2 Chronicles 32 · 33 verses

2 इतिहास 32 2 Chronicles 32 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 32.

1

इन बातों और ऐसे प्रबन्ध के बाद अश्शूर का राजा सन्हेरीब ने आकर यहूदा में प्रवेश कर ओर गढ़ वाले नगरों के विरुद्ध डेरे डाल कर उन को अपने लाभ के लिये लेना चाहा।

In baton aur aise prabandh ke baad ashshoor ka raja sanhereeb ne aakar Yahuda mein pravesh kar or gadh vale nagron ke viruddh dere daal kar un ko apne laabh ke liye lena chaha.

2

यह देख कर कि सन्हेरीब निकट आया है और यरूशलेम से लड़ने की मनसा करता है,

Yah dekh kar ki sanhereeb nikat aaya hai aur Yerushalem se ladne ki mansa karta hai,

3

हिजकिय्याह ने अपने हाकिमों और वीरों के साथ यह सम्मति की, कि नगर के बाहर के सोतों को पठवा दें; और उन्होंने उसकी सहायता की।

Hijkiyyaah ne apne hakimon aur veeron ke saath yah sammati ki, ki nagar ke bahar ke soton ko pathva dein; aur unhonne uski sahayta ki.

4

इस पर बहुत से लोग इकट्ठे हुए, और यह कह कर, कि अश्शूर के राजा क्यों यहां आएं, और आ कर बहुत पानी पाएं, उन्होंने सब सोतों को पाट दिया और उस नदी को सुखा दिया जो देश के मध्य हो कर बहती थी।

Is par bahut se log ikatthe hue, aur yah kah kar, ki ashshoor ke raja kyon yahan aayen, aur aa kar bahut pani payen, unhonne sab soton ko paat diya aur us nadi ko sukha diya jo desh ke madhya ho kar bahti thi.

5

फिर हिजकिय्याह ने हियाव बान्ध कर शहरपनाह जहां कहीं टूटी थी, वहां वहां उसको बनवाया, और उसे गुम्मटों के बराबर ऊंचा किया और बाहर एक और शहरपनाह बनवाई, और दाऊदपुर में मिल्लो को दृढ़ किया। और बहुत से तीर और ढालें भी बनवाई।

Phir hijkiyyaah ne hiyaav baandh kar shahrapnaah jahan kahi tooti thi, vahan vahan usko banvaya, aur use gummaton ke barabar ooncha kiya aur bahar ek aur shahrapnaah banvai, aur daoodpur mein millo ko dridh kiya. Aur bahut se teer aur dhalein bhi banvai.

6

तब उसने प्रजा के ऊपर सेनापति नियुक्त किए और उन को नगर के फाटक के चौक में इकट्ठा किया, और यह कह कर उन को धीरज दिया,

Tab usne praja ke oopar senapti niyukt kiye aur un ko nagar ke phatak ke chauk mein ikattha kiya, aur yah kah kar un ko dheeraj diya,

7

कि हियाव बान्धो और दृढ़ हो तुम न तो अश्शूर के राजा से डरो और न उसके संग की सारी भीड़ से, और न तुम्हारा मन कच्चा हो; क्योंकि जो हमारे साथ है, वह उसके संगियों से बड़ा है।

Ki hiyaav bandho aur dridh ho tum na to ashshoor ke raja se daro aur na uske sang ki sari bheed se, aur na tumhara man kachcha ho; kyonki jo hamare saath hai, vah uske sangiyon se bada hai.

8

अर्थात उसका सहारा तो मनुष्य ही है परन्तु हमारे साथ, हमारी सहायता और हमारी ओर से युद्ध करने को हमारा परमेश्वर यहोवा है। इसलिये प्रजा के लोग यहूदा के राजा हिजकिय्याह की बातों पर भरोसा किए रहे।

Arthaat uska sahara to manushya hi hai parantu hamare saath, hamari sahayta aur hamari or se yuddh karne ko hamara Parmeshwar Yahowa hai. Isliye praja ke log Yahuda ke raja hijkiyyaah ki baton par bharosa kiye rahe.

