जब योशिय्याह राज्य करने लगा तब वह आठ वर्ष का था, और यरूशलेम में इकतीस वर्ष तक राज्य करता रहा।
Jab yoshiyyaah rajya karne laga tab vah aath varsh ka tha, aur Yerushalem mein iktees varsh tak rajya karta raha.
2 Chronicles 34 · 33 verses
जब योशिय्याह राज्य करने लगा तब वह आठ वर्ष का था, और यरूशलेम में इकतीस वर्ष तक राज्य करता रहा।
Jab yoshiyyaah rajya karne laga tab vah aath varsh ka tha, aur Yerushalem mein iktees varsh tak rajya karta raha.
उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है, और जिन मार्गों पर उसका मूलपुरुष दाऊद चलता रहा, उन्हीं पर वह भी चला करता था और उस से न तो दाहिनी ओर मुड़ा, और न बाईं ओर।
Usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein theek hai, aur jin margon par uska moolpurush Daud chalta raha, unhi par vah bhi chala karta tha aur us se na to dahini or muda, aur na bai or.
वह लड़का ही था, अर्थात उसको गद्दी पर बैठे आठ वर्ष पूरे भी न हुए थे कि अपने मूलपुरुष दाऊद के परमेश्वर की खोज करने लगा, और बारहवें वर्ष में वह ऊंचे स्थानों और अशेरा नाम मूरतों को और खुदी और ढली हुई मूरतों को दूर कर के, यहूदा और यरूशलेम को शुद्ध करने लगा।
Vah ladka hi tha, arthaat usko gaddi par baithe aath varsh poore bhi na hue the ki apne moolpurush Daud ke Parmeshwar ki khoj karne laga, aur barahvein varsh mein vah oonche sthanon aur ashera naam moorton ko aur khudi aur dhali hui moorton ko door kar ke, Yahuda aur Yerushalem ko shuddh karne laga.
और बाल देवताओं की वेदियां उसके साम्हने तोड़ डाली गई, और सूर्य की प्रतिमायें जो उनके ऊपर ऊंचे पर थी, उसने काट डालीं, और अशेरा नाम, और खुदी और ढली हुई मूरतों को उसने तोड़ कर पीस डाला, और उनकी बुकनी उन लोगों की कबरों पर छितरा दी, जो उन को बलि चढ़ाते थे।
Aur baal devtaon ki vediyan uske samhane tod dali gai, aur soorya ki pratimayein jo unke oopar oonche par thi, usne kaat dali, aur ashera naam, aur khudi aur dhali hui moorton ko usne tod kar pees dala, aur unki bukni un logon ki kabron par chhitra di, jo un ko bali chadhate the.
और पुजारियों की हड्डियां उसने उन्हीं की वेदियों पर जलाईं। यों उसने यहूदा और यरूशलेम को शुद्ध किया।
Aur pujariyon ki haddiyan usne unhi ki vediyon par jalai. Yon usne Yahuda aur Yerushalem ko shuddh kiya.
फिर मनश्शे, एप्रैम और शिमोन के वरन नप्ताली तक के नगरों के खणडहरों में, उसने वेदियों को तोड़ डाला,
Phir manashshe, epraim aur shimon ke varan naptali tak ke nagron ke khandahron mein, usne vediyon ko tod dala,
और अशेरा नाम और खुदी हुई मूरतों को पीस कर बुकनी कर डाला, और इस्राएल के सारे देश की सूर्य की सब प्रतिमाओं को काट कर यरूशलेम को लौट गया।
Aur ashera naam aur khudi hui moorton ko pees kar bukni kar dala, aur Israel ke sare desh ki soorya ki sab pratimaon ko kaat kar Yerushalem ko laut gaya.
फिर अपने राज्य के अठारहवें वर्ष में जब वह देश और भवन दोनों को शुद्ध कर चुका, तब उसने असल्याह के पुत्र शापान और नगर के हाकिम मासेयाह और योआहाज के पुत्र इतिहास के लेखक योआह को अपने परमेश्वर यहोवा के भवन की मरम्मत कराने के लिये भेज दिया।
Phir apne rajya ke atharahvein varsh mein jab vah desh aur bhavan donon ko shuddh kar chuka, tab usne asalyaah ke putra shapaan aur nagar ke hakim maseyaah aur yoaahaaj ke putra itihaas ke lekhak yoaah ko apne Parmeshwar Yahowa ke bhavan ki marammat karane ke liye bhej diya.
