2 Corinthians 10 · 18 verses

2 कुरिन्थियों 10 2 Corinthians 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 kurinthiyon 10.

1

मैं वही पौलुस जो तुम्हारे साम्हने दीन हूं, परन्तु पीठ पीछे तुम्हारी ओर साहस करता हूं; तुम को मसीह की नम्रता, और कोमलता के कारण समझाता हूं।

Main vahi Paulus jo tumhare samhane deen hoon, parantu peeth peechhe tumhari or sahas karta hoon; tum ko Masih ki namrata, aur komalta ke karan samjhata hoon.

2

मैं यह बिनती करता हूं, कि तुम्हारे साम्हने मुझे निर्भय होकर साहस करना न पड़े; जैसा मैं कितनों पर जो हम को शरीर के अनुसार चलने वाले समझते हैं, वीरता दिखाने का विचार करता हूं।

Main yah binti karta hoon, ki tumhare samhane mujhe nirbhay hokar sahas karna na pade; jaisa main kitnon par jo ham ko shareer ke anusaar chalne vale samajhte hain, veerta dikhane ka vichaar karta hoon.

3

क्योंकि यद्यपि हम शरीर में चलते फिरते हैं, तौभी शरीर के अनुसार नहीं लड़ते।

Kyonki yadyapi ham shareer mein chalte phirte hain, taubhi shareer ke anusaar nahi ladte.

4

क्योंकि हमारी लड़ाई के हथियार शारीरिक नहीं, पर गढ़ों को ढा देने के लिये परमेश्वर के द्वारा सामर्थी हैं।

Kyonki hamari ladai ke hathiyaar shareerik nahi, par gadhon ko dha dene ke liye Parmeshwar ke dwara samarthi hain.

5

सो हम कल्पनाओं को, और हर एक ऊंची बात को, जो परमेश्वर की पहिचान के विरोध में उठती है, खण्डन करते हैं; और हर एक भावना को कैद करके मसीह का आज्ञाकारी बना देते हैं।

So ham kalpanaon ko, aur har ek oonchi baat ko, jo Parmeshwar ki pahichaan ke virodh mein uthti hai, khandan karte hain; aur har ek bhavna ko kaid karke Masih ka aagyakari bana dete hain.

6

और तैयार रहते हैं कि जब तुम्हारा आज्ञा मानना पूरा हो जाए, तो हर एक प्रकार के आज्ञा न मानने का पलटा लें।

Aur taiyaar rahte hain ki jab tumhara aagya manna poora ho jaye, to har ek prakaar ke aagya na manne ka palta lein.

7

तुम इन्हीं बातों को देखते हो, जो आंखों के साम्हने हैं, यदि किसी का अपने पर यह भरोसा हो, कि मैं मसीह का हूं, तो वह यह भी जान ले, कि जैसा वह मसीह का है, वैसे ही हम भी हैं।

Tum inhi baton ko dekhte ho, jo aankhon ke samhane hain, yadi kisi ka apne par yah bharosa ho, ki main Masih ka hoon, to vah yah bhi jaan le, ki jaisa vah Masih ka hai, vaise hi ham bhi hain.

8

क्योंकि यदि मैं उस अधिकार के विषय में और भी घमण्ड दिखाऊं, जो प्रभु ने तुम्हारे बिगाड़ने के लिये नहीं पर बनाने के लिये हमें दिया है, तो लज्ज़ित न हूंगा।

Kyonki yadi main us adhikaar ke vishay mein aur bhi ghamand dikhaun, jo Prabhu ne tumhare bigadne ke liye nahi par banane ke liye hamein diya hai, to lajzit na hoonga.

9

यह मैं इसलिये कहता हूं, कि पत्रियों के द्वारा तुम्हें डराने वाला न ठहरूं।

Yah main isliye kahta hoon, ki patriyon ke dwara tumhein darane vala na thahrun.

