2 Chronicles 29 · 36 verses

2 इतिहास 29 2 Chronicles 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 29.

1

जब हिजकिय्याह राज्य करने लगा तब वह पच्चीस वर्ष का था, और उनतीस वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसकी माता का ताम अबिय्याह था, जो जकर्याह की बेटी थी।

Jab hijkiyyaah rajya karne laga tab vah pachchees varsh ka tha, aur untees varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur uski mata ka taam abiyyaah tha, jo jakaryaah ki beti thi.

2

जैसे उसके मूलपुरुष दाऊद ने किया था अर्थात जो यहोवा की दृष्टि में ठीक था वैसा ही उसने भी किया।

Jaise uske moolpurush Daud ne kiya tha arthaat jo Yahowa ki drishti mein theek tha vaisa hi usne bhi kiya.

3

अपने राज्य के पहिले वर्ष के पहिले महीने में उसने यहोवा के भवन के द्वार खुलवा दिए, और उनकी मरम्मत भी कराई।

Apne rajya ke pahile varsh ke pahile maheene mein usne Yahowa ke bhavan ke dwaar khulva diye, aur unki marammat bhi karai.

4

तब उसने याजकों और लेवियों को ले आ कर पूर्व के चौक में इकट्ठा किया।

Tab usne yajkon aur leviyon ko le aa kar poorva ke chauk mein ikattha kiya.

5

और उन से कहने लगा, हे लेवियो मेरी सुनो! अब अपने अपने को पवित्र करो, और अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा के भवन को पवित्र करो, और पवित्रस्थान में से मैल निकालो।

Aur un se kahne laga, he leviyo meri suno! Ab apne apne ko pavitra karo, aur apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ke bhavan ko pavitra karo, aur pavitrasthaan mein se mail nikalo.

6

देखो हमारे पुरखाओं ने विश्वासघात कर के वह कर्म किया था, जो हमारे परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में बुरा है और उसको तज कर के यहोवा के निवास से मुंह फेर कर उसको पीठ दिखाई थी।

Dekho hamare purkhaon ne vishwasghaat kar ke vah karm kiya tha, jo hamare Parmeshwar Yahowa ki drishti mein bura hai aur usko taj kar ke Yahowa ke nivaas se munh pher kar usko peeth dikhai thi.

7

फिर उन्होंने ओसारे के द्वार बन्द किए, और दीपकों को बुझा दिया था; और पवित्र स्थान में इस्राएल के परमेश्वर के लिये न तो धूप जलाया और न होमबलि चढ़ाया था।

Phir unhonne osare ke dwaar band kiye, aur deepkon ko bujha diya tha; aur pavitra sthaan mein Israel ke Parmeshwar ke liye na to dhoop jalaya aur na homabli chadhaya tha.

8

इसलिये यहोवा का क्रोध यहूदा और यरूशलेम पर भड़का है, और उसने ऐसा किया, कि वे मारे मारे फिरें और चकित होने और ताली बजाने का कारण हो जाएं, जैसे कि तुम अपनी आंखों से देख रहे हो।

Isliye Yahowa ka krodh Yahuda aur Yerushalem par bhadka hai, aur usne aisa kiya, ki ve mare mare phirein aur chakit hone aur tali bajane ka karan ho jayen, jaise ki tum apni aankhon se dekh rahe ho.

9

देखो, इस कारण हमारे बाप तलवार से मारे गए, और हमारे बेटे-बेटियां और स्त्रियां बन्धुआई में चली गई हैं।

Dekho, is karan hamare baap talvaar se mare gaye, aur hamare bete-betiyan aur striyan bandhuaai mein chali gai hain.

10

अब मेरे मन ने यह निर्णय किया है कि इस्राएल के परमेश्वर यहोवा से वाचा बान्धूं, इसलिये कि उसका भड़का हुआ क्रोध हम पर से दूर हो जाए।

Ab mere man ne yah nirnay kiya hai ki Israel ke Parmeshwar Yahowa se vacha bandhun, isliye ki uska bhadka huaa krodh ham par se door ho jaye.

11

हे मेरे बेटो, ढिलाई न करो देखो, यहोवा ने अपने सम्मुख खड़े रहने, और अपनी सेवा टहल करने, और अपने टहलुए और धूप जलाने वाले का काम करने के लिये तुम्हीं को चुन लिया है।

He mere beto, dhilai na karo dekho, Yahowa ne apne sammukh khade rahne, aur apni seva tahal karne, aur apne tahlue aur dhoop jalane vale ka kaam karne ke liye tumhi ko chun liya hai.

