इसलिये जब हम पर ऐसी दया हुई, कि हमें यह सेवा मिली, तो हम हियाव नहीं छोड़ते।
Isliye jab ham par aisi daya hui, ki hamein yah seva mili, to ham hiyaav nahi chhodte.
2 Corinthians 4 · 18 verses
इसलिये जब हम पर ऐसी दया हुई, कि हमें यह सेवा मिली, तो हम हियाव नहीं छोड़ते।
Isliye jab ham par aisi daya hui, ki hamein yah seva mili, to ham hiyaav nahi chhodte.
परन्तु हम ने लज्ज़ा के गुप्त कामों को त्याग दिया, और न चतुराई से चलते, और न परमेश्वर के वचन में मिलावट करते हैं, परन्तु सत्य को प्रगट करके, परमेश्वर के साम्हने हर एक मनुष्य के विवेक में अपनी भलाई बैठाते हैं।
Parantu ham ne lajza ke gupt kamon ko tyaag diya, aur na chaturai se chalte, aur na Parmeshwar ke vachan mein milavat karte hain, parantu satya ko pragat karke, Parmeshwar ke samhane har ek manushya ke vivek mein apni bhalai baithate hain.
परन्तु यदि हमारे सुसमाचार पर परदा पड़ा है, तो यह नाश होने वालों ही के लिये पड़ा है।
Parantu yadi hamare susmachaar par parda pada hai, to yah naash hone valon hi ke liye pada hai.
और उन अविश्वासियों के लिये, जिन की बुद्धि को इस संसार के ईश्वर ने अन्धी कर दी है, ताकि मसीह जो परमेश्वर का प्रतिरूप है, उसके तेजोमय सुसमाचार का प्रकाश उन पर न चमके।
Aur un avishwasiyon ke liye, jin ki buddhi ko is sansaar ke ishwar ne andhi kar di hai, taki Masih jo Parmeshwar ka pratiroop hai, uske tejomay susmachaar ka prakaash un par na chamke.
क्योंकि हम अपने को नहीं, परन्तु मसीह यीशु को प्रचार करते हैं, कि वह प्रभु है; और अपने विषय में यह कहते हैं, कि हम यीशु के कारण तुम्हारे सेवक हैं।
Kyonki ham apne ko nahi, parantu Masih Yeshu ko prachaar karte hain, ki vah Prabhu hai; aur apne vishay mein yah kahte hain, ki ham Yeshu ke karan tumhare sevak hain.
इसलिये कि परमेश्वर ही है, जिस ने कहा, कि अन्धकार में से ज्योति चमके; और वही हमारे हृदयों में चमका, कि परमेश्वर की महिमा की पहिचान की ज्योति यीशु मसीह के चेहरे से प्रकाशमान हो॥
Isliye ki Parmeshwar hi hai, jis ne kaha, ki andhakaar mein se jyoti chamke; aur vahi hamare hridyon mein chamka, ki Parmeshwar ki mahima ki pahichaan ki jyoti Yeshu Masih ke chehre se prakashmaan ho.
परन्तु हमारे पास यह धन मिट्टी के बरतनों में रखा है, कि यह असीम सामर्थ हमारी ओर से नहीं, वरन परमेश्वर ही की ओर से ठहरे।
Parantu hamare paas yah dhan mitti ke baratnon mein rakha hai, ki yah aseem samarth hamari or se nahi, varan Parmeshwar hi ki or se thahre.
हम चारों ओर से क्लेश तो भोगते हैं, पर संकट में नहीं पड़ते; निरूपाय तो हैं, पर निराश नहीं होते।
Ham charon or se klesh to bhogte hain, par sankat mein nahi padte; niroopaay to hain, par niraash nahi hote.
सताए तो जाते हैं; पर त्यागे नहीं जाते; गिराए तो जाते हैं, पर नाश नहीं होते।
Sataye to jate hain; par tyage nahi jate; giraye to jate hain, par naash nahi hote.
हम यीशु की मृत्यु को अपनी देह में हर समय लिये फिरते हैं; कि यीशु का जीवन भी हमारी देह में प्रगट हो।
Ham Yeshu ki mrityu ko apni deh mein har samay liye phirte hain; ki Yeshu ka jeevan bhi hamari deh mein pragat ho.
क्योंकि हम जीते जी सर्वदा यीशु के कारण मृत्यु के हाथ में सौंपे जाते हैं कि यीशु का जीवन भी हमारे मरनहार शरीर में प्रगट हो।
Kyonki ham jeete ji sarvada Yeshu ke karan mrityu ke haath mein saumpe jate hain ki Yeshu ka jeevan bhi hamare maranhaar shareer mein pragat ho.
सो मृत्यु तो हम पर प्रभाव डालती है और जीवन तुम पर।
So mrityu to ham par prabhaav dalti hai aur jeevan tum par.
और इसलिये कि हम में वही विश्वास की आत्मा है, (जिस के विषय मे लिखा है, कि मैं ने विश्वास किया, इसलिये मैं बोला) सो हम भी विश्वास करते हैं, इसी लिये बोलते हैं।
Aur isliye ki ham mein vahi vishwaas ki aatma hai, (jis ke vishay me likha hai, ki main ne vishwaas kiya, isliye main bola) so ham bhi vishwaas karte hain, isi liye bolte hain.
क्योंकि हम जानते हैं, जिस ने प्रभु यीशु को जिलाया, वही हमें भी यीशु में भागी जानकर जिलाएगा, और तुम्हारे साथ अपने साम्हने उपस्थित करेगा।
Kyonki ham jante hain, jis ne Prabhu Yeshu ko jilaya, vahi hamein bhi Yeshu mein bhagi jankar jilayega, aur tumhare saath apne samhane upasthit karega.
क्योंकि सब वस्तुएं तुम्हारे लिये हैं, ताकि अनुग्रह बहुतों के द्वारा अधिक होकर परमेश्वर की महिमा के लिये धन्यवाद भी बढ़ाए॥
Kyonki sab vastuein tumhare liye hain, taki anugrah bahuton ke dwara adhik hokar Parmeshwar ki mahima ke liye dhanyavaad bhi badhaye.
इसलिये हम हियाव नहीं छोड़ते; यद्यपि हमारा बाहरी मनुष्यत्व नाश भी होता जाता है, तौभी हमारा भीतरी मनुष्यत्व दिन प्रतिदिन नया होता जाता है।
Isliye ham hiyaav nahi chhodte; yadyapi hamara bahri manushyatva naash bhi hota jata hai, taubhi hamara bheetri manushyatva din pratidin naya hota jata hai.
क्योंकि हमारा पल भर का हल्का सा क्लेश हमारे लिये बहुत ही महत्वपूर्ण और अनन्त महिमा उत्पन्न करता जाता है।
Kyonki hamara pal bhar ka halka sa klesh hamare liye bahut hi mahatvapoorn aur anant mahima utpann karta jata hai.
और हम तो देखी हुई वस्तुओं को नहीं परन्तु अनदेखी वस्तुओं को देखते रहते हैं, क्योंकि देखी हुई वस्तुएं थोड़े ही दिन की हैं, परन्तु अनदेखी वस्तुएं सदा बनी रहती हैं।
Aur ham to dekhi hui vastuon ko nahi parantu andekhi vastuon ko dekhte rahte hain, kyonki dekhi hui vastuein thode hi din ki hain, parantu andekhi vastuein sada bani rahti hain.