2 Peter 1 · 21 verses

2 पतरस 1 2 Peter 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 Patras 1.

1

शमौन पतरस की और से जो यीशु मसीह का दास और प्रेरित है, उन लोगों के नाम जिन्होंने हमारे परमेश्वर और उद्धारकर्ता यीशु मसीह की धार्मिकता से हमारा सा बहुमूल्य विश्वास प्राप्त किया है।

Shamaun Patras ki aur se jo Yeshu Masih ka daas aur prerit hai, un logon ke naam jinhonne hamare Parmeshwar aur uddharkarta Yeshu Masih ki dharmikta se hamara sa bahumoolya vishwaas praapt kiya hai.

2

परमेश्वर के और हमारे प्रभु यीशु की पहचान के द्वारा अनुग्रह और शान्ति तुम में बहुतायत से बढ़ती जाए।

Parmeshwar ke aur hamare Prabhu Yeshu ki pahchaan ke dwara anugrah aur shanti tum mein bahutayat se badhti jaye.

3

क्योंकि उसके ईश्वरीय सामर्थ ने सब कुछ जो जीवन और भक्ति से सम्बन्ध रखता है, हमें उसी की पहचान के द्वारा दिया है, जिस ने हमें अपनी ही महिमा और सद्गुण के अनुसार बुलाया है।

Kyonki uske ishwareeya samarth ne sab kuchh jo jeevan aur bhakti se sambandh rakhta hai, hamein usi ki pahchaan ke dwara diya hai, jis ne hamein apni hi mahima aur sadgun ke anusaar bulaya hai.

4

जिन के द्वारा उस ने हमें बहुमूल्य और बहुत ही बड़ी प्रतिज्ञाएं दी हैं: ताकि इन के द्वारा तुम उस सड़ाहट से छूट कर जो संसार में बुरी अभिलाषाओं से होती है, ईश्वरीय स्वभाव के समभागी हो जाओ।

Jin ke dwara us ne hamein bahumoolya aur bahut hi badi pratigyayen di hain: taki in ke dwara tum us sadahat se chhoot kar jo sansaar mein buri abhilashaon se hoti hai, ishwareeya swabhaav ke sambhagi ho jao.

5

और इसी कारण तुम सब प्रकार का यत्न करके, अपने विश्वास पर सद्गुण, और सद्गुण पर समझ।

Aur isi karan tum sab prakaar ka yatn karke, apne vishwaas par sadgun, aur sadgun par samajh.

6

और समझ पर संयम, और संयम पर धीरज, और धीरज पर भक्ति।

Aur samajh par sanyam, aur sanyam par dheeraj, aur dheeraj par bhakti.

7

और भक्ति पर भाईचारे की प्रीति, और भाईचारे की प्रीति पर प्रेम बढ़ाते जाओ।

Aur bhakti par bhaichare ki preeti, aur bhaichare ki preeti par prem badhate jao.

8

क्योंकि यदि ये बातें तुम में वर्तमान रहें, और बढ़ती जाएं, तो तुम्हें हमारे प्रभु यीशु मसीह के पहचानने में निकम्मे और निष्फल न होने देंगी।

Kyonki yadi ye batein tum mein vartamaan rahein, aur badhti jayen, to tumhein hamare Prabhu Yeshu Masih ke pahchanne mein nikamme aur nishphal na hone dengi.

9

और जिस में ये बातें नहीं, वह अन्धा है, और धुन्धला देखता है, और अपने पूर्वकाली पापों से धुल कर शुद्ध होने को भूल बैठा है।

Aur jis mein ye batein nahi, vah andha hai, aur dhundhala dekhta hai, aur apne poorvakali papon se dhul kar shuddh hone ko bhool baitha hai.

10

इस कारण हे भाइयों, अपने बुलाए जाने, और चुन लिये जाने को सिद्ध करने का भली भांति यत्न करते जाओ, क्योंकि यदि ऐसा करोगे, तो कभी भी ठोकर न खाओगे।

Is karan he bhaiyon, apne bulaye jane, aur chun liye jane ko siddh karne ka bhali bhanti yatn karte jao, kyonki yadi aisa karoge, to kabhi bhi thokar na khaoge.

11

वरन इस रीति से तुम हमारे प्रभु और उद्धारकर्ता यीशु मसीह के अनन्त राज्य में बड़े आदर के साथ प्रवेश करने पाओगे।

Varan is reeti se tum hamare Prabhu aur uddharkarta Yeshu Masih ke anant rajya mein bade aadar ke saath pravesh karne paoge.