12

तब लेवीय उठ खड़े हुए, अर्थात कहातियों में से अमासै का पुत्र महत, और अजर्याह का पुत्र योएल, और मरारियों में से अब्दी का पुत्र कीश, और यहल्लेलेल का पुत्र अजर्याह, और गेर्शोनियों में से जिम्मा का पुत्र योआह, और योआह का पुत्र एदेन।

Tab leveeya uth khade hue, arthaat kahatiyon mein se amasai ka putra mahat, aur ajaryaah ka putra yoyel, aur marariyon mein se abdi ka putra keesh, aur yahallelel ka putra ajaryaah, aur gershoniyon mein se jimma ka putra yoaah, aur yoaah ka putra eden.

13

और एलीसापान की सन्तान में से शिम्री, और यूएल और आसाप की सन्तान में से जकर्याह और मत्तन्याह।

Aur eleesapaan ki santaan mein se shimri, aur yooyel aur aasaap ki santaan mein se jakaryaah aur mattanyaah.

14

और हेमान की सन्तान में से यहूएल और शिमी, और यदूतून की सन्तान में से शमायाह और उज्जीएल।

Aur hemaan ki santaan mein se yahooyel aur shimi, aur yadootoon ki santaan mein se shamayaah aur ujjeeyel.

15

इन्होंने अपने भाइयों को इकट्ठा किया और अपने अपने को पवित्र कर के राजा की उस आज्ञा के अनुसार जो उसने यहोवा से वचन पाकर दी थी, यहोवा के भवन के शुद्ध करने के लिये भीतर गए।

Inhonne apne bhaiyon ko ikattha kiya aur apne apne ko pavitra kar ke raja ki us aagya ke anusaar jo usne Yahowa se vachan pakar di thi, Yahowa ke bhavan ke shuddh karne ke liye bheetar gaye.

16

तब याजक यहोवा के भवन के भीतरी भाग को शुद्ध करने के लिये उस में जा कर यहोवा के मन्दिर में जितनी अशुद्ध वस्तुएं मिलीं उन सब को निकाल कर यहोवा के भवन के आंगन में ले गए, और लेवियों ने उन्हें उठा कर बाहर किद्रोन के नाले में पहुंचा दिया।

Tab yajak Yahowa ke bhavan ke bheetri bhaag ko shuddh karne ke liye us mein ja kar Yahowa ke mandir mein jitni ashuddh vastuein mili un sab ko nikaal kar Yahowa ke bhavan ke aangan mein le gaye, aur leviyon ne unhein utha kar bahar kidron ke nale mein pahuncha diya.

17

पहिले महीने के पहिले दिन को उन्होंने पवित्र करने का काम आरम्भ किया, और उसी महीने के आठवें दिन को वे यहोवा के ओसारे तक आ गए। इस प्रकार उन्होंने यहोवा के भवन को आठ दिन में पवित्र किया, और पहिले महीने के सोलहवें दिन को उन्होंने उस काम को पूरा किया।

Pahile maheene ke pahile din ko unhonne pavitra karne ka kaam aarambh kiya, aur usi maheene ke aathvein din ko ve Yahowa ke osare tak aa gaye. Is prakaar unhonne Yahowa ke bhavan ko aath din mein pavitra kiya, aur pahile maheene ke solahvein din ko unhonne us kaam ko poora kiya.

18

तब उन्होंने राजा हिजकिय्याह के पास भीतर जा कर कहा, हम यहोवा के पूरे भवन को और पात्रों समेत होमबलि की वेदी और भेंट की रोटी की मेज को भी शुद्ध कर चुके।

Tab unhonne raja hijkiyyaah ke paas bheetar ja kar kaha, ham Yahowa ke poore bhavan ko aur patron samet homabli ki vedi aur bhent ki roti ki mej ko bhi shuddh kar chuke.

19

और जितने पात्र राजा आहाज ने अपने राज्य में विश्वासघात कर के फेंक दिए थे, उन को भी हम ने ठीक कर के पवित्र किया है; और वे यहोवा की वेदी के साम्हने रखे हुए हैं।

Aur jitne patra raja aahaaj ne apne rajya mein vishwasghaat kar ke phenk diye the, un ko bhi ham ne theek kar ke pavitra kiya hai; aur ve Yahowa ki vedi ke samhane rakhe hue hain.

