2 Corinthians 9 · 15 verses

2 कुरिन्थियों 9 2 Corinthians 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 kurinthiyon 9.

1

अब उस सेवा के विषय में जो पवित्र लोगों के लिये की जाती है, मुझे तुम को लिखना अवश्य नहीं।

Ab us seva ke vishay mein jo pavitra logon ke liye ki jati hai, mujhe tum ko likhna avashya nahi.

2

क्योंकि मैं तुम्हारे मन की तैयारी को जानता हूं, जिस के कारण मैं तुम्हारे विषय में मकिदुनियों के साम्हने घमण्ड दिखाता हूं, कि अखया के लोग एक वर्ष से तैयार हुए हैं, और तुम्हारे उत्साह ने और बहुतों को भी उभारा है।

Kyonki main tumhare man ki taiyari ko janta hoon, jis ke karan main tumhare vishay mein makiduniyon ke samhane ghamand dikhata hoon, ki akhya ke log ek varsh se taiyaar hue hain, aur tumhare utsaah ne aur bahuton ko bhi ubhara hai.

3

परन्तु मैं ने भाइयों को इसलिये भेजा है, कि हम ने जो घमण्ड तुम्हारे विषय में दिखाया, वह इस बात में व्यर्थ न ठहरे; परन्तु जैसा मैं ने कहा; वैसे ही तुम तैयार हो रहो।

Parantu main ne bhaiyon ko isliye bheja hai, ki ham ne jo ghamand tumhare vishay mein dikhaya, vah is baat mein vyarth na thahre; parantu jaisa main ne kaha; vaise hi tum taiyaar ho raho.

4

ऐसा न हो, कि यदि कोई मकिदुनी मेरे साथ आए, और तुम्हें तैयार न पाए, तो क्या जाने, इस भरोसे के कारण हम (यह नहीं कहते कि तुम) लज्ज़ित हों।

Aisa na ho, ki yadi koi makiduni mere saath aaye, aur tumhein taiyaar na paye, to kya jane, is bharose ke karan ham (yah nahi kahte ki tum) lajzit hon.

5

इसलिये मैं ने भाइयों से यह बिनती करना अवश्य समझा कि वे पहिले से तुम्हारे पास जाएं, और तुम्हारी उदारता का फल जिस के विषय में पहिले से वचन दिया गया था, तैयार कर रखें, कि यह दबाव से नहीं परन्तु उदारता के फल की नाईं तैयार हो॥

Isliye main ne bhaiyon se yah binti karna avashya samjha ki ve pahile se tumhare paas jayen, aur tumhari udarta ka phal jis ke vishay mein pahile se vachan diya gaya tha, taiyaar kar rakhein, ki yah dabaav se nahi parantu udarta ke phal ki nai taiyaar ho.

6

परन्तु बात तो यह है, कि जो थोड़ा बोता है वह थोड़ा काटेगा भी; और जो बहुत बोता है, वह बहुत काटेगा।

Parantu baat to yah hai, ki jo thoda bota hai vah thoda katega bhi; aur jo bahut bota hai, vah bahut katega.

7

हर एक जन जैसा मन में ठाने वैसा ही दान करे न कुढ़ कुढ़ के, और न दबाव से, क्योंकि परमेश्वर हर्ष से देने वाले से प्रेम रखता है।

Har ek jan jaisa man mein thane vaisa hi daan kare na kudh kudh ke, aur na dabaav se, kyonki Parmeshwar harsh se dene vale se prem rakhta hai.

8

और परमेश्वर सब प्रकार का अनुग्रह तुम्हें बहुतायत से दे सकता है जिस से हर बात में और हर समय, सब कुछ, जो तुम्हें आवश्यक हो, तुम्हारे पास रहे, और हर एक भले काम के लिये तुम्हारे पास बहुत कुछ हो।

Aur Parmeshwar sab prakaar ka anugrah tumhein bahutayat se de sakta hai jis se har baat mein aur har samay, sab kuchh, jo tumhein aavashyak ho, tumhare paas rahe, aur har ek bhale kaam ke liye tumhare paas bahut kuchh ho.

9

जेसा लिखा है, उस ने बिथराया, उस ने कंगालों को दान दिया, उसका धर्म सदा बना रहेगा।

Jesa likha hai, us ne bithraya, us ne kangalon ko daan diya, uska dharm sada bana rahega.

10

सो जो बोने वाले को बीज, और भोजन के लिये रोटी देता है वह तुम्हें बीज देगा, और उसे फलवन्त करेगा; और तुम्हारे धर्म के फलों को बढ़ाएगा।

So jo bone vale ko beej, aur bhojan ke liye roti deta hai vah tumhein beej dega, aur use phalvant karega; aur tumhare dharm ke phalon ko badhayega.

11

कि तुम हर बात में सब प्रकार की उदारता के लिये जो हमारे द्वारा परमेश्वर का धन्यवाद करवाती है, धनवान किए जाओ।

Ki tum har baat mein sab prakaar ki udarta ke liye jo hamare dwara Parmeshwar ka dhanyavaad karvati hai, dhanvaan kiye jao.

12

क्योंकि इस सेवा के पूरा करने से, न केवल पवित्र लोगों की घटियां पूरी होती हैं, परन्तु लोगों की ओर से परमेश्वर का बहुत धन्यवाद होता है।

Kyonki is seva ke poora karne se, na keval pavitra logon ki ghatiyan poori hoti hain, parantu logon ki or se Parmeshwar ka bahut dhanyavaad hota hai.

13

क्योंकि इस सेवा से प्रमाण लेकर वे परमेश्वर की महिमा प्रगट करते हैं, कि तुम मसीह के सुसमाचार को मान कर उसके आधीन रहते हो, और उन की, और सब की सहायता करने में उदारता प्रगट करते रहते हो।

Kyonki is seva se pramaan lekar ve Parmeshwar ki mahima pragat karte hain, ki tum Masih ke susmachaar ko maan kar uske aadheen rahte ho, aur un ki, aur sab ki sahayta karne mein udarta pragat karte rahte ho.

14

ओर वे तुम्हारे लिये प्रार्थना करते हैं; और इसलिये कि तुम पर परमेश्वर का बड़ा ही अनुग्रह है, तुम्हारी लालसा करते रहते हैं।

Or ve tumhare liye prarthana karte hain; aur isliye ki tum par Parmeshwar ka bada hi anugrah hai, tumhari lalsa karte rahte hain.

15

परमेश्वर को उसके उस दान के लिये जो वर्णन से बाहर है, धन्यवाद हो॥

Parmeshwar ko uske us daan ke liye jo varnan se bahar hai, dhanyavaad ho.