तब सुलैमान कहने लगा, यहोवा ने कहा था, कि मैं घोर अंधकार मैं वास किए रहूंगा।
Tab sulaimaan kahne laga, Yahowa ne kaha tha, ki main ghor andhkaar main vaas kiye rahoonga.
2 Chronicles 6 · 42 verses
तब सुलैमान कहने लगा, यहोवा ने कहा था, कि मैं घोर अंधकार मैं वास किए रहूंगा।
Tab sulaimaan kahne laga, Yahowa ne kaha tha, ki main ghor andhkaar main vaas kiye rahoonga.
परन्तु मैं ने तेरे लिये एक वासस्थान वरन ऐसा दृढ़ स्थान बनाया है, जिस में तू युग युग रहे।
Parantu main ne tere liye ek vasasthaan varan aisa dridh sthaan banaya hai, jis mein tu yug yug rahe.
और राजा ने इस्राएल की पूरी सभा की ओर मुंह फेर कर उसको आशीर्वाद दिया, और इस्राएल की पूरी सभा खड़ी रही।
Aur raja ne Israel ki poori sabha ki or munh pher kar usko aasheervaad diya, aur Israel ki poori sabha khadi rahi.
और उसने कहा, धन्य है इस्राएल का परमेश्वर यहोवा, जिसने अपने मुंह से मेरे पिता दाऊद को यह वचन दिया था, और अपने हाथों से इसे पूरा किया है,
Aur usne kaha, dhanya hai Israel ka Parmeshwar Yahowa, jisne apne munh se mere pita Daud ko yah vachan diya tha, aur apne hathon se ise poora kiya hai,
कि जिस दिन से मैं अपनी प्रजा को मिस्र देश से निकाल लाया, तब से मैं ने न तो इस्राएल के किसी गोत्र का कोई नगर चुना जिस में मेरे नाम के निवास के लिये भवन बनाया जाए, और न कोई मनुष्य चुना कि वह मेरी प्रजा इस्राएल पर प्रधान हो।
Ki jis din se main apni praja ko Misr desh se nikaal laya, tab se main ne na to Israel ke kisi gotra ka koi nagar chuna jis mein mere naam ke nivaas ke liye bhavan banaya jaye, aur na koi manushya chuna ki vah meri praja Israel par pradhaan ho.
परन्तु मैं ने यरूशलेम को इसलिये चुना है, कि मेरा नाम वहां हो, और दाऊद को चुन लिया है कि वह मेरी प्रजा इस्राएल पर प्रधान हो।
Parantu main ne Yerushalem ko isliye chuna hai, ki mera naam vahan ho, aur Daud ko chun liya hai ki vah meri praja Israel par pradhaan ho.
मेरे पिता दाऊद की यह मनसा थी कि इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के नाम का एक भवन बनवाए।
Mere pita Daud ki yah mansa thi ki Israel ke Parmeshwar Yahowa ke naam ka ek bhavan banvaye.
परन्तु यहोवा ने मेरे पिता दाऊद से कहा, तेरी जो मनसा है कि यहोवा के नाम का एक भवन बनाए, ऐसी मनसा कर के नू ने भला तो किया;
Parantu Yahowa ne mere pita Daud se kaha, teri jo mansa hai ki Yahowa ke naam ka ek bhavan banaye, aisi mansa kar ke nu ne bhala to kiya;
तौभी तू उस भवन को बनाने न पाएगा: तेरा जो निज पुत्र होगा, वही मेरे नाम का भवन बनाएगा।
Taubhi tu us bhavan ko banane na payega: tera jo nij putra hoga, vahi mere naam ka bhavan banayega.
यह वचन जो यहोवा ने कहा था, उसे उसने पूरा भी किया है; ओर मैं अपने पिता दाऊद के स्थान पर उठ कर यहोवा के वचन के अनुसार इस्राएल की गद्दी पर विराजमान हूँ, और इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के नाम के इस भवन को बनाया है।
Yah vachan jo Yahowa ne kaha tha, use usne poora bhi kiya hai; or main apne pita Daud ke sthaan par uth kar Yahowa ke vachan ke anusaar Israel ki gaddi par virajmaan hoon, aur Israel ke Parmeshwar Yahowa ke naam ke is bhavan ko banaya hai.
