और हम जो उसके सहकर्मी हैं यह भी समझाते हैं, कि परमेश्वर का अनुग्रह जो तुम पर हुआ, व्यर्थ न रहने दो।
Aur ham jo uske sahkarmi hain yah bhi samjhate hain, ki Parmeshwar ka anugrah jo tum par huaa, vyarth na rahne do.
2 Corinthians 6 · 18 verses
और हम जो उसके सहकर्मी हैं यह भी समझाते हैं, कि परमेश्वर का अनुग्रह जो तुम पर हुआ, व्यर्थ न रहने दो।
Aur ham jo uske sahkarmi hain yah bhi samjhate hain, ki Parmeshwar ka anugrah jo tum par huaa, vyarth na rahne do.
क्योंकि वह तो कहता है, कि अपनी प्रसन्नता के समय मैं ने तेरी सुन ली, और उद्धार के दिन मैं ने तेरी सहायता की: देखो, अभी वह प्रसन्नता का समय है; देखो, अभी उद्धार का दिन है।
Kyonki vah to kahta hai, ki apni prasannata ke samay main ne teri sun li, aur uddhaar ke din main ne teri sahayta ki: dekho, abhi vah prasannata ka samay hai; dekho, abhi uddhaar ka din hai.
हम किसी बात में ठोकर खाने का कोई भी अवसर नहीं देते, कि हमारी सेवा पर कोई दोष न आए।
Ham kisi baat mein thokar khane ka koi bhi avsar nahi dete, ki hamari seva par koi dosh na aaye.
परन्तु हर बात से परमेश्वर के सेवकों की नाईं अपने सद्गुणों को प्रगट करते हैं, बड़े धैर्य से, क्लेशों से, दरिद्रता से, संकटों से।
Parantu har baat se Parmeshwar ke sevkon ki nai apne sadgunon ko pragat karte hain, bade dhairya se, kleshon se, daridrata se, sankton se.
कोड़े खाने से, कैद होने से, हुल्लड़ों से, परिश्रम से, जागते रहने से, उपवास करने से।
Kode khane se, kaid hone se, hulladon se, parishram se, jagte rahne se, upvaas karne se.
पवित्रता से, ज्ञान से, धीरज से, कृपालुता से, पवित्र आत्मा से।
Pavitrata se, gyaan se, dheeraj se, kripaluta se, pavitra aatma se.
सच्चे प्रेम से, सत्य के वचन से, परमेश्वर की सामर्थ से; धार्मिकता के हथियारों से जो दाहिने, बाएं हैं।
Sachche prem se, satya ke vachan se, Parmeshwar ki samarth se; dharmikta ke hathiyaron se jo dahine, bayen hain.
आदर और निरादर से, दुरनाम और सुनाम से, यद्यपि भरमाने वालों के जैसे मालूम होते हैं तौभी सच्चे हैं।
Aadar aur niradar se, durnaam aur sunaam se, yadyapi bharmane valon ke jaise maloom hote hain taubhi sachche hain.
अनजानों के सदृश्य हैं; तौभी प्रसिद्ध हैं; मरते हुओं के जैसे हैं और देखो जीवित हैं; मार खाने वालों के सदृश हैं परन्तु प्राण से मारे नहीं जाते।
Anjanon ke sadrishya hain; taubhi prasiddh hain; marte huon ke jaise hain aur dekho jeevit hain; maar khane valon ke sadrish hain parantu praan se mare nahi jate.
शोक करने वालों के समान हैं, परन्तु सर्वदा आनन्द करते हैं, कंगालों के जैसे हैं, परन्तु बहुतों को धनवान बना देते हैं; ऐसे हैं जैसे हमारे पास कुछ नहीं तौभी सब कुछ रखते हैं।
Shok karne valon ke samaan hain, parantu sarvada aanand karte hain, kangalon ke jaise hain, parantu bahuton ko dhanvaan bana dete hain; aise hain jaise hamare paas kuchh nahi taubhi sab kuchh rakhte hain.
हे कुरिन्यियों, हम ने खुल कर तुम से बातें की हैं, हमारा हृदय तुम्हारी ओर खुला हुआ है।
He kurinyiyon, ham ne khul kar tum se batein ki hain, hamara hriday tumhari or khula huaa hai.
तुम्हारे लिये हमारे मन में कुछ सकेती नहीं, पर तुम्हारे ही मनों में सकेती है।
Tumhare liye hamare man mein kuchh saketi nahi, par tumhare hi manon mein saketi hai.
पर अपने लड़के-बाले जानकर तुम से कहता हूं, कि तुम भी उसके बदले में अपना हृदय खोल दो॥
Par apne ladke-bale jankar tum se kahta hoon, ki tum bhi uske badle mein apna hriday khol do.
अविश्वासियों के साथ असमान जूए में न जुतो, क्योंकि धार्मिकता और अधर्म का क्या मेल जोल? या ज्योति और अन्धकार की क्या संगति?
Avishwasiyon ke saath asmaan jooye mein na juto, kyonki dharmikta aur adharm ka kya mel jol? Ya jyoti aur andhakaar ki kya sangti?
और मसीह का बलियाल के साथ क्या लगाव? या विश्वासी के साथ अविश्वासी का क्या नाता?
Aur Masih ka baliyaal ke saath kya lagaav? Ya vishwasi ke saath avishwasi ka kya nata?
और मूरतों के साथ परमेश्वर के मन्दिर का क्या सम्बन्ध? क्योंकि हम तो जीवते परमेश्वर का मन्दिर हैं; जैसा परमेश्वर ने कहा है कि मैं उन में बसूंगा और उन में चला फिरा करूंगा; और मैं उन का परमेश्वर हूंगा, और वे मेरे लोग होंगे।
Aur moorton ke saath Parmeshwar ke mandir ka kya sambandh? Kyonki ham to jeevte Parmeshwar ka mandir hain; jaisa Parmeshwar ne kaha hai ki main un mein basoonga aur un mein chala phira karoonga; aur main un ka Parmeshwar hoonga, aur ve mere log honge.
इसलिये प्रभु कहता है, कि उन के बीच में से निकलो और अलग रहो; और अशुद्ध वस्तु को मत छूओ, तो मैं तुम्हें ग्रहण करूंगा।
Isliye Prabhu kahta hai, ki un ke beech mein se niklo aur alag raho; aur ashuddh vastu ko mat chhooo, to main tumhein grahan karoonga.
और तुम्हारा पिता हूंगा, और तुम मेरे बेटे और बेटियां होगे: यह सर्वशक्तिमान प्रभु परमेश्वर का वचन है॥
Aur tumhara pita hoonga, aur tum mere bete aur betiyan hoge: yah sarvashaktimaan Prabhu Parmeshwar ka vachan hai.