सो उन्होंने हिल्किय्याह महायाजक के पास जा कर जो रुपया परमेश्वर के भवन में लाया गया था, अर्थात जो लेवीय दरबानों ने मनश्शियों, एप्रैमियों और सब बचे हुए इस्राएलियों से और सब यहूदियों और बिन्यामीनियों से और यरूशलेम के निवासियों के हाथ से ले कर इकट्ठा किया था, उसको सौंप दिया।
So unhonne hilkiyyaah mahayajak ke paas ja kar jo rupya Parmeshwar ke bhavan mein laya gaya tha, arthaat jo leveeya darbanon ne manashshiyon, epraimiyon aur sab bache hue Israeliyon se aur sab Yahudiyon aur binyameeniyon se aur Yerushalem ke nivasiyon ke haath se le kar ikattha kiya tha, usko saump diya.
अर्थात उन्होंने उसे उन काम करने वालों के हाथ सौंप दिया जो यहोवा के भवन के काम पर मुखिये थे, और यहोवा के भवन के उन काम करने वालों ने उसे भवन में जो कुछ टूटा फूटा था, उसकी मरम्मत करने में लगाया।
Arthaat unhonne use un kaam karne valon ke haath saump diya jo Yahowa ke bhavan ke kaam par mukhiye the, aur Yahowa ke bhavan ke un kaam karne valon ne use bhavan mein jo kuchh toota phoota tha, uski marammat karne mein lagaya.
अर्थात उन्होंने उसे बढ़इयों और राजों को दिया कि वे गढ़े हुए पत्थर और जोड़ों के लिये लकड़ी मोल लें, और उन घरों को पाटें जो यहूदा के राजाओं ने नाश कर दिए थे।
Arthaat unhonne use badhaiyon aur rajon ko diya ki ve gadhe hue patthar aur jodon ke liye lakdi mol lein, aur un gharon ko patein jo Yahuda ke rajaon ne naash kar diye the.
और वे मनुष्य सच्चाई से काम करते थे, और उनके अधिकारी मरारी, यहत और ओबद्याह, लेवीय और कहाती, जकर्याह और मशुल्लाम काम चलाने वाले और गाने-बजाने का भेद सब जानने वाले लेवीय भी थे।
Aur ve manushya sachchai se kaam karte the, aur unke adhikari marari, yahat aur obadyaah, leveeya aur kahati, jakaryaah aur mashullaam kaam chalane vale aur gane-bajane ka bhed sab janne vale leveeya bhi the.
फिर वे बोझियों के अधिकारी थे और भांति भांति की सेवकाई और काम चलाने वाले थे, और कुछ लेवीय मुंशी सरदार और दरबान थे।
Phir ve bojhiyon ke adhikari the aur bhanti bhanti ki sevkai aur kaam chalane vale the, aur kuchh leveeya munshi sardaar aur darbaan the.
जब वे उस रुपये को जो यहोवा के भवन में पहुंचाया गया था, निकाल रहे थे, तब हिल्किय्याह याजक को मूसा के द्वारा दी हुई यहोवा की व्यवस्था की पुस्तक मिली।
Jab ve us rupye ko jo Yahowa ke bhavan mein pahunchaya gaya tha, nikaal rahe the, tab hilkiyyaah yajak ko Musa ke dwara di hui Yahowa ki vyavastha ki pustak mili.
तब हिल्किय्याह ने शापान मंत्री से कहा, मुझे यहोवा के भवन में व्यवस्था की पुस्तक मिली है; तब हिल्किय्याह ने शापान को वह पुस्तक दी।
Tab hilkiyyaah ne shapaan mantri se kaha, mujhe Yahowa ke bhavan mein vyavastha ki pustak mili hai; tab hilkiyyaah ne shapaan ko vah pustak di.
तब शापान उस पुस्तक को राजा के पास ले गया, और यह सन्देश दिया, कि जो जो काम तेरे कर्मचारियों को सौंपा गया था उसे वे कर रहे हैं।
Tab shapaan us pustak ko raja ke paas le gaya, aur yah sandesh diya, ki jo jo kaam tere karmachariyon ko saumpa gaya tha use ve kar rahe hain.
और जो रुपया यहोवा के भवन में मिला, उसको उन्होंने उण्डेल कर मुखियों और कारीगरों के हाथों में सौंप दिया है।
Aur jo rupya Yahowa ke bhavan mein mila, usko unhonne undel kar mukhiyon aur kareegron ke hathon mein saump diya hai.
