2 Chronicles 31 · 21 verses

2 इतिहास 31 2 Chronicles 31 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 31.

1

जब यह सब हो चुका, तब जितने इस्राएली अपस्थित थे, उन सभों ने यहूदा के नगरों में जा कर, सारे यहूदा और बिन्यामीन और एप्रेम और मनश्शे में कि लाठों को तोड़ दिया, अशेरों को काट डाला, और ऊंचे स्थानों और वेदियों को गिरा दिया; और उन्होंने उन सब का अन्त कर दिया। तब सब इस्राएली अपने अपने नगर को लौट कर, अपनी अपनी निज भूमि में पहुंचे।

Jab yah sab ho chuka, tab jitne Israeli apasthit the, un sabhon ne Yahuda ke nagron mein ja kar, sare Yahuda aur binyameen aur eprem aur manashshe mein ki lathon ko tod diya, asheron ko kaat dala, aur oonche sthanon aur vediyon ko gira diya; aur unhonne un sab ka ant kar diya. Tab sab Israeli apne apne nagar ko laut kar, apni apni nij bhoomi mein pahunche.

2

और हिजकिय्याह ने याजकों के दलों को और लेवियों को वरन याजकों और लेवियों दोनों को, प्रति दल के अनुसार और एक एक मनुष्य को उसकी सेवकाई के अनुसार इसलिये ठहरा दिया, कि वे यहोवा की छावनी के द्वारों के भीतर होमबलि, मेलबलि, सेवा टहल, धन्यवाद और स्तुति किया करें।

Aur hijkiyyaah ne yajkon ke dalon ko aur leviyon ko varan yajkon aur leviyon donon ko, prati dal ke anusaar aur ek ek manushya ko uski sevkai ke anusaar isliye thahra diya, ki ve Yahowa ki chhavni ke dwaron ke bheetar homabli, melabli, seva tahal, dhanyavaad aur stuti kiya karein.

3

फिर उसने अपनी सम्पत्ति में से राजभाषा को होमबलियों के लिये ठहरा दिया; अर्थात सवेरे और सांझ की होमबलि और विश्राम और नये चांद के दिनों और नियत समयों की होमबलि के लिये जैसा कि यहोवा की व्यवस्था में लिखा है।

Phir usne apni sampatti mein se rajbhasha ko homabliyon ke liye thahra diya; arthaat savere aur saanjh ki homabli aur vishraam aur naye chaand ke dinon aur niyat samyon ki homabli ke liye jaisa ki Yahowa ki vyavastha mein likha hai.

4

और उसने यरूशलेम में रहने वालों को याजकों और लेवियों को उनका भाग देने की आज्ञा दी, ताकि वे यहोवा की व्यवस्था के काम मन लगा कर कर सकें।

Aur usne Yerushalem mein rahne valon ko yajkon aur leviyon ko unka bhaag dene ki aagya di, taki ve Yahowa ki vyavastha ke kaam man laga kar kar sakein.

5

यह आज्ञा सुनते ही इस्राएली अन्न, नया दाखमधु, टटका तेल, मधु आदि खेती की सब भांति की पहिली उपज बहुतायत से देने, और सब वस्तुओं का दशमांश अधिक मात्रा में लाने लगे।

Yah aagya sunte hi Israeli ann, naya dakhamdhu, tatka tel, madhu aadi kheti ki sab bhanti ki pahili upaj bahutayat se dene, aur sab vastuon ka dashmaansh adhik matra mein lane lage.

6

और जो इस्राएली और यहूदी, यहूदा के नगरों में रहते थे, वे भी बैलों और भेड़-बकरियों का दशमांश, और उन पवित्र वस्तुओं का दशमांश, जो उनके परमेश्वर यहोवा के निमित्त पवित्र की गई थीं, लाकर ढेर ढेर कर के रखने लगे।

Aur jo Israeli aur Yahudi, Yahuda ke nagron mein rahte the, ve bhi bailon aur bhed-bakriyon ka dashmaansh, aur un pavitra vastuon ka dashmaansh, jo unke Parmeshwar Yahowa ke nimitt pavitra ki gai thi, lakar dher dher kar ke rakhne lage.

