सुलैमान को यहोवा के भवन और अपने भवन के बनाने में बीस वर्ष लगे।
Sulaimaan ko Yahowa ke bhavan aur apne bhavan ke banane mein bees varsh lage.
2 Chronicles 8 · 18 verses
सुलैमान को यहोवा के भवन और अपने भवन के बनाने में बीस वर्ष लगे।
Sulaimaan ko Yahowa ke bhavan aur apne bhavan ke banane mein bees varsh lage.
तब जो नगर हूराम ने सुलैमान को दिए थे, उन्हें सुलैमान ने दृढ़ कर के उन में इस्राएलियों को बसाया।
Tab jo nagar hooraam ne sulaimaan ko diye the, unhein sulaimaan ne dridh kar ke un mein Israeliyon ko basaya.
तब सुलैमान सोबा के हमात को जा कर, उस पर जयवन्त हुआ।
Tab sulaimaan soba ke hamaat ko ja kar, us par jayvant huaa.
और उसने तदमोर को जो जंगल में है, और हमात के सब भणडार नगरों को दृढ़ किया।
Aur usne tadmor ko jo jangal mein hai, aur hamaat ke sab bhandaar nagron ko dridh kiya.
फिर उसने ऊपर वाले और नीचे वाले दोनों बेथोरोन को शहरपनाह और फाटकों और बेड़ों से दृढ़ किया।
Phir usne oopar vale aur neeche vale donon bethoron ko shahrapnaah aur phatkon aur bedon se dridh kiya.
और उसने बालात को और सुलैमान के जितने भणडार नगर थे और उसके रथों और सवारों के जितने नगर थे उन को, और जो कुछ सुलैमान ने यरूशलेम, लबानोन और अपने राज्य के सब देश में बनाना चाहा, उन सब को बनाया।
Aur usne balaat ko aur sulaimaan ke jitne bhandaar nagar the aur uske rathon aur savaron ke jitne nagar the un ko, aur jo kuchh sulaimaan ne Yerushalem, labanon aur apne rajya ke sab desh mein banana chaha, un sab ko banaya.
हित्तियों, एमोरियों, परिज्जियों, हिव्वियों और यबूसियों के बचे हुए लोग जो इस्राएल के न थे,
Hittiyon, emoriyon, parijjiyon, hivviyon aur yaboosiyon ke bache hue log jo Israel ke na the,
उनके वंश जो उनके बाद देश में रह गए, और जिनका इस्राएलियों ने अन्त न किया था, उन में से तो कितनों को सुलैमान ने बेगार में रखा और आज तक उनकी वही दशा है।
Unke vansh jo unke baad desh mein rah gaye, aur jinka Israeliyon ne ant na kiya tha, un mein se to kitnon ko sulaimaan ne begaar mein rakha aur aaj tak unki vahi dasha hai.
परन्तु इस्राएलियों में से सुलैमान ने अपने काम के लिये किसी को दास न बनाया, वे तो योद्धा और उसके हाकिम, उसके सरदार और उसके रथों और सवारों के प्रधान हुए।
Parantu Israeliyon mein se sulaimaan ne apne kaam ke liye kisi ko daas na banaya, ve to yoddha aur uske hakim, uske sardaar aur uske rathon aur savaron ke pradhaan hue.
और सुलैमान के सरदारों के प्रधान जो प्रजा के लोगों पर प्रभुता करने वाले थे, वे अढ़ाई सौ थे।
Aur sulaimaan ke sardaron ke pradhaan jo praja ke logon par prabhuta karne vale the, ve adhai sau the.
