2 Corinthians 1 · 24 verses

2 कुरिन्थियों 1 2 Corinthians 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 kurinthiyon 1.

1

पौलुस की ओर से जो परमेश्वर की इच्छा से मसीह यीशु का प्रेरित है, और भाई तीमुथियुस की ओर से परमेश्वर की उस कलीसिया के नाम जो कुरिन्थुस में है; और सारे अखया के सब पवित्र लोगों के नाम॥

Paulus ki or se jo Parmeshwar ki ichchha se Masih Yeshu ka prerit hai, aur bhai teemuthiyus ki or se Parmeshwar ki us kaleesiya ke naam jo kurinthus mein hai; aur sare akhya ke sab pavitra logon ke naam.

2

हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह की ओर से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥

Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ki or se tumhein anugrah aur shanti milti rahe.

3

हमारे प्रभु यीशु मसीह के परमेश्वर, और पिता का धन्यवाद हो, जो दया का पिता, और सब प्रकार की शान्ति का परमेश्वर है।

Hamare Prabhu Yeshu Masih ke Parmeshwar, aur pita ka dhanyavaad ho, jo daya ka pita, aur sab prakaar ki shanti ka Parmeshwar hai.

4

वह हमारे सब क्लेशों में शान्ति देता है; ताकि हम उस शान्ति के कारण जो परमेश्वर हमें देता है, उन्हें भी शान्ति दे सकें, जो किसी प्रकार के क्लेश में हों।

Vah hamare sab kleshon mein shanti deta hai; taki ham us shanti ke karan jo Parmeshwar hamein deta hai, unhein bhi shanti de sakein, jo kisi prakaar ke klesh mein hon.

5

क्योंकि जैसे मसीह के दुख हम को अधिक होते हैं, वैसे ही हमारी शान्ति भी मसीह के द्वारा अधिक होती है।

Kyonki jaise Masih ke dukh ham ko adhik hote hain, vaise hi hamari shanti bhi Masih ke dwara adhik hoti hai.

6

यदि हम क्लेश पाते हैं, तो यह तुम्हारी शान्ति और उद्धार के लिये है और यदि शान्ति पाते हैं, तो यह तुम्हारी शान्ति के लिये है; जिस के प्रभाव से तुम धीरज के साथ उन क्लेशों को सह लेते हो, जिन्हें हम भी सहते हैं।

Yadi ham klesh pate hain, to yah tumhari shanti aur uddhaar ke liye hai aur yadi shanti pate hain, to yah tumhari shanti ke liye hai; jis ke prabhaav se tum dheeraj ke saath un kleshon ko sah lete ho, jinhein ham bhi sahte hain.

7

और हमारी आशा तुम्हारे विषय में दृढ़ है; क्योंकि हम जानते हैं, कि तुम जैसे दुखों के वैसे ही शान्ति के भी सहभागी हो।

Aur hamari aasha tumhare vishay mein dridh hai; kyonki ham jante hain, ki tum jaise dukhon ke vaise hi shanti ke bhi sahbhagi ho.

8

हे भाइयों, हम नहीं चाहते कि तुम हमारे उस क्लेश से अनजान रहो, जो आसिया में हम पर पड़ा, कि ऐसे भारी बोझ से दब गए थे, जो हमारी सामर्थ से बाहर था, यहां तक कि हम जीवन से भी हाथ धो बैठे थे।

He bhaiyon, ham nahi chahte ki tum hamare us klesh se anjaan raho, jo aasiya mein ham par pada, ki aise bhari bojh se dab gaye the, jo hamari samarth se bahar tha, yahan tak ki ham jeevan se bhi haath dho baithe the.

9

वरन हम ने अपने मन में समझ लिया था, कि हम पर मृत्यु की आज्ञा हो चुकी है कि हम अपना भरोसा न रखें, वरन परमेश्वर का जो मरे हुओं को जिलाता है।

Varan ham ne apne man mein samajh liya tha, ki ham par mrityu ki aagya ho chuki hai ki ham apna bharosa na rakhein, varan Parmeshwar ka jo mare huon ko jilata hai.

10

उसी ने हमें ऐसी बड़ी मृत्यु से बचाया, और बचाएगा; और उस से हमारी यह आशा है, कि वह आगे को भी बचाता रहेगा।

Usi ne hamein aisi badi mrityu se bachaya, aur bachayega; aur us se hamari yah aasha hai, ki vah aage ko bhi bachata rahega.

11

और तुम भी मिलकर प्रार्थना के द्वारा हमारी सहायता करोगे, कि जो वरदान बहुतों के द्वारा हमें मिला, उसके कारण बहुत लोग हमारी ओर से धन्यवाद करें॥

Aur tum bhi milkar prarthana ke dwara hamari sahayta karoge, ki jo vardaan bahuton ke dwara hamein mila, uske karan bahut log hamari or se dhanyavaad karein.

