मैंने अपने मन में यही ठान लिया था कि फिर तुम्हारे पास उदास होकर न आऊं।
Mainne apne man mein yahi thaan liya tha ki phir tumhare paas udaas hokar na aaun.
2 Corinthians 2 · 17 verses
मैंने अपने मन में यही ठान लिया था कि फिर तुम्हारे पास उदास होकर न आऊं।
Mainne apne man mein yahi thaan liya tha ki phir tumhare paas udaas hokar na aaun.
क्योंकि यदि मैं तुम्हें उदास करूं, तो मुझे आनन्द देने वाला कौन होगा, केवल वही जिस को मैं ने उदास किया?
Kyonki yadi main tumhein udaas karun, to mujhe aanand dene vala kaun hoga, keval vahi jis ko main ne udaas kiya?
और मैं ने यही बात तुम्हें इसलिये लिखी, कि कहीं ऐसा न हो, कि मेरे आने पर जिन से आनन्द मिलना चाहिए, मैं उन से उदास होऊं; क्योंकि मुझे तुम सब पर इस बात का भरोसा है, कि जो मेरा आनन्द है, वही तुम सब का भी है।
Aur main ne yahi baat tumhein isliye likhi, ki kahi aisa na ho, ki mere aane par jin se aanand milna chahiye, main un se udaas houn; kyonki mujhe tum sab par is baat ka bharosa hai, ki jo mera aanand hai, vahi tum sab ka bhi hai.
बड़े क्लेश, और मन के कष्ट से, मैं ने बहुत से आंसू बहा बहाकर तुम्हें लिखा, इसलिये नहीं, कि तुम उदास हो, परन्तु इसलिये कि तुम उस बड़े प्रेम को जान लो, जो मुझे तुम से है॥
Bade klesh, aur man ke kasht se, main ne bahut se aansu baha bahakar tumhein likha, isliye nahi, ki tum udaas ho, parantu isliye ki tum us bade prem ko jaan lo, jo mujhe tum se hai.
और यदि किसी ने उदास किया है, तो मुझे ही नहीं वरन (कि उसके साथ बहुत कड़ाई न करूं) कुछ कुछ तुम सब को भी उदास किया है।
Aur yadi kisi ne udaas kiya hai, to mujhe hi nahi varan (ki uske saath bahut kadai na karun) kuchh kuchh tum sab ko bhi udaas kiya hai.
ऐसे जन के लिये यह दण्ड जो भाइयों में से बहुतों ने दिया, बहुत है।
Aise jan ke liye yah dand jo bhaiyon mein se bahuton ne diya, bahut hai.
इसलिये इस से यह भला है कि उसका अपराध क्षमा करो; और शान्ति दो, न हो कि ऐसा मनुष्य उदासी में डूब जाए।
Isliye is se yah bhala hai ki uska apraadh kshama karo; aur shanti do, na ho ki aisa manushya udasi mein doob jaye.
इस कारण मैं तुम से बिनती करता हूं, कि उस को अपने प्रेम का प्रमाण दो।
Is karan main tum se binti karta hoon, ki us ko apne prem ka pramaan do.
क्योंकि मैं ने इसलिये भी लिखा था, कि तुम्हें परख लूं, कि सब बातों के मानने के लिये तैयार हो, कि नहीं।
Kyonki main ne isliye bhi likha tha, ki tumhein parakh lun, ki sab baton ke manne ke liye taiyaar ho, ki nahi.
जिस का तुम कुछ क्षमा करते हो उस मैं भी क्षमा करता हूं, क्योंकि मैं ने भी जो कुछ क्षमा किया है, यदि किया हो, तो तुम्हारे कारण मसीह की जगह में होकर क्षमा किया है।
Jis ka tum kuchh kshama karte ho us main bhi kshama karta hoon, kyonki main ne bhi jo kuchh kshama kiya hai, yadi kiya ho, to tumhare karan Masih ki jagah mein hokar kshama kiya hai.
कि शैतान का हम पर दांव न चले, क्योंकि हम उस की युक्तियों से अनजान नहीं।
Ki Shaitan ka ham par daanv na chale, kyonki ham us ki yuktiyon se anjaan nahi.
और जब मैं मसीह का सुसमाचार, सुनाने को त्रोआस में आया, और प्रभु ने मेरे लिये एक द्वार खोल दिया।
Aur jab main Masih ka susmachaar, sunane ko troaas mein aaya, aur Prabhu ne mere liye ek dwaar khol diya.
तो मेरे मन में चैन न मिला, इसलिये कि मैं ने अपने भाई तितुस को नहीं पाया; सो उन से विदा होकर मैं मकिदुनिया को चला गया।
To mere man mein chain na mila, isliye ki main ne apne bhai titus ko nahi paya; so un se vida hokar main makiduniya ko chala gaya.
परन्तु परमेश्वर का धन्यवाद हो, जो मसीह में सदा हम को जय के उत्सव में लिये फिरता है, और अपने ज्ञान का सुगन्ध हमारे द्वारा हर जगह फैलाता है।
Parantu Parmeshwar ka dhanyavaad ho, jo Masih mein sada ham ko jay ke utsav mein liye phirta hai, aur apne gyaan ka sugandh hamare dwara har jagah phailata hai.
क्योंकि हम परमेश्वर के निकट उद्धार पाने वालों, और नाश होने वालों, दोनो के लिये मसीह के सुगन्ध हैं।
Kyonki ham Parmeshwar ke nikat uddhaar pane valon, aur naash hone valon, dono ke liye Masih ke sugandh hain.
कितनो के लिये तो मरने के निमित्त मृत्यु की गन्ध, और कितनो के लिये जीवन के निमित्त जीवन की सुगन्ध, और इन बातों के योग्य कौन है?
Kitno ke liye to marne ke nimitt mrityu ki gandh, aur kitno ke liye jeevan ke nimitt jeevan ki sugandh, aur in baton ke yogya kaun hai?
क्योंकि हम उन बहुतों के समान नहीं, जो परमेश्वर के वचन में मिलावट करते हैं; परन्तु मन की सच्चाई से, और परमेश्वर की ओर से परमेश्वर को उपस्थित जानकर मसीह में बोलते हैं॥
Kyonki ham un bahuton ke samaan nahi, jo Parmeshwar ke vachan mein milavat karte hain; parantu man ki sachchai se, aur Parmeshwar ki or se Parmeshwar ko upasthit jankar Masih mein bolte hain.