और इस में मैं ने उस सन्दूक को रख दिया है, जिस में यहोवा की वह वाचा है, जो उसने इस्राएलियों से बान्धी थी।
Aur is mein main ne us sandook ko rakh diya hai, jis mein Yahowa ki vah vacha hai, jo usne Israeliyon se bandhi thi.
तब वह इस्राएल की सारी सभा के देखते यहोवा की वेदी के साम्हने खड़ा हुआ और अपने हाथ फैलाए।
Tab vah Israel ki sari sabha ke dekhte Yahowa ki vedi ke samhane khada huaa aur apne haath phailaye.
सुलैमान ने पांच हाथ लम्बी, पांच हाथ चौड़ी और तीन हाथ ऊंची पीतल की एक चौकी बनाकर आंगन के बीच रखवाई थी; उसी पर खड़े हो कर उसने सारे इस्राएल की सभा के सामने घुटने टेक कर स्वर्ग की ओर हाथ फैलाए हुए कहा,
Sulaimaan ne paanch haath lambi, paanch haath chaudi aur teen haath oonchi peetal ki ek chauki banakar aangan ke beech rakhvai thi; usi par khade ho kar usne sare Israel ki sabha ke samne ghutne tek kar swarg ki or haath phailaye hue kaha,
हे यहोवा, हे इस्राएल के परमेश्वर, तेरे समान न तो स्वर्ग में और न पृथ्वी पर कोई ईश्वर है: तेरे जो दास अपने सारे मन से अपने को तेरे सम्मुख जान कर चलते हैं, उनके लिये तू अपनी वाचा पूरी करता और करुणा करता रहता है।
He Yahowa, he Israel ke Parmeshwar, tere samaan na to swarg mein aur na prithvi par koi ishwar hai: tere jo daas apne sare man se apne ko tere sammukh jaan kar chalte hain, unke liye tu apni vacha poori karta aur karuna karta rahta hai.
तू ने जो वचन मेरे पिता दाऊद को दिया था, उसका तू ने पालन किया है; जैसा तू ने अपने मुंह से कहा था, वैसा ही अपने हाथ से उसको हमारी आंखों के साम्हने पूरा भी किया है।
Tu ne jo vachan mere pita Daud ko diya tha, uska tu ne palan kiya hai; jaisa tu ne apne munh se kaha tha, vaisa hi apne haath se usko hamari aankhon ke samhane poora bhi kiya hai.
इसलिये अब हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा इस वचन को भी पूरा कर, जो तू ने अपने दास मेरे पिता दाऊद को दिया था, कि तेरे कुल में मेरे साम्हने इस्राएल की गद्दी पर विराजने वाले सदा बने रहेंगे, यह हो कि जैसे तू अपने को मेरे सम्मुख जानकर चलता रहा, वैसे ही तेरे वंश के लोग अपनी चाल चलन में ऐसी चौकसी करें, कि मेरी व्यवस्था पर चलें।
Isliye ab he Israel ke Parmeshwar Yahowa is vachan ko bhi poora kar, jo tu ne apne daas mere pita Daud ko diya tha, ki tere kul mein mere samhane Israel ki gaddi par virajne vale sada bane rahenge, yah ho ki jaise tu apne ko mere sammukh jankar chalta raha, vaise hi tere vansh ke log apni chaal chalan mein aisi chauksi karein, ki meri vyavastha par chalein.
अब हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा जो वचन तू ने अपने दास दाऊद को दिया था, वह सच्चा किया जाए।
Ab he Israel ke Parmeshwar Yahowa jo vachan tu ne apne daas Daud ko diya tha, vah sachcha kiya jaye.
परन्तु क्या परमेश्वर सचमुच मनुष्यों के संग पृथ्वी पर वास करेगा? स्वर्ग में वरन सब से ऊंचे स्वर्ग में भी तू नहीं समाता, फिर मेरे बनाए हुए इस भवन में तू क्योंकर समाएगा?
Parantu kya Parmeshwar sachmuch manushyon ke sang prithvi par vaas karega? Swarg mein varan sab se oonche swarg mein bhi tu nahi samata, phir mere banaye hue is bhavan mein tu kyonkar samayega?
