सौंपी गई थी। उन पर यह कहावत ठीक बैठती है,

Kyonki dharm ke maarg mein na janna hi un ke liye is se bhala hota, ki use jaan kar, us pavitra aagya se phir jate, jo unhein saumpi gai thi. Un par yah kahavat theek baithti hai,

22

कि कुत्ता अपनी छांट की ओर और धोई हुई सुअरनी कीचड़ में लोटने के लिये फिर चली जाती है॥

Ki kutta apni chhaant ki or aur dhoi hui suarni keechad mein lotne ke liye phir chali jati hai.