2 Corinthians 8 · 24 verses

2 कुरिन्थियों 8 2 Corinthians 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 kurinthiyon 8.

1

अब हे भाइयों, हम तुम्हें परमेश्वर के उस अनुग्रह का समाचार देते हैं, जो मकिदुनिया की कलीसियाओं पर हुआ है।

Ab he bhaiyon, ham tumhein Parmeshwar ke us anugrah ka samachaar dete hain, jo makiduniya ki kaleesiyaon par huaa hai.

2

कि क्लेश की बड़ी परीक्षा में उन के बड़े आनन्द और भारी कंगालपन के बढ़ जाने से उन की उदारता बहुत बढ़ गई।

Ki klesh ki badi pareeksha mein un ke bade aanand aur bhari kangalpan ke badh jane se un ki udarta bahut badh gai.

3

और उनके विषय में मेरी यह गवाही है, कि उन्होंने अपनी सामर्थ भर वरन सामर्थ से भी बाहर मन से दिया।

Aur unke vishay mein meri yah gavahi hai, ki unhonne apni samarth bhar varan samarth se bhi bahar man se diya.

4

और इस दान में और पवित्र लोगों की सेवा में भागी होने के अनुग्रह के विषय में हम से बार बार बहुत बिनती की।

Aur is daan mein aur pavitra logon ki seva mein bhagi hone ke anugrah ke vishay mein ham se baar baar bahut binti ki.

5

और जैसी हम ने आशा की थी, वैसी ही नहीं, वरन उन्होंने प्रभु को, फिर परमेश्वर की इच्छा से हम को भी अपने तईं दे दिया।

Aur jaisi ham ne aasha ki thi, vaisi hi nahi, varan unhonne Prabhu ko, phir Parmeshwar ki ichchha se ham ko bhi apne tai de diya.

6

इसलिये हम ने तितुस को समझाया, कि जैसा उस ने पहिले आरम्भ किया था, वैसा ही तुम्हारे बीच में इस दान के काम को पूरा भी कर ले।

Isliye ham ne titus ko samjhaya, ki jaisa us ne pahile aarambh kiya tha, vaisa hi tumhare beech mein is daan ke kaam ko poora bhi kar le.

7

सो जैसे हर बात में अर्थात विश्वास, वचन, ज्ञान और सब प्रकार के यत्न में, और उस प्रेम में, जो हम से रखते हो, बढ़ते जाते हो, वैसे ही इस दान के काम में भी बढ़ते जाओ।

So jaise har baat mein arthaat vishwaas, vachan, gyaan aur sab prakaar ke yatn mein, aur us prem mein, jo ham se rakhte ho, badhte jate ho, vaise hi is daan ke kaam mein bhi badhte jao.

8

मैं आज्ञा की रीति पर तो नहीं, परन्तु औरों के उत्साह से तुम्हारे प्रेम की सच्चाई को परखने के लिये कहता हूं।

Main aagya ki reeti par to nahi, parantu auron ke utsaah se tumhare prem ki sachchai ko parakhne ke liye kahta hoon.

9

तुम हमारे प्रभु यीशु मसीह का अनुग्रह जानते हो, कि वह धनी होकर भी तुम्हारे लिये कंगाल बन गया ताकि उसके कंगाल हो जाने से तुम धनी हो जाओ।

Tum hamare Prabhu Yeshu Masih ka anugrah jante ho, ki vah dhani hokar bhi tumhare liye kangaal ban gaya taki uske kangaal ho jane se tum dhani ho jao.

10

और इस बात में मेरा विचार यही है, क्योंकि यह तुम्हारे लिये अच्छा है; जो एक वर्ष से न तो केवल इस काम को करने ही में, परन्तु इस बात के चाहने में भी प्रथम हुए थे।

Aur is baat mein mera vichaar yahi hai, kyonki yah tumhare liye achchha hai; jo ek varsh se na to keval is kaam ko karne hi mein, parantu is baat ke chahne mein bhi pratham hue the.

11

इसलिये अब यह काम पूरा करो; कि जैसा इच्छा करने में तुम तैयार थे, वैसा ही अपनी अपनी पूंजी के अनुसार पूरा भी करो।

Isliye ab yah kaam poora karo; ki jaisa ichchha karne mein tum taiyaar the, vaisa hi apni apni poonji ke anusaar poora bhi karo.

12

क्योंकि यदि मन की तैयारी हो तो दान उसके अनुसार ग्रहण भी होता है जो उसके पास है न कि उसके अनुसार जो उसके पास नहीं।

Kyonki yadi man ki taiyari ho to daan uske anusaar grahan bhi hota hai jo uske paas hai na ki uske anusaar jo uske paas nahi.