20

तब राजा हिजकिय्याह सबेरे उठ कर नगर के हाकिमों को इकट्ठा कर के, यहोवा के भवन को गया।

Tab raja hijkiyyaah sabere uth kar nagar ke hakimon ko ikattha kar ke, Yahowa ke bhavan ko gaya.

21

तब वे राज्य और पवित्रस्थान और यहूदा के निमित्त सात बछड़े, सात मेढ़े, सात भेड़ के बच्चे, और पापबलि के लिये सात बकरे ले आए, और उसने हारून की सन्तान के लेवियों को आज्ञा दी कि इन सब को यहोवा की वेदी पर चढ़ाएं।

Tab ve rajya aur pavitrasthaan aur Yahuda ke nimitt saat bachhde, saat medhe, saat bhed ke bachche, aur papabli ke liye saat bakre le aaye, aur usne haroon ki santaan ke leviyon ko aagya di ki in sab ko Yahowa ki vedi par chadhayen.

22

तब उन्होंने बछड़े बलि किए, और याजकों ने उनका लोहू ले कर वेदी पर छिड़क दिया; तब उन्होंने मेढ़े बलि किए, और उनका लोहू भी वेदी पर छिड़क दिया। और भेड़ के बच्चे बलि किए, और उनका भी लोहू वेदी पर छिड़क दिया।

Tab unhonne bachhde bali kiye, aur yajkon ne unka lohu le kar vedi par chhidak diya; tab unhonne medhe bali kiye, aur unka lohu bhi vedi par chhidak diya. Aur bhed ke bachche bali kiye, aur unka bhi lohu vedi par chhidak diya.

23

तब वे पापबलि के बकरों को राजा और मण्डली के समीप ले आए और उन पर अपने अपने हाथ रखे।

Tab ve papabli ke bakron ko raja aur mandali ke sameep le aaye aur un par apne apne haath rakhe.

24

तब याजकों ने उन को बलि कर के, उनका लोहू वेदी पर छिड़क कर पापबलि किया, जिस से सारे इस्राएल के लिये प्रायश्चित्त किया जाए। क्योंकि राजा ने सारे इस्राएल के लिये होमबलि और पापबलि किए जाने की आज्ञा दी थी।

Tab yajkon ne un ko bali kar ke, unka lohu vedi par chhidak kar papabli kiya, jis se sare Israel ke liye prayashchitt kiya jaye. Kyonki raja ne sare Israel ke liye homabli aur papabli kiye jane ki aagya di thi.

25

फिर उसने दाऊद और राजा के दशीं गाद, और नातान नबी की आज्ञा के अनुसार जो यहोवा की ओर से उसके नबियों के द्वारा आई थी, झांझ, सारंगियां और वीणाएं लिए हुए लेवियों को यहोवा के भवन में खड़ा किया।

Phir usne Daud aur raja ke dashi gaad, aur nataan nabi ki aagya ke anusaar jo Yahowa ki or se uske nabiyon ke dwara aai thi, jhaanjh, sarangiyan aur veenayen liye hue leviyon ko Yahowa ke bhavan mein khada kiya.

26

तब लेवीय दाऊद के चलाए बाजे लिए हुए, और याजक तुरहियां लिए हुए खड़े हुए।

Tab leveeya Daud ke chalaye baje liye hue, aur yajak turhiyan liye hue khade hue.

27

तब हिजकिय्याह ने वेदी पर होमबलि चढ़ाने की आज्ञा दी, और जब होमबलि चढ़ने लगी, तब यहोवा का गीत आरम्भ हुआ, और तुरहियां और इस्राएल के राजा दाऊद के बाजे बजने लगे।

Tab hijkiyyaah ne vedi par homabli chadhane ki aagya di, aur jab homabli chadhne lagi, tab Yahowa ka geet aarambh huaa, aur turhiyan aur Israel ke raja Daud ke baje bajne lage.

28

और मण्डली के सब लोग दण्डवत करते और गाने वाले गाते और तुरही फूंकने वाले फूंकते रहे; यह सब तब तक होता रहा, जब तक होमबलि चढ़ न चुकी।

Aur mandali ke sab log dandavat karte aur gane vale gate aur turhi phoonkne vale phoonkte rahe; yah sab tab tak hota raha, jab tak homabli chadh na chuki.