9

इसके बाद अश्शूर का राजा सन्हेरीब जो सारी सेना समेत लाकीश के साम्हने पड़ा था, उसने अपने कर्मचारियों को यरूशलेम में यहूदा के राजा हिजकिय्याह और उन सब यहूदियों से जो यरूशलेम में थे यों कहने के लिये भेजा,

Iske baad ashshoor ka raja sanhereeb jo sari sena samet lakeesh ke samhane pada tha, usne apne karmachariyon ko Yerushalem mein Yahuda ke raja hijkiyyaah aur un sab Yahudiyon se jo Yerushalem mein the yon kahne ke liye bheja,

10

कि अश्शूर का राजा सन्हेरीब कहता है, कि तुम्हें किस का भरोसा है जिससे कि तुम घेरे हुए यरूशलेम में बैठे हो?

Ki ashshoor ka raja sanhereeb kahta hai, ki tumhein kis ka bharosa hai jisse ki tum ghere hue Yerushalem mein baithe ho?

11

क्या हिजकिय्याह तुम से यह कहकर कि हमारा परमेश्वर यहोवा हम को अश्शूर के राजा के पंजे से बचाएगा तुम्हें नहीं भरमाता है कि तुम को भूखों प्यासों मारे?

Kya hijkiyyaah tum se yah kahkar ki hamara Parmeshwar Yahowa ham ko ashshoor ke raja ke panje se bachayega tumhein nahi bharmata hai ki tum ko bhookhon pyason mare?

12

क्या उसी हिजकिय्याह ने उसके ऊंचे स्थान और वेदियां दूर कर के यहूदा और यरूशलेम को आज्ञा नहीं दी, कि तुम एक ही वेदी के साम्हने दण्डवत करना और उसी पर धूप जलाना?

Kya usi hijkiyyaah ne uske oonche sthaan aur vediyan door kar ke Yahuda aur Yerushalem ko aagya nahi di, ki tum ek hi vedi ke samhane dandavat karna aur usi par dhoop jalana?

13

क्या तुम को मालूम नहीं, कि मैं ने और मेरे पुरखाओं ने देश देश के सब लोगों से क्या क्या किया है? क्या उन देशें की जातियों के देवता किसी भी उपाय से अपने देश को मेरे हाथ से बचा सके?

Kya tum ko maloom nahi, ki main ne aur mere purkhaon ne desh desh ke sab logon se kya kya kiya hai? Kya un deshein ki jatiyon ke devta kisi bhi upaay se apne desh ko mere haath se bacha sake?

14

जितनी जातियों का मेरे पुरखाओं ने सत्यानाश किया है उनके सब देवताओं में से ऐसा कौन था जो अपनी प्रजा को मेरे हाथ से बचा सका हो? फिर तुम्हारा देवता तुम को मेरे हाथ से कैसे बचा सकेगा?

Jitni jatiyon ka mere purkhaon ne satyanaash kiya hai unke sab devtaon mein se aisa kaun tha jo apni praja ko mere haath se bacha saka ho? Phir tumhara devta tum ko mere haath se kaise bacha sakega?

15

अब हिजकिय्याह तुम को इस रीति भुलाने अथवा बहकाने न पाए, और तुम उसकी प्रतीति न करो, क्योंकि किसी जाति था राज्य का कोई देवता अपनी प्रजा को न तो मेरे हाथ से और न मेरे पुरखाओं के हाथ से बचा सका। यह निश्चय है कि तुम्हारा देवता तुम को मेरे हाथ से नहीं बचा सकेगा।

Ab hijkiyyaah tum ko is reeti bhulane athva bahkane na paye, aur tum uski prateeti na karo, kyonki kisi jati tha rajya ka koi devta apni praja ko na to mere haath se aur na mere purkhaon ke haath se bacha saka. Yah nishchay hai ki tumhara devta tum ko mere haath se nahi bacha sakega.

16

इस से भी अधिक उसके कर्मचारियों ने यहोवा परमेश्वर की, और उसके दास हिजकिय्याह की निन्दा की।

Is se bhi adhik uske karmachariyon ne Yahowa Parmeshwar ki, aur uske daas hijkiyyaah ki ninda ki.