तौभी हे मेरे परमेश्वर यहोवा, अपने दास की प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट की ओर ध्यान दे और मेरी पुकार और यह प्रार्थना सुन, जो मैं तेरे साम्हने कर रहा हूँ।
Taubhi he mere Parmeshwar Yahowa, apne daas ki prarthana aur gidgidahat ki or dhyaan de aur meri pukaar aur yah prarthana sun, jo main tere samhane kar raha hoon.
वह यह है कि तेरी आंखें इस भवन की ओर, अर्थात इसी स्थान की ओर जिसके विषय में तू ने कहा है कि मैं उस में अपना नाम रखूंगा, रात दिन खुली रहें, और जो प्रार्थना तेरा दास इस स्थान की ओर करे, उसे तू सुन ले।
Vah yah hai ki teri aankhein is bhavan ki or, arthaat isi sthaan ki or jiske vishay mein tu ne kaha hai ki main us mein apna naam rakhoonga, raat din khuli rahein, aur jo prarthana tera daas is sthaan ki or kare, use tu sun le.
और अपने दास, और अपनी प्रजा इस्राएल की प्रार्थना जिस को वे इस स्थान की ओर मुंह किए हुए गिड़गिड़ाकर करें, उसे सुन लेना; स्वर्ग में से जो तेरा निवास स्थान है, सुन लेना; और सुन कर क्षमा करना।
Aur apne daas, aur apni praja Israel ki prarthana jis ko ve is sthaan ki or munh kiye hue gidgidakar karein, use sun lena; swarg mein se jo tera nivaas sthaan hai, sun lena; aur sun kar kshama karna.
जब कोई किसी दूसरे का अपराध करे और उसको शपथ खिलाई जाए, और वह आकर इस भवन में तेरी वेदी के साम्हने शपथ खाए,
Jab koi kisi doosre ka apraadh kare aur usko shapath khilai jaye, aur vah aakar is bhavan mein teri vedi ke samhane shapath khaye,
तब तू स्वर्ग में से सुनना और मानना, और अपने दासों का न्याय कर के दुष्ट को बदला देना, और उसकी चाल उसी के सिर लैटा देना, और निर्दोष को निर्दोष ठहराकर, उसके धर्म के अनुसार उसको फल देना।
Tab tu swarg mein se sunna aur manna, aur apne dason ka nyaay kar ke dusht ko badla dena, aur uski chaal usi ke sir laita dena, aur nirdosh ko nirdosh thahrakar, uske dharm ke anusaar usko phal dena.
फिर यदि तेरी प्रजा इस्राएल तेरे विरुद्ध पाप करने के कारण अपने शत्रुओं से हार जाएं, और तेरी ओर फिरकर तेरा नाम मानें, और इस भवन में तुझ से प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट करें,
Phir yadi teri praja Israel tere viruddh paap karne ke karan apne shatruon se haar jayen, aur teri or phirkar tera naam manein, aur is bhavan mein tujh se prarthana aur gidgidahat karein,
तो तू स्वर्ग में से सुनना; और अपनी प्रजा इस्राएल का पाप क्षमा करना, और उन्हें इस देश में लौटा ले आना जिसे तू ने उन को और उनके पुरखाओं को दिया है।
To tu swarg mein se sunna; aur apni praja Israel ka paap kshama karna, aur unhein is desh mein lauta le aana jise tu ne un ko aur unke purkhaon ko diya hai.
जब वे तेरे विरुद्ध पाप करें, और इस कारण आकाश इतना बन्द हो जाए कि वर्षा न हो, ऐसे समय यदि वे इस स्थान की ओर प्रार्थना कर के तेरे नाम को मानें, और तू जो उन्हें दु:ख देता है, इस कारण वे अपने पाप से फिरें,
Jab ve tere viruddh paap karein, aur is karan aakaash itna band ho jaye ki varsha na ho, aise samay yadi ve is sthaan ki or prarthana kar ke tere naam ko manein, aur tu jo unhein dukh deta hai, is karan ve apne paap se phirein,
तो तू स्वर्ग में से सुनना, और अपने दासों और अपनी प्रजा इस्राएल के पाप को क्षमा करना; तू जो उन को वह भला मार्ग दिखाता है जिस पर उन्हें चलना चाहिये, इसलिये अपने इस देश पर जिसे तू ने अपनी प्रजा का भाग कर के दिया है, पानी बरसा देना।
To tu swarg mein se sunna, aur apne dason aur apni praja Israel ke paap ko kshama karna; tu jo un ko vah bhala maarg dikhata hai jis par unhein chalna chahiye, isliye apne is desh par jise tu ne apni praja ka bhaag kar ke diya hai, pani barsa dena.