29

और जब बलि चढ़ चुकी, तब राजा और जितने उसके संग वहां थे, उन सभों ने सिर झुका कर दण्डवत किया।

Aur jab bali chadh chuki, tab raja aur jitne uske sang vahan the, un sabhon ne sir jhuka kar dandavat kiya.

30

और राजा हिजकिय्याह और हाकिमों ने लेवियों को आज्ञा दी, कि दाऊद और आसाप दशीं के भजन गाकर यहोवा की स्तुति करें। और उन्होंने आनन्द के साथ स्तुति की और सिर नवाकर दण्डवत किया।

Aur raja hijkiyyaah aur hakimon ne leviyon ko aagya di, ki Daud aur aasaap dashi ke bhajan gakar Yahowa ki stuti karein. Aur unhonne aanand ke saath stuti ki aur sir navakar dandavat kiya.

31

तब हिजकिय्याह कहने लगा, अब तुम ने यहोवा के निमित्त अपना अर्पण किया है; इसलिये समीप आ कर यहोवा के भवन में मेलबलि और धन्यवादबलि पहुंचाओ। तब मण्डली के लोगों ने मेलबलि और धन्यवादबलि पहुंचा दिए, और जितने अपनी इच्छा से देना चाहते थे उन्होंने भी होमबलि पहुंचाए।

Tab hijkiyyaah kahne laga, ab tum ne Yahowa ke nimitt apna arpan kiya hai; isliye sameep aa kar Yahowa ke bhavan mein melabli aur dhanyavadabli pahunchao. Tab mandali ke logon ne melabli aur dhanyavadabli pahuncha diye, aur jitne apni ichchha se dena chahte the unhonne bhi homabli pahunchaye.

32

जो होमबलि पशु मण्डली के लोग ले आए, उनकी गिनती यह थी; सत्तर बैल, एक सौ मेढ़े, और दो सौ भेड़ के बच्चे; थे सब यहोवा के निमित्त होमबलि के काम में आए।

Jo homabli pashu mandali ke log le aaye, unki ginti yah thi; sattar bail, ek sau medhe, aur do sau bhed ke bachche; the sab Yahowa ke nimitt homabli ke kaam mein aaye.

33

और पवित्र किए हुए पशु, छ: सौ बैल और तीन हजार भेड़-बकरियां थी।

Aur pavitra kiye hue pashu, chha: sau bail aur teen hajaar bhed-bakriyan thi.

34

परन्तु याजक ऐसे थोड़े थे, कि वे सब होमबलि पशुओं की खालें न उतार सके, तब उनके भाई लेवीय उस समय तक उनकी सहायता करते रहे जब तक वह काम निपट न गया, और याजकों ने अपने को पवित्र न किया; क्योंकि लेवीय अपने को पवित्र करने के लिये पवित्र याजकों से अधिक सीधे मन के थे।

Parantu yajak aise thode the, ki ve sab homabli pashuon ki khalein na utaar sake, tab unke bhai leveeya us samay tak unki sahayta karte rahe jab tak vah kaam nipat na gaya, aur yajkon ne apne ko pavitra na kiya; kyonki leveeya apne ko pavitra karne ke liye pavitra yajkon se adhik seedhe man ke the.

35

और फिर होमबलि पशु बहुत थे, और मेलबलि पशुओं की चर्बी भी बहुत थी, और एक एक होमबलि के साथ अर्घ भी देना पड़ा। यों यहोवा के भवन में की उपासना ठीक की गई।

Aur phir homabli pashu bahut the, aur melabli pashuon ki charbi bhi bahut thi, aur ek ek homabli ke saath argh bhi dena pada. Yon Yahowa ke bhavan mein ki upasna theek ki gai.

36

तब हिजकिय्याह और सारी प्रजा के लोग उस काम के कारण आनन्दित हुए, जो यहोवा ने अपनी प्रजा के लिये तैयार किया था; क्योंकि वह काम एकाएक हो गया था।

Tab hijkiyyaah aur sari praja ke log us kaam ke karan aanandit hue, jo Yahowa ne apni praja ke liye taiyaar kiya tha; kyonki vah kaam ekayek ho gaya tha.