2 Chronicles 25 · 28 verses

2 इतिहास 25 2 Chronicles 25 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 25.

1

जब अमस्याह राज्य करने लगा तब वह पच्चीस वर्ष का था, और यरूशलेम में उनतीस वर्ष तक राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम यहोअद्दान था, जो यरूशलेम की थी।

Jab amasyaah rajya karne laga tab vah pachchees varsh ka tha, aur Yerushalem mein untees varsh tak rajya karta raha; aur uski mata ka naam yahoaddaan tha, jo Yerushalem ki thi.

2

उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है, परन्तु खरे मन से न किया।

Usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein theek hai, parantu khare man se na kiya.

3

जब राज्य उसके हाथ में स्थिर हो गया, तब उसने अपने उन कर्मचारियों को मार डाला जिन्होंने उसके पिता राजा को मार डाला था।

Jab rajya uske haath mein sthir ho gaya, tab usne apne un karmachariyon ko maar dala jinhonne uske pita raja ko maar dala tha.

4

परन्तु उसने उनके लड़के वालों को न मारा क्योंकि उसने यहोवा की उस आज्ञा के अनुसार किया, जो मूसा की व्यवस्था की पुस्तक में लिखी है, कि पुत्र के कारण पिता न मार डाला जाए, और न पिता के कारण पुत्र मार डाला जाए, जिसने पाप किया हो वही उस पाप के कारण मार डाला जाए।

Parantu usne unke ladke valon ko na mara kyonki usne Yahowa ki us aagya ke anusaar kiya, jo Musa ki vyavastha ki pustak mein likhi hai, ki putra ke karan pita na maar dala jaye, aur na pita ke karan putra maar dala jaye, jisne paap kiya ho vahi us paap ke karan maar dala jaye.

5

और अमस्याह ने यहूदा को वरन सारे यहूदियों और बिन्यामीनियों को इकट्ठा कर के उन को, पितरों के घरानों के अनुसार सहस्रपतियों और शतपतियों के अधिकार में ठहराया; और उन में से जितनों की अवस्था बीस वर्ष की अथवा उस से अधिक थी, उनकी गिनती कर के तीन लाख भाला चलाने वाले और ढाल उठाने वाले बड़े बड़े योद्धा पाए।

Aur amasyaah ne Yahuda ko varan sare Yahudiyon aur binyameeniyon ko ikattha kar ke un ko, pitron ke gharanon ke anusaar sahasraptiyon aur shataptiyon ke adhikaar mein thahraya; aur un mein se jitnon ki avastha bees varsh ki athva us se adhik thi, unki ginti kar ke teen laakh bhala chalane vale aur dhaal uthane vale bade bade yoddha paye.

6

फिर उसने एक लाख इस्राएली शूरवीरों को भी एक सौ किक्कार चान्दी देकर बुलवा रखा।

Phir usne ek laakh Israeli shoorveeron ko bhi ek sau kikkaar chandi dekar bulva rakha.

7

परन्तु परमेश्वर के एक जन ने उसके पास आकर कहा, हे राजा इस्राएल की सेना तेरे साथ जाने न पाए; क्योंकि यहोवा इस्राएल अर्थात एप्रैम की कुल सन्तान के संग नहीं रहता।

Parantu Parmeshwar ke ek jan ne uske paas aakar kaha, he raja Israel ki sena tere saath jane na paye; kyonki Yahowa Israel arthaat epraim ki kul santaan ke sang nahi rahta.

8

यदि तू जा कर पुरुषार्थ करे; और युद्ध के लिये हियाव बान्धे, तौभी परमेश्वर तुझे शत्रुओं के साम्हने गिराएगा, क्योंकि सहायता करने और गिरा देने दोनों में परमेश्वर सामर्थी है।

Yadi tu ja kar purushaarth kare; aur yuddh ke liye hiyaav bandhe, taubhi Parmeshwar tujhe shatruon ke samhane girayega, kyonki sahayta karne aur gira dene donon mein Parmeshwar samarthi hai.

9

अमस्याह ने परमेश्वर के भक्त से पूछा, फिर जो सौ किक्कार चान्दी मैं इस्राएली दल को दे चुका हूँ, उसके विषय क्या करूं? परमेश्वर के भक्त ने उत्तर दिया, यहोवा तुझे इस से भी बहुत अधिक दे सकता है।

Amasyaah ne Parmeshwar ke bhakt se poochha, phir jo sau kikkaar chandi main Israeli dal ko de chuka hoon, uske vishay kya karun? Parmeshwar ke bhakt ne uttar diya, Yahowa tujhe is se bhi bahut adhik de sakta hai.