फिर शापान मंत्री ने राजा को यह भी बता दिया कि हिल्किय्याह याजक ने मुझे एक पुस्तक दी है तब शपान ने उस में से राजा को पढ़ कर सुनाया।
Phir shapaan mantri ne raja ko yah bhi bata diya ki hilkiyyaah yajak ne mujhe ek pustak di hai tab shapaan ne us mein se raja ko padh kar sunaya.
व्यवस्था की वे बातें सुन कर राजा ने अपने वस्त्र फाड़े।
Vyavastha ki ve batein sun kar raja ne apne vastra phade.
फिर राजा ने हिल्किय्याह शापान के पुत्र अहीकाम, मीका के पुत्र अब्दोन, शापान मंत्री और असायाह नाम अपने कर्मचारी को आज्ञा दी,
Phir raja ne hilkiyyaah shapaan ke putra aheekaam, meeka ke putra abdon, shapaan mantri aur asayaah naam apne karmachari ko aagya di,
कि तुम जा कर मेरी ओर से और इस्राएल और यहूदा में रहने वालों की ओर से इस पाई हुई पुस्तक के वचनों के विष्य यहोवा से पूछो; क्योंकि यहोवा की बड़ी ही जलजलाहट हम पर इसलिये भड़की है कि हमारे पुरखाओं ने यहोवा का वचन नहीं माना, और इस पुस्तक में लिखी हुई सब आज्ञाओं का पालन नहीं किया।
Ki tum ja kar meri or se aur Israel aur Yahuda mein rahne valon ki or se is pai hui pustak ke vachnon ke vishya Yahowa se poochho; kyonki Yahowa ki badi hi jalajlahat ham par isliye bhadki hai ki hamare purkhaon ne Yahowa ka vachan nahi mana, aur is pustak mein likhi hui sab aagyaon ka palan nahi kiya.
तब हिल्किय्याह ने राजा के और और दूतों समेत हुल्दा नबिया के पास जा कर उस से उसी बात के अनुसार बातें की, वह तो उस शल्लूम की स्त्री थी जो तोखत का पुत्र और हस्रा का पोता और वस्त्रालय का रखवाला था: और वह स्त्री यरूशलेम के नये टोले में रहती थी।
Tab hilkiyyaah ne raja ke aur aur dooton samet hulda nabiya ke paas ja kar us se usi baat ke anusaar batein ki, vah to us shalloom ki stri thi jo tokhat ka putra aur hasra ka pota aur vastralay ka rakhvala tha: aur vah stri Yerushalem ke naye tole mein rahti thi.
उसने उन से कहा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि जिस पुरुष ने तुम को मेरे पास भेजा, उस से यह कहो,
Usne un se kaha, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki jis purush ne tum ko mere paas bheja, us se yah kaho,
कि यहोवा यों कहता है, कि सुन, मैं इस स्थान और इस के निवासियों पर विपत्ति डाल कर यहूदा के राजा के साम्हने जो पुस्तक पड़ी गई, उस में जितने शाप लिखे हैं उन सभों को पूरा करूंगा।
Ki Yahowa yon kahta hai, ki sun, main is sthaan aur is ke nivasiyon par vipatti daal kar Yahuda ke raja ke samhane jo pustak padi gai, us mein jitne shaap likhe hain un sabhon ko poora karoonga.
उन लोगों ने मुझे त्याग कर पराये देवताओं के लिये धूप जलाया है और अपनी बनाईं हुई सब वस्तुओं के द्वारा मुझे रिस दिलाई है, इस कारण मेरी जलजलाहट इस स्थान पर भड़क उठी है, और शान्त न होगी।
Un logon ne mujhe tyaag kar paraye devtaon ke liye dhoop jalaya hai aur apni banai hui sab vastuon ke dwara mujhe ris dilai hai, is karan meri jalajlahat is sthaan par bhadak uthi hai, aur shaant na hogi.