10

क्योंकि कहते हें, कि उस की पत्रियां तो गम्भीर और प्रभावशाली हैं; परन्तु जब देखते हैं, तो वह देह का निर्बल और वक्तव्य में हल्का जान पड़ता है।

Kyonki kahte hein, ki us ki patriyan to gambheer aur prabhavshali hain; parantu jab dekhte hain, to vah deh ka nirbal aur vaktavya mein halka jaan padta hai.

11

सो जो ऐसा कहता है, वह यह समझ रखे, कि जैसे पीठ पीछे पत्रियों में हमारे वचन हैं, वैसे ही तुम्हारे साम्हने हमारे काम भी होंगे।

So jo aisa kahta hai, vah yah samajh rakhe, ki jaise peeth peechhe patriyon mein hamare vachan hain, vaise hi tumhare samhane hamare kaam bhi honge.

12

क्योंकि हमें यह हियाव नहीं कि हम अपने आप को उन में से ऐसे कितनों के साथ गिनें, या उन से अपने को मिलाएं, जो अपनी प्रशंसा करते हैं, और अपने आप को आपस में नाप तौलकर एक दूसरे से मिलान करके मूर्ख ठहरते हैं।

Kyonki hamein yah hiyaav nahi ki ham apne aap ko un mein se aise kitnon ke saath ginein, ya un se apne ko milayen, jo apni prashansa karte hain, aur apne aap ko aapas mein naap taulkar ek doosre se milaan karke moorkh thaharte hain.

13

हम तो सीमा से बाहर घमण्ड कदापि न करेंगे, परन्तु उसी सीमा तक जो परमेश्वर ने हमारे लिये ठहरा दी है, और उस में तुम भी आ गए हो और उसी के अनुसार घमण्ड भी करेंगे।

Ham to seema se bahar ghamand kadapi na karenge, parantu usi seema tak jo Parmeshwar ne hamare liye thahra di hai, aur us mein tum bhi aa gaye ho aur usi ke anusaar ghamand bhi karenge.

14

क्योंकि हम अपनी सीमा से बाहर अपने आप को बढ़ाना नहीं चाहते, जैसे कि तुम तक न पहुंचने की दशा में होता, वरन मसीह का सुसमाचार सुनाते हुए तुम तक पहुंच चुके हैं।

Kyonki ham apni seema se bahar apne aap ko badhana nahi chahte, jaise ki tum tak na pahunchne ki dasha mein hota, varan Masih ka susmachaar sunate hue tum tak pahunch chuke hain.

15

और हम सीमा से बाहर औरों के परिश्रम पर घमण्ड नहीं करते; परन्तु हमें आशा है, कि ज्यों ज्यों तुम्हारा विश्वास बढ़ता जाएगा त्यों त्यों हम अपनी सीमा के अनुसार तुम्हारे कारण और भी बढ़ते जाएंगे।

Aur ham seema se bahar auron ke parishram par ghamand nahi karte; parantu hamein aasha hai, ki jyon jyon tumhara vishwaas badhta jayega tyon tyon ham apni seema ke anusaar tumhare karan aur bhi badhte jayenge.

16

कि हम तुम्हारे सिवानों से आगे बढ़कर सुसमाचार सुनाएं, और यह नहीं, कि हम औरों की सीमा के भीतर बने बनाए कामों पर घमण्ड करें।

Ki ham tumhare sivanon se aage badhkar susmachaar sunayen, aur yah nahi, ki ham auron ki seema ke bheetar bane banaye kamon par ghamand karein.

17

परन्तु जो घमण्ड करे, वह प्रभु पर घमण्ड करें।

Parantu jo ghamand kare, vah Prabhu par ghamand karein.

18

क्योंकि जो अपनी बड़ाई करता है, वह नहीं, परन्तु जिस की बड़ाई प्रभु करता है, वही ग्रहण किया जाता है॥

Kyonki jo apni badai karta hai, vah nahi, parantu jis ki badai Prabhu karta hai, vahi grahan kiya jata hai.