2 Corinthians 5 · 21 verses

2 कुरिन्थियों 5 2 Corinthians 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 kurinthiyon 5.

1

क्योंकि हम जानते हैं, कि जब हमारा पृथ्वी पर का डेरा सरीखा घर गिराया जाएगा तो हमें परमेश्वर की ओर से स्वर्ग पर एक ऐसा भवन मिलेगा, जो हाथों से बना हुआ घर नहीं परन्तु चिरस्थाई है।

Kyonki ham jante hain, ki jab hamara prithvi par ka dera sareekha ghar giraya jayega to hamein Parmeshwar ki or se swarg par ek aisa bhavan milega, jo hathon se bana huaa ghar nahi parantu chirasthai hai.

2

इस में तो हम कराहते, और बड़ी लालसा रखते हैं; कि अपने स्वर्गीय घर को पहिन लें।

Is mein to ham karahte, aur badi lalsa rakhte hain; ki apne swargeeya ghar ko pahin lein.

3

कि इस के पहिनने से हम नंगे न पाए जाएं।

Ki is ke pahinne se ham nange na paye jayen.

4

और हम इस डेरे में रहते हुए बोझ से दबे कराहते रहते हैं; क्योंकि हम उतारना नहीं, वरन और पहिनना चाहते हैं, ताकि वह जो मरनहार है जीवन में डूब जाए।

Aur ham is dere mein rahte hue bojh se dabe karahte rahte hain; kyonki ham utarna nahi, varan aur pahinna chahte hain, taki vah jo maranhaar hai jeevan mein doob jaye.

5

और जिस ने हमें इसी बात के लिये तैयार किया है वह परमेश्वर है, जिस ने हमें बयाने में आत्मा भी दिया है।

Aur jis ne hamein isi baat ke liye taiyaar kiya hai vah Parmeshwar hai, jis ne hamein bayane mein aatma bhi diya hai.

6

सो हम सदा ढाढ़स बान्धे रहते हैं और यह जानते हैं; कि जब तक हम देह में रहते हैं, तब तक प्रभु से अलग हैं।

So ham sada dhadhas bandhe rahte hain aur yah jante hain; ki jab tak ham deh mein rahte hain, tab tak Prabhu se alag hain.

7

क्योंकि हम रूप को देखकर नहीं, पर विश्वास से चलते हैं।

Kyonki ham roop ko dekhkar nahi, par vishwaas se chalte hain.

8

इसलिये हम ढाढ़स बान्धे रहते हैं, और देह से अलग होकर प्रभु के साथ रहना और भी उत्तम समझते हैं।

Isliye ham dhadhas bandhe rahte hain, aur deh se alag hokar Prabhu ke saath rahna aur bhi uttam samajhte hain.

9

इस कारण हमारे मन की उमंग यह है, कि चाहे साथ रहें, चाहे अलग रहें पर हम उसे भाते रहें।

Is karan hamare man ki umang yah hai, ki chahe saath rahein, chahe alag rahein par ham use bhate rahein.

10

क्योंकि अवश्य है, कि हम सब का हाल मसीह के न्याय आसन के साम्हने खुल जाए, कि हर एक व्यक्ति अपने अपने भले बुरे कामों का बदला जो उस ने देह के द्वारा किए हों पाए॥

Kyonki avashya hai, ki ham sab ka haal Masih ke nyaay aasan ke samhane khul jaye, ki har ek vyakti apne apne bhale bure kamon ka badla jo us ne deh ke dwara kiye hon paye.

11

सो प्रभु का भय मानकर हम लोगों को समझाते हैं और परमेश्वर पर हमारा हाल प्रगट है; और मेरी आशा यह है, कि तुम्हारे विवेक पर भी प्रगट हुआ होगा।

So Prabhu ka bhay mankar ham logon ko samjhate hain aur Parmeshwar par hamara haal pragat hai; aur meri aasha yah hai, ki tumhare vivek par bhi pragat huaa hoga.

