2 Chronicles 28 · 27 verses

2 इतिहास 28 2 Chronicles 28 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 28.

1

जब आहाज राज्य करने लगा तब वह बीस वर्ष का था, और सोलह वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और अपने मूलपुरुष दाऊद के समान काम नहीं किया, जो यहोवा की दृष्टि में ठीक था,

Jab aahaaj rajya karne laga tab vah bees varsh ka tha, aur solah varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur apne moolpurush Daud ke samaan kaam nahi kiya, jo Yahowa ki drishti mein theek tha,

2

परन्तु वह इस्राएल के राजाओं की सी चाल चला, और बाल देवताओं की मूर्तियां ढलवा कर बनाईं;

Parantu vah Israel ke rajaon ki si chaal chala, aur baal devtaon ki moortiyan dhalva kar banai;

3

और हिन्नोम के बेटे की तराई में धूप जलाया, और उन जातियों के घिनौने कामों के अनुसार जिन्हें यहोवा ने इस्राएलियों के साम्हने से देश से निकाल दिया था, अपने लड़केबालों को आग में होम कर दिया।

Aur hinnom ke bete ki tarai mein dhoop jalaya, aur un jatiyon ke ghinaune kamon ke anusaar jinhein Yahowa ne Israeliyon ke samhane se desh se nikaal diya tha, apne ladkebalon ko aag mein hom kar diya.

4

और ऊंचे स्थानों पर, और पहाड़ियों पर, और सब हरे वृक्षों के तले वह बलि चढ़ाया और धूप जलाया करता था।

Aur oonche sthanon par, aur pahadiyon par, aur sab hare vrikshon ke tale vah bali chadhaya aur dhoop jalaya karta tha.

5

इसलिये उसके परमेश्वर यहोवा ने उसको अरामियों के राजा के हाथ कर दिया, और वे उसको जीत कर, उसके बहुत से लोगों को बन्धुआ बना के दमिश्क को ले गए। और वह इस्राएल के राजा के वश में कर दिया गया, जिसने उसे बड़ी मार से मारा।

Isliye uske Parmeshwar Yahowa ne usko aramiyon ke raja ke haath kar diya, aur ve usko jeet kar, uske bahut se logon ko bandhuaa bana ke damishk ko le gaye. Aur vah Israel ke raja ke vash mein kar diya gaya, jisne use badi maar se mara.

6

और रमल्याह के पुत्र पेकह ने, यहूदा में एक ही दिन में एक लाख बीस हजार लोगों को जो सब के सब वीर थे, घात किया, क्योंकि उन्होंने अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा को त्याग दिया था।

Aur ramalyaah ke putra pekah ne, Yahuda mein ek hi din mein ek laakh bees hajaar logon ko jo sab ke sab veer the, ghaat kiya, kyonki unhonne apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ko tyaag diya tha.

7

और जिक्री नामक एक एप्रैमी वीर ने मासेयाह नामक एक राजपुत्र को, और राजभवन के प्रधान अज्रीकाम को, और एलकाना को, जो राजा का मंत्री था, मार डाला।

Aur jikri namak ek epraimi veer ne maseyaah namak ek rajputra ko, aur rajabhvan ke pradhaan ajreekaam ko, aur elkana ko, jo raja ka mantri tha, maar dala.

8

और इस्राएली अपने भाइयों में से स्त्रियों, बेटों और बेटियों को मिला कर दो लाख लोगों को बन्धुआ बना के, और उनकी बहुत लूट भी छीन कर शोमरोन की ओर ले चले।

Aur Israeli apne bhaiyon mein se striyon, beton aur betiyon ko mila kar do laakh logon ko bandhuaa bana ke, aur unki bahut loot bhi chheen kar shomron ki or le chale.

9

परन्तु वहां ओदेद नामक यहोवा का एक नबी था; वह शोमरोन को आने वाली सेना से मिल कर उन से कहने लगा, सुनो, तुम्हारे पितरों के परमेश्वर यहोवा ने यहूदियों पर झुंझला कर उन को तुम्हारे हाथ कर दिया है, और तुम ने उन को ऐसा क्रोध कर के घात किया जिसकी चिल्लाहट स्वर्ग को पहुंच गई है।

Parantu vahan oded namak Yahowa ka ek nabi tha; vah shomron ko aane vali sena se mil kar un se kahne laga, suno, tumhare pitron ke Parmeshwar Yahowa ne Yahudiyon par jhunjhla kar un ko tumhare haath kar diya hai, aur tum ne un ko aisa krodh kar ke ghaat kiya jiski chillahat swarg ko pahunch gai hai.

