2 Corinthians 3 · 18 verses

2 कुरिन्थियों 3 2 Corinthians 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 kurinthiyon 3.

1

क्या हम फिर अपनी बड़ाई करने लगे? या हमें कितनों कि नाईं सिफारिश की पत्रियां तुम्हारे पास लानी या तुम से लेनी हैं?

Kya ham phir apni badai karne lage? Ya hamein kitnon ki nai sipharish ki patriyan tumhare paas lani ya tum se leni hain?

2

हमारी पत्री तुम ही हो, जो हमारे हृदयों पर लिखी हुई है, और उसे सब मनुष्य पहिचानते और पढ़ते है।

Hamari patri tum hi ho, jo hamare hridyon par likhi hui hai, aur use sab manushya pahichante aur padhte hai.

3

यह प्रगट है, कि तुम मसीह की पत्री हो, जिस को हम ने सेवकों की नाईं लिखा; और जो सियाही से नहीं, परन्तु जीवते परमेश्वर के आत्मा से पत्थर की पटियों पर नहीं, परन्तु हृदय की मांस रूपी पटियों पर लिखी है।

Yah pragat hai, ki tum Masih ki patri ho, jis ko ham ne sevkon ki nai likha; aur jo siyahi se nahi, parantu jeevte Parmeshwar ke aatma se patthar ki patiyon par nahi, parantu hriday ki maans roopi patiyon par likhi hai.

4

हम मसीह के द्वारा परमेश्वर पर ऐसा ही भरोसा रखते हैं।

Ham Masih ke dwara Parmeshwar par aisa hi bharosa rakhte hain.

5

यह नहीं, कि हम अपने आप से इस योग्य हैं, कि अपनी ओर से किसी बात का विचार कर सकें; पर हमारी योग्यता परमेश्वर की ओर से है।

Yah nahi, ki ham apne aap se is yogya hain, ki apni or se kisi baat ka vichaar kar sakein; par hamari yogyata Parmeshwar ki or se hai.

6

जिस ने हमें नई वाचा के सेवक होने के योग्य भी किया, शब्द के सेवक नहीं वरन आत्मा के; क्योंकि शब्द मारता है, पर आत्मा जिलाता है।

Jis ne hamein nai vacha ke sevak hone ke yogya bhi kiya, shabd ke sevak nahi varan aatma ke; kyonki shabd marta hai, par aatma jilata hai.

7

और यदि मृत्यु की यह वाचा जिस के अक्षर पत्थरों पर खोदे गए थे, यहां तक तेजोमय हुई, कि मूसा के मुंह पर के तेज के कराण जो घटता भी जाता था, इस्त्राएल उसके मुंह पर दृष्टि नहीं कर सकते थे।

Aur yadi mrityu ki yah vacha jis ke akshar pattharon par khode gaye the, yahan tak tejomay hui, ki Musa ke munh par ke tej ke karaan jo ghatta bhi jata tha, istrayel uske munh par drishti nahi kar sakte the.

8

तो आत्मा की वाचा और भी तेजोमय क्यों न होगी?

To aatma ki vacha aur bhi tejomay kyon na hogi?

9

क्योंकि जब दोषी ठहराने वाली वाचा तेजोमय थी, तो धर्मी ठहराने वाली वाचा और भी तेजोमय क्यों न होगी?

Kyonki jab doshi thahrane vali vacha tejomay thi, to dharmi thahrane vali vacha aur bhi tejomay kyon na hogi?

10

और जो तेजोमय था, वह भी उस तेज के कारण जो उस से बढ़कर तेजोमय था, कुछ तेजोमय न ठहरा।

Aur jo tejomay tha, vah bhi us tej ke karan jo us se badhkar tejomay tha, kuchh tejomay na thahra.

11

क्योंकि जब वह जो घटता जाता था तेजोमय था, तो वह जो स्थिर रहेगा, और भी तेजोमय क्यों न होगा?

Kyonki jab vah jo ghatta jata tha tejomay tha, to vah jo sthir rahega, aur bhi tejomay kyon na hoga?

12

सो ऐसी आशा रखकर हम हियाव के साथ बोलते हैं।

So aisi aasha rakhkar ham hiyaav ke saath bolte hain.

13

और मूसा की नाईं नहीं, जिस ने अपने मुंह पर परदा डाला था ताकि इस्त्राएली उस घटने वाली वस्तु के अन्त को न देखें।

Aur Musa ki nai nahi, jis ne apne munh par parda dala tha taki istrayeli us ghatne vali vastu ke ant ko na dekhein.

14

परन्तु वे मतिमन्द हो गए, क्योंकि आज तक पुराने नियम के पढ़ते समय उन के हृदयों पर वही परदा पड़ा रहता है; पर वह मसीह में उठ जाता है।

Parantu ve matimand ho gaye, kyonki aaj tak purane niyam ke padhte samay un ke hridyon par vahi parda pada rahta hai; par vah Masih mein uth jata hai.

15

और आज तक जब कभी मूसा की पुस्तक पढ़ी जाती है, तो उन के हृदय पर परदा पड़ा रहता है।

Aur aaj tak jab kabhi Musa ki pustak padhi jati hai, to un ke hriday par parda pada rahta hai.

16

परन्तु जब कभी उन का हृदय प्रभु की ओर फिरेगा, तब वह परदा उठ जाएगा।

Parantu jab kabhi un ka hriday Prabhu ki or phirega, tab vah parda uth jayega.

17

प्रभु तो आत्मा है: और जहां कहीं प्रभु का आत्मा है वहां स्वतंत्रता है।

Prabhu to aatma hai: aur jahan kahi Prabhu ka aatma hai vahan swatantrata hai.

18

परन्तु जब हम सब के उघाड़े चेहरे से प्रभु का प्रताप इस प्रकार प्रगट होता है, जिस प्रकार दर्पण में, तो प्रभु के द्वारा जो आत्मा है, हम उसी तेजस्वी रूप में अंश अंश कर के बदलते जाते हैं॥

Parantu jab ham sab ke ughade chehre se Prabhu ka prataap is prakaar pragat hota hai, jis prakaar darpan mein, to Prabhu ke dwara jo aatma hai, ham usi tejaswi roop mein ansh ansh kar ke badalte jate hain.