2 Chronicles 30 · 27 verses

2 इतिहास 30 2 Chronicles 30 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 30.

1

फिर हिजकिय्याह ने सारे इस्राएल और यहूदा में कहला भेजा, और एप्रैम और मनश्शे के पास इस आशय के पत्र लिख भेजे, कि तुम यरूशलेम को यहोवा के भवन में इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के लिये फसह मनाने को आओ।

Phir hijkiyyaah ne sare Israel aur Yahuda mein kahla bheja, aur epraim aur manashshe ke paas is aashay ke patra likh bheje, ki tum Yerushalem ko Yahowa ke bhavan mein Israel ke Parmeshwar Yahowa ke liye phasah manane ko aao.

2

राजा और उसके हाकिमों और यरूशलेम की मणडली ने सम्मति की थी कि फसह को दूसरे महीने में मनाएं।

Raja aur uske hakimon aur Yerushalem ki manadli ne sammati ki thi ki phasah ko doosre maheene mein manayen.

3

वे उसे उस समय इस कारण न मना सकते थे, क्योंकि थोड़े ही याजकों ने अपने अपने को पवित्र किया था, और प्रजा के लोग यरूशलेम में इकट्ठे न हुए थे।

Ve use us samay is karan na mana sakte the, kyonki thode hi yajkon ne apne apne ko pavitra kiya tha, aur praja ke log Yerushalem mein ikatthe na hue the.

4

और यह बात राजा और सारी मणडली को अच्छी लगी।

Aur yah baat raja aur sari manadli ko achchhi lagi.

5

तब उन्होंने यह ठहरा दिया, कि बेर्शेबा से ले कर दान के सारे इस्राएलियों में यह प्रचार किया जाय, कि यरूशलेम में इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के लिये फसह मनाने को चले आओ;

Tab unhonne yah thahra diya, ki bersheba se le kar daan ke sare Israeliyon mein yah prachaar kiya jaay, ki Yerushalem mein Israel ke Parmeshwar Yahowa ke liye phasah manane ko chale aao;

6

क्योंकि उन्होंने इतनी बड़ी संख्या में उसको इस प्रकार न मनाया था जैसा कि लिखा है। इसलिये हरकारे राजा और उसके हाकिमों से चिट्ठियां ले कर, राजा की आज्ञा के अनुसार सारे इस्राएल और यहूदा में घूमे, और यह कहते गए, कि हे इस्राएलियो! इब्राहीम, इसहाक और इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की ओर फिरो, कि वह अश्शूर के राजाओं के हाथ से बचे हुए तुम लोगों की ओर फिरे।

Kyonki unhonne itni badi sankhya mein usko is prakaar na manaya tha jaisa ki likha hai. Isliye harkare raja aur uske hakimon se chitthiyan le kar, raja ki aagya ke anusaar sare Israel aur Yahuda mein ghoome, aur yah kahte gaye, ki he israyeliyo! Ibrahim, Ishaq aur Israel ke Parmeshwar Yahowa ki or phiro, ki vah ashshoor ke rajaon ke haath se bache hue tum logon ki or phire.

7

और अपने पुरखाओं और भाइयों के समान मत बनो, जिन्होंने अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा से विश्वासघात किया था, और उसने उन्हें चकित होने का कारण कर दिया, जैसा कि तुम स्वयं देख रहे हो।

Aur apne purkhaon aur bhaiyon ke samaan mat bano, jinhonne apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa se vishwasghaat kiya tha, aur usne unhein chakit hone ka karan kar diya, jaisa ki tum swayan dekh rahe ho.

8

अब अपने पुरखाओं की नाईं हठ न करो, वरन यहोवा के आधीन हो कर उसके उस पवित्र स्थान में आओ जिसे उसने सदा के लिये पवित्र किया है, और अपने परमेश्वर यहोवा की उपासना करो, कि उसका भड़का हुआ क्रोध तुम पर से दूर हो जाए।

Ab apne purkhaon ki nai hath na karo, varan Yahowa ke aadheen ho kar uske us pavitra sthaan mein aao jise usne sada ke liye pavitra kiya hai, aur apne Parmeshwar Yahowa ki upasna karo, ki uska bhadka huaa krodh tum par se door ho jaye.