17

फिर उसने ऐसा एक पत्र भेजा, जिस में इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की निन्दा की थे बातें लिखी थीं, कि जैसे देश देश की जातियों के देवताओं ने अपनी अपनी प्रजा को मेरे हाथ से नहीं बचाया वैसे ही हिजकिय्याह का देवता भी अपनी प्रजा को मेरे हाथ से नहीं बचा सकेगा।

Phir usne aisa ek patra bheja, jis mein Israel ke Parmeshwar Yahowa ki ninda ki the batein likhi thi, ki jaise desh desh ki jatiyon ke devtaon ne apni apni praja ko mere haath se nahi bachaya vaise hi hijkiyyaah ka devta bhi apni praja ko mere haath se nahi bacha sakega.

18

और उन्होंने ऊंचे शब्द से उन यरूशलेमियों को जो शहरपनाह पर बैठे थे, यहूदी बोली में पुकारा, कि उन को डरा कर घबराहट में डाल दें जिस से नगर को ले लें।

Aur unhonne oonche shabd se un yarooshlemiyon ko jo shahrapnaah par baithe the, Yahudi boli mein pukara, ki un ko dara kar ghabrahat mein daal dein jis se nagar ko le lein.

19

और उन्होंने यरूशलेम के परमेश्वर की ऐसी चर्चा की, कि मानो पृथ्वी के देश देश के लोगों के देवताओं के बराबर हो, जो मनुष्यों के बनाए हुए हैं।

Aur unhonne Yerushalem ke Parmeshwar ki aisi charcha ki, ki mano prithvi ke desh desh ke logon ke devtaon ke barabar ho, jo manushyon ke banaye hue hain.

20

तब इन घटनाओं के कारण राजा हिजकिय्याह और आमोस के पुत्र यशायाह नबी दोनों ने प्रार्थना की और स्वर्ग की ओर दोहाई दी।

Tab in ghatnaon ke karan raja hijkiyyaah aur aamos ke putra yashayaah nabi donon ne prarthana ki aur swarg ki or dohai di.

21

तब यहोवा ने एक दूत भेज दिया, जिसने अश्शूर के राजा की छावनी में सब शूरवीरों, प्रधानों और सेनापतियों को नाश किया। और वह लज्जित हो कर, अपने देश को लौट गया। और जब वह अपने देवता के भवन में था, तब उसके निज पुत्रों ने वहीं उसे तलवार से मार डाला।

Tab Yahowa ne ek doot bhej diya, jisne ashshoor ke raja ki chhavni mein sab shoorveeron, pradhanon aur senaptiyon ko naash kiya. Aur vah lajjit ho kar, apne desh ko laut gaya. Aur jab vah apne devta ke bhavan mein tha, tab uske nij putron ne vahi use talvaar se maar dala.

22

यों यहोवा ने हिजकिय्याह और यरूशलेम के निवासियों अश्शूर के राजा सन्हेरीब और अपने सब शत्रुओं के हाथ से बचाया, और चारों ओर उनकी अगुवाई की।

Yon Yahowa ne hijkiyyaah aur Yerushalem ke nivasiyon ashshoor ke raja sanhereeb aur apne sab shatruon ke haath se bachaya, aur charon or unki aguvai ki.

23

और बहुत लोग यरूशलेम को यहोवा के लिये भेंट और यहूदा के राजा हिजकिय्याह के लिये अनमोल वस्तुएं ले आने लगे, और उस समय से वह सब जातियों की दृष्टि में महान ठहरा।

Aur bahut log Yerushalem ko Yahowa ke liye bhent aur Yahuda ke raja hijkiyyaah ke liye anmol vastuein le aane lage, aur us samay se vah sab jatiyon ki drishti mein mahaan thahra.

24

उन दिनों हिजकिय्याह ऐसा रोगी हुआ, कि वह मरा चाहता था, तब उसने यहोवा से प्रार्थना की; और उसने उस से बातें कर के उसके लिये एक चमत्कार दिखाया।

Un dinon hijkiyyaah aisa rogi huaa, ki vah mara chahta tha, tab usne Yahowa se prarthana ki; aur usne us se batein kar ke uske liye ek chamatkaar dikhaya.