जब इस देश में काल वा मरी वा झुलस हो वा गेरुई वा टिड्डियां वा कीड़े लगें, वा उनके शत्रु उनके देश के फाटकों में उन्हें घेर रखें, वा कोई विपत्ति वा रोग हो;
Jab is desh mein kaal va mari va jhulas ho va gerui va tiddiyan va keede lagein, va unke shatru unke desh ke phatkon mein unhein gher rakhein, va koi vipatti va rog ho;
तब यदि कोई मनुष्य वा तेरी सारी प्रजा इस्राएल जो अपना अपना दु:ख और अपना अपना खेद जान कर और गिड़गिड़ाहट के साथ प्रार्थना कर के अपने हाथ इस भवन की ओर फैलाए;
Tab yadi koi manushya va teri sari praja Israel jo apna apna dukh aur apna apna khed jaan kar aur gidgidahat ke saath prarthana kar ke apne haath is bhavan ki or phailaye;
तो तू अपने स्वर्गीय निवासस्थान से सुन कर क्षमा करना, और एक एक के मन की जानकर उसकी चाल के अनुसार उसे फल देना; (तू ही तो आदमियों के मन का जानने वाला है);
To tu apne swargeeya nivasasthaan se sun kar kshama karna, aur ek ek ke man ki jankar uski chaal ke anusaar use phal dena; (tu hi to aadmiyon ke man ka janne vala hai);
कि वे जितने दिन इस देश में रहें, जिसे तू ने उनके पुरखाओं को दिया था, उतने दिन तक तेरा भय मानते हुए तेरे मार्गों पर चलते रहें।
Ki ve jitne din is desh mein rahein, jise tu ne unke purkhaon ko diya tha, utne din tak tera bhay mante hue tere margon par chalte rahein.
फिर परदेशी भी जो तेरी प्रजा इस्राएल का न हो, जब वह तेरे बड़े नाम और बलवन्त हाथ और बढ़ाई हुई भुजा के कारण दूर देश से आए, और आकर इस भवन की ओर मुंह किए हुए प्रार्थना करे,
Phir pardeshi bhi jo teri praja Israel ka na ho, jab vah tere bade naam aur balvant haath aur badhai hui bhuja ke karan door desh se aaye, aur aakar is bhavan ki or munh kiye hue prarthana kare,
तब तू अपने स्वर्गीय निवास स्थान में से सुने, और जिस बात के लिये ऐसा परदेशी तुझे पुकारे, उसके अनुसार करना; जिस से पृथ्वी के सब देशों के लोग तेरा नाम जान कर, तेरी प्रजा इस्राएल की नाईं तेरा भय मानें; और निश्चय करें, कि यह भवन जो मैं ने बनाया है, वह तेरा ही कहलाता हैं।
Tab tu apne swargeeya nivaas sthaan mein se sune, aur jis baat ke liye aisa pardeshi tujhe pukare, uske anusaar karna; jis se prithvi ke sab deshon ke log tera naam jaan kar, teri praja Israel ki nai tera bhay manein; aur nishchay karein, ki yah bhavan jo main ne banaya hai, vah tera hi kahlata hain.
जब तेरी प्रजा के लोग जहां कहीं तू उन्हें भेजे वहां अपने शत्रुओं से लड़ाई करने को निकल जाएं, और इस नगर की ओर जिसे तू ने चुना है, और इस भवन की ओर जिसे मैं ने तेरे नाम का बनाया है, मुंह किए हुए तुझ से प्रार्थना करें,
Jab teri praja ke log jahan kahi tu unhein bheje vahan apne shatruon se ladai karne ko nikal jayen, aur is nagar ki or jise tu ne chuna hai, aur is bhavan ki or jise main ne tere naam ka banaya hai, munh kiye hue tujh se prarthana karein,
तब तू स्वर्ग में से उनकी प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट सुनना, और उनका न्याय करना।
Tab tu swarg mein se unki prarthana aur gidgidahat sunna, aur unka nyaay karna.