फिर सुलैमान फ़िरौन की बेटी को दाऊदपुर में से उस भवन में ले आया जो उसने उसके लिये बनाया था, क्योंकि उसने कहा, कि जिस जिस स्थान में यहोवा का सन्दूक आया है, वह पवित्र है, इसलिये मेरी रानी इस्राएल के राजा दाऊद के भवन में न रहने पाएगी।
Phir sulaimaan firaun ki beti ko daoodpur mein se us bhavan mein le aaya jo usne uske liye banaya tha, kyonki usne kaha, ki jis jis sthaan mein Yahowa ka sandook aaya hai, vah pavitra hai, isliye meri rani Israel ke raja Daud ke bhavan mein na rahne payegi.
तब सुलैमान ने यहोवा की उस वेदी पर जो उसने ओसारे के आगे बनाईं थी, यहोवा को होमबलि चढ़ाई।
Tab sulaimaan ne Yahowa ki us vedi par jo usne osare ke aage banai thi, Yahowa ko homabli chadhai.
वह मूसा की आज्ञा के और दिन दिन के प्रयोजन के अनुसार, अर्थात विश्राम और नये चांद और प्रति वर्ष तीन बार ठहराए हुए पर्वों अर्थात अखमीरी रोटी के पर्व, और अठवारों के पर्व, और झोंपड़ियों के पर्व में बलि चढ़ाया करता था।
Vah Musa ki aagya ke aur din din ke prayojan ke anusaar, arthaat vishraam aur naye chaand aur prati varsh teen baar thahraye hue parvon arthaat akhmeeri roti ke parva, aur athvaron ke parva, aur jhompdiyon ke parva mein bali chadhaya karta tha.
और उसने अपने पिता दाऊद के नियम के अनुसार याजकों की सेवकाई के लिये उनके दल ठहराए, और लेवियों को उनके कामों पर ठहराया, कि हर एक दिन के प्रयोजन के अनुसार वे यहोवा की स्तुति और याजकों के साम्हने सेवा-टहल किया करें, और एक एक फाटक के पास द्वारपालों को दल दल कर के ठहरा दिया; क्योंकि परमेश्वर के भक्त दाऊद ने ऐसी आज्ञा दी थी।
Aur usne apne pita Daud ke niyam ke anusaar yajkon ki sevkai ke liye unke dal thahraye, aur leviyon ko unke kamon par thahraya, ki har ek din ke prayojan ke anusaar ve Yahowa ki stuti aur yajkon ke samhane seva-tahal kiya karein, aur ek ek phatak ke paas dwarpalon ko dal dal kar ke thahra diya; kyonki Parmeshwar ke bhakt Daud ne aisi aagya di thi.
और राजा ने भण्डारों या किसी और बात में याजकों और लेवियों के लिये जो जो आज्ञा दी थी, उनको न टाला।
Aur raja ne bhandaron ya kisi aur baat mein yajkon aur leviyon ke liye jo jo aagya di thi, unko na tala.
और सुलैमान का सब काम जो उसने यहोवा के भवन की नेव डालने से ले कर उसके पूरा करने तक किया वह ठीक हुआ। निदान यहोवा का भवन पूरा हुआ।
Aur sulaimaan ka sab kaam jo usne Yahowa ke bhavan ki nev dalne se le kar uske poora karne tak kiya vah theek huaa. Nidaan Yahowa ka bhavan poora huaa.
तब सुलैमान एस्योनगेबेर और एलोत को गया, जो एदोम के देश में समुद्र के तीर पर हैं।
Tab sulaimaan esyongeber aur elot ko gaya, jo edom ke desh mein samudra ke teer par hain.
और हूराम ने उसके पास अपने जहाजियों के द्वारा जहाज और समुद्र के जान कार मल्लाह भेज दिए, और उन्होंने सुलैमान के जहाजियों के संग ओपीर को जा कर वहां से साढ़े चार सौ किक्कार सोना राजा सुलैमान को ला दिया।
Aur hooraam ne uske paas apne jahajiyon ke dwara jahaaj aur samudra ke jaan kaar mallaah bhej diye, aur unhonne sulaimaan ke jahajiyon ke sang opeer ko ja kar vahan se sadhe chaar sau kikkaar sona raja sulaimaan ko la diya.