25

परन्तु हिजकिय्याह ने उस उपकार का बदला न दिया, क्योंकि उसका मन फूल उठा था। इस कारण उसका कोप उस पर और यहूदा और यरूशलेम पर भड़का।

Parantu hijkiyyaah ne us upkaar ka badla na diya, kyonki uska man phool utha tha. Is karan uska kop us par aur Yahuda aur Yerushalem par bhadka.

26

तब हिजकिय्याह यरूशलेम के निवासियों समेत अपने मन के फूलने के कारण दीन हो गया, इसलिये यहोवा का क्रोध उन पर हिजकिय्याह के दिनों में न भड़का।

Tab hijkiyyaah Yerushalem ke nivasiyon samet apne man ke phoolne ke karan deen ho gaya, isliye Yahowa ka krodh un par hijkiyyaah ke dinon mein na bhadka.

27

और हिजकिय्याह को बहुत ही धन और वैभव मिला; और उसने चान्दी, सोने, मणियों, सुगन्धद्रव्य, ढालों और सब प्रकार के मनभावने पात्रों के लिये भणडार बनवाए।

Aur hijkiyyaah ko bahut hi dhan aur vaibhav mila; aur usne chandi, sone, maniyon, sugandhadravya, dhalon aur sab prakaar ke manbhavne patron ke liye bhandaar banvaye.

28

फिर उसने अन्न, नया दाखमधु, और टटका तेल के लिये भणडार, और सब भांति के पशुओं के लिये थान, और भेड़-बकरियों के लिये भेड़शालाएं बनवाई।

Phir usne ann, naya dakhamdhu, aur tatka tel ke liye bhandaar, aur sab bhanti ke pashuon ke liye thaan, aur bhed-bakriyon ke liye bhedshalayen banvai.

29

और उसने नगर बसाए, और बहुत ही भेड़-बकरियों और गाय-बैलों की सम्पत्ति इकट्ठा कर ली, क्योंकि परमेश्वर ने उसे बहुत ही धन दिया था।

Aur usne nagar basaye, aur bahut hi bhed-bakriyon aur gaay-bailon ki sampatti ikattha kar li, kyonki Parmeshwar ne use bahut hi dhan diya tha.

30

उसी हिजकिय्याह ने गीहोन नाम नदी के ऊपर के सोते को पाट कर उस नदी को नीचे की ओर दाऊदपुर की पच्छिम अलंग को सीधा पहुंचाया, और हिजकिय्याह अपने सब कामों में कृतार्थ होता था।

Usi hijkiyyaah ne geehon naam nadi ke oopar ke sote ko paat kar us nadi ko neeche ki or daoodpur ki pachchhim alang ko seedha pahunchaya, aur hijkiyyaah apne sab kamon mein kritaarth hota tha.

31

तौभी जब बाबेल के हाकिमों ने उसके पास उसके देश में किए हुए चमत्कार के विषय पूछने को दूत भेजे तब परमेश्वर ने उसको इसलिये छोड़ दिया, कि उसको परख कर उसके मन का सारा भेद जान ले।

Taubhi jab babel ke hakimon ne uske paas uske desh mein kiye hue chamatkaar ke vishay poochhne ko doot bheje tab Parmeshwar ne usko isliye chhod diya, ki usko parakh kar uske man ka sara bhed jaan le.

32

हिजकिय्याह के और काम, ओर उसके भक्ति के काम आमोस के पुत्र यशायाह नबी के दर्शन नाम पुस्तक में, और यहूदा और इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखे हैं।

Hijkiyyaah ke aur kaam, or uske bhakti ke kaam aamos ke putra yashayaah nabi ke darshan naam pustak mein, aur Yahuda aur Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likhe hain.

33

अन्त में हिजकिय्याह अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसको दाऊद की सन्तान के कब्रिस्तान की चढ़ाई पर मिट्टी दी गई, और सब यहूदियों और यरूशलेम के निवासियों ने उसकी मृत्यु पर उसका आदरमान किया। और उसका पुत्र मनश्शे उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Ant mein hijkiyyaah apne purkhaon ke sang so gaya aur usko Daud ki santaan ke kabristaan ki chadhai par mitti di gai, aur sab Yahudiyon aur Yerushalem ke nivasiyon ne uski mrityu par uska aadarmaan kiya. Aur uska putra manashshe uske sthaan par rajya karne laga.