7

इस प्रकार ढेर का लगाना उन्होंने तीसरे महीने में आरम्भ किया और सातवें महीने में पूरा किया।

Is prakaar dher ka lagana unhonne teesre maheene mein aarambh kiya aur satvein maheene mein poora kiya.

8

जब हिजकिय्याह और हाकिमों ने आ कर उन ढेरों को देखा, तब यहोवा को और उसकी प्रजा इस्राएल को धन्य धन्य कहा।

Jab hijkiyyaah aur hakimon ne aa kar un dheron ko dekha, tab Yahowa ko aur uski praja Israel ko dhanya dhanya kaha.

9

तब हिजकिय्याह ने याजकों और लेवियों से उन ढेरों के विषय पूछा।

Tab hijkiyyaah ne yajkon aur leviyon se un dheron ke vishay poochha.

10

और अजर्याह महायाजक ने जो सादोक के घराने का था, उस से कहा, जब से लोग यहोवा के भवन में उठाई हुई भेंटें लाने लगे हैं, तब से हम लोग पेट भर खाने को पाते हैं, वरन बहुत बचा भी करता है; क्योंकि यहोवा ने अपनी प्रजा को आशीष दी है, और जो शेष रह गया है, उसी का यह बड़ा ढेर है।

Aur ajaryaah mahayajak ne jo sadok ke gharane ka tha, us se kaha, jab se log Yahowa ke bhavan mein uthai hui bhentein lane lage hain, tab se ham log pet bhar khane ko pate hain, varan bahut bacha bhi karta hai; kyonki Yahowa ne apni praja ko aasheesh di hai, aur jo shesh rah gaya hai, usi ka yah bada dher hai.

11

तब हिजकिय्याह ने यहोवा के भवन में कोठरियां तैयार करने की आज्ञा दी, और वे तैयार की गई।

Tab hijkiyyaah ne Yahowa ke bhavan mein kothriyan taiyaar karne ki aagya di, aur ve taiyaar ki gai.

12

तब लोगों ने उठाई हुई भेंटें, दशमांश और पवित्र की हुई वस्तुएं, सच्चाई से पहुंचाई और उनके मुख्य अधिकारी तो कोनन्याह नाम एक लेवीय और दूसरा उसका भाई शिमी नायब था।

Tab logon ne uthai hui bhentein, dashmaansh aur pavitra ki hui vastuein, sachchai se pahunchai aur unke mukhya adhikari to konanyaah naam ek leveeya aur doosra uska bhai shimi nayab tha.

13

और कोनन्याह और उसके भाई शिमी के नीचे, हिजकिय्याह राजा और परमेश्वर के भवन के प्रधान अजर्याह दोनों की आज्ञा से अहीएल, अजज्याह, नहत, असाहेल, यरीमेत, योजाबाद, एलीएल, यिस्मक्याह, महत और बनायाह अधिकारी थे।

Aur konanyaah aur uske bhai shimi ke neeche, hijkiyyaah raja aur Parmeshwar ke bhavan ke pradhaan ajaryaah donon ki aagya se aheeyel, ajajyaah, nahat, asahel, yareemet, yojabaad, eleeyel, yismakyaah, mahat aur banayaah adhikari the.

14

और परमेश्वर के लिये स्वेच्छाबलियों का अधिकारी यिम्ना लेवीय का पुत्र कोरे था, जो पूर्व फाटक का द्वारपाल था, कि वह यहोवा की उठाई हुई भेंटें, और परमपवित्र वस्तुएं बांटा करे।

Aur Parmeshwar ke liye swechchhabliyon ka adhikari yimna leveeya ka putra kore tha, jo poorva phatak ka dwarpaal tha, ki vah Yahowa ki uthai hui bhentein, aur parmapvitra vastuein banta kare.