10

तब अमस्याह ने उन्हें अर्थात उस दल को जो एप्रैम की ओर से उसके पास आया था, अलग कर दिया, कि वे अपने स्थान को लौट जाएं। तब उनका क्रोध यहूदियो पर बहुत भड़क उठा, और वे अत्यन्त क्रोधित हो कर अपने स्थान को लौट गए।

Tab amasyaah ne unhein arthaat us dal ko jo epraim ki or se uske paas aaya tha, alag kar diya, ki ve apne sthaan ko laut jayen. Tab unka krodh yahoodiyo par bahut bhadak utha, aur ve atyant krodhit ho kar apne sthaan ko laut gaye.

11

परन्तु अमस्याह हियाव बान्ध कर अपने लोगों को ले चला, और लोन की तराई में जा कर, दस हजार सेईरियों को मार डाला।

Parantu amasyaah hiyaav baandh kar apne logon ko le chala, aur lon ki tarai mein ja kar, das hajaar seiriyon ko maar dala.

12

और यहूदियों ने दस हजार को बन्धुआ कर के चट्टान की चोटी पर ले गए, और चट्टान की चोटी पर से गिरा दिया, सो वे सब चूर चूर हो गए।

Aur Yahudiyon ne das hajaar ko bandhuaa kar ke chattaan ki choti par le gaye, aur chattaan ki choti par se gira diya, so ve sab choor choor ho gaye.

13

परन्तु उस दल के पुरुष जिसे अमस्याह ने लौटा दिया कि वे उसके साथ युद्ध करने को न जाएं, शोमरोन से बेथोरोन तक यहूदा के सब नगरों पर टूट पड़े, और उनके तीन हजार निवासी मार डाले और बहुत लूट ले ली।

Parantu us dal ke purush jise amasyaah ne lauta diya ki ve uske saath yuddh karne ko na jayen, shomron se bethoron tak Yahuda ke sab nagron par toot pade, aur unke teen hajaar nivasi maar dale aur bahut loot le li.

14

जब अमस्याह एदोनियों का संहार कर के लौट आया, तब उसने सेईरियों के देवताओं को ले आकर अपने देवता कर के खड़ा किया, और उन्हीं के साम्हने दण्डवत करने, और उन्हीं के लिये धूप जलाने लगा।

Jab amasyaah edoniyon ka sanhaar kar ke laut aaya, tab usne seiriyon ke devtaon ko le aakar apne devta kar ke khada kiya, aur unhi ke samhane dandavat karne, aur unhi ke liye dhoop jalane laga.

15

तब यहोवा का क्रोध अमस्याह पर भड़क उठा और उसने उसके पास एक नबी भेजा जिसने उस से कहा, जो देवता अपने लोगों को तेरे हाथ से बचा न सके, उनकी खोज में तू क्यों लगा है?

Tab Yahowa ka krodh amasyaah par bhadak utha aur usne uske paas ek nabi bheja jisne us se kaha, jo devta apne logon ko tere haath se bacha na sake, unki khoj mein tu kyon laga hai?

16

वह उस से कह ही रहा था कि उसने उस से पूछा, क्या हम ने तुझे राजमन्त्री ठहरा दिया है? चुप रह! क्या तू मार खाना चाहता है? तब वह नबी यह कह कर चुप हो गया, कि मुझे मालूम है कि परमेश्वर ने तुझे नाश करने को ठाना है, क्योंकि तू ने ऐसा किया है और मेरी सम्मति नहीं मानी।

Vah us se kah hi raha tha ki usne us se poochha, kya ham ne tujhe rajmantri thahra diya hai? Chup rah! Kya tu maar khana chahta hai? Tab vah nabi yah kah kar chup ho gaya, ki mujhe maloom hai ki Parmeshwar ne tujhe naash karne ko thana hai, kyonki tu ne aisa kiya hai aur meri sammati nahi mani.

17

तब यहूदा के राजा अमस्याह ने सम्मति ले कर, इस्राएल के राजा योआश के पास, जो येहू का पोता और यहोआहाज का पुत्र था, यों कहला भेजा, कि आ हम एक दूसरे का साम्हना करें।

Tab Yahuda ke raja amasyaah ne sammati le kar, Israel ke raja yoaash ke paas, jo yehu ka pota aur yahoaahaaj ka putra tha, yon kahla bheja, ki aa ham ek doosre ka samhana karein.

18

इस्राएल के राजा योआश ने यहूदा के राजा अमस्याह के पास यों कहला भेजा, कि लबानोन पर की एक झड़बेरी ने लबानोन के एक देवदार के पास कहला भेजा, कि अपनी बेटी मेरे बेटे को ब्याह दे; इतने में लबानोन का कोई वन पशु पास से चला गया और उस झड़बेरी को रौंद डाला।

Israel ke raja yoaash ne Yahuda ke raja amasyaah ke paas yon kahla bheja, ki labanon par ki ek jhadberi ne labanon ke ek devdaar ke paas kahla bheja, ki apni beti mere bete ko byaah de; itne mein labanon ka koi van pashu paas se chala gaya aur us jhadberi ko raund dala.