12

क्योंकि हम अपने विवेक की इस गवाही पर घमण्ड करते हैं, कि जगत में और विशेष करके तुम्हारे बीच हमारा चरित्र परमेश्वर के योग्य ऐसी पवित्रता और सच्चाई सहित था, जो शारीरिक ज्ञान से नहीं, परन्तु परमेश्वर के अनुग्रह के साथ था।

Kyonki ham apne vivek ki is gavahi par ghamand karte hain, ki jagat mein aur vishesh karke tumhare beech hamara charitra Parmeshwar ke yogya aisi pavitrata aur sachchai sahit tha, jo shareerik gyaan se nahi, parantu Parmeshwar ke anugrah ke saath tha.

13

हम तुम्हें और कुछ नहीं लिखते, केवल वह जो तुम पढ़ते या मानते भी हो, और मुझे आशा है, कि अन्त तक भी मानते रहोगे।

Ham tumhein aur kuchh nahi likhte, keval vah jo tum padhte ya mante bhi ho, aur mujhe aasha hai, ki ant tak bhi mante rahoge.

14

जैसा तुम में से कितनों ने मान लिया है, कि हम तुम्हारे घमण्ड का कारण है; वैसे तुम भी प्रभु यीशु के दिन हमारे लिये घमण्ड का कारण ठहरोगे॥

Jaisa tum mein se kitnon ne maan liya hai, ki ham tumhare ghamand ka karan hai; vaise tum bhi Prabhu Yeshu ke din hamare liye ghamand ka karan thahroge.

15

और इस भरोसे से मैं चाहता था कि पहिले तुम्हारे पास आऊं; कि तुम्हें एक और दान मिले।

Aur is bharose se main chahta tha ki pahile tumhare paas aaun; ki tumhein ek aur daan mile.

16

और तुम्हारे पास से होकर मकिदुनिया को जाऊं और फिर मकिदूनिया से तुम्हारे पास आऊँ, और तुम मुझे यहूदिया की ओर कुछ दूर तक पहुंचाओ।

Aur tumhare paas se hokar makiduniya ko jaun aur phir makidooniya se tumhare paas aaun, aur tum mujhe yahoodiya ki or kuchh door tak pahunchao.

17

इसलिये मैं ने जो यह इच्छा की थी तो क्या मैं ने चंचलता दिखाई? या जो करना चाहता हूं क्या शरीर के अनुसार करना चाहता हूं, कि मैं बात में हां, हां भी करूं; और नहीं, नहीं भी करूं?

Isliye main ne jo yah ichchha ki thi to kya main ne chanchalta dikhai? Ya jo karna chahta hoon kya shareer ke anusaar karna chahta hoon, ki main baat mein han, han bhi karun; aur nahi, nahi bhi karun?

18

परमेश्वर सच्चा गवाह है, कि हमारे उस वचन में जो तुम से कहा हां और नहीं दानों पाई नहीं जातीं।

Parmeshwar sachcha gavaah hai, ki hamare us vachan mein jo tum se kaha han aur nahi danon pai nahi jati.

19

क्योंकि परमेश्वर का पुत्र यीशु मसीह जिसका हमारे द्वारा अर्थात मेरे और सिलवानुस और तीमुथियुस के द्वारा तुम्हारे बीच में प्रचार हुआ; उस में हां और नहीं दोनों न थीं; परन्तु, उस में हां ही हां हुई।

Kyonki Parmeshwar ka putra Yeshu Masih jiska hamare dwara arthaat mere aur silvanus aur teemuthiyus ke dwara tumhare beech mein prachaar huaa; us mein han aur nahi donon na thi; parantu, us mein han hi han hui.

20

क्याकि परमेश्वर की जितनी प्रतिज्ञाएं हैं, वे सब उसी में हां के साथ हैं: इसलिये उसके द्वारा आमीन भी हुई, कि हमारे द्वारा परमेश्वर की महिमा हो।

Kyaki Parmeshwar ki jitni pratigyayen hain, ve sab usi mein han ke saath hain: isliye uske dwara Aamin bhi hui, ki hamare dwara Parmeshwar ki mahima ho.

21

और जो हमें तुम्हारे साथ मसीह में दृढ़ करता है, और जिस ने हमें अभिषेक किया वही परमेश्वर है।

Aur jo hamein tumhare saath Masih mein dridh karta hai, aur jis ne hamein abhishek kiya vahi Parmeshwar hai.

22

जिस ने हम पर छाप भी कर दी है और बयाने में आत्मा को हमारे मनों में दिया॥

Jis ne ham par chhaap bhi kar di hai aur bayane mein aatma ko hamare manon mein diya.

23

मैं परमेश्वर को गवाह करता हूं, कि मै अब तक कुरिन्थुस में इसलिये नहीं आया, कि मुझे तुम पर तरस आता था।

Main Parmeshwar ko gavaah karta hoon, ki mai ab tak kurinthus mein isliye nahi aaya, ki mujhe tum par taras aata tha.

24

यह नहीं, कि हम विश्वास के विषय में तुम पर प्रभुता जताना चाहते हैं; परन्तु तुम्हारे आनन्द में सहायक हैं क्योंकि तुम विश्वास ही से स्थिर रहते हो।

Yah nahi, ki ham vishwaas ke vishay mein tum par prabhuta jatana chahte hain; parantu tumhare aanand mein sahayak hain kyonki tum vishwaas hi se sthir rahte ho.