15

और उसके अधिकार में एदेन, मिन्यामीन, येशू, शमायाह, अमर्याह और शकन्याह याजकों के नगरों में रहते थे, कि वे क्या बड़े, क्या छोटे, अपने भाइयों को उनके दलों के अनुसार सच्चाई से दिया करें,

Aur uske adhikaar mein eden, minyameen, yeshu, shamayaah, amaryaah aur shakanyaah yajkon ke nagron mein rahte the, ki ve kya bade, kya chhote, apne bhaiyon ko unke dalon ke anusaar sachchai se diya karein,

16

और उनके अलावा उन को भी दें, जो पुरुषों की वंशावली के अनुसार गिने जा कर तीन वर्ष की अवस्था के वा उस से अधिक आयु के थे, और अपने अपने दल के अनुसार अपनी अपनी सेवकाई निबाहने को दिन दिन के काम के अनुसार यहोवा के भवन में जाया करते थे।

Aur unke alava un ko bhi dein, jo purushon ki vanshavli ke anusaar gine ja kar teen varsh ki avastha ke va us se adhik aayu ke the, aur apne apne dal ke anusaar apni apni sevkai nibahne ko din din ke kaam ke anusaar Yahowa ke bhavan mein jaya karte the.

17

और उन याजकों को भी दें, जिनकी वंशावली उनके पितरों के घरानों के अनुसार की गई, और उन लेवियों को भी जो बीस वर्ष की अवस्था से ले आगे को अपने अपने दल के अनुसार, अपने अपने काम निबाहते थे।

Aur un yajkon ko bhi dein, jinki vanshavli unke pitron ke gharanon ke anusaar ki gai, aur un leviyon ko bhi jo bees varsh ki avastha se le aage ko apne apne dal ke anusaar, apne apne kaam nibahte the.

18

और सारी सभा में उनके बाल-बच्चों, स्त्रियों, बेटों और बेटियों को भी दें, जिनकी वंशावली थी, क्योंकि वे सच्चाई से अपने को पवित्र करते थे।

Aur sari sabha mein unke baal-bachchon, striyon, beton aur betiyon ko bhi dein, jinki vanshavli thi, kyonki ve sachchai se apne ko pavitra karte the.

19

फिर हारून की सन्तान के याजकों को भी जो अपने अपने नगरों के चराई वाले मैदान में रहते थे, देने के लिये वे पुरुष नियुक्त किए गए थे जिनके नाम ऊपर लिखे हुए थे कि वे याजकों के सब पुरुषों और उन सब लेवियों को भी उनका भाग दिया करें जिनकी वंशावली थी।

Phir haroon ki santaan ke yajkon ko bhi jo apne apne nagron ke charai vale maidaan mein rahte the, dene ke liye ve purush niyukt kiye gaye the jinke naam oopar likhe hue the ki ve yajkon ke sab purushon aur un sab leviyon ko bhi unka bhaag diya karein jinki vanshavli thi.

20

और सारे यहूदा में भी हिजकिय्याह ने ऐसा ही प्रबन्ध किया, और जो कुछ उसके परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में भला ओर ठीक और सच्चाई का था, उसे वह करता था।

Aur sare Yahuda mein bhi hijkiyyaah ne aisa hi prabandh kiya, aur jo kuchh uske Parmeshwar Yahowa ki drishti mein bhala or theek aur sachchai ka tha, use vah karta tha.

21

और जो जो काम उसने परमेश्वर के भवन की उपासना और व्यवस्था और आज्ञा के विषय अपने परमेश्वर की खोज में किया, वह उसने अपना सारा मन लगाकर किया और उस में कृतार्थ भी हुआ।

Aur jo jo kaam usne Parmeshwar ke bhavan ki upasna aur vyavastha aur aagya ke vishay apne Parmeshwar ki khoj mein kiya, vah usne apna sara man lagakar kiya aur us mein kritaarth bhi huaa.