12

इसलिये यद्यपि तुम ये बातें जानते हो, और जो सत्य वचन तुम्हें मिला है, उस में बने रहते हो, तौभी मैं तुम्हें इन बातों की सुधि दिलाने को सर्वदा तैयार रहूंगा।

Isliye yadyapi tum ye batein jante ho, aur jo satya vachan tumhein mila hai, us mein bane rahte ho, taubhi main tumhein in baton ki sudhi dilane ko sarvada taiyaar rahoonga.

13

और मैं यह अपने लिये उचित समझता हूं, कि जब तक मैं इस डेरे में हूं, तब तक तुम्हें सुधि दिला दिलाकर उभारता रहूं।

Aur main yah apne liye uchit samajhta hoon, ki jab tak main is dere mein hoon, tab tak tumhein sudhi dila dilakar ubharta rahun.

14

क्योंकि यह जानता हूं, कि मसीह के वचन के अनुसार मेरे डेरे के गिराए जाने का समय शीघ्र आने वाला है।

Kyonki yah janta hoon, ki Masih ke vachan ke anusaar mere dere ke giraye jane ka samay sheeghra aane vala hai.

15

इसलिये मैं ऐसा यत्न करूंगा, कि मेरे कूच करने के बाद तुम इन सब बातों को सर्वदा स्मरण कर सको।

Isliye main aisa yatn karoonga, ki mere kooch karne ke baad tum in sab baton ko sarvada smaran kar sako.

16

क्योंकि जब हम ने तुम्हें अपने प्रभु यीशु मसीह की सामर्थ का, और आगमन का समाचार दिया था तो वह चतुराई से गढ़ी हुई कहानियों का अनुकरण नहीं किया था वरन हम ने आप ही उसके प्रताप को देखा था।

Kyonki jab ham ne tumhein apne Prabhu Yeshu Masih ki samarth ka, aur aagman ka samachaar diya tha to vah chaturai se gadhi hui kahaniyon ka anukran nahi kiya tha varan ham ne aap hi uske prataap ko dekha tha.

17

कि उस ने परमेश्वर पिता से आदर, और महिमा पाई जब उस प्रतापमय महिमा में से यह वाणी आई कि यह मेरा प्रिय पुत्र है जिस से मैं प्रसन्न हूं।

Ki us ne Parmeshwar pita se aadar, aur mahima pai jab us pratapmay mahima mein se yah vani aai ki yah mera priya putra hai jis se main prasann hoon.

18

और जब हम उसके साथ पवित्र पहाड़ पर थे, तो स्वर्ग से यही वाणी आते सुनी।

Aur jab ham uske saath pavitra pahaad par the, to swarg se yahi vani aate suni.

19

और हमारे पास जो भविष्यद्वक्ताओं का वचन है, वह इस घटना से दृढ़ ठहरा है और तुम यह अच्छा करते हो, कि जो यह समझ कर उस पर ध्यान करते हो, कि वह एक दीया है, जो अन्धियारे स्थान में उस समय तक प्रकाश देता रहता है जब तक कि पौ न फटे, और भोर का तारा तुम्हारे हृदयों में न चमक उठे।

Aur hamare paas jo bhavishyadwaktaon ka vachan hai, vah is ghatna se dridh thahra hai aur tum yah achchha karte ho, ki jo yah samajh kar us par dhyaan karte ho, ki vah ek deeya hai, jo andhiyare sthaan mein us samay tak prakaash deta rahta hai jab tak ki pau na phate, aur bhor ka tara tumhare hridyon mein na chamak uthe.

20

पर पहिले यह जान लो कि पवित्र शास्त्र की कोई भी भविष्यद्वाणी किसी के अपने ही विचारधारा के आधार पर पूर्ण नहीं होती।

Par pahile yah jaan lo ki pavitra shastra ki koi bhi bhavishyadwani kisi ke apne hi vichardhara ke aadhaar par poorn nahi hoti.

21

क्योंकि कोई भी भविष्यद्वाणी मनुष्य की इच्छा से कभी नहीं हुई पर भक्त जन पवित्र आत्मा के द्वारा उभारे जाकर परमेश्वर की ओर से बोलते थे॥

Kyonki koi bhi bhavishyadwani manushya ki ichchha se kabhi nahi hui par bhakt jan pavitra aatma ke dwara ubhare jakar Parmeshwar ki or se bolte the.