परन्तु यहूदा का राजा जिसने तुम्हें यहोवा के पूछने को भेज दिया है उस से तुम यों कहो, कि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है,
Parantu Yahuda ka raja jisne tumhein Yahowa ke poochhne ko bhej diya hai us se tum yon kaho, ki Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai,
कि इसलिये कि तू वे बातें सुन कर दीन हुआ, और परमेश्वर के साम्हने अपना सिर नवाया, और उसकी बातें सुन कर जो उसने इस स्थान और इस के निवासियों के विरुद्ध कहीं, तू ने मेरे साम्हने अपना सिर नवाया, और वस्त्र फाड़ कर मेरे साम्हने रोया है, इस कारण मैं ने तेरी सुनी है; यहोवा की यही वाणी है।
Ki isliye ki tu ve batein sun kar deen huaa, aur Parmeshwar ke samhane apna sir navaya, aur uski batein sun kar jo usne is sthaan aur is ke nivasiyon ke viruddh kahi, tu ne mere samhane apna sir navaya, aur vastra phaad kar mere samhane roya hai, is karan main ne teri suni hai; Yahowa ki yahi vani hai.
सुन, मैं तुझे तेरे पुरखाओं के संग ऐसा मिलाऊंगा कि तू शांति से अपनी कब्र को पहुंचाया जायगा; और जो विपत्ति मैं इस स्थान पर, और इसके निवासियों पर डालना चाहता हूँ, उस में से तुझे अपनी आंखों से कुछ भी देखना न पड़ेगा। तब उन लोगों ने लौट कर राजा को यही सन्देश दिया।
Sun, main tujhe tere purkhaon ke sang aisa milaoonga ki tu shanti se apni kabra ko pahunchaya jayga; aur jo vipatti main is sthaan par, aur iske nivasiyon par dalna chahta hoon, us mein se tujhe apni aankhon se kuchh bhi dekhna na padega. Tab un logon ne laut kar raja ko yahi sandesh diya.
तब राजा ने यहूदा और यरूशलेम के सब पुरनियों को इकट्ठे होने को बुलवा भेजा।
Tab raja ne Yahuda aur Yerushalem ke sab purniyon ko ikatthe hone ko bulva bheja.
और राजा यहूदा के सब लोगों और यरूशलेम के सब निवासियों और याजकों और लेवियों वरन छोटे बड़े सारी प्रजा के लोगों को संग ले कर यहोवा के भवन को गया; तब उस न जो वाचा की पुस्तक यहोवा के भवन में मिली थी उस में की सारी बातें उन को पढ़ कर सुनाईं।
Aur raja Yahuda ke sab logon aur Yerushalem ke sab nivasiyon aur yajkon aur leviyon varan chhote bade sari praja ke logon ko sang le kar Yahowa ke bhavan ko gaya; tab us na jo vacha ki pustak Yahowa ke bhavan mein mili thi us mein ki sari batein un ko padh kar sunai.
तब राजा ने अपने स्थान पर खड़ा हो कर, यहोवा से इस आशय की वाचा बान्धी कि मैं यहोवा के पीछे पीछे चलूंगा, और अपने पूर्ण मन और पूर्ण जीव से उसकी आज्ञाएं, चितौनियों और विधियों का पालन करूंगा, और इन वाचा की बातों को जो इस पुस्तक में लिखी हैं, पूरी करूंगा।
Tab raja ne apne sthaan par khada ho kar, Yahowa se is aashay ki vacha bandhi ki main Yahowa ke peechhe peechhe chaloonga, aur apne poorn man aur poorn jeev se uski aagyayen, chitauniyon aur vidhiyon ka palan karoonga, aur in vacha ki baton ko jo is pustak mein likhi hain, poori karoonga.
और उसने उन सभों से जो यरूशलेम में और बिन्यामीन में थे वैसी ही वाचा बन्धाई। और यरूशलेम के निवासी, परमेश्वर जो उनके पितरों का परमेश्वर था, उसकी वाचा के अनुसार करने लगे।
Aur usne un sabhon se jo Yerushalem mein aur binyameen mein the vaisi hi vacha bandhai. Aur Yerushalem ke nivasi, Parmeshwar jo unke pitron ka Parmeshwar tha, uski vacha ke anusaar karne lage.
और योशिय्याह ने इस्राएलियों के सब देशों में से सब घिनौनी वस्तुओं को दूर कर के जितने इस्राएल में मिले, उन सभों से उपासना कराई; अर्थात उनके परमेश्वर यहोवा की उपासना कराई। और उसके जीवन भर उन्होंने अपने पूवजों के परमेश्वर यहोवा के पीछे चलना न छोड़ा।
Aur yoshiyyaah ne Israeliyon ke sab deshon mein se sab ghinauni vastuon ko door kar ke jitne Israel mein mile, un sabhon se upasna karai; arthaat unke Parmeshwar Yahowa ki upasna karai. Aur uske jeevan bhar unhonne apne poovjon ke Parmeshwar Yahowa ke peechhe chalna na chhoda.