19

तू कहता है, कि मैं ने एदोमियों को जीत लिया है; इस कारण तू फूल उठा और बड़ाई मारता है! अपने घर में रह जा; तू अपनी हानि के लिये यहां क्यों हाथ डालता है, इस से तू क्या, वरन यहूदा भी नीचा खाएगा।

Tu kahta hai, ki main ne edomiyon ko jeet liya hai; is karan tu phool utha aur badai marta hai! Apne ghar mein rah ja; tu apni hani ke liye yahan kyon haath dalta hai, is se tu kya, varan Yahuda bhi neecha khayega.

20

परन्तु अमस्याह ने न माना। यह तो परमेश्वर की ओर से हुआ, कि वह उन्हें उनके शत्रुओं के हाथ कर दे, क्योंकि वे एदोम के देवताओं की खोज में लग गए थे।

Parantu amasyaah ne na mana. Yah to Parmeshwar ki or se huaa, ki vah unhein unke shatruon ke haath kar de, kyonki ve edom ke devtaon ki khoj mein lag gaye the.

21

तब इस्राएल के राजा योआश ने चढ़ाई की और उसने और यहूदा के राजा अमस्याह ने यहूदा देश के बेतशेमेश में एक दूसरे का साम्हना किया।

Tab Israel ke raja yoaash ne chadhai ki aur usne aur Yahuda ke raja amasyaah ne Yahuda desh ke betshemesh mein ek doosre ka samhana kiya.

22

और यहूदा इस्राएल से हार गया, और हर एक अपने अपने डेरे को भागा।

Aur Yahuda Israel se haar gaya, aur har ek apne apne dere ko bhaga.

23

तब इस्राएल के राजा योआश ने यहूदा के राजा अमस्याह को, जो यहोआहाज का पोता और योआश का पुत्र था, बेतशेमेश में पकड़ा और यरूशलेम को ले गया और यरूशलेम की शहरपनाह में से एप्रैमी फाटक से कोने वाले फाटक तक चार सौ हाथ गिरा दिए।

Tab Israel ke raja yoaash ne Yahuda ke raja amasyaah ko, jo yahoaahaaj ka pota aur yoaash ka putra tha, betshemesh mein pakda aur Yerushalem ko le gaya aur Yerushalem ki shahrapnaah mein se epraimi phatak se kone vale phatak tak chaar sau haath gira diye.

24

और जितना सोना चान्दी और जितने पात्र परमेश्वर के भवन में ओबेदेदोम के पास मिले, और राजभवन में जितना खजाना था, उस सब को और बन्धक लोगों को भी ले कर वह शोमरोन को लौट गया।

Aur jitna sona chandi aur jitne patra Parmeshwar ke bhavan mein obededom ke paas mile, aur rajabhvan mein jitna khajana tha, us sab ko aur bandhak logon ko bhi le kar vah shomron ko laut gaya.

25

यहोआहाज के पुत्र इस्राएल के राजा योआश के मरने के बाद योआश का पुत्र यहूदा का राजा अमस्याह पन्द्रह वर्ष तक जीवित रहा।

Yahoaahaaj ke putra Israel ke raja yoaash ke marne ke baad yoaash ka putra Yahuda ka raja amasyaah pandrah varsh tak jeevit raha.

26

आदि से अन्त तक अमस्याह के और काम, क्या यहूदा और इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Aadi se ant tak amasyaah ke aur kaam, kya Yahuda aur Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

27

जिस समय अमस्याह यहोवा के पीछे चलना छोड़ कर फिर गया था उस समय से यरूशलेम में उसके विरुद्ध द्रोह की गोष्ठी होने लगी, और वह लाकीश को भाग गया। सो दूतों ने लाकीश तक उसका पीछा कर के, उसको वहीं मार डाला।

Jis samay amasyaah Yahowa ke peechhe chalna chhod kar phir gaya tha us samay se Yerushalem mein uske viruddh droh ki goshthi hone lagi, aur vah lakeesh ko bhaag gaya. So dooton ne lakeesh tak uska peechha kar ke, usko vahi maar dala.

28

तब वह घोड़ों पर रख कर पहुंचाया गया और उसे उसके पुरखाओं के बीच यहूदा के नगर में मिट्टी दी गई।

Tab vah ghodon par rakh kar pahunchaya gaya aur use uske purkhaon ke beech Yahuda ke nagar mein mitti di gai.