निष्पाप तो कोई मनुष्य नहीं है, यदि वे भी तेरे विरुद्ध पाप करें और तू उन पर कोप कर के उन्हें शत्रुओं के हाथ कर दे, और वे उन्हें बन्धुआ कर के किसी देश को, चाहे वह दूर हो, चाहे निकट, ले जाएं,
Nishpaap to koi manushya nahi hai, yadi ve bhi tere viruddh paap karein aur tu un par kop kar ke unhein shatruon ke haath kar de, aur ve unhein bandhuaa kar ke kisi desh ko, chahe vah door ho, chahe nikat, le jayen,
तो यदि वे बन्धुआई के देश में सोच विचार करें, और फिर कर अपनी बन्धुआई करने वालों के देश में तुझ से गिड़गिड़ाकर कहें, कि हम ने पाप किया, और कुटिलता और दुष्टता की है;
To yadi ve bandhuaai ke desh mein soch vichaar karein, aur phir kar apni bandhuaai karne valon ke desh mein tujh se gidgidakar kahein, ki ham ne paap kiya, aur kutilta aur dushtata ki hai;
सो यदि वे अपनी बन्धुआई के देश में जहां वे उन्हें बन्धुआ कर के ले गए हों अपने पूरे मन और सारे जीव से तेरी ओर फिरें, और अपने इस देश की ओर जो तू ने उनके पुरखाओं को दिया था, और इस नगर की ओर जिसे तू ने चुना है, और इस भवन की ओर जिसे मैं ने तेरे नाम का बनाया है, मुंह किए हुए तुझ से प्रार्थना करें,
So yadi ve apni bandhuaai ke desh mein jahan ve unhein bandhuaa kar ke le gaye hon apne poore man aur sare jeev se teri or phirein, aur apne is desh ki or jo tu ne unke purkhaon ko diya tha, aur is nagar ki or jise tu ne chuna hai, aur is bhavan ki or jise main ne tere naam ka banaya hai, munh kiye hue tujh se prarthana karein,
तो तू अपने स्वर्गीय निवास स्थान में से उनकी प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट सुनना, और उनका न्याय करना और जो पाप तेरी प्रजा के लोग तेरे विरुद्ध करें, उन्हें क्षमा करना।
To tu apne swargeeya nivaas sthaan mein se unki prarthana aur gidgidahat sunna, aur unka nyaay karna aur jo paap teri praja ke log tere viruddh karein, unhein kshama karna.
और हे मेरे परमेश्वर! जो प्रार्थना इस स्थान में की जाए उसकी ओर अपनी आंखें खोले रह और अपने कान लगाए रख।
Aur he mere Parmeshwar! Jo prarthana is sthaan mein ki jaye uski or apni aankhein khole rah aur apne kaan lagaye rakh.
अब हे यहोवा परमेश्वर, उठ कर अपने सामर्थ्य के सन्दूक समेत अपने विश्रामस्थान में आ, हे यहोवा परमेश्वर तेरे याजक उद्धाररूपी वस्त्र पहिने रहें, और तेरे भक्त लोग भलाई के कारण आनन्द करते रहें।
Ab he Yahowa Parmeshwar, uth kar apne samarthya ke sandook samet apne vishramasthaan mein aa, he Yahowa Parmeshwar tere yajak uddharroopi vastra pahine rahein, aur tere bhakt log bhalai ke karan aanand karte rahein.
हे यहोवा परमेश्वर, अपने अभिषिक्त की प्रार्थना को अनसुनी न कर, तू अपने दास दाऊद पर की गई करुणा के काम स्मरण रख।
He Yahowa Parmeshwar, apne abhishikt ki prarthana ko ansuni na kar, tu apne daas Daud par ki gai karuna ke kaam smaran rakh.