10

और अब तुम ने ठाना है कि यहूदियों और यरूशलेमियों को अपने दास-दासी बना कर दबाए रखो। क्या तुम भी अपने परमेश्वर यहोवा के यहां दोषी नहीं हो?

Aur ab tum ne thana hai ki Yahudiyon aur yarooshlemiyon ko apne daas-dasi bana kar dabaye rakho. Kya tum bhi apne Parmeshwar Yahowa ke yahan doshi nahi ho?

11

इसलिये अब मेरी सुनो और इन बन्धुओं को जिन्हें तुम अपने भाइयों में से बन्धुआ बना के ले आए हो, लौटा दो, यहोवा का क्रोध तो तुम पर भड़का है।

Isliye ab meri suno aur in bandhuon ko jinhein tum apne bhaiyon mein se bandhuaa bana ke le aaye ho, lauta do, Yahowa ka krodh to tum par bhadka hai.

12

तब एप्रैमियों के कितने मुख्य पुरुष अर्थात योहानान का पुत्र अजर्याह, मशिल्लेमोत का पुत्र बेरेक्याह, शल्लूम का पुत्र यहिजकिय्याह, और हदलै का पुत्र अमासा, लड़ाई से आने वालों का साम्हना कर के, उन से कहने लगे।

Tab epraimiyon ke kitne mukhya purush arthaat yohanaan ka putra ajaryaah, mashillemot ka putra berekyaah, shalloom ka putra yahijkiyyaah, aur hadlai ka putra amasa, ladai se aane valon ka samhana kar ke, un se kahne lage.

13

तुम इन बन्धुओं को यहां मत लाओ; क्योंकि तुम ने वह बात ठानी है जिसके कारण हम यहोवा के यहां दोषी हो जाएंगे, और उस से हमारा पाप और दोष बढ़ जाएगा, हमारा दोष तो बड़ा है और इस्राएल पर बहुत क्रोध भड़का है।

Tum in bandhuon ko yahan mat lao; kyonki tum ne vah baat thani hai jiske karan ham Yahowa ke yahan doshi ho jayenge, aur us se hamara paap aur dosh badh jayega, hamara dosh to bada hai aur Israel par bahut krodh bhadka hai.

14

तब उन हथियार बन्धों ने बन्धुओं और लूट को हाकिमों और सारी सभा के साम्हने छोड़ दिया।

Tab un hathiyaar bandhon ne bandhuon aur loot ko hakimon aur sari sabha ke samhane chhod diya.

15

तब जिन पुरुषों के नाम ऊपर लिखे हैं, उन्होंने उठ कर बन्धुओं को ले लिया, और लूट में से सब नंगे लोगों को कपड़े, और जूतियां पहिनाईं; और खाना खिलाया, और पानी पिलाया, और तेल मला; और तब निर्बल लोगों को गदहों पर चढ़ा कर, यरीहो को जो खजूर का नगर कहलाता है, उनके भाइयों के पास पहुंचा दिया। तब वे शोमरोन को लौट आए।

Tab jin purushon ke naam oopar likhe hain, unhonne uth kar bandhuon ko le liya, aur loot mein se sab nange logon ko kapde, aur jootiyan pahinai; aur khana khilaya, aur pani pilaya, aur tel mala; aur tab nirbal logon ko gadhon par chadha kar, yareeho ko jo khajoor ka nagar kahlata hai, unke bhaiyon ke paas pahuncha diya. Tab ve shomron ko laut aaye.

16

उस समय राजा आहाज ने अश्शूर के राजाओं के पास दूत भेज कर सहायता मांगी।

Us samay raja aahaaj ne ashshoor ke rajaon ke paas doot bhej kar sahayta mangi.

17

क्योंकि एदोमियों ने यहूदा में आकर उसको मारा, और बन्धुओं को ले गए थे।

Kyonki edomiyon ne Yahuda mein aakar usko mara, aur bandhuon ko le gaye the.