9

यदि तुम यहोवा की ओर फिरोगे तो जो तुम्हारे भाइयों और लड़के-बालों को बन्धुआ बना के ले गए हैं, वे उन पर दया करेंगे, और वे इस देश में लौट सकेंगे क्योंकि तुम्हारा परमेश्वर यहोवा अनुग्रहकारी और दयालु है, और यदि तुम उसकी ओर फिरोगे तो वह अपना मुंह तुम से न मोड़ेगा।

Yadi tum Yahowa ki or phiroge to jo tumhare bhaiyon aur ladke-balon ko bandhuaa bana ke le gaye hain, ve un par daya karenge, aur ve is desh mein laut sakenge kyonki tumhara Parmeshwar Yahowa anugrahkari aur dayalu hai, aur yadi tum uski or phiroge to vah apna munh tum se na modega.

10

इस प्रकार हरकारे एप्रैम और मनश्शे के देशें में नगर नगर होते हुए जबूलून तक गए; परन्तु उन्होंने उनकी हंसी की, और उन्हें ठट्ठों में उड़ाया।

Is prakaar harkare epraim aur manashshe ke deshein mein nagar nagar hote hue jabooloon tak gaye; parantu unhonne unki hansi ki, aur unhein thatthon mein udaya.

11

तौभी आशेर, मनश्शे और जबूलून में से कुछ लोग दीन हो कर यरूशलेम को आए।

Taubhi aasher, manashshe aur jabooloon mein se kuchh log deen ho kar Yerushalem ko aaye.

12

और यहूदा में भी परमेश्वर की ऐसी शक्ति हुई, कि वे एक मन हो कर, जो आज्ञा राजा और हाकिमों ने यहोवा के वचन के अनुसार दी थी, उसे मानने को तैयार हुए।

Aur Yahuda mein bhi Parmeshwar ki aisi shakti hui, ki ve ek man ho kar, jo aagya raja aur hakimon ne Yahowa ke vachan ke anusaar di thi, use manne ko taiyaar hue.

13

इस प्रकार अधिक लोग यरूशलेम में इसलिये इकट्ठे हुए, कि दूसरे महीने में अखमीरी रोटी का पर्व्व मानें। और बहुत बड़ी सभा इकट्ठी हो गई।

Is prakaar adhik log Yerushalem mein isliye ikatthe hue, ki doosre maheene mein akhmeeri roti ka parvva manein. Aur bahut badi sabha ikatthi ho gai.

14

और उन्होंने उठ कर, यरूशलेम की वेदियों और धूप जलाने के सब स्थानों को उठा कर किद्रोन नाले में फेंक दिया।

Aur unhonne uth kar, Yerushalem ki vediyon aur dhoop jalane ke sab sthanon ko utha kar kidron nale mein phenk diya.

15

तब दूसरे महीने के चौदहवें दिन को उन्होंने फसह के पशु बलि किए तब याजक और लेवीय लज्जित हुए और अपने को पवित्र कर के होमबलियों को यहोवा के भवन में ले आए।

Tab doosre maheene ke chaudahvein din ko unhonne phasah ke pashu bali kiye tab yajak aur leveeya lajjit hue aur apne ko pavitra kar ke homabliyon ko Yahowa ke bhavan mein le aaye.

16

और वे अपने नियम के अनुसार, अर्थात परमेश्वर के जन मूसा की व्यवस्था के अनुसार, अपने अपने स्थान पर खड़े हुए, और याजकों ने रक्त को लेवियों के हाथ से ले कर छिड़क दिया।

Aur ve apne niyam ke anusaar, arthaat Parmeshwar ke jan Musa ki vyavastha ke anusaar, apne apne sthaan par khade hue, aur yajkon ne rakt ko leviyon ke haath se le kar chhidak diya.

17

क्योंकि सभा में बहुते ऐसे थे जिन्होंने अपने को पवित्र न किया था; इसलिये सब अशुद्ध लोगों के फसह के पशुओं को बलि करने का अधिकार लेवियों को दिया गया, कि उन को यहोवा के लिये पवित्र करें।

Kyonki sabha mein bahute aise the jinhonne apne ko pavitra na kiya tha; isliye sab ashuddh logon ke phasah ke pashuon ko bali karne ka adhikaar leviyon ko diya gaya, ki un ko Yahowa ke liye pavitra karein.