12

हम फिर भी अपनी बड़ाई तुम्हारे साम्हने नहीं करते वरन हम अपने विषय में तुम्हें घमण्ड करने का अवसर देते हैं, कि तुम उन्हें उत्तर दे सको, जो मन पर नहीं, वरन दिखवटी बातों पर घमण्ड करते हैं।

Ham phir bhi apni badai tumhare samhane nahi karte varan ham apne vishay mein tumhein ghamand karne ka avsar dete hain, ki tum unhein uttar de sako, jo man par nahi, varan dikhavti baton par ghamand karte hain.

13

यदि हम बेसुध हैं, तो परमेश्वर के लिये; और यदि चैतन्य हैं, तो तुम्हारे लिये हैं।

Yadi ham besudh hain, to Parmeshwar ke liye; aur yadi chaitanya hain, to tumhare liye hain.

14

क्योंकि मसीह का प्रेम हमें विवश कर देता है; इसलिये कि हम यह समझते हैं, कि जब एक सब के लिये मरा तो सब मर गए।

Kyonki Masih ka prem hamein vivash kar deta hai; isliye ki ham yah samajhte hain, ki jab ek sab ke liye mara to sab mar gaye.

15

और वह इस निमित्त सब के लिये मरा, कि जो जीवित हैं, वे आगे को अपने लिये न जीएं परन्तु उसके लिये जो उन के लिये मरा और फिर जी उठा।

Aur vah is nimitt sab ke liye mara, ki jo jeevit hain, ve aage ko apne liye na jeeyen parantu uske liye jo un ke liye mara aur phir ji utha.

16

सो अब से हम किसी को शरीर के अनुसार न समझेंगे, और यदि हम ने मसीह को भी शरीर के अनुसार जाना था, तौभी अब से उस को ऐसा नहीं जानेंगे।

So ab se ham kisi ko shareer ke anusaar na samjhenge, aur yadi ham ne Masih ko bhi shareer ke anusaar jana tha, taubhi ab se us ko aisa nahi janenge.

17

सो यदि कोई मसीह में है तो वह नई सृष्टि है: पुरानी बातें बीत गई हैं; देखो, वे सब नई हो गईं।

So yadi koi Masih mein hai to vah nai srishti hai: purani batein beet gai hain; dekho, ve sab nai ho gai.

18

और सब बातें परमेश्वर की ओर से हैं, जिस ने मसीह के द्वारा अपने साथ हमारा मेल-मिलाप कर लिया, और मेल-मिलाप की सेवा हमें सौंप दी है।

Aur sab batein Parmeshwar ki or se hain, jis ne Masih ke dwara apne saath hamara mel-milaap kar liya, aur mel-milaap ki seva hamein saump di hai.

19

अर्थात परमेश्वर ने मसीह में होकर अपने साथ संसार का मेल मिलाप कर लिया, और उन के अपराधों का दोष उन पर नहीं लगाया और उस ने मेल मिलाप का वचन हमें सौंप दिया है॥

Arthaat Parmeshwar ne Masih mein hokar apne saath sansaar ka mel milaap kar liya, aur un ke apradhon ka dosh un par nahi lagaya aur us ne mel milaap ka vachan hamein saump diya hai.

20

सो हम मसीह के राजदूत हैं; मानो परमेश्वर हमारे द्वारा समझाता है: हम मसीह की ओर से निवेदन करते हैं, कि परमेश्वर के साथ मेल मिलाप कर लो।

So ham Masih ke rajdoot hain; mano Parmeshwar hamare dwara samjhata hai: ham Masih ki or se nivedan karte hain, ki Parmeshwar ke saath mel milaap kar lo.

21

जो पाप से अज्ञात था, उसी को उस ने हमारे लिये पाप ठहराया, कि हम उस में होकर परमेश्वर की धार्मिकता बन जाएं॥

Jo paap se agyaat tha, usi ko us ne hamare liye paap thahraya, ki ham us mein hokar Parmeshwar ki dharmikta ban jayen.