18

और पलिश्तियों ने नीचे के देश और यहूदा के दक्खिन देश के नगरों पर चढ़ाई कर के, बेतशेमेश, अय्यालोन और गदेरोत को, और अपने अपने गांवों समेत सोको, तिम्ना, और गिमजो को ले लिया; और उन में रहने लगे थे।

Aur palishtiyon ne neeche ke desh aur Yahuda ke dakkhin desh ke nagron par chadhai kar ke, betshemesh, ayyalon aur gaderot ko, aur apne apne ganvon samet soko, timna, aur gimjo ko le liya; aur un mein rahne lage the.

19

यों यहोवा ने इस्राएल के राजा आहाज के कारण यहूदा को दबा दिया, क्योंकि वह निरंकुश हो कर चला, और यहोवा से बड़ा विश्वासघात किया।

Yon Yahowa ne Israel ke raja aahaaj ke karan Yahuda ko daba diya, kyonki vah nirankush ho kar chala, aur Yahowa se bada vishwasghaat kiya.

20

तब अश्शूर का राजा तिलगतपिलनेसेर उसके विरुद्ध आया, और उसको कष्ट दिया; दृढ़ नहीं किया।

Tab ashshoor ka raja tilgatpilneser uske viruddh aaya, aur usko kasht diya; dridh nahi kiya.

21

आहाज ने तो यहोवा के भवन और राजभवन और हाकिमों के घरों में से धन निकाल कर अश्शूर के राजा को दिया, परन्तु इससे उसकी कुछ सहायता न हुई।

Aahaaj ne to Yahowa ke bhavan aur rajabhvan aur hakimon ke gharon mein se dhan nikaal kar ashshoor ke raja ko diya, parantu isse uski kuchh sahayta na hui.

22

और क्लेश के समय राजा आहाज ने यहोवा से और भी विश्वासघात किया।

Aur klesh ke samay raja aahaaj ne Yahowa se aur bhi vishwasghaat kiya.

23

और उसने दमिश्क के देवताओं के लिये जिन्होंने उसको मारा था, बलि चढ़ाया; क्योंकि उसने यह सोचा, कि अरामी राजाओं के देवताओं ने उनकी सहायता की, तो मैं उनके लिये बलि चढ़ाऊंगा कि वे मेरी सहायता करें। परन्तु वे उसके और सारे इस्राएल के पतन का कारण हुए।

Aur usne damishk ke devtaon ke liye jinhonne usko mara tha, bali chadhaya; kyonki usne yah socha, ki arami rajaon ke devtaon ne unki sahayta ki, to main unke liye bali chadhaoonga ki ve meri sahayta karein. Parantu ve uske aur sare Israel ke patan ka karan hue.

24

फिर आहाज ने परमेश्वर के भवन के पात्र बटोर कर तुड़वा डाले, और यहोवा के भवन के द्वारों को बन्द कर दिया; और यरूशलेम के सब कोनों में वेदियां बनाईं।

Phir aahaaj ne Parmeshwar ke bhavan ke patra bator kar tudva dale, aur Yahowa ke bhavan ke dwaron ko band kar diya; aur Yerushalem ke sab konon mein vediyan banai.

25

और यहूदा के एक एक नगर में उसने पराये देवताओं को धूप जलाने के लिये ऊंचे स्थान बनाए, और अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा को रिस दिलाई।

Aur Yahuda ke ek ek nagar mein usne paraye devtaon ko dhoop jalane ke liye oonche sthaan banaye, aur apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ko ris dilai.

26

और उसके और कामों, और आदि से अन्त तक उसकी पूरी चाल चलन का वर्णन यहूदा और इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखा है।

Aur uske aur kamon, aur aadi se ant tak uski poori chaal chalan ka varnan Yahuda aur Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likha hai.

27

निदान आहाज अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसको यरूशलेम नगर में मिट्टी दी गई, परन्तु वह इस्राएल के राजाओं के कब्रिस्तान में पहुंचाया न गया। और उसका पुत्र हिजकिय्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan aahaaj apne purkhaon ke sang so gaya aur usko Yerushalem nagar mein mitti di gai, parantu vah Israel ke rajaon ke kabristaan mein pahunchaya na gaya. Aur uska putra hijkiyyaah uske sthaan par rajya karne laga.