18

बहुत से लोगों ने अर्थात एप्रैम, मनश्शे, इस्साकार और जबूलून में से बहुतों ने अपने को शुद्ध नहीं किया था, तौभी वे फसह के पशु का मांस लिखी हुई विधि के विरुद्ध खाते थे। क्योंकि हिजकिय्याह ने उनके लिये यह प्रार्थना की थी, कि यहोवा जो भला है, वह उन सभों के पाप ढांप दे;

Bahut se logon ne arthaat epraim, manashshe, issakaar aur jabooloon mein se bahuton ne apne ko shuddh nahi kiya tha, taubhi ve phasah ke pashu ka maans likhi hui vidhi ke viruddh khate the. Kyonki hijkiyyaah ne unke liye yah prarthana ki thi, ki Yahowa jo bhala hai, vah un sabhon ke paap dhaamp de;

19

जो परमेश्वर की अर्थात अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा की खोज में मन लगाए हुए हैं, चाहे वे पवित्र स्थान की विधि के अनुसार शुद्ध न भी हों।

Jo Parmeshwar ki arthaat apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ki khoj mein man lagaye hue hain, chahe ve pavitra sthaan ki vidhi ke anusaar shuddh na bhi hon.

20

और यहोवा ने हिजकिय्याह की यह प्रार्थना सुन कर लोगों को चंगा किया।

Aur Yahowa ne hijkiyyaah ki yah prarthana sun kar logon ko changa kiya.

21

और जो इस्राएली यरूशलेम में उपस्थित थे, वे सात दिन तक अखमीरी रोटी का पर्व्व बड़े आनन्द से मनाते रहे; और प्रतिदिन लेवीय और याजक ऊंचे शब्द के बाजे यहोवा के लिये बजा कर यहोवा की स्तुति करते रहे।

Aur jo Israeli Yerushalem mein upasthit the, ve saat din tak akhmeeri roti ka parvva bade aanand se manate rahe; aur pratidin leveeya aur yajak oonche shabd ke baje Yahowa ke liye baja kar Yahowa ki stuti karte rahe.

22

और जितने लेवीय यहोवा का भजन बुद्धिमानी के साथ करते थे, उन को हिजकिय्याह ने शान्ति के वचन कहे। इस प्रकार वे मेलबलि चढ़ा कर और अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा के सम्मुख पापांगीकार करते रहे और उस नियत पर्व्व के सातों दिन तक खाते रहे।

Aur jitne leveeya Yahowa ka bhajan buddhimani ke saath karte the, un ko hijkiyyaah ne shanti ke vachan kahe. Is prakaar ve melabli chadha kar aur apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ke sammukh papangeekaar karte rahe aur us niyat parvva ke saton din tak khate rahe.

23

तब सारी सभा ने सम्मति की कि हम और सात दिन पर्व्व मानेंगे; सो उन्होंने और सात दिन आनन्द से पर्व्व मनाया।

Tab sari sabha ne sammati ki ki ham aur saat din parvva manenge; so unhonne aur saat din aanand se parvva manaya.

24

क्योंकि यहूदा के राजा हिजकिय्याह ने सभा को एक हजार बछड़े और सात हजार भेड़-बकरियां दे दीं, और हाकिमों ने सभा को एक हजार बछड़े और दस हजार भेड़-बकरियां दीं, और बहुत से याजकों ने अपने को पवित्र किया।

Kyonki Yahuda ke raja hijkiyyaah ne sabha ko ek hajaar bachhde aur saat hajaar bhed-bakriyan de di, aur hakimon ne sabha ko ek hajaar bachhde aur das hajaar bhed-bakriyan di, aur bahut se yajkon ne apne ko pavitra kiya.

25

तब याजकों और लेवियों समेत यहूदा की सारी सभा, और इस्राएल से आए हुओं की सभा, और इस्राएल के देश से आए हुए, और यहूदा में रहने वाले परदेशी, इन सभों ने आनन्द किया।

Tab yajkon aur leviyon samet Yahuda ki sari sabha, aur Israel se aaye huon ki sabha, aur Israel ke desh se aaye hue, aur Yahuda mein rahne vale pardeshi, in sabhon ne aanand kiya.

26

सो यरूशलेम में बड़ा आनन्द हुआ, क्योंकि दाऊद के पुत्र इस्राएल के राजा सुलैमान के दिनों से ऐसी बात यरूशलेम में न हुई थी।

So Yerushalem mein bada aanand huaa, kyonki Daud ke putra Israel ke raja sulaimaan ke dinon se aisi baat Yerushalem mein na hui thi.

27

अन्त में लेवीय याजकों ने खड़े हो कर प्रजा को आशीर्वाद दिया, और उनकी सुनी गई, और उनकी प्रार्थना उसके पवित्र धाम तक अर्थात स्वर्ग तक पहुंची।

Ant mein leveeya yajkon ne khade ho kar praja ko aasheervaad diya, aur unki suni gai, aur unki prarthana uske pavitra dhaam tak arthaat swarg tak pahunchi.