13

यह नहीं कि औरों को चैन और तुम को क्लेश मिले।

Yah nahi ki auron ko chain aur tum ko klesh mile.

14

परन्तु बराबरी के विचार से इस समय तुम्हारी बढ़ती उनकी घटी में काम आए, ताकि उन की बढ़ती भी तुम्हारी घटी में काम आए, कि बराबरी हो जाए।

Parantu barabri ke vichaar se is samay tumhari badhti unki ghati mein kaam aaye, taki un ki badhti bhi tumhari ghati mein kaam aaye, ki barabri ho jaye.

15

जेसा लिखा है, कि जिस ने बहुत बटोरा उसका कुछ अधिक न निकला और जिस ने थोड़ा बटोरा उसका कुछ कम न निकला॥

Jesa likha hai, ki jis ne bahut batora uska kuchh adhik na nikla aur jis ne thoda batora uska kuchh kam na nikla.

16

और परमेश्वर का धन्यवाद हो, जिस ने तुम्हारे लिये वही उत्साह तितुस के हृदय में डाल दिया है।

Aur Parmeshwar ka dhanyavaad ho, jis ne tumhare liye vahi utsaah titus ke hriday mein daal diya hai.

17

कि उस ने हमारा समझाना मान लिया वरन बहुत उत्साही होकर वह अपनी इच्छा से तुम्हारे पास गया है।

Ki us ne hamara samjhana maan liya varan bahut utsahi hokar vah apni ichchha se tumhare paas gaya hai.

18

और हम ने उसके साथ उस भाई को भेजा है जिस का नाम सुसमाचार के विषय में सब कलीसिया में फैला हुआ है।

Aur ham ne uske saath us bhai ko bheja hai jis ka naam susmachaar ke vishay mein sab kaleesiya mein phaila huaa hai.

19

और इतना ही नहीं, परन्तु वह कलीसिया से ठहराया भी गया कि इस दान के काम के लिये हमारे साथ जाए और हम यह सेवा इसलिये करते हैं, कि प्रभु की महिमा और हमारे मन की तैयारी प्रगट हो जाए।

Aur itna hi nahi, parantu vah kaleesiya se thahraya bhi gaya ki is daan ke kaam ke liye hamare saath jaye aur ham yah seva isliye karte hain, ki Prabhu ki mahima aur hamare man ki taiyari pragat ho jaye.

20

हम इस बात में चौकस रहते हैं, कि इस उदारता के काम के विषय में जिस की सेवा हम करते हैं, कोई हम पर दोष न लगाने पाए।

Ham is baat mein chaukas rahte hain, ki is udarta ke kaam ke vishay mein jis ki seva ham karte hain, koi ham par dosh na lagane paye.

21

क्योंकि जो बातें केवल प्रभु ही के निकट नहीं, परन्तु मनुष्यों के निकट भी भली हैं हम उन की चिन्ता करते हैं।

Kyonki jo batein keval Prabhu hi ke nikat nahi, parantu manushyon ke nikat bhi bhali hain ham un ki chinta karte hain.

22

और हम ने उसके साथ अपने भाई को भेजा है, जिस को हम ने बार बार परख के बहुत बातों में उत्साही पाया है; परन्तु अब तुम पर उस को बड़ा भरोसा है, इस कारण वह और भी अधिक उत्साही है।

Aur ham ne uske saath apne bhai ko bheja hai, jis ko ham ne baar baar parakh ke bahut baton mein utsahi paya hai; parantu ab tum par us ko bada bharosa hai, is karan vah aur bhi adhik utsahi hai.

23

यदि कोई तितुस के विषय में पूछे, तो वह मेरा साथी, और तुम्हारे लिये मेरा सहकर्मी है, और यदि हमारे भाइयों के विषय में पूछे, तो वे कलीसियाओं के भेजे हुए और मसीह की महिमा हैं।

Yadi koi titus ke vishay mein poochhe, to vah mera sathi, aur tumhare liye mera sahkarmi hai, aur yadi hamare bhaiyon ke vishay mein poochhe, to ve kaleesiyaon ke bheje hue aur Masih ki mahima hain.

24

सो अपना प्रेम और हमारा वह घमण्ड जो तुम्हारे विषय में है कलीसियाओं के साम्हने उन्हें सिद्ध करके दिखाओ॥

So apna prem aur hamara vah ghamand jo tumhare vishay mein hai kaleesiyaon ke samhane unhein siddh karke dikhao.