2 Chronicles 5 · 14 verses

2 इतिहास 5 2 Chronicles 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 5.

1

इस प्रकार सुलैमान ने यहोवा के भवन के लिये जो जो काम बनवाया वह सब निपट गया। तब सुलैमान ने अपने पिता दाऊद के पवित्र किए हुए सोने, चान्दी और सब पात्रों को भीतर पहुंचा कर परमेश्वर के भवन के भण्डारों में रखवा दिया।

Is prakaar sulaimaan ne Yahowa ke bhavan ke liye jo jo kaam banvaya vah sab nipat gaya. Tab sulaimaan ne apne pita Daud ke pavitra kiye hue sone, chandi aur sab patron ko bheetar pahuncha kar Parmeshwar ke bhavan ke bhandaron mein rakhva diya.

2

तब सुलैमान ने इस्राएल के पुरनियों को और गोत्रों के सब मुख्य पुरुष, जो इस्राएलियों के पितरों के घरानों के प्रधान थे, उन को भी यरूशलेम में इस मनसा से इकट्ठा किया, कि वे यहोवा की वाचा का सन्दूक दाऊदपुर से अर्थात सिय्योन से ऊपर लिवा ले आएं।

Tab sulaimaan ne Israel ke purniyon ko aur gotron ke sab mukhya purush, jo Israeliyon ke pitron ke gharanon ke pradhaan the, un ko bhi Yerushalem mein is mansa se ikattha kiya, ki ve Yahowa ki vacha ka sandook daoodpur se arthaat siyyon se oopar liva le aayen.

3

सब इस्राएली पुरुष सातवें महीने के पर्व के समय राजा के पास इकट्ठे हुए।

Sab Israeli purush satvein maheene ke parva ke samay raja ke paas ikatthe hue.

4

जब इस्राएल के सब पुरनिये आए, तब लेवियों ने सन्दूक को उठा लिया।

Jab Israel ke sab purniye aaye, tab leviyon ne sandook ko utha liya.

5

और लेवीय याजक सन्दूक और मिलाप का तम्बू और जितने पवित्र पात्र उस तम्बू में थे उन सभों को ऊपर ले गए।

Aur leveeya yajak sandook aur milaap ka tambu aur jitne pavitra patra us tambu mein the un sabhon ko oopar le gaye.

6

और राजा सुलैमान और सब इस्राएली मण्डली के लोग जो उसके पास इकट्ठे हुए थे, उन्होंने सन्दूक के साम्हने इतनी भेड़ और बैल बलि किए, जिनकी गिनती और हिसाब बहुतायत के कारण न हो सकती थी।

Aur raja sulaimaan aur sab Israeli mandali ke log jo uske paas ikatthe hue the, unhonne sandook ke samhane itni bhed aur bail bali kiye, jinki ginti aur hisaab bahutayat ke karan na ho sakti thi.

7

तब याजकों ने यहोवा की वाचा का सन्दूक उसके स्थान में, अर्थात भवन की भीतरी कोठरी में जो परमपवित्र स्थान है, पहुंचा कर, करूबों के पंखों के तले रख दिया।

Tab yajkon ne Yahowa ki vacha ka sandook uske sthaan mein, arthaat bhavan ki bheetri kothri mein jo parmapvitra sthaan hai, pahuncha kar, karoobon ke pankhon ke tale rakh diya.

8

सन्दूक के स्थान के ऊपर करूब तो पंख फैलाए हुए थे, जिससे वे ऊपर से सन्दूक और उसके डण्डों को ढांपे थे।

Sandook ke sthaan ke oopar karoob to pankh phailaye hue the, jisse ve oopar se sandook aur uske dandon ko dhampe the.

9

डणडे तो इतने लम्बे थे, कि उनके सिरे सन्दूक से निकले हुए भीतरी कोठरी के साम्हने देख पड़ते थे, परन्तु बाहर से वे दिखाई न पड़ते थे। वे आज के दिन तक वहीं हैं।

Dande to itne lambe the, ki unke sire sandook se nikle hue bheetri kothri ke samhane dekh padte the, parantu bahar se ve dikhai na padte the. Ve aaj ke din tak vahi hain.

10

सन्दूक में पत्थर की उन दो पटियाओं को छोड़ कुछ न था, जिन्हें मूसा ने होरेब में उसके भीतर उस समय रखा, जब यहोवा ने इस्राएलियों के मिस्र से निकलने के बाद उनके साथ वाचा बान्धी थी।

Sandook mein patthar ki un do patiyaon ko chhod kuchh na tha, jinhein Musa ne horeb mein uske bheetar us samay rakha, jab Yahowa ne Israeliyon ke Misr se nikalne ke baad unke saath vacha bandhi thi.

11

जब याजक पवित्रस्थान से निकले (जितने याजक उपस्थित थे, उन सभों ने तो अपने अपने को पवित्र किया था, और अलग अलग दलों में हो कर सेवा न करते थे;

Jab yajak pavitrasthaan se nikle (jitne yajak upasthit the, un sabhon ne to apne apne ko pavitra kiya tha, aur alag alag dalon mein ho kar seva na karte the;

12

और जितने लेवीय गवैये थे, वे सब के सब अर्थात पुत्रों और भाइयों समेत आसाप, हेमान और यदूतून सन के वस्त्र पहिने झांझ, सारंगियां और वीणाएं लिये हुए, वेदी के पूर्व अलंग में खड़े थे, और उनके साथ एक सौ बीस याजक तुरहियां बजा रहे थे।)

Aur jitne leveeya gavaiye the, ve sab ke sab arthaat putron aur bhaiyon samet aasaap, hemaan aur yadootoon san ke vastra pahine jhaanjh, sarangiyan aur veenayen liye hue, vedi ke poorva alang mein khade the, aur unke saath ek sau bees yajak turhiyan baja rahe the.)

13

तो जब तुरहियां बजाने वाले और गाने वाले एक स्वर से यहोवा की स्तुति और धन्यवाद करने लगे, और तुरहियां, झांझ आदि बाजे बजाते हुए यहोवा की यह स्तुति ऊंचे शब्द से करने लगे, कि वह भला है और उसकी करुणा सदा की है, तब यहोवा के भवन मे बादल छा गया,

To jab turhiyan bajane vale aur gane vale ek swar se Yahowa ki stuti aur dhanyavaad karne lage, aur turhiyan, jhaanjh aadi baje bajate hue Yahowa ki yah stuti oonche shabd se karne lage, ki vah bhala hai aur uski karuna sada ki hai, tab Yahowa ke bhavan me badal chha gaya,

14

और बादल के कारण याजक लोग सेवा-टहल करने को खड़े न रह सके, क्योंकि यहोवा का तेज परमेश्वर के भवन में भर गया था।

Aur badal ke karan yajak log seva-tahal karne ko khade na rah sake, kyonki Yahowa ka tej Parmeshwar ke bhavan mein bhar gaya tha.